11wi gyarahvi ki niyaz khane ki haqiqat kya he?
Kya maaldar aadmi giyarahvi ka khana kha sakta he?
aur garibo ka us daawat me shirkat ka kya hukm he?
JAWAB
kisi bhi islami mahine ki giyarahvi (11) Tarikh ko Mahbube subhani shaikh Abdul qadir jeelani rh. ki niyyat se jo khana pakaya jata he use giyarahvi kehte he.
Ikhtilaf e ummat or sirate mustaqeem.
hazrat mufti yusuf ludhyani shaheed ra.ki kitab Agar wo khana hazrat shaikh ke naam ki mannat ka ho ya un ka taqarrub hasil karna ho yani niyaz karenge to hazrat khush hokar hamari murade puri karenge to woh haraam hai aamtaur par yahi niyyat hoti hai aur unke naam ki mannat manna hai, mannat sirf Allah ke naam ki hee manna jaiz he.
Kisi unche se unche buland rutbah makhlooq ke naam ki mannat manna haraam aur shirk hai aur aisi haraam mannat ka khana khana Maaldar or garib kisi ke liye bhi jaiz nahi.
(Shami: 2/128,bahr: 2/298)
Agar hazrat shaikh jeelani rh. ke isaale sawab ki garz se allah ta’la ke naam ki mannat maani ho ya mannat maane bagair hazrat shaikh ke isale sawab ke khatir pakaa kar khilaye to aisa khana garib log kha sakte he,
maaldar nahin kha sakta gareebon ko khila kar sadqe ka isale sawab kar sakte he,
Albatta isaale sawab ke khane ke liye koi tarikh or din ya koi cheez zaruri samajhna ye bidat aur najaiz hai.
Shaami: 1 fatawa mahmudiyah: 10 /98
Zubdatul fatawa Gujarati: 1/206,207
KFC, MCDONALDS HOTELS KA KHANA 1410
Aap kya kehte hain pizzahut kfc McDonalds hotels me khane ke mutalliq jo ke pakistan me hain, yeh halal hai ya haraam ?
jawab
حامد و مصلیا و مسلما
Un hotels me pakaya jane wala chicken ya dusra gosht agar waqiyatan islami sharaeet ke mutabiq zabiha ka ho,
isee tarah mukhtalif chizon me daali jaane wali chiz aur Pakaane ka tel (oil) wagairah me kisi qism ke haraam ajza ki aamezish (milavat) na ki gayi ho,
aur yeh umoor yaqeeni taur par ya gaalib gumaan ke darajah me saabit ho jaaye tab to unke taiyyar kiye gaye khana khaane ki ijazat hai, warna unse eitaraz (parhez) hi kiya jaaye.
Jab ke umoomi taur par bhi yeh hotels apne aalami meayaar barqaraar rakhne ka ziyadah khyal rakhne ke saath saath machini zabiha se bhi aiteraz nahin karte jo na-jaiz hai.
Isee liye unme taiyyar kiye jaane wale khaane ka tamaam ajza ke halal hone ka yaqeen na ho jaaye us waqt tak unke khane khaane se aiteraz hi kiya jaaye to yeh ziyadah behtar hai.
Mazi sadar Mufti Dabhel Gujrat Hazrat Aqdas Mufti Ahmad Khanpuri d.b. ne farmaya ke:
“agar wahaan khinzir (suwwar, pig) ka gosht bhi pakaya jaata hai to uske chammach (spoons) aur bartan ke isteamal me aehtiyat nahin karte, agar gosht halaal bhi ho to use napak bartan lag hi jaate hain jisse woh khaana bhi na-paak hota hai.”
Quran surah anaaam ayat 121
Surat nahl ayat 115
Sahih muslim
Hazrat Mufti Hussain Karachi d.b.
NOTE:Gosht ke halal hone me gair muslim idare (companies) ke gawahi muatabar nahin chahe unke letter pad par musalman aalim ya idare ke dastakhat (sign) ho aur gair muslim ki hotel ka musalman mulazim (nokar) kahe ke yeh gosht halal hai to bhi us ki gawahi muatabar nahin.
Mufti Farhaan Waris sahab
Darul fatawa wal qazaa
Jamia binnoria Karachi
و اللہ اعلم بالصواب
Mufti Imran Ismail Memon
Ustaz e Darul Uloom Rampura, Surat, Gujrat, India
Is it permissible to dine at Pizza Hut, KFC, McDonald’s in Pakistan, is the food served there halal or haram?
