11wi gyarahvi ki niyaz khane ki haqiqat kya he?
Kya maaldar aadmi giyarahvi ka khana kha sakta he?
aur garibo ka us daawat me shirkat ka kya hukm he?
JAWAB
kisi bhi islami mahine ki giyarahvi (11) Tarikh ko Mahbube subhani shaikh Abdul qadir jeelani rh. ki niyyat se jo khana pakaya jata he use giyarahvi kehte he.
Ikhtilaf e ummat or sirate mustaqeem.
hazrat mufti yusuf ludhyani shaheed ra.ki kitab Agar wo khana hazrat shaikh ke naam ki mannat ka ho ya un ka taqarrub hasil karna ho yani niyaz karenge to hazrat khush hokar hamari murade puri karenge to woh haraam hai aamtaur par yahi niyyat hoti hai aur unke naam ki mannat manna hai, mannat sirf Allah ke naam ki hee manna jaiz he.
Kisi unche se unche buland rutbah makhlooq ke naam ki mannat manna haraam aur shirk hai aur aisi haraam mannat ka khana khana Maaldar or garib kisi ke liye bhi jaiz nahi.
(Shami: 2/128,bahr: 2/298)
Agar hazrat shaikh jeelani rh. ke isaale sawab ki garz se allah ta’la ke naam ki mannat maani ho ya mannat maane bagair hazrat shaikh ke isale sawab ke khatir pakaa kar khilaye to aisa khana garib log kha sakte he,
maaldar nahin kha sakta gareebon ko khila kar sadqe ka isale sawab kar sakte he,
Albatta isaale sawab ke khane ke liye koi tarikh or din ya koi cheez zaruri samajhna ye bidat aur najaiz hai.
Shaami: 1 fatawa mahmudiyah: 10 /98
Zubdatul fatawa Gujarati: 1/206,207
KFC, MCDONALDS HOTELS KA KHANA 1410
Aap kya kehte hain pizzahut kfc McDonalds hotels me khane ke mutalliq jo ke pakistan me hain, yeh halal hai ya haraam ?
jawab
حامد و مصلیا و مسلما
Un hotels me pakaya jane wala chicken ya dusra gosht agar waqiyatan islami sharaeet ke mutabiq zabiha ka ho,
isee tarah mukhtalif chizon me daali jaane wali chiz aur Pakaane ka tel (oil) wagairah me kisi qism ke haraam ajza ki aamezish (milavat) na ki gayi ho,
aur yeh umoor yaqeeni taur par ya gaalib gumaan ke darajah me saabit ho jaaye tab to unke taiyyar kiye gaye khana khaane ki ijazat hai, warna unse eitaraz (parhez) hi kiya jaaye.
Jab ke umoomi taur par bhi yeh hotels apne aalami meayaar barqaraar rakhne ka ziyadah khyal rakhne ke saath saath machini zabiha se bhi aiteraz nahin karte jo na-jaiz hai.
Isee liye unme taiyyar kiye jaane wale khaane ka tamaam ajza ke halal hone ka yaqeen na ho jaaye us waqt tak unke khane khaane se aiteraz hi kiya jaaye to yeh ziyadah behtar hai.
Mazi sadar Mufti Dabhel Gujrat Hazrat Aqdas Mufti Ahmad Khanpuri d.b. ne farmaya ke:
“agar wahaan khinzir (suwwar, pig) ka gosht bhi pakaya jaata hai to uske chammach (spoons) aur bartan ke isteamal me aehtiyat nahin karte, agar gosht halaal bhi ho to use napak bartan lag hi jaate hain jisse woh khaana bhi na-paak hota hai.”
Quran surah anaaam ayat 121
Surat nahl ayat 115
Sahih muslim
Hazrat Mufti Hussain Karachi d.b.
NOTE:Gosht ke halal hone me gair muslim idare (companies) ke gawahi muatabar nahin chahe unke letter pad par musalman aalim ya idare ke dastakhat (sign) ho aur gair muslim ki hotel ka musalman mulazim (nokar) kahe ke yeh gosht halal hai to bhi us ki gawahi muatabar nahin.
Mufti Farhaan Waris sahab
Darul fatawa wal qazaa
Jamia binnoria Karachi
و اللہ اعلم بالصواب
Mufti Imran Ismail Memon
Ustaz e Darul Uloom Rampura, Surat, Gujrat, India
Is it permissible to dine at Pizza Hut, KFC, McDonald’s in Pakistan, is the food served there halal or haram?
