‘Farz Ki Taareef‘: Farz Kise Kehte Hai? Jo Us Ka Inkar Kare Us Ka Kya Hukm Hai?
Jawab: حامدا و مصلیا و مسلما
“Farz Ki Taareef“: Farz Us Hukm Ko Kehte Hai, Jo Daleele Qat’ee Aur Yaqeeni Se Sabit Ho, Yani Quraan Ki Aesi Aayat Aur Aesi Saheeh Hadees Se Sabit Ho, Ke Us Aayat Aur Us Hadees Ke Ma’ni Aur Matlab Me Dusre Maani Aur Matlab Ka Aehtimal Na Ho, Yani Us Ka Mafhoom Saaf Aur Ek Ho.
Ya Sahaba Sur Tabieen Ke Ijma’a (Ittifaq) Ek Raay Hone Se Sabit Ho.
Us Ka Inkaar Karnewala Kafir Hai, Aur Bagair Uzr Ke Chhodne Wala Fasiq Aur Sakht Gunehgar Hai.
Jawahirul Fiqa 1/105
و الله اعلم بالصواب
Islami Tareekh : Safarul Muzaffar 1440 Hijri
“Farz Ki Taareef“By : Mufti Imran Ismail Memon Hanafi Chisti.
Ustaad E Daarul Uloom Rampura Surat, Gujarat.
Shareeat Ke ‘AHKAM KI QISMEN’ Kitni ?
Jawab: حامدا و مصلیا و مسلما
Shareeat Ke “AHKAM KI QISMEN” 8 (Aanth) Hain.
“AHKAM KI QISMEN“
- Farz.
- Wajib
- Sunnate Muakkadah.
- Mustahab.
- Mubaah.
- Makrooh.
- Haraam.
- Halaal.
Umdatul Fiqah Jild 1,Safa 105
و الله اعلم بالصواب
Islami Tareekh: 13 Safarul Muzaffar 1440 Hijri
Mufti Imran Ismail Memon Hanafi Chishti.
Ustad E Darul Uloom Rampura Surat, Gujarat, India.