DEENI MALUMAT BOOKS

Aham Masail

Yaha par Aham masail ki image link karke deni he, ya fehrist deni he, insha allah

11wi GYARAHVIH KI NIYAZ

11wi gyarahvi ki niyaz khane ki haqiqat kya he?

Kya maaldar aadmi giyarahvi ka khana kha sakta he?

aur garibo ka us daawat me shirkat ka kya hukm he?

JAWAB

kisi bhi islami mahine ki giyarahvi (11) Tarikh ko Mahbube subhani shaikh Abdul qadir jeelani rh. ki niyyat se jo khana pakaya jata he use giyarahvi kehte he.

Ikhtilaf e ummat or sirate mustaqeem.

hazrat mufti yusuf ludhyani shaheed ra.ki kitab Agar wo khana hazrat shaikh ke naam ki mannat ka ho ya un ka taqarrub hasil karna ho yani niyaz karenge to hazrat khush hokar hamari murade puri karenge to woh haraam hai aamtaur par yahi niyyat hoti hai aur unke naam ki mannat manna hai, mannat sirf Allah ke naam ki hee manna jaiz he.

Kisi unche se unche buland rutbah makhlooq ke naam ki mannat manna haraam aur shirk hai aur aisi haraam mannat ka khana khana Maaldar or garib kisi ke liye bhi jaiz nahi.

(Shami: 2/128,bahr: 2/298)

Agar hazrat shaikh jeelani rh. ke isaale sawab ki garz se allah ta’la ke naam ki mannat maani ho ya mannat maane bagair hazrat shaikh ke isale sawab ke khatir pakaa kar khilaye to aisa khana garib log kha sakte he,

maaldar nahin kha sakta gareebon ko khila kar sadqe ka isale sawab kar sakte he,

Albatta isaale sawab ke khane ke liye koi tarikh or din ya koi cheez zaruri samajhna ye bidat aur najaiz hai.

Shaami: 1 fatawa mahmudiyah: 10 /98

Zubdatul fatawa Gujarati: 1/206,207

MEELAD KI NIYAZ KA HUKM

EID E MEELADUN NABI صلی الله عليه وسلم KI NIYAZ KHANA KOUN SI SURAT ME JAIZ AUR KOUN SI SURAT ME NA JAIZ ?

JAWAB

MEELAADU-N-NABEE صلی الله عليه وسلم KI TA’YEEN-12 HI TAREEKH TAY KARNE KE SAATH KHANA PAKAANA
(LOGON KO JAMAA KARNA) WAGHAIRAH GUMRAH KARNE WALI BID’ATE HAI, US SE BACHNA ZAROOREE HAI, AUR AGAR KHANE ME NIYYAT ISAALE SAWAAB KI HAI TO KHANA MUBAAH (NA SAWAB NA GUNAH) AUR SADQAH HAI,

AUR AGAR AKABIREEN KE NAAM PAR HAI (UN KO RAZI KARNE KI, UN SE QAREEB HONE KI NIYYAT HO, ALLAH KE NAAM PAR NA HUWA) GAIRULLAH KE NAAM PAR ZABAH KARNE KI SOORAT ME DAKHIL HONE KI WAJAH SE HARAM HAI, AUR AISE AQAAID FAASID AUR KUFR KE BAAIS HAI..

( JAIZ SURAT)

ISAALE SAWAAB AGAR DIN AUR KHAS KHANE KO TAY KIYE BAGAIR SIRF ALLAH KO RAZI KARNE KE LIYE HO TO MUSTAHAB HAI,ISALE SAWAB KA KHANA SIRF GAREEB KHAYE MALDAR KO KHANA MANA HAI.

MALFUZAT JILD 3. SE MAKHOOZ (MOLANA AHMAD RAZA)
AGAR DIN AUR KHANE KO KHAS KARNE KE SATH HO TO BID’AT HAI.