Answer
If the meat or chicken served in the above mentioned restaurants is indeed sacrificed in accordance with shariah, also the ingredients used,
cooking oil etc is confirmed to not contain any haram contents, and it is surely confirmed and proven, then it is permissible to eat, otherwise not.
Also, it is also required to make sure that the meat used has not been sacrificed with machines.
Therefore, unless one is not sure of all the above mentioned facts, it is better avoided.
Mufti dabhel gujarat hazrat aqdas mufti ahmad khanpuri d.b.ne have reported that if pig meat is used there, and the spoons and other utensils are not used with precaution,
and even if other halal meat comes in contact with it, it is not permitted.
Quran surah anaaam ayat 121
Surah nahl ayat 115
Sahih muslim
Hazarat mufti husain karanchi d.
Note: the proof of halal meat by a non Muslim organisations, signed papers,or a Muslim waiters confirmation should not be taken into consideration.
Mufti affan waris
Darul fatawa wal qazaa
Jamia binmoria karanchi
ALCOHOL MILI HUI DAWAI WAGAIRA KA HUKM 1777
Sawal:
Alcobol mili hui dawai, cream wagairah cheezon ke istiamal ka kya hukm hai?
JAWAB حامدا و مصلا مسلما
alcohol angoor, Kishmish Aur khajoor ke alawa dusree cheeze masalan gehun,chawal jaw, petrol, Comical Aur dusre phoolon Aur sabziyo se nikale jate ho, to aise alcohol mili dawai aur dusree cheezon ke istemal me haraju-problom nahi hai,
aur aamtaur par dawaon aur cream me jo alcohol istiamal hota gai woh angoor aur khajoor se bsna huwa nahi hota.
isliye in cheezon ke istiamal ki ginjaish hai.
و الله اعلم بالصواب
Ref:
Takmilah e fathul mulhim Jild 3 page 308
FATAWA DARUL ULOOM 16/12
ON LINE DARUL IFTA JAMIA ISLAMIYA BINORIYA KARACHI JAWAB NO. 65164
ISLAMI TAREEKH : 27 SHAAWWALUL MUKARRAM1440 HIJRI
Mufti Imran Ismail Memon Hanafi Chishti.
Ustaze Darul Uloom Rampura, Surat, Gujarat, India.
Zaid apne Hindu sir-teacher ko Diwali ke din milne gaya.
sirf is wajha se ke sir ki Tawajjuh hasil ho, imtihan me achchhe number mile.
un ke tehwar ki tazeem ki bilkul niyyat nahi thi, balke zaid Hindu ke tehwaron aur mazhabi rusoomat se nafrat karta hai.
To kiya Zaid apne Sir ko milne Jane ki is surat me islaam se nikal gaya?
Nikah naye sire Se parhna padega?
JAWAB:
Zaid ko sachche dil se tauba wa istigfar karna zarooree hai.
‘DIWALI PAR MILNE JANA‘ Isi Tarah kuffar ke Kisi Bhi mazhabi rusoomat me shirkat karna haraam hai, magar Zaid islam se nahi nikla.
Na nikah toota.
kiyun ke us ke dil me dewali kee tazeem nahi thi balke woh dil se in Rusoomat Se nafrat karta tha.
JAMIYUL FATAWA 2/358
BA HAWALA FATAWA MAHMOODIYAH 9/407SE MAKHOOZ.
“DIWALI PAR MILNE JANA” By:
IMRAN ISMAIL MEMON HANFI GUFIRA LAHOO.
MUDARRISE DARUL ULOOM RAMPURA SURAT.
DIWALI KE DIYE, AANGAN KE RANG, GHANTI WAGAIRAH BECHNE KA HUKM 1536
Hamare walid sahab dukan par ‘DIWALI KE DIYE‘, lighting, aangan ke rang, puja ki ghanti, sindur bechte hai.
kya ye cheezen bechna jaiz hai ? amdani halal hai ?
JAWAB: حامدا و مصلیا و مسلما
in tamam cheezon ka jaiz istiamal bhi hai, aur ye cheezen dusre kamon me bhi istiamal ho sakti hai.
lihaza us ke na jaiz istiamal ki zimmedari bechne wale par nahi hai, balke istiamal karne wale par hai.
lihaza in cheezon ka bechna jaiz aur aamdani halal hogi.