Answer
If the meat or chicken served in the above mentioned restaurants is indeed sacrificed in accordance with shariah, also the ingredients used,
cooking oil etc is confirmed to not contain any haram contents, and it is surely confirmed and proven, then it is permissible to eat, otherwise not.
Also, it is also required to make sure that the meat used has not been sacrificed with machines.
Therefore, unless one is not sure of all the above mentioned facts, it is better avoided.
Mufti dabhel gujarat hazrat aqdas mufti ahmad khanpuri d.b.ne have reported that if pig meat is used there, and the spoons and other utensils are not used with precaution,
and even if other halal meat comes in contact with it, it is not permitted.
Quran surah anaaam ayat 121
Surah nahl ayat 115
Sahih muslim
Hazarat mufti husain karanchi d.
Note: the proof of halal meat by a non Muslim organisations, signed papers,or a Muslim waiters confirmation should not be taken into consideration.
Mufti affan waris
Darul fatawa wal qazaa
Jamia binmoria karanchi
EID E MEELADUN NABI صلی الله عليه وسلم KI NIYAZ KHANA KOUN SI SURAT ME JAIZ AUR KOUN SI SURAT ME NA JAIZ ?
JAWAB
MEELAADU-N-NABEE صلی الله عليه وسلم KI TA’YEEN-12 HI TAREEKH TAY KARNE KE SAATH KHANA PAKAANA
(LOGON KO JAMAA KARNA) WAGHAIRAH GUMRAH KARNE WALI BID’ATE HAI, US SE BACHNA ZAROOREE HAI, AUR AGAR KHANE ME NIYYAT ISAALE SAWAAB KI HAI TO KHANA MUBAAH (NA SAWAB NA GUNAH) AUR SADQAH HAI,
AUR AGAR AKABIREEN KE NAAM PAR HAI (UN KO RAZI KARNE KI, UN SE QAREEB HONE KI NIYYAT HO, ALLAH KE NAAM PAR NA HUWA) GAIRULLAH KE NAAM PAR ZABAH KARNE KI SOORAT ME DAKHIL HONE KI WAJAH SE HARAM HAI, AUR AISE AQAAID FAASID AUR KUFR KE BAAIS HAI..
( JAIZ SURAT)
ISAALE SAWAAB AGAR DIN AUR KHAS KHANE KO TAY KIYE BAGAIR SIRF ALLAH KO RAZI KARNE KE LIYE HO TO MUSTAHAB HAI,ISALE SAWAB KA KHANA SIRF GAREEB KHAYE MALDAR KO KHANA MANA HAI.
MALFUZAT JILD 3. SE MAKHOOZ (MOLANA AHMAD RAZA)
AGAR DIN AUR KHANE KO KHAS KARNE KE SATH HO TO BID’AT HAI.
FATAWA RASHIDIYA /138
FATAWA MAHMOODIYA 15/429
AISE MAWQON ME IS TARAH KE KHANE PAKANE KA SHARIAT ME KOI SUBUT NAHI, LIHAZA YE KAAM NA JAAIZ AUR BID’AT HAI, AGAR MAHAZ RASM KE TOR PAR PAKAYA JAYE, SAWAAB KA AQEEDA NA HO TO BHI USME BID’AT KI TAYEED-HONSLA AFZAEE AUR RIWAJ DENA HAI, LIHAZA US SE BACHNA LAZIM HAI, USI BINA PAR KHANA QUBOOL KARNE SE BHI BACHNA CHAHIYE, ISKE BAWUJOOD YE HARAM NAHI HAI.
