7 BAKRE BEHTAR KE EK PAADA? OONT BEHTAR KE UTNI QEEMAT KA BAKRA?SATWAN HISSA BEHTAR YA BAKRA ?
⭕AAJ KA SAWAL No. 2885 PART 1.⭕
Bade chhote janwar me isee tarah bade me saatwan hissa behtar ya utni qeemat ka bakra behtar hai? Kin jaanvaron ki qurbani karne se sawab zyadah milta hai tafseel se batayen ?
🔵JAWAB🔵
حامدا و مصلیا مسلما
Misalon ke sath aap ke sawalon ka jawab diya jata hai.
(1.) Saat aadmiyon ne mil kar ₹7000 me 1 gaay/bhensa kharida aur doosre saat aadmiyon ne mil kar ₹10,000 me 7 bakre kharide.. to, alag alag bakre kharidne walon ki qurbani behtar hai.
(2.) ₹15000 me ek Bakra milta hai, aur isi tarah ₹15000 me oont milta hai, to oont kharid kar us ki qurbani karne me sawab zyadah hai aur baaz ulama ke nazdeek Bakre ki qurbani me sawab zyadah hai; isliye us ka gosht umdaah hota hai.
(3.) Oont ki qimat ₹15000, aur Bakre ya bakri ki qimat ₹16000/- hai, to us waqt Bakra ya bakri ki qurbani me sawab zyadah hai.
(4.) Khassi Kiya huva jaanvar gair khassi se behtar hai.
(5.) Bakre ki qimat ₹15000 hai, gaay, bhens aur oont ka saatwaa hissa bhi ₹15000 ke hisaab se hai, dono ke gosht ka andaazah bhi Barabar hai to us waqt bakre ki qurbani me sawab zyadah hai, aur agar bade Jaanwar ke saatwe hisse me gosht zyadah hai, to saatwe hisse ki qurbani karne me sawab zyadah hai.
📗QURBANI KE FAZAIL WA MASAIL SAFA109,110
📕ALAMGIRI 5/370
Khulasa jis me gosht zayada bhi aur achachha bhi ho woh qurbani us se behtar hai jis me gosht kam,ya zayada lekin achchha nahi.aur gosht aur qeemat barabar ho to chhota janwar achchha. gosht achchha ho aur qeemat bade janwar ke muqabale me thodi zayada ho to chhota janwar thodi qeemat ke izafe ke sath behtar.
و الله اعلم بالصواب
✍🏻 Mufti Imran Ismail Memon Hanafi
🕌 Ustaze Darul Uloom,
Rampur Surat, Gujarat, India