FATAWA QASMIYA JILD 29 SAFA 324 se 327
BA HAWALA SHAMI AUR ASHBAH SE MAKHOOZ
Albattah diwali ke moqe par in chezon ke bechne se bachna behtar hai.
KITABUN NAWAZIL 10/227 SE MAKHOOZ
و الله اعلم بالصواب
ISLAMI TAREEKH :26 SAFARUL MUZAFFAR 1440 HIJRI.
“DIWALI KE DIYE“: Mufti Imran Ismail Memon Hanafi Chishti.
Ustad e Darul Uloom Rampura Surat, Gujarat, India.
Saans Jaari Rakhne Ki Machine (Ventilator Mashin) Ko Hataana 1503
Aisa Mareez Jo Marne Ke Qareeb Ho, Uski Dil Ki Harkat Ko Aur Saans Ko Jaari Rakhne Ke Liye Uski Machinery Lagayi Jaati Hai, Us Machinery Ko Hataa Diya Jaye To Mar Jata Hai, Aur Machinery Kayi Din Tak Lagi Rehti Hai, Aur Mareez Ke Bachne Ki Ummeed Na Hone Ke Bawajood Hospital Ka Bil Bante Rehta Hai, To Kya ‘Saans Jaari Rakhne Ki Machine Ventilator Mashin Ko Hatana‘ Jaiz Hai?
Kahin “Saans Jaari Rakhne Ki Machine Ventilator Mashin Ko Hatana“Qatl Ke Hukm Me To Nahin?
Jawab: حامدا و مصلیا و مسلما
Aise Mareez Ke Jism Se Zindagi Baaqi Rakhne Ke Machine Lagaaye Gaye Ho, Agar Uske Dimag Ka Kaamkaaj Mukammal Taur Par Bandh Ho Jaaye, Aur 3 Maahir Jaankaar Doctor’s Is Par Muttafiq (Ek-Mat, Sehmat) Ho, Ke Ab Yeh Kaamkaj Dobarah Shurua Nahin Ho Sakega.
To Us Mareez Ke Jism Se Lagi Huyi “Saans Jaari Rakhne Ki Machine Ventilator Mashin Ko Hatana” Durust Hai, Chahe Us Machine Ki Wajah Se Mareez Me Dil Ki Harkat Aur Saans Ka Nizam Baaqi Ho.
Albattah Mareez Ki Maut Shar’an Us Waqt Se Muatabar Maani Jayegi, Jab Un Machinery Ke Hatane Ke Baad Dil Aur Saans Apna Kaam Band Kar Den.
Asre Haazir Ke Pechidah Masaail Ka Sharaee Hal
Murattib Qazi Mujahidul Slam Sahab Rahmatullahi Alayhi Safah 189 / Ba Hawala : Fatawa Zakariyah 6/732
Agar Mareez Saans Jaari Rakhne Ki Mashin Par Ho, Aur Doctor’s Ne Mareez Ki Zindagi Aur Fitri (Qudrati) Taur Par Saans Ka Nizam Dobarah Chalu Hone Se Maayusi Zaahir Kar Di, To Wurasa Ke Liye Jaiz Hoga Ke Saans Jaari Rakhne Ke Machine Alahida Kar Den.
Naye Masail Aur Islami Fiqah E Aecedamy Ke Faisle. Safah 219
و الله اعلم بالصواب
Islami Tareekh : 22 Muharramul Haraam 1440 Hijri.
Mufti Imran Ismail Memon Hanafi Chishti.
Ustad E Darul Uloom Rampura Surat, Gujarat, India.
⭕AAJ KA SAWAL NO.2552⭕
Jis chiz me haraam janwar ki charbi milaai gayi ho uske khane pine ki chizon me ”E” ke saath khaas code numbers aate hai, jo sms me bhi chalaye jaate hai, uske khane ka kya hukm hai ?
Uski tahqeeq ho to ho sake to batane ki darkhast.