AHSANUL FATAWA 1/375
BY SHAIKHUL HADEES MAULANA AHMAD RAHIL SB D.B.MADRASAH KANZE MARGOOB PATAN
JAWAZ PAR AKAABIREEN IBARAT SE DALEEL PAKADNE KA JAWAB:
SHAAH ABDUR RAHEEM DAHELVI RAHMATULLAHI ALAYHI FARMATE HAI KE :
ME WILADAT KE DINON ME HUZOOR صلی الله عليه وسلم KO ISALE SAWAB PAHONCHANE KI NIYYAT SE KHANA PAKWATA THA. EK BAAR AESA HUWA KE MERE PAAS KUCHH NA THA KE ME KHANA PAKWATA, BHUNE HUWE CHANO KE ALAWAH. TO MENE USI KO LOGON ME TAQSEEM KAR DIYA…
IN JESE BUZRUGON KI IBARATON ME NA VILADAT KI HAD SE ZAYADA ROSHNI KA TAZKIRAH HAI, NA KHANE KE LIYE LOGON KA JAMA KARNE KA ZIKR (NA 12 TAREEKH KA ZIKR HAI, BALKE LIKHA HAI MAVLOOD YANI VILADAT KE DINO ME,NA JABARDASTI KA CHANDA HAI, NA SHAREEK NA HONE WALON KO HAQEER SAMJHNA HAI, NA MANDAP THA, NA RASTA BANDH KAR KE AANE JANE WALON KO TAKLEEF PAHONCHNA HAI) LIHAZA IS SE DALEEL PAKADNA SAHEEH NAHI.
(FATAWA RASHIDIYYAH 137)
و اللہ اعلم بالصواب
12 RABEEUL AWWAL 1440 HIJRI
TASDEEQ IMRAN ISMAIL MEMON GUFIR LAHOO
MUDARRISE DARUL ULOOM RAMPURA SURAT GUJRAT INDIA
MASHROOM jise billi ya saanp ki chhatri (top) bhi kehte hai khana aur bechana kaisa hai?
JAWAB
حامدا و مصلیا مسلما
Us ki kai qisme hoti hai baaz sihhat ke liye nuqsaan deh- zahrile asar wale hote hai aur baaz faida mand, agar sihhat ko nuqsaam na kare to khaa sakte hai aur bech bhi sakte hai.
Agar zahar ki wajha se sihhat ko nuqsaan kare to bilkul nahi khana chahiye aur bechana bhi nahi chahiye.
KITABUL FATWA 6/189 KA KHULASA
Mushroom ek qism ki sabzi hai jis ka khana jaiz hai
ON LINE FATWA DARUL ULOOM DEVBAND SAWAL NO. 156967
و الله اعلم بالصواب
ISLAMI TAREEKH:
JUMAD AL ULAA 1440 HIJRI
Mufti Imran Ismail Memon Hanafi Chishti.
Ustaze Darul Uloom Rampura, Surat, Gujarat, India.
SAWAL
KHANE PINE KEE CHEEZON ME ”E” KE SATH KHAS CODE NO. AATE HAI JO SMS ME BHI CHALAYE GAYE THE US KE KHANE KA KYA HUKM HAI?
1.MAKROOH
2.HARAM
3.JAIZ
JAWAB
SHAREEAT NE JIN CHEEZON KO HARAM QARAR DIYA HAI AGAR UN KEE HAQEEQAT AUR MAHIYYATU-ASLIYYAT (US KA RANG KHUSH BOO- ZAIQAH US KEE AHAM SIFTEN GUN) BADAL JAYETO UN KA PEHLA HUKM (HARAM MAKROOH HONE KA) BAQEE NAHEE REHTA. KISEE CHEEZ KEE WOH KHAS AUR BUNYADEE SIFTEN-GUN JIN SE US CHEEZ KEE PEHCHAN HOTEE HAI. WOHEE US CHEEZ KEE HAQEEQAT AUR MAHIYYAT-ASLIYYAT HAIN. ISLAMIC FIQAH ACADEMY INDIA KE SAMNE FAN KE MAHIREEN-KHAS JANKAREE RAKHNEWALE KE ZAREEYE JO TAHQEEQ SAMNE AAYEE HAI US KE MUTABIQ (AGAR WOH CODE GELETIN KE HAI TO) GELETIN ME UN JANWARON KEE KHALON AUR HADDIYON KEE HAQEEQAT BAQEE NAHEE REHTEE HAI JIN KE COLLAGEN (EK QISM KA PROTIN) SE GELETIN BANAYA JATA HAJ BALKE WOH EK NAYEE HAQEEQAT KE SATH NAYEE CHEEZ HO JATEE HAI ISLIYE US KE USTEAMAL KEE GUNJAISH HAI
(NAYE MASAIL AUR FIQAH ACADEMY KE FESLE SAFA 182)
CHAVDAHWAN FIQHEE SAMYNAR HAIDARABAD 22 JUN 2004)
AGAR CODE LAGI HUI CHEEZON ME CHARBEE KEE CHIKNAHAT NAHEE HAI TO WOH CHEEZ HALAL HAI.
