CHHOTE BACHCHE KI WAJHA SE HAJ ME TAKHEER 1774
Sawal:
Kisi awrat par haj farz ho chuka hai lekin us ki god me chhota bachcha ho jis ki nigraani ki wajha se foran (usee saal) haj na kar sakti ho to us ko haj me takheer karna jaiz hoga?
JAWAB
حامدا و مصلیا مسلما
Puchhu hui surat me haj me takheer karna us ko aorat ko jaiz hai.
KITABUL MASAIL 3/77
و الله اعلم بالصواب
ISLAMI TAREEKH :
24 SHAAWWALUL MUKARRAM1440 HIJRI
Mufti Imran Ismail Memon Hanafi Chishti.
Ustaze Darul Uloom Rampura, Surat, Gujarat, India.
Sawal:
Kya haj farz ho jane ke baad usee saal jana zaroori hai aayindah saal bhi itminana se haj kar sakte hai?
JAWAB حامدا و مصلیا مسلما
Sharaait paye jane ke baad pehli fursat me haj ki adaayigi wajib hai, agar bila uzr takheer-der ki to gunehgar hoga.
Agar takheer ke baad ada kar liya to gunah saqit-door ho jayega.
BAHRUR RAAIQQ 2/310 BA HAWALA KITABUL MASAIL 3/76
و الله اعلم بالصواب
ISLAMI TAREEKH : 20 SHAWWALUL MUKARRAM 1440 HIJRI
Mufti Imran Ismail Memon Hanafi Chishti. Ustaze Darul Uloom Rampura, Surat, Gujarat, India.
PEHLE WALIDEN KO HAJ KARANA 1766
Sawal:
Pehle khud haj karey ya walidain ko karaye..?
JAWAB: حامدا و مصلیا و مسلما
Awlaad ke zimme maa baap ko haj karana zaruri nahi hai, lekin agar Allah ta’ala ne awalaad ko maal diya hai to haj karana badi sa’aadat [khushnasibi] hai,
[aap ke masail 4/72]و الله اعلم بالصواب
ISLAMI TAREEKH : 16 Shawwal-Ul-Mukarram 1440 HIJRI
Mufti Imran Ismail Memon Hanafi Chishti. Ustaze Darul Uloom Rampura, Surat, Gujarat, India.
HAJJ MAQBOOL HONE KI ALAMAT 1494
Mufti Sahab, Mera ‘HAJJ MAQBOOL HONE KI ALAMAT‘ Koi (Nishani) Hai ?
Agar “HAJJ MAQBOOL HONE KI ALAMAT” Hai To Hawale Ke Saath Batane Ki Guzarish.
JAWAB: حامد و مصلیا و مسلما
Ji Haan, Aap Ki Hajj Allah Rabbul Izzat Ki Baargaah Me Maqbul Ho Gayi Uski Alamat Yeh Hai Ke.
“HAJJ MAQBOOL HONE KI ALAMAT“: Hajj Ke Baad A’amaal E Saaleha Ka Eahtemam Aur Pabandi Aur Aakhirat Ki Taraf Ragbat Badh Jaaye, Aur Pehli Haalat Se Behtar Ho Jaye,
{Mard Ki Daadhi Na Ho, To Daadhi Rakh Le, Takhno Ke Upar Payjama Na Pahanta Ho, To Pahanna Shuru Karey, Aur Aurat Pardah Na Karti Ho, To Parda Karna Shuru Karey, Aur Dono Sharaee Libaas Ka Ehtemam Karen}.
Is Liye Hajj Ke Baad Apne A’amaal Aur Akhlak Ka Khaas Taur Se Khayaal Rakhna Chahiye, Aur Taa’at Aur Ibadat Me Khoob Koshish Karni Chahiye, Gunaah Aur Burey Akhlak Se Nafrat Aur Parhez Karna Cahiye.
Muallimul Hujjaj Safah 337 Se 341
“HAJJ MAQBOOL HONE KI ALAMAT“: Yeh Baaten Paida Ho Gayi To Insha’Allah Aap Ka Hajj Qubul Hai. Aap Hamen Aur Poori Ummat Ko Apni Duaao Me Yaad Farmayen.