🔵Jawab🔵
حامدا و مصلیا ومسلما
Shareeat ne jin chizon ko haraam qarar diya hai agar unki haqeeqat aur mahiyyat-asliyyat (uska rang, khushboo- zaiqah uski aham sifaten-gun) kisi kimyawi -chemical dalne se ya process se badal jaye to unka pahla hukm (haraam-makrooh hone ka) baqee nahi rehta.
kisi cheez ki woh khaas aur bunyadi sifaten-gun jinse us chiz ki pehchan hoti hai, wohi us chiz ki haqeeqat aur maahiyyat-asliyyat hoti hai,
Islamic fiqah academy india ke samne fan ke mahireen-(masters) khaas jaankari rakhne wale ke zariye jo tahqeeq samne aayi hai uske mutabiq (agar woh code gelatin ke hai to) gelatin me un janwaron ki khaalon aur haddiyon ki haqeeqat baaqi nahi rehti hai, jinke collagen (ek qism ka protien) se gelatin banaya jaata hai, balke woh ek nayi haqeeqat ke saath nayee-alag chiz ho jati hai, isliye uske isteamal ki gunjaish hai.
📓(naye masail aur fiqah academy ke faisle safa 182)
14wa-chavdahwan fiqhee seminar Hydrabad 22 jun 2004)
agar code lagi huyi chizon me charbi ki chiknahat bilkul nahi hai to woh chiz halaal hai,
jaise baaz cream bagair ki biscuit ke baare me mashhoor hai ke usme khinzir ki charbi daali gayi hai aur uspar uska code bhi hai, lekin us biscuit me charbi ki zarra barabar chiknahat mavjood nahi to woh biscuit bilkul halal hai.
Agar ume charbi daali bhi gayi ho to process- ki wajah se uska asar bilkul baqi nahi hai.
Az ahqar.
“Agar koi company haraam khana banane me mashhoor na ho to mahaz kisi makhsoos code ya kisi khaas company ki chiz hone ki wajah se kisi chiz ko shareeat me haraam qarar nahi diya ja sakta, magar yah ke yaqeen ke saath yah baat maloom ho jaye ke us E CODE ke ajzaa e tarkibiyah-ingredients (daali gayi chizen)
me koi chiz haraam hai aur kisi kimyawee-chemical ke tareeqa se uski haqeeqat aur mahiyat-asliyat ko tabdeel nahi kiya gaya to us chiz se bachna lazim hoga.
Jab ke taqwa ka taqazah yah hai ke jis chiz ki hurmat wa hillat me shak ho to usey istiamal me lane se bachna chahiye.
📓(AHAM MASAIL 6/298)
👉
HARAAM AAMDANI (INCOME) WALON KI NAUKARI
⭕AAJ KA SAWAL NO.2571⭕
Jin logon ki amdani haraam hai unke yahaan naukari karna jaiz hai ya nahi?
isee tarah unko apni koi cheez bech kar unse paisa lena kaisa hai?
🔵 AAJ KA JAWAB🔵
حامدا و مصلیا و مسلما
Jinki amdani bilkul khaalis haraam hai jaise sood lena, sharab bechna, zina ke liye ladkiyon ka intizam karna wagairah to unke yahaan naukari jaiz nahi aur jo tankhwah (salary) usme se milti hai woh halaal nahi.
isee tarah apni cheez unke haath bech kar usee maale haraam se qeemat lena bhi halaal nahi.
Haan jin logon ki aamdani (income) shakwali ya haraam aur halal mix (miljhuli) ho ya’ani haraam cheez bhi bechte hain aur halaal cheez bhi lekin halaal cheez ziyadah bechte hain ya haraam ke saath dusraa halaal karobar bhi hai aur uski aamdani ziyadah hai us waqt unke yahan naukari karna aur apni cheez unke haath bechna jaiz hai, basharte ke tankhwah ya qeemat halaal maal se den ya us maal se den jis me halaal ziyadah ho agarche aisa karna taqwe ke khilaf hai (ya’ani aisa paisa lene se bachna taqwa aur behtar hai)
📘JADEED MUAAMALAT KE SHAREE AHKAAM 1/249
و الله اعلم بالصواب
✈️HAWAI JAHAZ KI CHIZON KA KHANA🍱
⭕AAJ KA SAWAL No. 2572⭕
Hawai Jahaz me murg ya gosht ki biryani wagairah kha sakte hai ya nahi? Kyun ke halaal na hone ka Shak rahta hai.