FATAWA RASHIDIYA /138
FATAWA MAHMOODIYA 15/429

AISE MAWQON ME IS TARAH KE KHANE PAKANE KA SHARIAT ME KOI SUBUT NAHI, LIHAZA YE KAAM NA JAAIZ AUR BID’AT HAI, AGAR MAHAZ RASM KE TOR PAR PAKAYA JAYE, SAWAAB KA AQEEDA NA HO TO BHI USME BID’AT KI TAYEED-HONSLA AFZAEE AUR RIWAJ DENA HAI, LIHAZA US SE BACHNA LAZIM HAI, USI BINA PAR KHANA QUBOOL KARNE SE BHI BACHNA CHAHIYE, ISKE BAWUJOOD YE HARAM NAHI HAI.

AHSANUL FATAWA 1/375
BY SHAIKHUL HADEES MAULANA AHMAD RAHIL SB D.B.MADRASAH KANZE MARGOOB PATAN

JAWAZ PAR AKAABIREEN IBARAT SE DALEEL PAKADNE KA JAWAB:
SHAAH ABDUR RAHEEM DAHELVI RAHMATULLAHI ALAYHI FARMATE HAI KE :
ME WILADAT KE DINON ME HUZOOR صلی الله عليه وسلم KO ISALE SAWAB PAHONCHANE KI NIYYAT SE KHANA PAKWATA THA. EK BAAR AESA HUWA KE MERE PAAS KUCHH NA THA KE ME KHANA PAKWATA, BHUNE HUWE CHANO KE ALAWAH. TO MENE USI KO LOGON ME TAQSEEM KAR DIYA…

IN JESE BUZRUGON KI IBARATON ME NA VILADAT KI HAD SE ZAYADA ROSHNI KA TAZKIRAH HAI, NA KHANE KE LIYE LOGON KA JAMA KARNE KA ZIKR (NA 12 TAREEKH KA ZIKR HAI, BALKE LIKHA HAI MAVLOOD YANI VILADAT KE DINO ME,NA JABARDASTI KA CHANDA HAI, NA SHAREEK NA HONE WALON KO HAQEER SAMJHNA HAI, NA MANDAP THA, NA RASTA BANDH KAR KE AANE JANE WALON KO TAKLEEF PAHONCHNA HAI) LIHAZA IS SE DALEEL PAKADNA SAHEEH NAHI.

(FATAWA RASHIDIYYAH 137)
و اللہ اعلم بالصواب
12 RABEEUL AWWAL 1440 HIJRI

TASDEEQ IMRAN ISMAIL MEMON GUFIR LAHOO

MUDARRISE DARUL ULOOM RAMPURA SURAT GUJRAT INDIA

MEELAD KI SHURUAAT

Rasmi meelad ka silsila kab aur kahan se shurooa huwa ?

JAWAB
حامدا و مصلیا مسلما

Mahfile meelad chhathi (6th) sadi guzarne ke baad sultaan arbal ke zamaane se shrooa huwa hai, jaisa ke taarikh ibne khalqaan me hai, aur usi waqt se ulama us ki tardeed (mukhalifat) karte aa rahe hai.

FATAWA MAHMOODIYAH 3/87
KITAABUN NAWAAZIL 1/551

و الله اعلم بالصواب

ISLAMI TAREEKH :
9 RABEEUL AWWAL1441 HIJRI

Mufti Imran Ismail Memon Hanafi
Ustaze Darul Uloom Rampura wa Secretry jamiate ulama Surat, Gujarat, India.

