Jaiz and Najaiz


ASATIZAH (USTAD) KO TABLEEG & BATIL FERQON KE RAD AUR IJTIMAA ME JAANE KI CHHUTTY

ASATIZAH (USTAD) KO TALEEG & BATIL FERQON KE RAD AUR IJTIMAA ME JAANE KI CHHUTTY NO.1598

Arabi madaris aur makatib ke asatizah (ustad) ko tableegi Jama’at me jaane ke liye maahanah (monthly) tin din ya saalanah (yearly) ek chillah ya Zindagi ke char mahine ya ek saal ki chhutty,

isee Tarah batil firqon ki tardeed ke tarbiyati camp, ijtimaa me jane ki chhutti tankhah ke saath dee jaa sakti hai ya nahin?

JAWAB

حامدا و مصلیا و مسلما

Agar zarurat ho to dee jaa sakti hai.

Ta’alim ka maqsood deen ki ishaat aur hifazat hai, aakhir madarsah wale madarsah ke paise se risalah bhi nikalte hain, madarsah ke paise se wa’az (bayaan) ke liye bhi bhejte hain, jalson me shirkat ke liye bhi bhejte hain, yeh sab ke sab ta’alim ke maqasid hain,

agar wahaan ke log is safar aur batil firqon ke rad ki tarbiyati jalson ki shirkat ko munasib samjhte hain aur uski zarurat bhi hai to wahaan (jama’at, tarbiyati camp me tankhaa ke saath chhutty) kar sakte hain.

HAQIQAT E TABLEEG SAFA 110 SE MAKHOIZ

Hazrat saiyyad mufti Abdur Rahim lajpuri RAHMATULLAH ALAYHI likhte hain ke, “madaris wale mudarris (ustaz) barhaye. madrasah ki imarat me kaafi se zaaid paise kharch kar dete hain.

haalaa ke madarsah ki imarat maqsood biz zaat nahin, maqsood e asli ta’alim hai, fir asatizah ke izafe aur unki tankhwahon (salary) ke izafe me kotahi kyun ki jaaye ?”

Khulasah yeh hai ke ta’alimi kaam ke saath tableeg me mashguli bhi honi chahiye, denee anjum (commiitee) tabligi kaam ki zimmedari se subuk dosh (bari) nahin ho sakte,

lihaza ta’alim ke saath tableeg me bhi dilchaspi len aur mudarriseen ko jaari wazife (tankhwah) ke saath tableegi kaam ke liye ijazat den.

Shaikhul islam hazrat Madani RAHMATULLAH ALAYHI ka malfooz isee qism ke ek sawal ke jawab me tahreer farmate hain ke

“mujh ko yeh ma’alum huva hai ke ba’az mimbarane shuraa ko un mudarriseen ki tankhawahon ke jaari (chalu) rakhne ke mutalliq aitarazat aur shub’haat hain.

Musalmano ke idarate ta’alimiyyah sirf ta’alimi khidmat anjam dene ke liye nahin banaye gaye balke musalmano ki mazhabi aur deenee aur dusri zaruri khidmat bhi unke faraiz me se hain.

yahi wajah hai ke jang e room aur roos ke zamane me Hazrat Nanotwi RAHMATULLAH ALAYHI ne daure kiye aur ek azeemush shan miqdar chande ki jamaa karke turki ko bheji us zamane me darul uloom dewband me chhutty rahi. (ta’alim bandh rahi) aur tankhawahen dee gai.

Shuddhi aur shanghatan wagairah ki nahusaton ke zamane me malikanah rajputon wagairah ilaqe me mudarrisin aur ulamaa ke wufood (jama’aten) bheje gayi aur unki tankhawahen jaari rakhi gayi.

FATAWA RAHEEMIYAH JADEED JILD 4 SAFA 145 SE MAKHOOZ KITABUL ILM WA ULAMAA.

ISLAMI TAREEKH :
27 RABIUL AAKHAR 1440 HIJRI

Mufti Imran Ismail Memon Hanafi Chishti.
Ustaze Darul Uloom Rampura, Surat, Gujarat, India.

QURAN E KAREEM KI AAYAT KO MOBILE AUR COMPUTER SE DELETE KARNE KA KIYA HUKM HAI?

QURAN E KAREEM KI AAYAT KO MOBILE AUR COMPUTER SE DELETE KARNE KA KIYA HUKM HAI?

DELETE KARNE SE GUNEHGAR YA KAFIR HOGA?

YA US KI BE-ADABI HOGI? 

JAWAB

حامدا و مصليا و مسلما

Sab se pehle to mobile aur computer par likhe sms ko kagaz diwar aur kapde par likhe huwe sms ki tarah samjhna durust nahi.

Dusri baat darwaze aur diwar par likhe huwe Allah taala ke naam ko mitane ki ijazat hai jis me be adabi ka shubah bhi hai, kiyun ki quran likha huwe chok-pen ka burada – powder zameen par girta hai us ke bavajood mitane ki ijazat hai aur log mitate hai,

To mobile par aayat mitane me jis me is beadabi ka bhi aehtimal nahi.

kiya haraj hai!

Lihaza in sms ko mitane me kisi qism ki koi qabahat aur kharabi nahi. Lihaza quran ke sms mitane me kisi qism ke shukook Shubhat me padne se bache.

(Durre mukhtar 6/422 se makhooz)

[Mufti Muhammad Rashid, Jamiaa binnoriya aalmiya karanchi, 21 muharram, 1432]

[Urdu fatwa english harfon me tasheel ke sath]

Note: is fatwe ki urdu image durre mukhrar ke hawale ki arabi image muhar ke sath mavjood hai jise woh chahiye

jamiabinnoria.com

darulifta@gmail.net

ki site par dekh le

Dushmano ki sazish hai ke quraan e kareem ki ishaat aur felaw na ho, kyu ke quran logon ke liye hidayat hai.

isliye aese sms jari karte hai.

Shaikh abdur rahman sudais d. B. ne ye baat khutbe me nahi kahi, is ki tahqeeq bhi wahan ke logon ne bataee, lihaza jab tak sharee fatwa kisi darul ifta se shayea na ho sirf akhbar me padhkar maanna nahi chahiye.

QURANE KAREEM KI TILAWAT MOBILE AUR COMPUTER PAR

SAWAL

kya Qur’an e karim ki tilawat mobile, tablet ya computer ki screen par karna jaiz he ? is surat me bhi wohi aadab e tilawat honge jo mushaf-Qur’an me dekh kar padhne ke waqt hote hai.?