🔵JAWAB🔵
حامدا و مصلیا مسلما
Muslim mamalik ke Muslim company ke hawai Jahaz me gosht ki biryani aur gosht ka saalan khana jaaiz hai aur Gair Muslim mamalik ya Gair Muslim Company ke hawai Jahaz me gosht khane ke baare me ihtiyat behtar hai. Agar hawai Jahaz ka staff is baat Ko vaazih kar de ke halaal gosht hai, aur Dil mutmain hai to, khaa sakte hai.
📗FATAWA QASMIYAH 24/80
و الله اعلم بالصواب
RASHAN CARD KI CHEEZ BLACK MARKET (KAALA BAAZARI) ME BECHNA
⭕AAJ KA SAWAL NO.2573⭕
Rashan card se mili hui cheez galla (anaaj, shakkar wagairah) black me ziyadah qimat me bech sakte hain ?
🔵AAJ KA JAWAB🔵
حامد ومصلیا و مسلما
Raashan card ke zariye khareed kar Aadmi malik ho jaata hai. Maalik ko apni cheez bechne ka haq hai jis qimat par chahe beche…
Lekin iska lihaz zaroori hai ke agar yah khilafe qanoon hai to izzat aur maal dono ka khatra hai
(uspar case chale aur badnami ho jurmana, zamaanat deni pade) munafe ki khatir izzat aur maal ko khatre me dalna aqalmandi nahi
(Lihaza bachna behtar hai)
📗FATAWA MAHMOODIYAH DABHEL 16/149
و الله اعلم بالصواب
JAANDAAR KI TASWEER WALI CHEEZEN BECHNA
⭕AAJ KA SAWAL NO.2575⭕
Jaandaar ki Tasweer wale kapdon, dibbe, boxes, mobile cover, akhbar, kitab ko bechna kaisa hai?
🔵AAJ KA JAWAB🔵
حامد ومصلیا و مسلما
Jaandaar ki Tasweer wali mazkoorah e baalaa (upar zikr ki gayi) cheezon ko bechna jaiz hai.
kyun ke usme tasweer maqsood nahi hoti, tasweer tab’an zimnan (gair maqsood ) hoti hai, asal maqsad us cheez ko khareedna aur bechna hota hai, lihaza uska bechna jaiz hai.
Agar khareedne wale ka maqsad us cheez ki tasweer ho to woh khud gunehgar hai, bechne wala nahi.
📘ISLAAM AUR JADEED MA’AASHI MASAIL 4/17,18
و الله اعلم بالصواب
KHAREEDI HUI CHEEZ TA’ARIF KE MUTABIK NA NIKALNA
⭕AAJ KA SAWAL No. 2577⭕
Yah Bhens (Buffelo) 15Ltr. Dhoodh deti hai, Yah Gaadi 80 km average deti hai, wagairah koi bechne wala apne maal ki ta’arif kare aur Haqeeqat me aesi na nikli to is tarah dhoka huwa to khareedne wale ko isme wapsee ka Ikhtiyar hoga ?
🔵JAWAB🔵
حامدا و مصلیا و مسلما
Haan, kharidne wale ko isme ikhtiyar hoga ke Be’a (muaamala, sauda) faskh- cancelled) kar de kyunki isme Bechne wale ki taraf se Dhokha diya gaya hai aur khareedne wale ka vasf e Margub (pasandeedah) sifat aur gun faut huaa.
Lekin khareedne wala jab bechi hui cheez lena hee chahe Faskh (cancelled) per raazi na ho to ab usko poori Qimat per hee lena hoga Qimat kam nahi karva sakta Isliye ke vasf (achchhai) ke Faut hone par daam kam nahi kiya jaata,
Kyunki Avsaaf (achchhaiyon) ke Muqabla me daam ka koi hissah shareeat me nahi aata hai.
Albattah bechne wala khud samajh daari se raazi khushi se Qimat kam kar de to haraj nahi ke poore paise lena uska haq hai aur aadmi apna haq kam kar sakta hai.
📕FIQHUL ZAWABIT 2/76.
و الله اعلم بالصواب
NON MUSLIM KASAAI (BUTCHER) YA HOTEL KA GOSHT KHANA
⭕AAJ KA SAWAL NO.2578⭕
Non Muslim bharwad (bakre palne aur bechne wala) se jiski dukan par kisi muslim ka pehra ya nigrani nahi hoti to aisi dukan se gosht khareed kar istiamal karna jab ke usko kisi musalmsn ne zabah kiya ho kiya hukm hai?