ilami (baat) msg sikhaana (felana) ibadat se behtar hai

MEMON DAY MANANA

11 April ko puri Dunya me memon day manana shurooa huwa hai, is tarah din manane ka shareeat me kya hukm hai?

JAWAB

حامدا و مصلیا مسلما

Day manana, agar khurafat na ho to ek achchha tareeqa hai, ye day manana aesa hai jaise ham yawme aazaadi,

baz jamate saal pura hone par jalsa wagairah kar ke din manate hai,

is ka maqsad zimmedaron se maloom kiya to pata chala ke puri dunya ke tamaam memon milkar is din zayada se zayada nek aur khidmat ke kaam kare, aur dusri qaum ke samne apne akhlaaq wa sakhawat ko pesh kare,

lekin dar ye hai ke in day manane ki shuruaat bahut achchhi niyyat aur jazbe ke sath hoti hai,

lekin fir aahista aahista is me bahut se khuraafat, fuzool kharchiyan aur gair sharee cheezen dakhil ho jati hai, is ki kai misalen har qaum me hai.

naa cheeez do misal aap ke samne pesh karta hai…

1. Hazrat Isa alayhis salam ki pedaish ka din manana badi achchhi niyat se isaiyon-khiristiyon ne shurooa kiya tha, ke is din apne nabi ko yaad karenge aur charch me ibadat karenge aur nabi ka massege dunya ko denge.

shurooaat isi tarah sadgi se hui thi lekin is baad 31 naya saal manane ki rasm charch se bahar aayi aur us din, sharab, zina aur har qism ke khurafat hone lage jise ham jante hai.

2. Taziye, ise taimur lang badshah ne badi achchhi niyyat se ahle bait hazrat husain Radeeallahu anhu ki muhabbat me shurooa kiya tha, un ke roze ki duplicate banai thi aur sadgi se zayarat karta tha,

baad me ye kitna fela aur is me kya kya khuraafat aur shirk bidat shamil ho gaye woh hamari nigah ke samne hai.

Isee tarah agar memon day manane par puri tawajjuh na rakhi gai to is ka bhi haal ho sakta hai.

memon day manane me chand kharabiyan paida ho sakti hai lihaza us ka pura dhayan zimmedarin ko rakhna zaroori hain warna Allah na kare Aksar jaga khurafat galib aane ki wajha se memon day ke na jaiz hone ka fatwa lag sakta hai.

1. Apne memon hone par fakhr karna ya kisi aur qaum ko haqeer-nicha samjhna ye dono baten jaiz nahi apne nasab par fakhr karna qayamat ki nishaniyon me se hai.

2. Memon day ko had se zayada sajawat aur lighting ki fuzool kharchi na ho.

3. us din khas gane aur music baja kar use selebrate na kiya jaye.

4. us din dance kar ke khushiyan na manai jaye

5. cake cut kar us din ko na manaya jaye.

6. memon day likhi T-shirt wagairah kapde Pahan kar fakhr,guroor aur fuzool kharcho na ki jaye.

7. is day ko Selebrate karne aatishbazi-patakhe na fode jaye.

8. mard, aorat ka meljol is din party wagairah kar ke na ho

9. jo kuchh bhi khidmat ki jaye allah ko razee karne aur nabi SALALLAHU ALAYHI WASALLAM ke tareeqe par ikhlas ke sath ki jaye dusron ko dikhlana, naam kamana, shoharat hasil karna apni qaum ki badai jatlana maqsood na ho khidmat ki taufeeq allah deta hai us par shukr ada karte huwe allah ki bargah me qubooliyat ki duaa karte huwe tamam kaam kiye jaye.

الامور بمقاصدھا
AL ASHBAHU WAN NAZAIR SE MAKHOOZ

و الله اعلم بالصواب

ISLAMI TAREEKH :
4 SHA’BANUL MUAZZAM 1440 HIJRI

Mufti Imran Ismail Memon Hanafi
Ustaze Darul Uloom Rampura, Surat, Gujarat, India.

Muharram Ke Mahine Me Kya Kare Kya Nahi

Muharram Ke Mahine Me Kya Kare Kya Nahi’ Karna Chahye?

Mashhoor Bidaten Kya Kya Hain?