AUR CHIKNAHAT CHARBI KEE YA KISEE AUR CHEEZ KEE YE PEHCHANNA US LINE KE MAAHIR- KHAS JANKAR KA KAAM HAI.
CHIKNAHAT SAMJH ME NA AAYE TO KHUD KO AETIYATAN BACHNA CHAHIYE.
BAGAIR CREAM KE BISCUIT AUR CAKE ME TO BILKUL SHUBAH-SHAK NA KAREN.
MENE INDIA KEE MAGGI NUDALS AUR MAGGI SOUS KA REPORT KARWAYA THA JIS PAR WOH HARAM KAHA JANEWALA CODE HAI AUR NUDALS KA TO VIDEO BHI CHALA THA. LEKIN INDIA KI MAAGI SOUS REPORT ME KISI BHI ENIMAL KEE FATE NA HONA AAYA HAI. JIS SE MALOOM HUWA YE BATE BAAZ DOCTOR YA DEENEE JAZBAAT RAKHNE WALE GAIR MUFTI KEE CHALAI HUI HAI. JIS KA SHAREEAT ME AEATIBAR NAHI.
TABDEELE MAHIYAT : HAQEEQAT BADALNE SE NAPAK AUR HARAM CHEEZ KE HALAL HONE KEE CHAND MISALEN JO FIQAH KEE AKSAR KITABON ME HAIN.
1.NAPAK CHARBI SE JAB SABUN BAN JATA HAI TO US KEE HAQEEQAT BADAL GAI ISLIYE PAAK HAI.
FATAWA MAHMOODIYAH JADEED 18/206BA HAWALA SHAMI)
- GOBAR AUR PAAKHANA JAL KAR RAKH HO JAYE TO PAAK HAI.
- GADHA, NAMAK KEE KAAN-BADE KHADDE ME GIR KAR NAMAK BAN GAYA YA INSAN KEE NAASH QABAR ME MITTEE BAN GAI TO WOH MITTEE PAAK HAI US MITTEE SE BHARE HUWE KAPDE ME NAMAZ JAIZ HAI.
4.HARAM JANWAR KEE KHAL KO CHEMICAL NAMAK WAGAIRAH KE ZAREEYE US KEE CHIKANAHAT KHATM KAR DEE US KHAL SE BANE LIBAS ME NAMAZ JAIZ HAI.
5.SHARAB NAMAK YA KISEE CHEEZ KE DALNE SE SIRAKAH BAN GAI US KA NASHA HEE NA RAHA PAAK HAI PEE SAKTE HAI.
[MUSTFAD AZ MAALABUDD MINHU SAFA 21]
WALEEME ME KYA KHILANA SUNNAT HAI 1573
Huzur ﷺ ki ittibaa ka ham ko hukm hai, aur Aap ka treeqa hamare liye namoona hai،
to mujhe yeh janna hai ke Huzur ﷺ ne kis ke waleeme me kya khilaya?
JAWAB
حامدا و مصلیا و مسلما
Bahot achchha sawal hai,
logon ne waleema karne ki sunnat ke naam par shaandar waleema karne aur ziyadah logon ko khilane ke chakkar me nikah me taakhir, soodi qarz, khane ka bigaad, waleeme me fakhr aur competition (dekha dekhi) shuru kar dee hai۔
Lekin waleeme me pyare Nabi ﷺ jinki ittibaa ka hum ko hukm diya hai unki saadgi aur mukhtasar waleema me kam kharch kar ke nikah ko ba-barakat banana bhul gaye hain,
lihaza jin azwaje mutahhraat ki waleeme ki saraahat kitabon me mili usey paish kiya jata hai.
Huzur ﷺ ne Hazrat Zainab rd. ka waleema (ek) bakri ki gosht se kiya
Hazrat Umme Salma Radeeyallahu anha ka waeema jav ki roti se kiya.
Hazrat Safiyyah Rd.ka waleema khajoor, roti aur ghee se kiya.
Hazrat aaisha Rd. ka walima ek piyala doodh se kiya.