و اللہ اعلم بالصواب
sawal
Ayyam e hajj kon se hai ?
Ayyam e hajj mein kya kya kaam karne hote hain ?
Tafsil se batane ki guzarish.
Jawab
8, 9, 10, 11, 12 zilhajj ayyam e hajj hain.
Hajj ka pehla din 8 zilhajj hai. Is roz apni qiyam gaah hi se haji gusal kar ke ahram bandh lenge. Ahraam ki nafal padhen aur haj ki niyyat se talbiyah padhte huve mina ki taraf rawanah ho jayenge. Aur mina puhanch kar zuhar, asar, maghrib aur isha ki namazein apne khaime hi me ba jama’at adaa karen, kasrat se talbiyah padhte rahe. Raat mina hi me qayaam karna sunnat hai.
Hajj ka dusra din 9 zilhajj hai. Is roz fajar ki namaz mina me padh kar maidaan e arafat ko rawangi hogi. Zawal ke baad wuqoof e arafat ka waqt shuru hoga. Is waqt khoob ro ro kar apne gunahon se taubah ki jaye.hanfi haji zuhar aur asar ki namaz apne apne khaimon me us ke waqt me adaa kar le, aur apna waqt allah ta’ala ko yaad karte huve aur apne aziz o aqarib aur apne watan e aziz ki salaamati ke liye ziyadah se ziyadah duaen karte huve guzare. Ghuroob aaftab ke ba’ad maghrib ki namaz padhe beghair muzdalifah ko rawanah ho jaye. Muzdalifah pahuch kar maghrib aur isha ki namaz isha ke waqt me adaa ki jaye. Raat muzdalifah hi me guzare. Muzdalifah jaate huve waadi e muhassar ( jahaan abraha ka hathiyon ka lashkar tabaah huva tha) ke paas se guzrte waqt tezi se istaghfaar padhte huve guzar jaye.
Hajj ka teesra din 10 zil hajj hai. Muzdalifah me wuqoof ke ba’ad fajar ki namaz adaa kar ke mina rawana ho jaye aur zawal se pehle pehle sirf jamarah e aqbah (badey shaitaan) ko kankaryan maare. Kankaryan raat ko muzdalifah hi se utha le. Badey shaitan ko saat (7) kankaryan ek ek kar ke maarni hai. Jamaraat ko kankaryan maarne ko rami kahaa jata hai. Rami e jamraat ke ba’ad qurbani ki jaye. Qurbani karne ke liye behtar yeh hai ke saudi hukumat ke zere intezaam bank me qurbani ki raqam jamaa karvadi jaye. Khud qurbani karne ki surat me bahut se masail paish aa sakte hain. Qurbani karne ke ba’ad sar ke baal mundwaye ya katarwa le, albattah aurten apne sar ki choti je tamam balon ko milakar bal ko ek ungli ki por ke baraabar khud kaat le ya apne mehram se katwa lein. Ab ahraam ki pabandiyan khatam ho jayegi sirf bivi halal na hogi jab tak tawaft ziyarat na kar len * nahaa-dho kar apna aam libas pahan liya jaye. Is ke ba’ad agar himmat aur taaqat ho to isi roz warna 11, 12 zil hajj ko tawaaf e ziyarat ke liye makkah mukaramah chale jayen. Ziyadah behtar yeh rahta hai ke 11 zil hajj ko subah subah tawaf ziyarat ke liye makkah mukaramah chale jaye aur wahaan se wapasi me zawal ke ba’ad teeno jamaraat (teeno shaitaano ) ko saat saat (7-7) kankariyan marte huve apne khaimon me chale jayen.
Tawaf e ziyarat 10 zilhajj se le kar 12 zilhajj tak ghoroob aaftab se pehle pehle tak kiya ja sakta hai.
Tawaaf e ziyarat ke ba’ad sayee bhi karni hogi. 10 zil hajj ka din guzar ne ke ba’ad raat mina hi me qayaam karna hoga.