Jawab: حامد و مصلیا و مسلما

“Muharram Ke Mahine Me Kya Kare Kya Nahi”: Muharram Ke Mahine Ko Maatam Aur Sog Ka Mahina Qarar Dena Jaiz Nahin, Haraam Hai, Aur Muharram Ke Mahine Me Shaadi Wagairah Ko Na-Mubarak Aur Na-Jaiz Samajhna Sakht Gunah Aur Ahl-E-Sunnat Wal Jamat Ke Aqeede Ke Khilaf Hai.

Islam Ne Jin Chizon Ko Halaal Aur Jaiz Qarar Diya Ho, Aeteqadan Ya Amalan Unko Na-Jaiz Aur Haraam Samajhne Me Iman Ka Khatrah Hai.

Fatawa Raheemiya 3/191

“Muharram Ke Mahine Me Kya Kare Kya Nahi”:

Muharram Ko Zikr E Shahadat Ka Bayaan Karna Agarche Sahih Riwayaton Se Ho, Ya Sabeel Lagaa Kar Sharbat Pilana Ya Chanda Sabeel Sharbat Me Dena, Ya Doodh  Pilana Yeh Sab Sahih Nahin Hai Aur Rawafiz (Shiyaon) Se Mushabahat (Similarities) Ki Wajah Se Haraam Hai.

Fatawa Rasheediya: 139

Taziya Saazi Ka Na-Jaiz Hona Aur Uska Khilaafe Deen O Imaan Hona Azhar Minash Shams Hai, Qur’an E Majeed Me Hai:

اتعبدون ما تنحتون

Kya Tum Aisi Chizon Ki Ibadat Karte Ho Jisko Tumne Tarasha Aur Banaya Hai.

Zaahir Hai Ke Taziya Insaan Apne Haath Se Tarash Kar Banata Hai, Aur Fir Mannat Maani Jaati Hai Aur Usse Muraaden Maangi Jaati Hain, Uske Saamne Aulaad O Sehat Ki Duaen Ki Jaati Hain, Sajdah Kiya Jaata Hai, Uski Ziyarat Ko Hazrat Hussain Razi Allahu Anhu Ki Ziyarat Samjha Jata Hai,

Kya Yeh Sab Baaten Imaan Ki Rooh Aur Islam Ki Taleem Ke Khilaf Nahin? Yeh Sab Baaten Bid’at Aur Na-Jaiz Hain.“`

Fatawa Raheemiya 2/275

Fatawa Rasheediya 576

Aashoorah Ke Din Ke Mutalliq Shariyat Ne Khaas Chizen Batlayi Hain:

  1. Rozah Rakhna.
  2. Ahel O Ayaal Par Khaane Peene Me Wus’at Karna.

Hadees Shareef Me Hai Ke Jisne Yaum E Aashoorah Ke Din Apne Baal Bachon Par Khaane Me Wus’at (Kushadgi) Ki To Allah Ta’ala Poore Saal Rozi Me Izafa Karenge, Iske Ilawa Us Din Ke Liye Aur Koi Hukm Nahin Hai.

Fatawa Raheemiya 2/380

Masail E Shirk O Bid’at

و الله اعلم بالصواب

“Muharram Ke Mahine Me Kya Kare Kya Nahi” By:  Mufti Imran Ismail Memon Sahab

Ustaad E Daarul Uloom Rampura Surat, Gujarat, India

Valentine’s day manaana kaisa hai ?

Valentine’s day manaana kaisa hai ?

jawab

Valentine’s day manaana Ghair Islaami hai.

Ghair-muslim ke tehwaar sahi maankar ya ta’azeem ke iraade se manaana ya un ke tareeqe apnaana kufr hai.

Kai baar shaitaan Musalmano ko nafs ke zariye behkata hai aur hume lagta hai ke Ghair-muslimo ke tehwaar aur tareeqa achha hai.