JAWAB

Mobile wagairah ki screen par agar Qur’an e karim zaahir na ho (open na ho) to usko (Mobile wagairah ki screen ko) bil-ittifaq Ger mutawazzi (bagair wuzu ke) ya junubi (napak) haath lagaa sakta he.

Lekin agar Qur’an e karim ka software open ho or uske nuqush-alfaaz screen par moujud ho to junubi ya gair mutawazzi us mobile ya screen ko chhu sakta he ya nahi
usme 2 aqwal he:

(1) Mobile, computer tablet ki screen ko us waqt chhuna jaiz nahin.
unki dalil yeh hai ke  yeh us haalat me mushaf (Qur’an) ke maanind hai, aur irshaade rabbani he.

لا يمسه الا المطهرون۔”

“usko nihayat paakizah log (gusal or wuzu dono ho to) hi chhu sakte he”

uske qaayil Hazrat Aqdas shaikh Mufti Ahmad khanpuri db. hai, aur Darul uloom ka bhi yahi fatwa hai,
neez “Al masailul muhimmah fima-batalat bihil aammah” naami kitaab me bhi yahi mazkur he.
(is qaul me ehtiyat he)

(2) sirf jis screen par Qur’an e karim ke alfaz o nuqush zaahir ho rahe ho uska chhuna jaiz nahin, mobile aur computer ke dusre parts ko bila wuzu bhi chhu sakte he. 
un hazraat ka kehna he ke yeh Qur’an e karim ke hukm me nahin hai, aur agar hai bhi to mobile ke dusre parts Gilafe munfasil (alag juzdan) ke hukm me hoge.

Mulaahazaa farmaiye

Jawab: …waazeh rahe ke jab Qur’an e karim mobile ya memory card ke ander ho yani usko screen par khola na gaya ho to us waqt chunke Qur’an e karim huruf o nuqush ki surat me mojud nahin,
isliye usko haath lagaane ke liye bawuzu hona zaruri nahin.

aur jab mobile ya memory card ke hafze me mojud Qur’an e karim ko screen par khol liya jaye to us waqt chunke screen par mojud nuqush Qur’an e karim ke alfaaz par dalaalat karte he,
us waqt screen par haath lagaane ke liye wuzu zaruri hai aur is surat me chunke Qur’an e karim ka wohi hissa huruf ki shakal me hai jo screen par nazar aa rahaa hai,

Lihaza screen ko haath  lagaana tahaarat ke bagair  jaiz na hoga,
aur screen ke alaawah mobile ke baqiya hisso ko haath lagaana jaiz hoga. aur chappal jute pahankar bhi tilawat kar sakte hai.

Albatta azmat ka taqaaza or munasib o ahwat ye he ke baqiyyah hisso ko wuzu ke sath chhuaa jaye. chappal, jute utaar diye jaye.

FIQAH ACEDMI KA 23 WAN SEMINAR KA FESLA.

DARUL IFTA JAMIA BINORIA ALSMIYA KARANCHI
SERIAL NO.10839

Mannat-nazar kise kehte hai aur us ko pura karne ka kya hukm hai?

MANNAT-NAZAR

sawal

Mannat-nazar kise kehte hai aur us ko pura karne ka kya hukm hai?

JAWAB

mannat sirf allah ke liye aur sirf ibadat hee ki maani jaati hai masalan kisi kaam ke baare me aisa kehna ke mera fulan kaam ho jaye to me do rakat namaz parhunga ya ek roza rakhunga ya itne rupiye sadqah karunga to agar woh kaam puraa ho jaye to upar ki jis ibaadat ki mannat mani ho woh pura karna wajib aur zarooree hai na pura karega to gunehgar hoga agar woh kaam pura na ho to fir woh mani hui ibaadat karna zaruri nahin.

[DARSI BAHISHTI ZEWAR (MARDON KE LIYE) SAFA 408 SE Makhooz]

Nazar-Mannat kin cheezon ki saheeh hai aur kin cheezon ki saheeh nahi?

NAZAR-MANNAT KI SHARTEN

SAWAL

Nazar-Mannat kin cheezon ki saheeh hai aur kin cheezon ki saheeh nahi?

JAWAB

Nazar-Mannat saheeh hone ki 3 sharten hain

  1. Jis cheez ki mannat mani jaye us ke jesee koi cheez shareeat me wajib ho masalan namaz roza sadqah aetikaf ye ibadaten jis tarah nafal hoti hai isee tarah wajib bhi hoti hai. isliye bimar ki iyadat ki ya masjid me jane ki mannat mane,mazar par chadar chadhane ki mannat  saheeh nahi. ye cheezen wajib nahi hoti hai.
  2. jis cheez ki mannat mani woh khud maqsood ho kisi ibadat ka zariyah-wastah na ho lihaza wuzu ki mannat manna saheeh nahi isliye wuzu apnee zat me khud maqsood nahi balke namaz ka waseelah aur zariyah hai isee tarah jamat me chillah,char maheene lagane ki mannat manna ke fula kaam ho gaya to jawunga ye nazar wajib nahi hoti. asal nikalna nahi asal to apni islah ya deen pahonchana hai.
  3. jis cheez ki mannat mane woh kaam fil haal ya aayindah zamane me us par wajib na ho jese kisi ne fajr ki namaz parhne ki ya ramazan ke roze rakhne ki mannat mani to saheeh nahi kiyun ke ye ibadat to pehle se hee khud us par wajib hai.

[SHIFAUL ARWAAH SHARHE NOORUL IZAH SAFA 498 AUR AHSANUL FATAWA SE MAKHOOZ]

Qasam ka kya hukm hai ?kin alfaz se munaqid ho jati hai aur kin alfaz se nahi hoti?

Sawal

Qasam ka kya hukm hai ?kin alfaz se munaqid ho jati hai aur kin alfaz se nahi hoti?