🔵JAWAB🔵
حامد ومصلیا و مسلما
Jab koi muslim nigran wahaan maujood nahi to daaromadar us gair muslim ke qaul par reh gaya ke yah halal gosht hai.
Haraam aur halal hone me gair muslim ka qaul shar’an qabool nahi.
Albattah muamalat (khareedna bechna, len den) me uska qaul bhi qabool hai jab ke uske sachche hone ka guman ho. agar woh yah kahe ke yah woh gosht hai Jisko fulan muslim shakhs ne zabah kiya hai aur dil gawahi de ke yah saheeh kahta hai aur usne usme koi na-jaiz gosht nahi milaya hai, to uska qaul (baat) qubool kar lena durust hai.
📕(Alamgeeree5/308)
📗FATAWA MAHMOODIYAH, DABHEL 18/38
و الله اعلم بالصواب
⭕AAJ KA SAWAL NO.2607 HISSAH.1⭕
Raaste me koi cheez mili ya dukan par koi grahak koi cheez bhool gayaa aur woh mili to uska shareeat me kiya hukm hai?
le kar rakh lena kaisa hai ?
🔵JAWAB🔵
حامدا و مصلیا و مسلما
Aisi cheez agar raste me mili aur yah dar hai ke yah cheez zaye’a ho jaayegi ya koi le lega aur asal maalik tak nahin pahonchayega to usko maalik tak pahonchane ki niyyat se uthaa lena aur maalik tak pahonchana wajib hai,
Agar gaalib gumaan hai ke uska maalik khud talaash karega to woh cheez usee ko mil jayegi yah cheez zaye’a nahin hogi to nahin uthana chahiye na uthane se gunehgar na hoga lekin is surat me bhi agar utha liya to asal maalik tak pahonchana waajib hai khud rakh lena durust nahi.
https://chat.whatsapp.com/FYgyvppLMQp8lfUUVEEZaz
📗DARSI BAHISHTEE ZEWAR SAFA 470 SE MAKHOOZ BA HAWALA
و الله اعلم بالصواب
⭕AAJ KA SAWAL NO.2610⭕
Taveez Dhaga karna jayaz hai ya na-jayaz? aur isme shariyat ka kya hukm hai ?
🔵JAWAB🔵
حامدا و مصلیا و مسلما
Kisi ko nuksan pahunchane ke liye jo taveez kiye jate hain unka hukm wohi hai jo jaadu tona ka hai, ke inka karna aur karvana haraam aur kabeera gunah hai, balke isse kufr ka andesha hai,
Albattah taveez agar kisi jayaz maqsad ke liye kiya jaye to jayaz hai, iski 3 sharte hain,
1- Kisi jayaz maqsad ke liye ho, najayaz maqsad ke liye na ho.
2- Iske alfaz kufr aur shirk par mushtamil na ho, ya’ani isme koi gunah, shirk ki baat na likhi ho aur jiska mafhoom ma’alum na ho to najayaz hai.
3- Inko Mo’assir biz’zaat (asal taweez hee me taaqat hai) na samjha jaaye, inki taasir bhi Allah ke hukm ke taabe hai,
🔷Behatreen Amal 🔷
1- Behtar yah hai ke Taveez wagairah se doori rakhe aur Duaon ka ahtemam kare,
(Taveez to un bachcho ke liye hota hai jo duwaen nahi maang sakte, ke likh kar unke gale me latka diya jaaye,
Jo duwaen mang sakte hain apni har pareshani ko duwaon ke zariyah hal karvaye)
2- Taveez ke ma’ani “Panaah talab karna” hai, aur har Musalman Mard, Aurat ke liye Behtreen Taveez har farz namaz ke baad, Surah Ikhlas (Qulhuvallah), Surah Falaq , Surah Naas aur Aayatul kursi padhna hai.
3- Isee tarah “Manzil” Jo Qur’an e Kareem ki ayaten hain, Nazar, Jaadu, aaseb (jinnat ka asar) wagirah se hifazat ka behtreen amal hai.