Aaj ke daur me gairo ke saath musalman ladke aur ladkiya bhi Valentine’s day manaate hain aur wish karte hain, Haath milaate hain aur Gale milte hain aur Rose,Chocolate, Card aur Gift dete hain. Ye sab behayaai ke kaam hain aur gunaah e kabirah hai. Aur Gift wagairah dene me maal zaaya karna hai aur Fuzul kharchi bhi gunaah hai.

Aur kisi ko shehwat (lust) se dekhna ya chhuna ya is ke baare me baat karna ye sab behayaai aur bad-nigaahi aur shehwat ka gunaah hai. Aur kuchh log to Jima’a (sohbat) bhi karte hain. Kisi se bagair nikaah ke sohbat karna ‘Zina’ hai aur gunaah e kabeerah hai.

Ab hame ye tay karna hai ke hume Islaami tareeqa apnana hai ya ghairo ka? Pyare Aaqa Sayyed ul ambiya Muhammad Mustafa sallallhu alaihi wa sallam ke pyare ummatiyo, Ghairo ke tehwaar aur tareeqe kitna bhi achhe lage lekin musalman ko sirf apne mazhab ka sahi tareeqa apnana chaahiye aur in sab gunaaho se bachna chaahiye taake ALLAH aur us ke Rasool sallall?hu alaihi wa sallam raazi ho.

Aap log ye sab baate apne dosto ko batakar unhe bhi in behayaai, ayyaashi aur fuzul kharchi aur gunaaho wale tehwaar manane se door rehne ke liye samjhayen. Kisi ko nek amal karne ke liye kehna ya gunaah se bachne ke liye kehna bhi bahot badi neki hai.

KHIR PURI KI HAQEEQAT AUR BARELVIYON KE DALAIL KE JAWABAT

Kheer Puri Ki Shurooat Kis Ne Ki Aur Kab Hui?

Barelvi Kehte Hai Ke Is Me Shiyon Se Mushabahat Nahi, Koi Kaare Khair Ham Shurooa Kare, Aur Use Dusraa Koi Firqa Apna Le, To Us Kaare Khair Ko Nahi Chhoda Jayega, Shiyon Ke Khir Puri Karne Me Aur Sunniyon Ke Karne Me Kai Tareeqe Se Farq Hai.

Hazrat Jafar Sadiq Ki Wafat Kiya Rajab Me Hui Hai?

Jawab:

22 Rajab Ya 15 Rajab Ko Na Hazrat Jafar Sadiq Rahmatullahi Ki Wafat Hui Hai Na Wiladat.Is Din Shiyon Ke Sab Se Bade Dushman Hazrat Ameere Muaawiyah Radiyallahu Anhu Ki Wafat Hui Hai.

Aur Hazrat Jafar Sadiq Rahmatullahi Alayhi Wiladat-Pedaish 8 Ramzan 80 Ya 83 Hijri Me Hui.

Agar Rajab Ka Maheena Ho To Ahle Barelvi Tareekh Ki Kitab Ka Hawala Pesh Kare.

[Tareekhe Tabree Safha 239 Jild 4 Beroot Ki Chhapai]

Kheer Kunde Ki Shurooat Hee Shiyon Ne Ki Hai Na Ke Sunniyon Ne.

Mushabat Us Waqt Na Hoti Jab Is Ki Shurooat Sunni Karte Aur Fir Isko Shiyaa Shuroo Karte; Lekin Muaamala Ulta Hai Ke Hazrat Ameere Muaawiyah Radiyallshu Anhu Jo Shiyaa Ke Sakht Mukhalif The, Aur Shiyon Ko Qatal Karte The Aur Saza Dete The, Un Ki Wafat Par Khushiyaa Manai, Aur Chhup Kar Khir Puri Banai, Aur Chhup Kar Khai, Aur Sunniyon Ko Pata Chala To Is Ko Hazrat Jafare Sadiq Ki Taraf Chalaki Se Mansoob Kar Diya.