JAWAB

bila zaroorat qasam nahi khani chahiye allah ki naam ki tauheen aur behurmati hoti hai sachchi baat par bhi jahan tak ho sake qasam na khaye. qasam niche diye gaye alfaz se munaqid ho jati hai us ko pura karna wajib hai fir us kaam ke khilaf karna gunah hoga  aur qasam ka kaffarah dena padega.allah ki qasam, khuda ki qasam, allah ki izzat ki qasam, wagairah allah ke kisi bhi naam ya sifat ki qasam khana.sirf qasam khata hun kehna.quran ki qasam khana se bhi qasam ho jati hai.quran par sirf hath rakh kar kehne se qasam nahi hoti.niche diye alfaz se qasam nahi hoti agar fulaan kaam me karun to me mar jawun ya meri aankhe fut jaye ya mujhe fulan bimari ho jaye ya me dane dane ka muhtaaj ho jaawun ya mujh par allah ki fitkar-gazab-laanat ho ya mujhe kalmah naseeb na ho wagairah apne liye kisi bad duaa se qasam nahi hoti aur us ke khilaf karne se kaffarah wajib na hoga.

QASAM KA KAFFARAH KYA HAI?

SAWAL

QASAM KA KAFFARAH KYA HAI?

Jawab

Ek qasam todne ka kaffarah me do ikhtiyar hai, chahe das (10) fakeeron ko do waqt pet bhar khana khila de ya kachcha anaaj(gallaah) de har faqqer ko pone do kilo (1.75 kg.) Gehun ya us ki qeemat ka koi bhi anaaj -gallah de,ya das faqeeron ko aksar badan dhak jaye aisa kapada pehnayeagar gareeb ho aur in kaffarah ko adaa na kar sakta ho to tin 3 din lagaataar roze rakhe.

[darsi bahishtee zewar se makhooz ba hawala safa 418]

GAIRULLAH (ALLAH KE ALAAVA)KIQASAM

SAWAL

MAA KI, BAP KI, BETEY KI, BHAI KI, RASOOLULLAH SALALLAHU ALAIHI WASALLAM KI, KAABAH KI,TERI QASAM WAGAIRAH ALLAH KE ALAWAH KI QASAM KHANE SE QASAM HO JATI HAI? TODNE SE KAFFARAH DENA PADEGA?

 

Jawab

Mazkoorah alfaazon se qasam muaqid nahin hoti hai lekin gairullah ki qasam khana bahut badaa gunaah hai is se bachna zaruri hai aur aisi qasam todne se kaffarah bhi wajib nahi hota.

[darsi bahishtee zewar safa 415 se makhooz ]

KISI KO QASAM DENA KOI CHEEZ HARAAM KARNA

KISI KO QASAM DENA KOI CHEEZ HARAAM KARNA

SAWAL

  1. AGAR ME YUN KAHUN KE FULA CHEEZ MUJH PAR HARAAM HAI TO KIYA WOH HARAAM HO JAYEGI?
  2. KISI NE KAHA TUJHE ALLAH KI QASAM YE KAAM ZAROOR KARO TO KIYA QASAM DENE SE QASAM HO JATI HAI?

WOH KAAM KARNA HI PADEGA?

Jawab

  1. Woh cheez haraam nahi hogi lekeen aesa kehne se qasam munaqid ho jati hai woh cheez istemal karne se kaffarah dena padega.
  2. Is tarah kehne se qasam munaqid nahi hoti woh kaam karna zarooree nahi ho jata aur na karne se kaffarah bhi nahi aayega

GUNAH KI AUR JUTHI QASAM KHANA

GUNAH KI AUR JUTHI QASAM KHANA.

SAWAL

  1. KISI NE QASAM KHAI KE KHUDA KI QASAM ME APNI WALIDAH SE BAAT NA KARUNGA YA ALLAH KI QASAM NAMAZ NA PADHUNGA TO KIYA HUKM HAI ?
  2. KISI NE QASAM KHAI KE KHUDA KI QASAM YE NUKSAN MENE NAHI KIYA HAI HALAAN KE WOH NUQSAN USI NE KIYA THA TO KIYA HUKM HAI IS KA KAFFARAH DENA PADEGA?

Jawab

  1. Aesee qasam puree karna gunaah hai, qasam tod de, aur kaffarah adaa kareb.
  2. Jo baat ho chuki hai us par jhuthi qasam khana bahot bada gunah hai, puchhi hui surat me jhuthi qasam khane se kabeerah gunah ka murtakib huwa. Is gunah ki koi had nahi is ka koi kaffarah nahi bas din raat allah se tauba istigfar kar ke allah se ye gunah muaaf karaye

[darsi bahishti zewar safa 416 se makhooz]

GIRI PADI CHEEZ MILNA

GIRI PADI CHEEZ MILNASAWAL

RAASTE ME KOI CHEEZ MILI YA DUKAN PAR KOI GRAHAK KOI CHEEZ BHUL GAYAA AUR WOH MILI TO US KA SHAREEAT ME KIYA HUKM HAI? LEKAR RAKH LENA KESA HAI.?

JAWAB

Aisi cheez agar raste me mili aur ye dar hai ke ye cheez zaye’a ho jaayegi ya koi le lega aur asal maalik tak nahin pahonchayega to us ko maalik tak pahonchane ki niyyat se uthaa lena aur maalik tak pahonchana wajib hai agar gaalib gumaan hai ke us ka maalik khud talaash karega to woh cheez usee ko mil jayegi ye cheez zaye’a nahin hogi to nahin uthana chahiye na uthane se gunehgar na hoga lekin is surat me bhi agar utha liya to asal maalik tak pahonchana waajib hai khud rakh lena durust nahi

(DARSI BAHISHTEE ZEWAR SAFA 470 SE MAKHOOZ BA HAWALA

MAALIK KO TALAASH KARNE KA TARIKAH

SAWAL

KOI CHEEZ MILI HO TO US KO MAALIK KO TALASH KARNE KA KYA TARIKAH HAI?

JAWAB

Jahaan majmaa aur bhid jama hoti ho wahaan ealaan karwaaye mardon aur aurton dono ke majmaa me us ke ealan ke zariye shoharat-famous kare aurton ke majmaa me bivi wagairah ya kisi aurat ke zariye ealan karaaye ke kuchh paise ya ek kapda ya ek zewar mila hai woh chiz ka ya yeh puri tarah na bataaye warna koi jhuth aur dhoka dekar na le ja sake.jo us ki puri nishani bataaye to woh chiz us ke hawale ki jayegi.

(BAHISHTI ZEWAR SAFA 431)

Akhbar me bhi dena behtar hai zarooree nahi.

(FATAWA ABDUL GANI SAFA 435)

[Aaj kal social media par bhi us ka sms ke zariyah ealan kar sakte hai.]