📗Aapke masail aur unka Hal,
Jild-1,Safa no, 350
و الله اعلم بالصواب
QARZA LE KAR HADIYE ME MUNAFA DENA
⭕AAJ KA SAWAL No. 2611⭕
Zaid 2 lakh rupiye Umar se udhar le raha hai aur kahta hai ke ek saal ke baad 2 lakh ki jagah 2.50 (dhai) lakh dunga,
pachas hazaar hadiye me apni khushi se dunga.
to zaid se yeh paise lena Umar ke liye jaiz hai?
🔵JAWAB🔵
حامدا و مصلیا مسلما
zaid se yeh paise lena aur dena dono sood hai lihaza jaiz nahi.
📗MAHMOODUL FATAWA 8/362
و الله اعلم بالصواب
GARBE, DAANDIYA, NAV-RATRI ME SHIRKAT
⭕ AAJ KA SAWAL NO.2618⭕
Hinduon ke tyohaar garba (nav-ratri) me shirkat karna kaisa hai?
🔵JAWAB🔵
حامدا و مصلیا و مسلما
Nav-ratri Hinduon ka mazhabi tyohaar hai jisme woh amba devi ki murti ya tasweer ke tawaf (chakkar) lagaa kar uski pooja karte hain, isme shirkat karna gairullah ko poojne ke baraabar gunah hai, jo kufr aur sakht gunah hai,
Kaaba sharif ke alawah kisi bhi cheez ka tawaf jaiz nahin hai, kufr ke alawah music, gaana gaana ya sunna bad-nigahi, gairon ke saath tallukat wagairah kayi gunah me mubtala hone ka zariyah hai, lihaza is me shirkat iman barbaad karna aur haraam hai.
و الله اعلم بالصواب
⭕AAJ KA SAWAL NO.2639⭕
Masajid ke cooler ya matke kaa paani pine ke liye masjid ke baahar le jaa sakte hain?
🔵JAWAB🔵
حامد ومصلیا و مسلما
Masjid se Mazkoorah paani Masjid me aane walon ki sahoolat ke liye hota hai ise baahar le jaana na-jaiz aur gunah hai.
📗Fatawa mahmoodiyah qadeem 6/190 aur
📘fatawa raheemiyah qadeem 6/90 se makhooz
و الله اعلم بالصواب
⭕ AAJ KA SAWAL No.2708 ⭕
Nashe ke Ukhrawi Nuqsanaat Kya-Kya Hain..?
🔵 JAWAB 🔵
حامدا و مصلیا مسلما
Sharab ko Arabi Mein Khamar Kehte Hain, Jiska Maana, Aqal Ko Dhank Lena Hai,
Hadees me hai ke jis se Nasha hota hai Woh Haraam hai, Aur Fiqah ka Usool hai ke, Har Woh Nasha Jis Se Aqal Hoshon – Hawas Jate Rahe, Chahe Zyada Peene Se Jata Rahe Yaa Kam Peene Se Naa Jaye, Woh Sharab ke Hukm me hai.
Hadees me jo Wa’eeden Sharab Par Aayi hai, Woh Sharab Jaise Nashe Par Bhi Fit Hoti hai.
1. Sharab Peete Waqt Imaan Dil se Nikal Jana. (ABU DAWOOD
2. Sharab Peene Wale Pilane Wale, Khareedne Wale, Bechne Wale Aur Banane Wale, Banwaane Wale Par, Utha kar Le Janewale Par, Jiske Liye Uthayi Jaaye Uspar Aur Uski Aamdani Khaye In Sab Par Allah ki Laa’nat hai. (IBNE MAAJA)
3. Chehre ka Suwwar Aur Bandar ki Tarah Bana Diye Jane ka Khatra (Haakim)
4. Patthar ki Barish Aur Zameen me Dhasa Diye Jane ka Andesha (Haakim)
5. Sharabi ka Imaan Is Tarah Cheen Liya Jata Hai, Jaise kisi ke Kapde Utar Diye Jaye. (Haakim)
6. Sharab Se Tauba Naa Kee to, Jannat ki Sharab Se Mahroom Rahega. (Muslim)
7. Jannat ka Uspar Haraam Ho Jana. (Ahmad)
8. Jahannam me Gauta Nahar ka Badboodar Kachcha Peep, Jo Zinaakar ki Sharmgahon Se Behta Hoga Pilaya Hayega. (Abu Ya’la)
9. Sharabiyon ka Jism is Qadar Badboodar Hoga ke, Jahannami Log Bhi Us Se Pareshan Ho Jayenge. (Ibne Hibban)
10. Hamesha Sharab Peene Wala, Marta Hai to Allah Us Se Is Tarah Mulaqat Karenge, Jaise Murti Puja Karne Wale (Kaafir) Se Mulaqat Karte Hain