Mazeed Daleelen

1, Is Rasm Me Aajtak Is Ki Pabandi Hai Ke Kundon Ki Puriyan Kisee Bandh-Aasman Nazar Na Aaye Aesee Jaga Banai Jati Hai.

2. Banne Ke Baad Bade Aehtamam Se Dhank Kar Rakha Jata Hai.

3. Fatiha Andheree Jaga Me Diaya Jata Hai.

4. Parde Ke Sath Use Khilaya Jata Hai.

5. Hazrat Jafar Sadiq Ke Sath Shiya Hazrat Ki Jaga Imam Ka Lafz Istiamal Karte Hai Un Ki Mushabahat Me Barelvi Bhi Imam Kehte Hai Jis Tarah Kahne Me Ittibaa Karte Hai Bolne Me Bhi Shiyon Ki Mushabahat Aur Ittibaa Karte Hai.

6. Hazrat Jafar Sadiq Rahmatullahi Alayhi Sahabi Nahi Hai Balke Wali Hai Awliyaa E Kiram Karadon Hai Us Me Hazrat Hazrat Hafar Sadiq Ki Hee Kiya Khusisiyat Ke Un Ke Hee Naam Par Shurooat Ki Jati Hai Sahaba Radeeyallahu Anhum Ki Kiyun Nahi Karte Hai!

7. Fatihaa Ke Baad Ya Ali Radeeyallahu Anhu Ka Naara Lagaya Jata Hai.

Ya Abu Bakr Rd. Ya Umar Rd. Ya Usman Rd. Ka Nara Nahi Lagaya Jata Hai, Kiyun Ke Sirf Ali Radeeyallahu Anhu Ko Hee Manna, Aur Dusre 3 Khulafaa Ko Na Manna Shiyon Ka Tareeqah Hai.

12 Rabiul Awal Ko Kya Karen ?

Sawal:12 Rabiul Awal Ko Kya Karen ?

Kal Eidmiladun Nabi Ko Kya Karna Chahiye? Shariat Me Is Bare Me Kya Rahnumai Hai?

Jawab:

Huzoor Salallahu Alaihi Wasallam Ki Wiladat Aur Wafat Ki Tareekh Me Sakht Ikhtilaf Hai, Isliye Ke In Dono Dino Me Har Saal Kuchh Bhi Karne Ka Ihtimaam Sahaba Ne Nahi Kiya, Khud Huzoor Salallahu Alaihi Wasallam Ne Bhi 63 Salah Zindagi Me Wiladat Ka Din (Birthday) Nahi Manaya, Aap Ki Pedaish Peer (Monday) Ke Din Hui Thi, Is Liye Aap Peer Ke Din Aksar Roza Rakhte The, Isliye Peer Ke Din Roza Rakhna Sunnat Hoga.

Lekin Tareekh Manana, Aur Usee Tareekh Ko Kuchh Amal Rozah Namaz Juloos Naat Wagairah Na Huzoor Salallahu Alaihi Wasallam Se Sabit He, Na Tamaam Sahaba E Kiram Radeeyallahu Anhum Se Sabit He, Na Taabein Wa Tabe Tabein Se Sabit He, Na Awliya E Kiram Se Sabit, Na Charon Maslak Ke Imamon Se Sabit.

Halan Ke Woh Log Huzoor Salallahu Alaihi Wasallam Se Sab Se Ziyadah Muhabbat Karnewale Aur Shariat Ko Jannewale The.

Na Fiqah Wa Hadees Ki Tamaam Kitabon Me Is Bare Me Koi Rahnumaee-Kuchh Likha Huwa He.

Lihaza Is Din Na Khushi Manaye, Na Gam, Kyun Ke Wafat Bhi Isee Din Hui Hai, Isee liye Ham Aaj Se 10 Sal Pehle Ise Bare Wafat Kehte The, Wafat Bhi Allah Talaa Ne Isee Din Rakhi, Take Log Gairon Ki Tarah Khushi Manane Se Ruk Jaye.