Hajj ka chautha din 11 zilhajj hai. Mina me zawal ke ba’ad pehle jamarah e ulaa ( chhota shaitaan ) fir jamarah e wustah (darmiyana shaitan) fir jamarah aqbah (badaa shaitan) ko 7, 7 kankaryan ek ek kar ke marni hai . Raat ko mina hi me qayaam karna hoga.
Hajj ka panchwan din 12 zilhajj hai. Mina me zawal ke ba’ad se teeno jamaraat ko tarteeb war ek ek kar ke saat kankariyan marni hai aur ghuroob e aaftab se pehle pehle mina ki hadood (border) se bahir nikal jana hai. Warna phir mina hi me thehrna (qayaam karna)hoga aur 13 zilhajj ko bhi rami e jamarat karni hogi.
Ayyam e hajj me agar kisi *aurat ko mahwari-m.c.:ayyam shurooa ho jayein to woh hajj ke tamaam af’aal bajaa laave, siwaye tawaafe ziyarat ke, paak hone ke ba’ad woh tawaaf aur saee kare. Majboooree me taakhir ki wajah se aurat par koi kaffarah nahin hoga. Rami mard aur aurat ko khud karna hogi . Watan rawaanagi se pehle tawaaf e wad’a karna bhi zaruri hai.
Anware manasik,mualimul hujjaj me se kukasah
Ye msj aap ke koi tallaq wala haj ko gaya ho to use zaroor bhejen ho sakta hai ke ise padhkar us ko haj me sahoolat ho jaye
Zil hijjah ke chand hone ke baad baal & nakhun kaatne ka hukm
Zil hijjah ke chand hone ke baad baal & nakhun kaatne ka hukm
sawal
Zil hijjah ke chand hone ke baad baal aur nakhoon kaatna kaisa hai ? Iski kya maslihat wa hikmat hai ?
Jawab
Zil hijjah ke chand hone ke baad jiske zimme qurbaani ho usey baal aur naakhoon eid ki namaaz aur us ki qurbaani hone tak na kaatna *mustahab hai.*taake qurbaani ka janwar uske har har juz-hissah ka badal aur fidyah ho jaaye, aur allah ta’ala ki rahmat se us aadmi ke jism ka koi hissah mahroom na rahe,
Jin logon ke zimme qurbaani nahin hai woh bhi qurbaani karne walon ki aur haj me gaye huwe hajiyon ki mushaabahat (copy) ikhtiyaar karenge to woh bhi un par naazil honewali rahmat se insha allah mahroom na rahenge,
Lekin koi apne baal aur nakhoon katega, to na gunegaar hoga, na qurbaani me koi kharaabi aayegi, is par wajib ki tarah amal karna aur aisa na karne walon ko tokna sahih nahin hai,
Jo cheez jis darjah me sabit ho usko usee darjah me rakhna chahiye.
Note: jiske zere naaf aur bagal ke balon par 40 roz guzar gaye ho to woh shakhs is mustahab par hargiz amal na kare agar woh katne me 40 din se ziyadah takheer karega to gunehgar hoga.
Mirqaatul mafaateeh 3/306
Masaaile qurbaani , islaahee khutbaat se makhooz
Zilhijjah ke 10 dino ki ibaadat ki fazilat
sawal
Zilhijjah ke 10 dino aur raat me ibadat ki koi khaas fazilat hai ? Agar hai to hadis ki roshni me batane ki guzarish.
Jawab
- Huzurﷺne irshad farnaya: koi din aisa nahin jin me ibaadat karna khuda ta’ala ko zilhajjah ke 10 dino ki (ibadat) se ziyadah pasand ho, (kyun ke) in me se har din ka rozah 1 saal ke rozah rakhne ke baraabar hai, aur har ek raat ka jaagna shabe qadr me jaagne ke baraabar hai.
Tirmizi
Faaidah
10 wi taarikh se 14 wi taarikh tak ke 4 dino ka rozah haraam hai, is waaste ia rozah ki fazilat 9 taarikh tak ke liye hai.