Huzur ﷺ se muhabbat ke daawe karne wale is sunnat par ya aisa saada aur mukhtasar waleema kar ke dikhaye
BAHISHTI JAHEZ SAFA 146 BA IZAFA MAKHOOZ
و الله اعلم بالصواب
ISLAMI TAREEKH 3 RABEEUL AWWAL 1440 HIJRI
Mufti Imran Ismail Memon Hanafi Chishti.
Ustaze Darul Uloom Rampura, Surat Gujarat India
‘Khane me chunti aa jaye‘ Yani kidi aa jaye ya galti se pet me chali jaye to kya hukm hai?
JAWAB: حامدا و مصلیا و مسلما
“Khane me chunti aa jaye” Ya Kisi cheez me chunti mar jaye, to bagair nikale khana jaiz nahi.
Agar ek aadh chunti halaq me chali gai to murdar khane ka gunah huwa.
BAHISHTI ZEWAR A3/60
BA HAWALA: MAHMOODUL FATAWA /105
و الله اعلم بالصواب
ISLAMI TAREEKH :19 SAFAR
“Khane me chunti aa jaye” By: Mufti Imran Ismail Memon Hanafi Chishti.
Ustad e Darul Uloom Rampura Surat, Gujarat, India
‘Zam Zam‘ Khade Ho Kar Peena Chahiye Ya Baith Kar ?
Bahot Se Hazraat Khade Hokar Peene Ko Sunnat Kehte Hain Sahih Tariqah Kya Hai?
Jawab: حامد و مصلیا و مسلما
Hazrat Abdullah Ibne Abbas R.A. Farmaate Hain Ke Mene Nabi Alayhissalaam Ko “Zam Zam” Kaa Paani Pilaya To Aapne Khade Hokar Woh Piya
Saheeh Bukhari: Kitaabul Ashribah
Is Hadees Ki Wajah Se Ba’az Ulama Ka Khayaal Yeh Hai Ke “Zam Zam” Ka Paani Baith Kar Peene Ke Bajaaye Khade Ho Kar Peena Behtar Hai.
Isee Wajah Se Mashhoor Hai Ke Do Paani Aise Hain Jo Khade Ho Kar Peene Chahye:
- Wuzu Ka Bacha Hua Paani
- “Zam Zam” Ka Paani
Lekin Dusre Ulama Yeh Farmaate Hain Ke Yeh “Zam Zam” Paani Bhi Baith Kar Hee Peena Behtar Hai
Aur Jahaan Tak Hazrat Abdullah Ibne Abbas Rd. Ki Hadees Ka Talluk Hai To Usme Khade Ho Kar Peene Kee Wajah Yeh Thi, Ke Ek Taraf To Kuwaa, Dusree Taraf Logo Ka Hujoom (Bhid) Aur Fir Kuwe Kee Chaaro Taraf Keechad Aur Baithne Kee Jagah Bhi Nahin Thi.
Isliye Aap Ne “Zam Zam” Khade Hokar Kar Pee Liya Lihaza Khade Hokar Peena Jaiz Hai.
Isse Yeh Laazim Nahin Aata Ke “Zam Zam” Khade Hokar Kar Peena Afzal Hai.
Maakhuz Az Islahi Khutbat 5/237
Ba’az Log Topi Utarkar Qiblah Ki Taraf Rukh Kar Ke “Zam Zam” Pite Hain, Ke Huzoor Salalahu Alayhi Wasallam Ne Bhi Isee Tarah Piya Tha.
To Us Ka Jawab Yeh Hai Ke Huzoor Salalahu Alayhi Wasallam Aehraam Ki Halat Me The, Aehraam Me Sar Par Topi Nahi Hoti Hai, Aur Wahaan Ka’aba Nazar Aata Tha.
Lihaza Gair Muhrim Aur Jo Ka’aba Ke Paas Na Ho Uski Pabandi Karna Aur Logon Se Karvana Munasib Nahin.
و اللہ اعلم بالصواب
Mufti Imran Ismail Memon Sahab
Ustad E Darul Uloom Rampura Suratgujarat India.
SURAJ NIKALNE KE BAAD NEERA PINE KA HUKM
SURAJ NIKALNE KE BAAD NEERA PINE KA HUKM
AAJ KA SAWAL No. 2336
Neera (Khajoor ke darakht se nikalne wala ras) pine ka kya hukm hai subah me us me Nasha nahi hota Jaise jaise Suraj ki roshni badhti hai us me tezi aur nash aata jata hai to is ka Pina pure din me kabhi bhi taqat ya maze ke liye kaisa hai?