MAALIK KA NA MILNA

SAWAL

AGAR MAALIK NA MILE TO US MILI HUI CHEEZ KO KYA KARE?

JAWAB

Bahut talaash karne aur mashoor karne ke  baad mayoosi ho jaae ke ab is ka Maalik ise talaash nahin karta hoga aur ab is ka koi waaris na aayega na milega.kitne din talaash kare ya talaash ke baad apne paas rakhe is ki koi muddat sahih qaul me tay nahin jab tak maalik ke aane ki ummid ho talaash jaari rakhe ya woh cheez apne pas mahfooz rakhe jab bilkul ummid na rahe to us cheez ko us ke maalik ki taraf se gareeb ko sadqah kar diyaa jaaye aur agar khud gareeb ho (zakat ka mustahiq) to khud bhi rakh sakta hai lekin agar us ka maalik ya waaris aaye aur woh aap ke sadqah ko manzoor rakhe to use bhi sadqah ka sawaab milega agar manzoor na rakhe to us cheez ke paise us sadqah karnewale ko apni jeb se dene padenge.

(DARSI BAHISHTI ZEWAR SAFA 431

FATAWA USMANI 3/474 SE MAKHOOZ)

CRIKET DEKHNA KESA HAI?

SAWAL

CRIKET DEKHNA KESA HAI?

Jawab

Mavjoodah daur me criket ek aesa khel ban gaya hai ke aam taur is me shareeat ke khilaf kaam paye jate hain

1. Namaz ka qaza kar dena.

2. Us par haar jit aur juwe khelna

3. Fasiqon aur gunehgaron aur gafil qism ke logon ka us ko ikhtitar karna jis ki wajha se un ki sohbat milna.

4. Gaflat ki had ye ho chuki hai ke din to din raat ko bhi is me mashgul rehnna

5. Criket ke waqt nav jawan ladkiyon aur aurton ka medan me jama hona un me aksar aadhi nangi hoti hai un ko dekhna

6. Raat din isee dhun aur fikr sawar ho jana jis ki wajha deenee ya dunyawi kaam me dil na lagna

7. Dukanwalae ka dukan se, nokriwale ka nokri se gafil ho jana jis ki wajha se der se duty anjam dena ya duty par hee na jana

8. Studant aur madraseh ke talaba ka apni padhai me kotahee karna

9. Masjid me aane ke bad wuzu karte huwe aur wuzu se farig hokar bahot se shauqeen ka jamatkhane me bhi isi ke tazkeron me mashgool rehna

10. Agar ramzan me mech  ho to taraweeh aur tilawat ko qurban kar dena

11. Harjit par patakhe, bomb fode jate hai jis ki wajha se maal zayea hota hai

12. Upar ki ye harkat qaumi fasad ka sabab hokar musalmano ka jani mali nuqsan hota hai.

13. Harnewalo ki jitnewalon se ya us ki khushi mananewalon se adawat peda ho jana

14. Mabap, bivi bachchon aur padosiyon wagairah ke huqooq me kotahi karna.

15. Bahot sa qeemati waqt jo akhirat ke imtihan ki taiyyari ke liye diya gaya tha zikro, rukawat, duaa ke bajaye is fuzool ko dekhne me zayea kar dena

16. Mech ke darmiyan me aane wali mukhtalif ad me music sunna aur badnigahi karna aur film aur natak dekhna shuq peda hona wagairah nuqsanat ki wajha se criket dekhna bilkul
na jaiz aur dekhnewale ki fasiq bana deta hai.

Fatawa raheemiyah qadeem 7/275se 280
fatawa darul uloom qadeem 8/285

HATTE KATTE KO BHIK DENE KA HUKM

SAWAL

HATTE KATTE KO BHIK DENE KA HUKM.
JO SAAIL-BHIKHARI JAWAN, TANDURAST, YA AURAT YA BACHCHA TANDURAST HO US KO BHIK DENA KESA HAI?

Jawab

Har woh bhik mangnewala jis ke paas ek din-subah sham ka khana mavjood ho ya jo kamane par qudrat-taqat rakhta ho un ko bheek mangna haraam hai aur jis ko is faqeer ki ye haalat maloom hai us ke liye denaharaam hai. Kiyun ke sawal karna-bheek mangna aese shakhs ko haraam hai bheek dena ye haraam kaam karne par madad karna hai isliye woh bhi haraam aur bajaye sawab ke gunah hai.
Hazrat imame rabbani maulana rasheed ahmad gangohee rahmatullahi alayhi ne is masle ko bayan farmaya tha aur ye bhi kaha tha ke log shor machayenge magar me deen ki ye baat pahoncha deta hun baat ye hai ke mangna aur dena rasm ho gaya hai rasam ke khilaf log maslaa manne se bhagte hai

Huqooqul ibad
safa 69
masaile muhimmah 6/243
bahawala shami 3/42, 306

Note:
aaj kal mazdoor aur gharon me kaam karne kaamwali aasani se nahi milti kiyun bheeg mangne me tankhah ke muqaabake me das guna zayada pesa chand ghante me kama leti hai,to subah se sham tak mehnat kiyun karegi? Log aese logon ko bheeg dena bandh karenge to kaamwali mazdooree aasani se mil jayenge aur un ki haram kamaee bhi halaal ho jayegi.
Aurat ko dekhkar raham na khaye fuqhaa ne aesee aurat ke bare me jis ke shohar ka intiqaal ho gaya ho aur kamaanewala koi na ho to iddate wafat me bhi din me kamaane ke liye nikalne kee ijazat likhi hai.

VIRASAT KA MAL KIYA KIYA HAI?

SAWAL

VIRASAT KA MAL KIYA KIYA HAI?

MAIYYAT KE TARAKAH-WARSAH ME KIYA KIYA CHEEZ DAKHIL HAI ?