- Ek hadis me irshad hai ke, me allah ta’ala se ummid karta hun ke arafaah (ya’ani zilhajjah ki 9 tarikh) ka ek rozah ek saal guzishta aur ek saal aaindah ka kaffarah ho jata hai.
Muslim
- Jo shakhs edain (eidul fitra, eidul ad’haa) ki dono raaton me sawab haasil karnejaaga uska dil us din zindah rahega jis din sab ka dil murdah hoga. (ya’ani qayamat ke din)
Ibne majah
Jo log hajj me jate hen un per baqraid wali maldari ki qurbani wajib he ya nahi.. ??
masaile qurbani
Sawal..
Jo log hajj me jate hen un per baqraid wali maldari ki qurbani wajib he ya nahi.. ??
Jawab
Baqra eid wali qurbani maaldaar musafir per wajib nahi hoti, balke apne gahr per ho ya kahi 15 din ya us se zyada thehre to qurbani wajib hogi,
Agar hajji hajj ke dino ko milakar 15 din makka me theherne wala he to agar wo maaldaar he to us per baqraid wali qurbani wajib hogi, chahe waha kare chahe apne ghar per karwale
(Hajj wali qurbani alag he, us ka masala alag he. )
(Jo hazraat hajje tamattu ya qiran karte hen un per hajj ki qurbani to wajib he hi our agar wo maaldaar our muqeem hen to un per baqraid ki qurbani bhi wajib hogi.. )
Our agar 15 din nahi theherna to wo musafir hoga us per baqraid wali qurbani wajib nahi..
Note.. jadid zamane ke aetebar se aksar muftiyane kiraam ki raay ke mutabiq mina, muzdlifa ab makka ke hudud me dakhil hen, lihaza un dino ko milakar 15 din hojayenge to wo muqeem kehlayega our maldari ki qurbani wajib hogi..
(Kitabul masail, mahmudul fatawa, fiqhi seminar ka fesla bhi isi per he..)
M Ibrahim alyani
Haj me jane walon haqeeqee taiyyaree kiya karni chahiye ?
SAWAL
Haj me jane walon haqeeqee taiyyaree kiya karni chahiye ?
JAWAB
Agar aap par haj farz hai aur aapne haj par jane ka iradaa kar liyaa hai
To is nemate uzmaa ki qadro qimat ko pahechaniye aur apne andar mahsus kijiye ke
Allah taala ne apne muqaddas ghar aur
Apne mahboob sallallahu alaihi wasallam ke muqaddas shahar ki hazri ke movqe ke baat aap ke dil me daali
Aur uske asbaab bhi aapko muhaiya farma diye
Ab is nemate uzma ka shukriya ye hai ke
Apne aap ko harmain sharifain ke rehmato barkato anwarat aur tajalliyat ke husul ke liye apne aapko
Hajj ke aamaal seekhne ki taiyari me lag jaye
Isliye ke bada hi bad nasib hai wo shakhs jisko
Uska movla behtareen safar nasib kare
Aur wo apne aapko waha ki hazri ke aadab aur tareeqa seekhne ki aur banane sanwarne ki fikr na kare
Aur yunhi gaflat aur besuouri-naa sanjhi ke sath waha ja pahonche
Isliye zaroori hai ke ham deen ka ilm seekh kar aur apne gunahon se sachi touba kar ke
Aur logo ke huquq baqi ho usko adaa kar ke ya muafi kara kar pak saaf ho kar
Allah taala ke aali darbaar me pahonche
Alhamdulillah har shaher me aur har jagah haj ke aadab aur arkan sikhane ki fikr hoti hai camp-jod bhi hote hai
Aur masajido me bhi haj ke aadab sikhaye jate hai
Aap apna qimti waqt nikal kar masturat ko masturat ke liye jaha arkan seekhaye jate ho bheje aur khud bhi pabandi se jude aur haj ke mavzooa par muatabar kitaben bhi khareedkar parhna shurooa kar de
Aur aap sathi bhi fikr karle ke jo hazrat haj par ja rahe hai unhe targeeb dekar haj ke arkan o aehkam sikhne ki, ho sakta hai aap ki mahenat se kai logo ka hajj saheeh ho jaye aur aap zariya ban jaye
*makhuz hajj sunnat ke mutabiq
Allah taala sabko har amal seekh kar fikro k sath karen ki toufiq ataa farmaye.