JAWAB
حامدا و مصلیا مسلما
Hazrat hakeemul ummat Maulana Ashraf Ali thanvi rahmatullahi alayhi tahreer farmate hai ke us me agar na to Nasha ho aur ye kaam dusron ke liye burai tak pahonchane ka zariya na ho to jaiz hai.
IMDADUL FATAWA 4/113 ZAKARIYA
Hazrat mufti ismail kachholvi damat barkatuhum tahreer farmate hai ke Neera nash lane wali cheez nahi hai isliye us ke pine me koi haraj nahi hai.nasha aata ho to us Surat me us ka peena Na jaiz kehlayega.
FATAWA DEENIYAH GUJRATI 4/117.
Asal daromadar us me Nasha paida hone na hone par hai us me jhaag aur tezi-khatta pan aa jana Nasha paida hone ki alamat hai lihaza agar nasha na aaya ho to pure din me kabhi bhi pee sakte hai.
و الله اعلم بالصواب
ISLAMI TAREEKH :
18 JUMADIYUL UKHRA 1442 HIJRI
Mufti Imran Ismail Memon Hanafi
Ustaze Darul Uloom,
Rampur Surat, Gujarat, India
NON MUSLIM KASAAI (BUTCHER) YA HOTEL KA GOSHT KHANA
⭕AAJ KA SAWAL NO.2578⭕
Non Muslim bharwad (bakre palne aur bechne wala) se jiski dukan par kisi muslim ka pehra ya nigrani nahi hoti to aisi dukan se gosht khareed kar istiamal karna jab ke usko kisi musalmsn ne zabah kiya ho kiya hukm hai?
🔵JAWAB🔵
حامد ومصلیا و مسلما
Jab koi muslim nigran wahaan maujood nahi to daaromadar us gair muslim ke qaul par reh gaya ke yah halal gosht hai.
Haraam aur halal hone me gair muslim ka qaul shar’an qabool nahi.
Albattah muamalat (khareedna bechna, len den) me uska qaul bhi qabool hai jab ke uske sachche hone ka guman ho. agar woh yah kahe ke yah woh gosht hai Jisko fulan muslim shakhs ne zabah kiya hai aur dil gawahi de ke yah saheeh kahta hai aur usne usme koi na-jaiz gosht nahi milaya hai, to uska qaul (baat) qubool kar lena durust hai.
📕(Alamgeeree5/308)
📗FATAWA MAHMOODIYAH, DABHEL 18/38
و الله اعلم بالصواب
KHIR PURI KI HAQEEQAT AUR KUCHH DALAEEL KE JAWABAT
🛑AAJ KA SAWAL NO.2764🛑
KHEER PURI KI SHUROOAT KIS NE KI AUR KAB HUI ?
BARELVI KEHTE HAI KE IS ME SHIYON SE MUSHABAHAT NAHI HAI,
KOI KAARE KHAIR HUM SHUROOA KAREY AUR USEY DUSRAA KOI FIRQA APNA LE TO US KAARE KHAIR KO NAHI CHHODA JAYEGA,
SHIYON KE KHIR PURI KARNE ME AUR SUNNIYON KE KARNE ME KAI TAREEQE SE FARQ HAI.
HAZRAT JAFAR SADIQ KI WAFAT KYA RAJAB ME HUI HAI ?
🔵JAWAB🔵
22 RAJAB YA 15 RAJAB KO NA HAZRAT JAFAR SADIQ RAHMATULLAHI KI WAFAT HUI HAI, NA WILADAT.
IS DIN SHIYON KE SAB SE BADE DUSHMAN HAZRAT AMEERE MUAAWIYAH RADIYALLAHU ANHU KI WAFAT HUI HAI.
AUR HAZRAT JAFAR SADIQ RAHMATULLAHI ALAYHI WILADAT- PEDAISH 8 RAMZAN 80 YA 83 HIJRI ME HUI
(AGAR RAJAB KA MAHEENA HO TO AHLE BARELVI TAREEKH KI KITAB KA HAWALA PESH KARE.)
📘<TAREEKHE TABREE SAFHA 239 JILD 4 BEROOT KI CHHAPAI>
KHEER KUNDE KI SHUROOAT HEE SHIYON NE KI HAI NA KE SUNNIYON NE .