11. Jannat ki Khushbu Jo 500 (Panch Sou) Baras ke Raste ki Doori Par se Mahsoos hoti Hai, Sharabi Us Se Mahroom Rahega.
12. Ek Baar Sharab Peene Se 40 Din ki Namaz Qabool Nahi Hoti, Agar Woh Bagair Tauba Usi Halaat mein Mara to Jaahiliyat ki Maut Mara. (Haakim)
13. Jahannam mein Teenatul Khibaal-Jahannamiyon ki Zakhmon se Nikla Huwa Kachcha Lahu (Khoon) Pilaya Jayega. (Ibne Maaja)
📗 (DOZAKH KA KHATKA SAFA 151 SE 154 SE MAKHOOZ)
و الله اعلم بالصواب
✍🏻Mufti Imran Ismail Memon
🕌 Ustaze Darul Uloom Rampura, Surat, Gujarat, India.
TANDURAST KO BHEEK MAANGNA AUR UNKO DENA HARAAM
⭕AAJ KA SAWAL NO. 2814⭕
Jo saail (bhikhari) jawan, tandurast, ya aurat Ya bachcha tandurast ho us ko bheek dena kesa hai?
🔵JAWAB🔵
har woh bheek mangnewala Jis ke paas ek din-subah sham ka khana mavjood ho ya khana mavjood nahi lekin jo kamane par qudrat (taqat) rakhta ho un ko bheek mangna haraam hai,
aur Jisko is faqeer ki Ye haalat maloom hai Us ke liye dena haraam hai.
Kyun ke sawal karna (bheek) mangna aise shakhs ko haraam hai,
bheek dena ye haraam kaam karne par madad karna hai isliye woh bhi haraam aur bajaye sawab ke gunah hai.
hazrat imame rabbani maulana rasheed ahmad gangohee Rahmatullahi alayhi ne is masale ko bayan farmaya tha aur ye bhi kaha Tha ke
“log shor machayenge magar me deen Ki ye baat pahoncha deta hun, baat ye hai ke mangna aur dena rasm ho gaya hai rasam ke khilaf log masala manne se bhaagte hai”
📕HUQOOQUL IBAD
SAFA 69
📗MASAILE MUHIMMAH 6/243
📘BAHAWALA SHAMI 3/42, 306
NOTE:
1. Masale ke aetibar se un ko sirf Sadqah khaairat na dene ka hukm hai, lekin un ko jhidakna un ki tahqeer karna aur un se bad sulookee karne ki hargiz ijazat nahi.
2. aaj kal mazdoor aur gharon me kaam karne kaamwali aasani se nahi milti kyun ki bheek mangne me tankhah ke muqaable me das guna zayada paisa chand ghante me kama leti hain, to subah se sham tak mehnat kyun karegi ? log aise logon ko bheek dena bandh karenge to kaam wale mazdoor aasani se mil jayenge aur unki haraam kamaee bhi halaal ho jayegi.
Aurat ko dekhkar raham na khayen, fuqhaa (masail ke maahir) ulama ne aisee aurat ke bare me jiske shohar ka intiqaal ho gaya ho aur kamaane wala koi na ho to iddate wafat me bhi din me kamaane Ke liye nikalne kee ijazat likhi hai.
(lekin usey iddat me ghar bethe bheek maangne ya sadqa zakat pahonchane ko nahi likha taa ke ghar bethhe iddat jo Allah Taala ka hukm ho pura ho)
NOTE Aaj kal topi aur burqa pahen kar gair muslim bhi bheek mangte hain lihaza koi mazoor bhi maloom hota ho to zakat ki saheeh adaygi ke liye us ka aadhar card dekh lena chahiye ya islami sawal puchh lena chahiye
📗HIDAAYAH JILDE SANI BABUL IDDAT
📝MUFTI IMRAN ISMAIL MEMON HANFI GUFIRA LAHOO
MUDARRISE DARUL ULOOM RAMPURA SURAT GUJRAT INDIA