Pehle khud haj karey ya walidain ko karaye..? 2 haj muqaddam hai ya bachchon ki shaadi..?
SAWAL
- pehle khud haj karey ya walidain ko karaye..?
- haj muqaddam hai ya bachchon ki shaadi..?
JAWAB
- awlaad ke zimme maa baap ko haj karana zaruri nahi hai, lekin agar Allah ta’ala ne awalaad ko maal diya hai to haj karana badi sa’aadat [khushnasibi] hai,
[aap ke masail 4/72]
- agar kisi ke paas itna maal ho ke, wo haj kar sakta ho, lekin wo haj na karey, balke wo rupiya awlaad ki shadi me lagaa de, baad me muflis [garib] ho jaye aur tamam umr muflis rahe, to aise shakhs par shuru me maal hone ki wajah se haj farz samjha jayega, bilaa haj kiye mar jaye to farz haj chhodne ki wajah se gunehgaar hoga, aaj kal rasmo-riwaj ne shadi ke liye jo paabandiyan laazim kar di hai, wo aksar aisi hi hai jo ke shar’an laazim-zrooree nahi, balke shar’an najaiz hai, agar masnoon tariqe se shadi ki jaye to haj mauqoof ya baad me karne ki zarurat pesh na aaye.
[fatawa. darul uloom-4/518]
[ fatawa mahmudiyah3/178]
SAWAL
- Qarz-daar ka haj ke liye jane ka kya hukm hai..?
Aur
- Qarz-daar ka nafli haj ke liye jane ka kya hukm hai..?
Aur
- Tijarati qarzon ka kyaa aeitbaar hai..?
JAWAB
- Agar filhaal qarz maangne walon ka mutalba na ho, aur wo baa-khushi haj ke liye jaane ki ijazat den, ya qarzdaar apne qarz ka kisi ko zimmedaar banaa den, aur us qarz khwaahon ko itminaan ho jaye aur wo ijazat de den to wo shakhs haj ke liye ja sakta hai, us shakhs par jitna qarz ho eahtiyatan uske baare me wasiyyat naama likh den, aur warison ko takeed kar den ke agar meri mout ho jaye aur merezimme qarz baaqi reh jaye to mere tarkaa [waarse] me se pehle qarz adaa kar diya jaye, agar tarke me gunzaish na ho to tum apne paas se qarz adaa kar dena, ya usse muaaf kara dena, Agar qarz khwah [qarz dene wale] ki ijazat ke bagair jayega to MAKRUH hoga, agar che fariza adaa ho jayega,
Agar usi waqt qarz adaa karne ki gunzaish ho to usi waqt qarz adaa kar dena chahiye, uski bahot hi ziyada aehmiyyat hai,
intezaam hote huwe bhi qarz adaa na karna sangeen gunaah hai,(qarz baqi rakhkar wahan lambi chodi khareedee karne ki ijazar qarz khaah ne nahi dee hoti hai.us ki ijazat alag len)
Hadis sharif me hai ke : Maaldaar ka Talamtol [aanaakaani] karna zulm hai.
- Jo shakhs farz qarz adaa kar chuka ho aur nafli haj karne jana ho to nafli haj se behtar ye hai ke qarza adaa karey,(is bare me bhi kotahi ho rahi hai) aur uske bil-muqabil gareebee ki haalat me jab ke bil-khusus dusre ke huquq apne zimme ho, unke huquq ki adaaygi ke aehmiyat hajje nafl se kahin ziyada hai.
[fatawa raheemiyah 8/282,
ba hawala shaami 2/205, durre mukhtar 2/191]
- Tijarati qarze jo aadatan hamesha jaari rehte hai, isme daakhil nahi, aise qarzon ki wajah se haj ko muakhkhar [multavi, cancel] nahi kiya jayega.