JAWAB

MARNEWALE KE INTIQAL KE WAQT APNI MILKIYAT ME JO KUCHH TRANSFER HONEWALI AUR TRANSFER NA HONEWALI MALO JAIDAD  NAQD RUPYAH, ZEWARAT, KAPDE AUR KISI BHI TARAH KA CHHOTA BADA SAMAN CHHODTA HAI CHAHE SOI DHAGA HEE HO SHAREEAT KE AETIBAR SE WOH SAB US KA TARAKAH HAI. INTIQAL KE WAQT US KE BADAN PAR JO KAPDE HON WOH BHI US ME DAKHIL HAIN YAHAN TAK KE MAIYAT JEB ME EK ILAYCHI BHI PADI HO TO KISI SHAKHS KO YE JAIZ NAHI KE SAB HAQDARON KI IJAZAT KE BAGAIR US KO MUNH ME DAL LE, KIYUN KE WOH EK ADMI KA HISSA NAHI AUR MAIYYAT KE JO QARZE KISI KE ZIMME REH GAYE HON AUR MAIYYAT KI WAFAT KE BAAD WASOOL HON WOH BHI TARAKAH ME DAKHIL HAIN

AHKAME MAIYYIT SAFA 145.

GAIR MUSLIM KHAATKI YA HOTEL KA GOSHT KHANA

SAWAL

GAIR MUSLIM KHAATKI YA HOTEL KA GOSHT KHANA

Hindu bharwad-(bakre palne aur bechnewala) se jis ki dukan par kisi muslim Ka pehra ya nigrani nahi hoti to aesee dukan se gosht khareedkar istiamal karna jab ke us ko Kisi musalmsn ne zabah kiya ho kiya hukm hai?

JAWAB

Jab koi muslim nigran wahan mavjood nahi to daromadar us gair muslim ke qaul par reh gaya ke ye halal gosht hai. haram aur halal hone me gair muslim Ka qaul sharan qabool nahi. Albattah albattah muaamalat (khareedna bechna lena dena) me Us Ka qaul bhi qabool hai jab ke Us ke sachche hone ka guman ho. agar woh ye kahe ke ye woh gosht hai Jis ko fulan muslim shakhs ne zabah kiya hai aur dil gawahi de ke ye saheeh kehta hai aur is ne us me koi na jaiz gosht nahi milaya hai To Us ka qaul-baat qabool kar lena durust hai. (Alamgeeree5/308)

FATAWA MAHMOODIYAH DABHEL 18/38

GAIR MUSLIM COMPANI KE DIBBON KA GOSHT KHANA

GAIR MUSLIM COMPANI KE DIBBON KA GOSHT KHANA

SAWAL

Baz gair muslim companiya bhi dibbon me band kiya huwa gosht bechti hai dibbon par halal gosht likha rehta hai muslman ko in ki ye baat mankar us gosht ko istiamal karna kesa  hai? Aur jo log us ko istiamal karte hai un ki iqtidaa me namaz parhna kesa hai?

JAWAB

Aesa gosht na khayen, jo log zati tahqeeq ke baad jaiz aur halal hone ki wajha Se khayen us se tarruz na Karen (un ke pichhe na pade) un ko ye na kahe ke aap ne haram khaya hai, na un ke sath aesa muaamala karen jesa haraan khanewalon ke sath kiya jata hai.

(Alamgeeree5/308)

FATAWA MAHMOODIYAH DABHEL 18/38

VOTING KI SHAREE HAISIYAT. SAHEEH UMMEDWAR NA HO TO?

SAWAL

VOTING KI SHAREE HAISIYAT. SAHEEH UMMEDWAR NA HO TO?

vote dene ki sharee haisiyat kiya hai?

Baasalahiyat aur amanatdar ummedwar na ho to vote dena chahiye ya nahi?

JAWAB

Hazrat mufti muhammad shafeea Rahmatullahi alayhi likhte hai jis ka khulasah hai ke vote kee sharee haisiyat 3 hai.

  1. wakaalat-jis ummedwar ko ham vote de rahe hai ham use apna wakeel-naaib bana rahe hai fulan hamaree zaroorat aur khidmat aap hamaree janib se anjaam de dena.
  2. shahaadat-ham is baat kee gawahee dete hai ke fulan ummedwar fulan aohde aur mansab ke laiq hai khidmat kee salaahiyat rakhnewala aur amanatdar hai.
  3. sifarish-apne bade haakim-governer ko ye darkhast karna ke is shakhs ko fulaan aohdaa aur mansab de diya jaye to behtar hoga.

lihaza jo ummedwar dusre ummedwaron ke muqabalah in haisiyaton ki aehliyat-salaahiyat rakhta ho us ko vote dena wajib hai.

AESA UMMEDWAR JIS ME IS AOHDE KI AEHLIYAT AUR SALAAHIYAT DUSRE KE MUQABALA ME NA HO YA KAM HO US KO SIRF RISHTEDARI, DOSTI, QAUMIYAT KI BUNIYAAD PAR VOTE DENA GUNAAH HAI

aur

VOTE HEE NA DENA GAWAHEE CHHUPANE KE BARAABAR HAI

aur agar zalim hakim musallat ho gaya to ye naa denewale aur gair laiq ko denewale bhi us ke jitaane me shareek shumaar honge us ke gunaah aur zulm ka wabal un par bhi hoga lihaza har musalman mard aurat ko saheeh ummedwar na ho To bhi apna nuqsan kam karne ki niyyat se bhi vote dena sharan zarooree hai.

JAWAHIRUL FIQAH SE MAKHOOZ

GAIR MUSLIM KO SALAM KARNE KA TAREEQAH

SAWAL

GAIR MUSLIM KO SALAM KARNE KA TAREEQAH

Gair muslim ko gairon ko kis tareeqah Se baat ki shurooaat karna chahiye? un ko khat ya sms salam karen Ya aur koi tareeqah hai?

JAWAB

gair muslim jab allah hee ka inkaar karnewala hai to un par allah ki taraf salaamati hone ki duaa bemaana hai lihaza un ko salaam nahi karna chahiye salaam ke bajaye un se baat, khat ya sms ki shurooaat sirf lafze salaam ya

Salaamun alaa manittaba alhudaa

 سلام علی من اتبع الہدی 

Kehnaa chahiye yaa adaab kahe

ISLAAM KA SALAAM AUR MUSAFAHA KA NIZAM SAFA 213 BA HAWALA KITABUL FATAWA WA AHSANUL FATAWA

Good morning,  goodnight, tata, bye bye, hi, wagairah kalimat kehna munasib hai?

SAWAL

Good morning,  goodnight, tata, bye bye, hi, wagairah kalimat kehna munasib hai?