Bidat Kise Kehte Hai ?

Sawal: Bidat Kise Kehte Hai?

Us Ki Tareef-Defination Dewbandi Aur Barelvi Dono Hazraat Ke Mutabiq Bataye.

Jawab:

Hazrat Mufti Kifayatulah Rahmatullahi Alayhi (Wafat 1372 Hijri) Likhte Hain:

Bidat Un Cheezon Ko Kehte Hai, Jin Ki Asal Shareeat Se Sabit Na Ho, Yani Qurane Majeed, Ahadeese Shareefah Se Us Ka Suboot Na Mile, Aur Rasoolullah Salallahu Alaihi Wasallam Aur Sahabah E Kiram Radeeyallahu Anhum Aur Tabiayeen Aur Tabia Tabiayeen Rahmatullahi Alayhim Ke Zamane Me Us Ka Wajood Na Ho, Aur Us Ko Deen Ka Kaam Samjh Kar Kiya Jaye Ya Chhoda Jaye.

(Ta’leemul Islam Hissa 4 Safaa 27)

Barelvi Ke Mash’hoor Aleem Molvi Muhammad Salih Likhte Hai:

Bidat Us Cheez Ko Kehte Hai, Jo Umoore Deeniyah (Deenee Kaam) Se Samjhi Jaye, Magar Kisi Daleele Sharee Se Us Ka Suboot Na Milta Ho, Na Kitab (Quraan) Se, Na Ahaadeese Nabaviyyah Se, Na Ijtimaae Mujtahideen Se (Tabiyeen Aur Tabia Tabiayeen Ke Daur Ke Ulamaa Ka Ittifaq), Na Qiyase Sharee Se.

Tuhfatul Ahbab Safa: 95

Upar Barelvi Alim Ne Deenee Kaam Ki Qaid Lagai Hai, Is Se Maloom Huwa Ke Nayee Cheezen Jo Huzoor Salallahu Alaihi Wasallam Ke Zamane Me Nahi Thi, Jese Chay, Biryani, Bus, Ghadi Wagairah In Sab Ka Istismal Bidat Nahi, Kiyun Ke Ham Use Deen Ya Sawab Samjh Kar Nahi Karte.

Dusre Barelvi Alim Molvi Abdus Sameea Rampuree Likhte Hai:

Jis Ne Nikali Is Deen Me Woh Baat, Jo Deen Ki Qism Me Se Nahi Hai, Yani Kitabullah Aur Sunnat (Hadees) Ke Mukhalif Hai, Woh Baat Us Ki Raad (Na Qabile Qubool) Hai.

Anwari Saatiaa Safa:33

Bidat Ki Qismen

  1. Bidate Hasanah
  2. Bidate Saiyyeh

Hazrat Imam Shafiee Rahmatullahi Alayhi Farmate Hai Ke:

Bidat Ki Do Qisme Hai: (1) Ek Woh Bidat Jo Kitab, Sunnat, Ya Ijmaa Ya Kisi Sahabee Ke Asar (Baat) Ke Mukhalif Ho, Aesee Bidat Gumrahi (Bidate Saiyyeh) Hai. Aur (2) Jo Un Me Se Kisi Ke Mukhalif Na Ho To Aesee Bidat Kabhi Achchhi (Hasanah) Hoti Hai, Jese Hazrat Umar Ka Qaul Ye (20 Rakat Taraweeh) Kiya Achchhi Bidat Hai (Kisi Bhi Sahabi Se Sabit Nayi Cheez Lugat-Dictionay Ke Aitibar Se Bidat Hai Haqeeqatan Bidat Nahi.