[ahkamul haj safa-24, hz. Mufti Shafi sahib rh.]
PEHLE MAKAN BANAYE YA HAJ KARE?
Aurat ko haj ke safar ke barey me kya hukm hai..? (B).mahram kise kehte hai?
SAWAL
(A).Aurat ko haj ke safar ke barey me kya hukm hai..?
(B).mahram kise kehte hai?
JAWAB
[A]
Aurat ke liye bagair mahram ke safar karna shar’an jaiz nahi hai, is liye wo haj par qaadir us waqt samjhi jayegi jab ke uske sath koi mahram haj karne wala ho. Chahe mahram apne kharch se haj kar raha ho ya yeh aurat uska kharch bardasht karey, isee tarah wahan pahunchne ke liye raasta aman wala hona bhi taqat ka ek hissa hai, agar rasta me bad-amani, jaan-maal ka qawi [pakka] khatra ho to haj ki taqat nahi samjhi jayegi.
[ma’riful quran-2/122 se maakhuz]
[B]
Mahram se murad wo shakhs hai jike saath nikaah haram hai, chahe nasab ki wajah se, ya susrali ya dudh ke rishte ki wajah se, jaise bhai-bahen, bhanja-bhanji, bhatija-bhatiji, aur unki awlaad, saas-sasur, daamad-bahu, ye sab mahram hai,
Niz mahram ka mu’tamad [bharose ke qaabil] aaqil [aqalmand] baalig aur fitne aur shahvat ka khatra na hona bhi shart hai.
[fatwa rahimiyah, kitabul fiqah, muallimul hujjaj]
Awrat ke liye khalu [maasa], fufaa, apne shohar ke bhatije aur bhanje, apne behnoi,Dewar,jethi, mahram nahi hai.
[fatawa rahimiyah-8/307]
[aap ke masail 4/84 se maakhuz]
istita’at-taaqat ke bavjood haj se pehle umra karna kaisa hai?
SAWAL
istita’at-taaqat ke bavjood haj se pehle umra karna kaisa hai?
JAWAB
Umra haj ka badal nahi he, jis shakhs par haj farz ho uske liye zarooree he k wo haj kare,
jis shakhs ko haj ke dino me baitullah tak pahunchne aur haj tak waha rehne ki taqat (kharch,intizam,ijazat) ho us per haj farz ho jata he, isliye ese shakhs ko Jo sirf ek baar Baitullah Sharif pahunchne ki tamanna rakhta ho, haj par jana chahiye, umrah ke liye safar karna aur farziyat ke bavjood haj na karna bahut galat baat he.
Aapke Masail aur unka Hal,
Jild- 4, Safa no 38
Khilafe qanoon hajj karna
Sawal
Haj ke darkhast form me is bat ka bhi iqrara hota hai ke 5 sal ke andar haj na kiya ho. Agar koi shakhs is muddat ke under ja chuka hai to kiya ye shakhs dhoka denewala kehleyega?
Jawab
Haj azeem ibadat hai jis ke zariyea sab gunah muaaf ho jate hai jhut gunah hai aur qasam us se bhi zayada qabeeh-khatarnak aur buri hai ibadat ke liye gunah ki ijazat nahi wese bhi khilafe qanoon cheez ka karna apne aap ko khatre me dalna hai pol khul jane par maal aur izzat donon ka khatrah hai aesa khatra mol lena aqalmandon ka kaam nahi hai isliye aesa hargiz na kiya jaye.
*masaile hajjo umrah safa 45
*ba hawala fatawa mahmoodiyah 17/199, 187 13/171
Makan banane ke paise par hajj
Khilafe qanoon hajj karna
Sawal
Haj ke darkhast form me is bat ka bhi iqrara hota hai ke 5 sal ke andar haj na kiya ho. Agar koi shakhs is muddat ke under ja chuka hai to kiya ye shakhs dhoka denewala kehleyega?