JAWAB

Huzoor salallahu alaihi wasallam ne musalman ko apni zindagi me gair muslimo ki muaasharat ikhtiyar karne se manaa farmaya hai chunanche arabon ke andar subah bakhair, shab bakhair kehne Ka riwaj Tha balke aise kalimat Jis Me Allah ki taraf nisbat ho, jaise allah aap ki subah achchi kare.. ise bhi huzoor SALALLAHU ALAIHI WASALLAM Ne pasand nahi farmaya,halan ke un kalimat ke ma’ane Me koi kharabi bhi nahi hai fir musalman ko yahood wa nasaarah ke tareeqah ikhtiyar karne ki kese gunjaish ho sakti hai???

Hadees me musalmano aapas me mulaqat ho (Sms karna ho khat likhna ho to )salaam karne aur Us ka jawab dene  ki hidayat farmai salaam Se jame’a aur behtar koi duaa nahi Is me har qisam ki aafat,balaa, museebat aur pareshani se salaamati ki aur har cheez me barkat aur rahmat ki Duaa hai gairon ke woh kalimat salaam ka badal nahin ban sakte,aisa karne me sunnat tareeqah ko chhodna balke Us ke riwaj ko mitana bhi lazim aata hai.

Lihaza musalman hone ki haisiyat Se hamara Farz Hai Ke ham islami saqafat -tauro tareqah ko zinda rakhe is Se badi na samjhi kya hogi Ke islam me har cheez hone Ke bawajood ham gairon se un ke tareeqon Ko bhikh me len!

JAMIUL FATAWA 6/125 BAHAWALA ABU DAWUD HADEES NO 5227 SE MAKHOOZ

DIWALI AUR UN KE NAYE SAAL KI MUBARAKBADI DENE KI JAIZ SHAKAL

SAWAL

DIWALI AUR UN KE NAYE SAAL KI MUBARAKBADI DENE KI JAIZ SHAKAL

Diwali ki mubarak badi Dena jaiz nahi to mere Hindu bhaiyon ki company me job karta hun to un ko kese wish karun? un ko mubarakbadi na de to un ko bura lagta hai mufti sahab koi jaiz surat ho to rahnumai farmane ki darkhast.

JAWAB

Mubarak badi dena na jaiz hone ki do wajha hai ek un ke tehwar ki tazeem aur dusre un se mushabahat.

Lihaza dil me in ki is rasm ko bura samjhte huwe aese jumle se un ko mubarakbadi dee jaye Jis se na un ke tehwar ki azmat ho na un ke jumlon aur rasm se mushabahat To gunjaish maloom hoti hai masalan ye jumla kaha jaye diwali ke Is mawqia par aap ko har kaam me saheeh rasta mile. Dil me saheeh raste se un ki hidayat muraad Lee jaye.

Ya naya saal aap ke dono jahan Ki kaamyabi ka zariye bane

Diwalee ke mavqia par ishwar aap ke bhawisaya-fituchar ko roshan-prakashit kare.

english me ye keh de

Ya May your path be enlightened wagairah duaa ke jumle keh diye jaye.

Behtar yahi hai Ke khamoshi barti jaye aur un ko bura lagne ki fikr na Ki jaye jab ham shareeat par amal karenge to allah taala un ko razee kar denge agarche waqti taur Par woh naaraz ho jaye.

FATAWA MAHMOODIYAH 19/567

FATAWA BAZZAZIYAH 6/334 SE MUSTAMBAT

DIWALI PAR MILNE JANA

SAWAL

DIWALI PAR MILNE JANA.

Zaid apne Hindu sir-teacher ko Diwali ke din milne gaya,

sirf is wajha se ke sir ki Tawajjuh hasil ho, imtihan me achchhe number mile,

un ke tehkar ki tazeem ki bilkul niyyat nahi thi balke zaid Hindu ke tehwaron aur mazhabi rusoomat se nafrat karta hai.

To kiya Zaid apne Sir ko milne Jane ki is surat me islaam se nikal gaya?

Nikah naye sire Se parhna padega?

JAWAB

Zaid ko sachche dil se tauba wa Istigfar karna zarooree hai.

kuffar ke mazhabi rusoomat me shirkat karna haraam hai, magar Zaid islam se nahi nikla.

Na nikah toota.

kiyun ke us ke dil me dewali kee tazeem nahi thi balke woh dil se in Rusoomat Se nafrat karta tha.

JAMIYUL FATAWA 2/358

BA HAWALA FATAWA MAHMOODIYAH 9/407SE MAKHOOZ.

DIWALI KI MITHAI WAGAIRAH KHANE KI CHEEZ KA HUKM.

DIWALI KI MAVQAH HAM SE TALLUQ RAKHNEWALE HINDU BHAI MITHAI, KACHORI WAGAIRAH KHANE KI CHEEZ BHEJTE HAI TO US KE LENE AUR KHANE KA KIYA HUKM HAI?

SAWAL

DIWALI KI MAVQAH HAM SE TALLUQ RAKHNEWALE HINDU BHAI MITHAI, KACHORI WAGAIRAH KHANE KI CHEEZ BHEJTE HAI TO US KE LENE AUR KHANE KA KIYA HUKM HAI?

JAWAB

IN CHEEZON KA NA LENA BEHTAR HAI.

AGAR KISEE MASLIHAT SE LE LIYA HO TO IS KE KHANE KO SHARAN HARAAM NAHI KAHA JAYEGA.

FATAWA MAHMOODIYAH 18/33

BAHAWALA SHAMI KITABUL KARAAHIYAT 6/755

Kisi shakhs par zulm kiya ya kisi se rishwat lee ya kisi kee geebat kee ho aur ab woh mar chukaa hai to us ke in huqooq ki adaaygi ka kiya tareeqah hai?

Kisi shakhs par zulm kiya ya kisi se rishwat lee ya kisi kee geebat kee ho aur ab woh mar chukaa hai to us ke in huqooq ki adaaygi ka kiya tareeqah hai?

JAWAB

Awwal to pooree koshish un ka pata lagaane me kare.   agar pata lag jaye to un ka haq pahonchaye ya muaaf karaye. Agar maloom ho ke woh mar gaye hain to maalee huqooq un ke wurasaao ko pahonchado ya muaaf kara do.

agar wurasaa ka bhi pata na chale to jitni raqam tum ne zulm,choree ya rishwat se lee hai itni raqam khairaat kar do aur niyyat kar lo ke ham un ki taraf se adaa kar rahe hain.