Muwafiqatu Sareehul Ma’aqool.. Alaa Mihajis Sunna 2/128

Dono Fareeq Ki Maani Hui Kitab (Fatawa Jamiur Riwaayaat Wal Junnah Safa 60) Yani Nisabul Fiqah Me Hai Ke:

Bidate Hasanah Woh Hai, Jis Ko Hazrate Mujahideen (Jese Charon Maslak Ke Ulamaa, Imam Abu Haneef Rh. Imam Shafee Rh.Wagairah) Bidate Hasanah Qarar Diya Ho, Agar Koi Aur Shakhs Is Zamane Me Kisee Cheez Ko Bidate Hasanah Qarar Dega To Woh Haq Ke Khilaf Hai, Kiyun Ke Musaffa Me Hai Ke Hamare Zamane Me Har Bidat Gumrahee Hai.

{Mufti} Imran Ismail Memon Gufira Lahoo

Mudarrise Darul Uloom Rampura Surat Gujrat India

10 MUHARRAM ME WOH BAATEN JO GALAT HAIN

Sawal:

Woh Konse A’amaal Hain Jo Aashurah Ke Din Ya’ani 10 Muharram Ko Sunnat Se Saabit NAHIN Hai ?

Jawab:  حامد و مصلیا و مسلما

1) Gusl Karna Ya’ani Khaas Aashurah Ke Din Ki Niyyat Se.

2) Kapde Badalna.

3) Khushboo Lagaana.

4) Surma Lagaana.

5) Makhsoos Namaz Ada Karna.

6) Marsia Khwani Karna.

7) Masjid Me Jamaa Ho Kar Nawafil Padhna.

8) Maatam Karna.

9) Qabro Par Mitti Dalna.

10) Ta’ziya Banana.

11) Nange Sar Rahna.

12) Nange Pair Rahna.

13) Kaale Kapde Pahanna.

14) Sar Par Khaak Daalna.

15) Sar Ko Peetna.

16) Bachchon Ko Qaidi Faqeer Banaana.

17) Sharbat Banaana.

18) Sharbat Pilana.

19) Makhsoos Qism Ka Khana Banana.

20) Sirf Muharram Hi Me Sabeel Lagana.

Ref: Fatawa Mahmoodiyah 3/274 Aur Uske Aas Paas

و الله اعلم بالصواب

Tasdeeq: Mufti Imran Ismail Memon Sahab 

Ustaad E Daarul Uloom Rampura Surat, Gujarat, India

MUHARRAM KA SHARBAT

Muharram ke dino me jo log sharbat ki sabeel (parab) lagate hain woh jaiz hai ya nahin?

Is me chanda dena jaiz hai ya haraam?

Jawab:  حامد و مصلیا و مسلما

Sharbat ya paani hi pilaane ki pabandi galat aur gair saabit hai. agar sardi ka mausam hai to tab bhi sharbat hi pilaya jaye! (aisa muhallah (street) ho jis me har ghar me thanda aur matke ka paani mavjood hai, to jahaan paani ki zarurat nahin wahaan bhi paani ke matke hi ki sabeel lagane ka kya maqsad hai?)

ek galat aqeedah ko bhi is me dakhal hai, woh yeh hai ke Hazrat Husain رضی اللہ عنہ ke mutalliq mashhoor hai, ke piyase shaheed kiye gaye, aur yeh sharbat aur paani unke paas pahonch kar unki piyas bujhayega.

Is aqeedah ki islaah (Durust Karna) zaruri hai. yeh sharbat wahaan nahin pahonchta, na unko is sharbat ki zarurat hai.

Allah paak ne unke liye jannat me a’ala se a’ala (behtareen) ni’amaten ataa kar rakhi hain, jinke muqabalah me yahaan ka sharbat koi haisiyat nahin rakhta.

و اللہ اعلم بالصواب

FATAWA MAHMOODIYAH DABHEL 20/278

Mufti Imran Ismail Memon.

Ustaze Darul Uloom Rampura, Surat, Gujarat, India.