Jawab
Haj azeem ibadat hai jis ke zariyea sab gunah muaaf ho jate hai jhut gunah hai aur qasam us se bhi zayada qabeeh-khatarnak aur buri hai ibadat ke liye gunah ki ijazat nahi wese bhi khilafe qanoon cheez ka karna apne aap ko khatre me dalna hai pol khul jane par maal aur izzat donon ka khatrah hai aesa khatra mol lena aqalmandon ka kaam nahi hai isliye aesa hargiz na kiya jaye.
*masaile hajjo umrah safa 45
*ba hawala fatawa mahmoodiyah 17/199, 187 13/171
⭕AAJ KA SAWAL No. 2857⭕
Mere pas itne paise the jis se me Hajj kar sakta tha lekin socha fulan fulan kaam nipta lun phir Hajj karunga lekin aaj corona ke baad ye halat hai ke Hajj ki adayigi ke paise ab mere paas nahi hain to kya mujh se hajj muaaf ho gaya?
🔵JAWAB🔵
حامدا و مصلیا مسلما
Puchhi hui soorat me Hajj ka fareeza maal baqi na rehne ki wajah se aap se muaaf nahi huwa balke barabar farz rahega.
📗KITABUL MASAIL 3/97
BA HAWALA
📕ALAMGIREE 2/218
TAHTAWEE 396
والله اعلم بالصواب
✍🏻 Mufti Imran Ismail Memon Hanafi
🕌 Ustaze Darul Uloom,
Rampura, Surat, Gujarat, India
HAJJE BADAL ME BHEJNA KAB WAJIB?
⭕AAJ KA SAWAL No.2858⭕
Mujh par haj farz tha tandurasti bhi achchhi thi lekin me taalta raha ke thodi umar guzarne dun fir Haj kar ke zindagi badal lunga lekin ab aesi bimari ne gher liya hai ke ab mazoor ho gaya hun ab kiya karun?
🔵JAWAB🔵
حامدا و مصلیا مسلما
Aap ke zimme kisi ko hajje badal ke liye bhejna ya hajje badal ki wasiyyat karna lazim aur zaroori hai.
📗SHAMI ZAKARIYA 3/457
و الله اعلم بالصواب
✍🏻 Mufti Imran Ismail Memon Hanafi
🕌 Ustaze Darul Uloom,
Rampur Surat, Gujarat, India
HAJJ KE KHARCHE KI PESH KASH SE HAJJ KA HUKM
⭕AAJ KA SAWAL No. 2860⭕
Agar koi shakhs apni Taraf se kisi doosre ko hajj ke ikhrajaat dene ko kahe ya makkah Mukarramah ke qareeb mulk wala sawaari ki pesh kash kare, to us pesh kash ki vajah se us par hajj farz ho jayega?
🔵JAWAB🔵
حامدا و مصلیا مسلما
Is tarah hajj farz nahi hoga. Aur ye pesh kash qabool karna (ehsan lena) us par laazim nahi hai.
و الله اعلم بالصواب
📕KITABUL MASAIL 3/87
✍🏻 Mufti Imran Ismail Memon Hanafi
🕌 Ustaze Darul Uloom,
Rampur Surat, Gujarat, India
MAKAAN YA ZAID SAAMAN BECH KAR HAJ
⭕AAJ KA SAWAL No. 2859⭕
1. Kya zaaid az Zaroorat makaan ya samaan bech kar haj ko Jaana jaaiz hai?
🔵JAWAB🔵
حامدا و مصلیا مسلما
1. Agar kisi shakhs ke muta’addad makaanaat ho, ya aisa samaan ho ki use fil-faur zaroorat na ho, ya zaroorat se zaaid car vagairah ho, to agar in ki qeemat hajj ke ikhrajaat ko kaafi ho sakti ho to unhe bech kar hajj ko Jaana zaroori hai.
و الله اعلم بالصواب
📗KITABUL MASAIL 3/87
BA HAWALA
📕TAATARKHANIYAH 3/472
✍🏻 Mufti Imran Ismail Memon Hanafi
🕌 Ustaze Darul Uloom,
Rampur Surat, Gujarat, India