HUQOOQUL IBAAD SAFA 56 HAKEEMUL UMMAT RAHMATULLAHI ALAYHI KEE

Aaj-kal vote dene walon ummedwar ki janib se paise -nashta, khana diya jata hai is ke khane ka aur fir un ko vote dene Ka kiya hukm hai?

SAWAL

Aaj-kal vote dene walon ummedwar ki janib se paise -nashta, khana diya jata hai is ke khane ka aur fir un ko vote dene Ka kiya hukm hai?

JAWAB

Vote dena ye gawahee hai is baat ki ke Is halqe ke jitne ummedwar hai un me ye sakhsh us auhde ka sab Se laiq aur munasib hai,

lihaza paisa Ya khana khakar dusre laiq aur zayada munasib ummedwar ko chhodkar Is gair laiq ya kam munasib aadmi ko vote dene me double gunah hai.

ek rishwat lene ka. chunanche rishwat lenewale par hadees shareef me laanat (allah ka gazab,fitkar, jannat se mahroomee) ki waeed aayee hai.

Dusra jhootee gawahee dena ko Jis ko Allah taala ne shirk ke baraabar qaraar diya hai.

lihaza aese paise aur khanon Se bahot bachna chahiye.

KITABUL FATAWA 6/263 SE MAKHOOZ

MERE PAAS TELEVISION HE

SAWAL


MERE PAAS TELEVISION HE

Ab me usse jaan bachnaa chahta hu ab me kya karu

Kya me use bech sakta hu ?

JAWAB

haamidan wa musalliyan

AGAR HIMMAT HO TO USKO TOR KAR ZAYIA-KHATM KAR DIYA JAAYE TAAKE KOI DUSRA USE ISTEMAL NA KAR SAKE

WARNA USE BECH KAR KISEE MUSTAHIQ KO RAQAM DE DEE JAAYE

AUR AGAR RAQAM KHUD BHEE ISTEMAL KARNA CHAHE TO USKEE BHEE KARAHAT KE SATH GUNJAAISH HE

 WALLAAHU AALAM

 *MUFTI MUHAMMAD ALI KARANCHI UFIYA ANHU

ON LINE DARUL IFTA JAAMIA BINORIA KARACHI

 *JADEED MUAAMALAT KE SHAREE AHKAAM 1-76

 JAHAN SE KHAREEDA HAI WAHEE USEE QEEMAT PAR YA KAM QEEMAT PAR WAPAS KARE TO US KE PAISE BILA KARAHAT ISTIAMAL KARNA JAIZ HAI.

 *AHSANUL FATAWA 8-306

YOGA ME SROLOK, MANT NA PADHE AUR HATH NA JODE TO JAIZ HAI? 

SAWAL

YOGA ME SROLOK, MANT NA PADHE AUR HATH NA JODE TO JAIZ HAI? 

JAWAB

 YOGA HINDUON KI MAZHABI KHAS IBADAT-ARAADHANA HAI UN KA SHIAAR, MAZHABI PEHCHAN, SANSKURUTI HAI(IS KA IQRAAR AKHBARON KI ADD ME WOH KHUD KAR CHUKE HAI ) UN KI MAZHABI AHAM KITAB GITA 350 PAGE KI HAIN JIS ME 150 PAGE SIRF YOGA PAR HAI AUR US KA HAR SABAQ YOGA SE SHUROOA HOTA HAI LIHAZA YOGA KI KISI BHI SURAT ME BILKUL IJAZAT NAHI APNE BACHCHON KO BHI IS SE BACHNE AUR NA KARNI KI TAKEED KARE SIRF WARZUSH KEHNEWALIN AUR AEATIRAZ KARNEWALON KO KAHA JAYE TUM HAMARI NAMAZ PARHO US ME QURAAN PARHNE KI BAJAYR APNE MANTR PARHNA WOH HARGIZ TAIYYAR NA HONGE KIYUN NAMAZ HAMARI MAZHABI IBADAT HAI.YOGA UN KI DHARMIK KIRYA HAI.AUR HAM KO HUZOOR SALALLAHU ALAIHI WASALLAM NE KISI QAUM KI MUSHABAHAT-COPY IKHTIYAR KARNE SE BHI SAKHTI SE ROKA HAI. FROMHAZRAT MAULANA SAJJAD SAHAB NUAMANI,HAZRAT MAULANA SALMAN SAHAB NADVI,HAZRAT MUALANA SALIM SAHAB DEWBANDIHAZRAT MAULANA ATAUL RAHMAN SB NADVI DAMAT BARKATUHUM KE BAYANAT SE MAKHOOZYOGA NAJIAZ KYUN?

HUM AGAR YOGA KI WARZISH (EXERCISE) SIKHNA AUR KARNA CHAHE TO HUM MUSLAMANO KE LIYE JAIZ HE ?

SAWAL

HUM AGAR YOGA KI WARZISH (EXERCISE) SIKHNA AUR KARNA CHAHE TO HUM MUSLAMANO KE LIYE JAIZ HE ?

JAWAB

 HAAMIDAW WA MUSALLIAYA APNA WAZAN KAM KARNA( WEIGHT LOOSING) YA SIHAT (HEALTH) BARKARAAR RAKHNE KE PESHE NAZAR JISMANI WARZISH (EXERCISE) MAQSUD HO TO USME “YOGA” KA HEE EATIBAR YA USKE TARIQE KA LIHAAZ RAKHNE KI KYA ZARURAT HE ?USKE LIYE KAI EK (BAHOT SI) AKSEER-MUFED MASHQ-PRECTIZ MASHHOOR HE.AUR US MAQSAD KE LIYE BA QAIDAH KAI EK CENTER JIM BHI QAIM KIYE GAYE HE.WAHAAN JAA KAR APNI MATLUBA WARZISH KI JAA SAKTI HE.JAB KI HINDU QAUM APNE JISMANI YOGA ME BHI DOURANE WARJISH APNA SAANS AUR DIL KI DHADKAN TAK KO BANDH KARNE KI KOSHISH AUR USKE DOURAAN APNE MA’ABUD “BHAGVAAN” KA TASAWWUR LAATE HE,  IS BINA PER USSE MANAA KIYA GAYA HE, JAB KI MAHAZ JISMAANI WARJISH MANAA NAHIN HAI LEKEEN YOGA UN KI MAZHABI IBADAT HAI YOGA UN KI MAZGABI KITABEN PURAN, GIRA APNASHUD ME MAVJOOD HAI. GITA 350, KI HAINJIS ME 150 SAFHAT SIRF YOGA PAR HAI AUR HAR BAB-CHEPTAR YOGA SE SHUROOA HOTA HAI LIHAZA YE MUSHRIKANA KAAM HAI IS KA KARNA BILKUL JAIZ NAHIFROM FATAWA BINORIA WAAMEERE TAHRIKE WAHDATE ISLAMI HAZRAT MAULANA ATAUR RAHMAN WAJDI AUR MEMBERS OF MUSLIM PRASNAL LOW