MUSHABAT US WAQT NA HOTI JAB IS KI SHUROOAT SUNNI KARTE AUR FIR ISKO SHIYAA SHUROOA KARTE, LEKEEN MUAAMALA ULTA HAI, KE HAZRAT AMEERE MUAAWIYAH RADIYALLAHU ANHU JO SHIYAA KE SAKHT MUKHALIF THE AUR SHIYON KO QATAL KARTE THE AUR SAZA DETE THE,
UN KI WAFAT PAR KHUSHIYAA MANAI AUR CHHUP KAR KHIR PURI BANAI AUR CHHUP KAR KHAI AUR SUNNIYON KO PATA CHALA TO IS KO HAZRAT JAFARE SADIQ KI TARAF CHALAKI SE MANSOOB KAR DIYA.
MAZEED DALEELEN
1. IS RASM ME AAJ TAK IS KI PABANDI HAI KE KUNDON KI PURIYAN KISEE BANDH-(AASMAN NAZAR NA AAYE) AESEE JAGA BANAI JATI HAI.
2. BANNE KE BAAD BADE AEHTAMAM SE DHANK KAR RAKHA JATA HAI.
3. FATIHA ANDHEREE JAGA ME DIAYA JATA HAI.
4. PARDE KE SATH USE KHILAYA JATA HAI
5. HAZRAT JAFAR SADIQ KE SATH SHIYA HAZRAT KI JAGA IMAM KA LAFZ ISTIAMAL KARTE HAI, UN KI MUSHABAHAT ME BARELVI BHI IMAM KEHTE HAI, JIS TARAH KAHNE ME ITTIBAA KARTE HAI BOLNE ME BHI SHIYON KI MUSHABAHAT AUR ITTIBAA KARTE HAI
6. HAZRAT JAFAR SADIQ RAHMATULLAHI ALAYHI SAHABI NAHI HAI, BALKE VALI HAI, AVLIYAA E KIRAM BAHOT SE HAIN, US ME HAZRAT ZAFAR SADIQ KI HEE KYA KHUSISIYAT KE UN KE HEE NAAM PAR SHUROOAT KI JATI HAI ?
SAHABA RADEEYALLAHU ANHUM KI KYUN NAHI KARTE HAI?
7. FATIHAA KE BAAD
‘YA ALI” RADEEYALLAHU ANHU KA NAARA LAGAYA JATA HAI
YA ABU BAKR
YAA UMAR
YAA USMAN
KA NAARA NAHI LAGAYA JATA? KIYUN KE SIRF ALI RADEEYALLAHU ANHU KO HEE MAANNA AUR DUSRE 3 KHULAFAA KO NA MANNA SHIYON KA TAREEQAH HAI.
AUR KHIRPURI SHIYAN BHI ISEE TARAH KARTE HAI UN SE PURI MUSHABAHAT HOTI HAI.LIHAZA IS SE BACHA JAYE.
MURG KO ZABAH KARNE KE BAAD GARAM PAANI ME DAALNA
⭕AAJ KA SAWAL No. 2855⭕
Kya kehte hain muftiyaane kiraam murge ke gosht ke baare me jisko garam pani me daal kar Saaf karte hain dukandaar ?
🔵JAWAB🔵
حامدا و مصلیا مسلما
Murg ko zabah karne ke baad agar pet cheer kar aantariya vagairah Nikal kar Garam paani me daala jaaye to gosht khaane me koi haraj nahi aur agar aantariya vagairah nikalne se pehle daala jaaye to usme tafseel ye hai ki agar itni Der garam pani me khola (ubaal) diya jaaye ke najasat gosht ke andar pevast (ghus) jaaye to ye bilkul naapaak ho jaayega aur dhone ke bavajood paak na hoga; Albatta Agar pani josh ki had tak garam na ho ya murg vagairah ko mahaz itni Der tak us me rakha jaaye ke pani ki garmi chamdi ki Satah tak pahunch jaaye aur khaal ke masamat- hole khul jaayen taake khaal saaf karne me aasani ho to is Soorat me 3 dafa’a dhone se gosht paak ho jaayega.
Note: Agar murg ko zabah karke aag par itni Der tapa diya jaaye ke najasat ka asar gosht me sirayat kar (ghus) jaye to gosht ka khana jaiz na hoga.