GHAR ME GUDIYA (DOLL 🎎) YA (🧸TEDDY 🐻 BEAR) RAKHNA AUR BECHNA

⭕AAJ KA SAWAL NO.2576⭕

A.
Bachchon ko khelne ke liye gudiya de sakte hain ya nahi aur gudiya ghar rakhna kaisa hai?

B.
Gudiya (Doll) aur Gudda (Teddy bear) bechna kaisa hai?

🔵JAWAB🔵

حامدا و مصلیا و مسلما

Agar gudiya ya koi khilona aisi hai ke usme jaandaar ki shaklo surat bani hui nahi to khelne dene aur ghar me rakhne me koi haraj nahi.

Agar jaandaar ki shaklo surat bani hui ho to usko bachcho ko dena ya ghar me rakhna manaa hai.

📗FATAWA MAHMOODIYAH 19 /503

Hazrat Aisha Radiallahu anha ke paas jo gudiya thi uske baare me ek qaul to yah hai ke woh kapde ki thi jis me aankh naak wagairah se shaklo surat bani hui nahi thi, dusra qaul yah hai ke yah gazwah e khandaq aur khaibar ke pahle ki baat hai baad me jaandaar ki tasweer wagairah ke halal hone ka hukm mansookh (cancelled) ho gaya.

📙FATAWA QASMIYAH 24/571

📘JAWAHIRUL FIQAH JADEED 7/250 SE MAKHOOZ

Joote pahan kar namaze janaza padhna

⭕AAJ KA SAWAL NO.2544⭕

Janaze ki namaz joota, chappal pahan kar padhna hai ya utaar kar?

🔵Jawab🔵

حامد و مصلیا و مسلما

Aaj kal ba’az log Janaza ki Namaz joote, chappal pahne huve padhte hain, unke liye zarooree hai ke woh jis jagah khade ho Woh jagah aur Joote, chappal dono paak ho, varna unki Namaz nahin hogi,

📗 Bahishti Gohar

Aur agar joota, chappal pair se nikaal diya jaye aur uspar khade ho to sirf Joote, chappal ke upar ka hissah jo pair se mila ho uska paak hona zarooree hai, agarche talaa napaak ho,

Neez is soorat me woh zameen bhi napaak ho to koi harj nahin.

Lihaza joota, chappal nikalne ki soorat ehtiyat wali hai

📘Bahishti Gohar, imdadul Ahkaam

📗Ahkaam e Mayyat,
📃. Safa no. 62

و الله اعلم بالصواب

INDIA ME BANI HUYI CHEEZ PAR AMERICA YA ITALY LIKH KAR BECHNA

⭕ AAJ KA SAWAL NO.2580⭕

Hamara jute (shoes) aur tauliye (towels) ka karobar hai jo india me bante hain.

Lekin tauliye par jab tak ke MADE IN USA aur jute par jab tak MADE IN ITALY likha huva na ho grahak nahin kharidte.

Agar un mulkon ka label ho to hatho hath bik jaata hai, Indian jute aur tauliye jis par bairun (foreign) ka label laga huva aata hai uski quality bhi achchhi hoti hai agar ham bechte waqt bataa de ke yah indian hai is par sirf USA aur ITALY ka label laga huva hai to bechna jaiz hai ya nahin?

🔵JAWAB🔵

حامدا و مصلیا و مسلما

INDIA ki bani huyi chizon par aisa jumlah likhna jis se uske AMERICA ya ITALY me banne ka da’awa kiya gaya ho sareeh (saaf) galat bayaani hai jiski shareeat me bilkul ijazat nahin.

Haan, kisi aur ne yah jumlah likh diya aur fir aap ko bechna pada to likhne ka gunah likhne wale ke sar hoga aap yah keh kar zimmedari se bari ho sakte hain ke agarche is par likh huva kuchh aur hai lekin yah INDIA ka bana huva hai,

Rahaa yah uzr ke log in chizon ko uske bagair kharidte nahin hain to uski wajah se galat bayaani jaiz nahin ho sakti.

📗FATAWA USMANI 3/104
THODI TABDILI AUR IBARAT KI AASANI KE SAATH

و الله اعلم بالصواب

 

BAGAIR SAMAN KE SIRF BIL BECHNA

⭕ AAJ KA SAWAL NO.2581⭕

Zaid ne khalid se 10, 000 (das hazar) ki raqam ka saman kharida, lekin khalid ne kisi maslihat ki wajah se zaid ko saman ka bill nahin diya ab zaid ko sarkar me hisab paish karne ke liye bill ki zarurat padi to zaid ne bakar naami taajir ko jaa kar kahaa ke mene khalid se maal kharida hai magar usne bill nahin diya to tum mujhe bil de sakte ho?
Bakar ne kahaa dunga magar jitna rupiye ka bill banawunga us me 100 rs. par 5 rs. rupiye bill ke aewaz me dene honge.

Sawal yah hai ke zaid ke liye aewaz de kar bill lena aur bakar ke liye bagair maal diye sirf bill dene ke aewaz raqam lena durust hai ya nahin?

🔵JAWAB🔵

حامدا و مصلیا و مسلما

Durust nahin, fareb aur dhoka hai.

📗Mahmoodul fatawa 3/32
و الله اعلم بالصواب

MULAZIM KA MUTA’AYYAN BHAW SE ZAID QEEMAT PAR BECHNA

⭕ AAJ KA SAWAL NO.2582⭕

Dukan ke malik ne cheezon ka daam mulazim ko bataye hain, mulazim usko ziyadah qeemat me bechta hai masalan kisi cheez ka 60 rupiye daam hai to mulazim us cheez ko 70 rupiye me bech kar das rupiye apne paas rakhta hai aur 60 rupiye malik ko deta hai to kya is tarah mulazim ko 10 rupiye lena jaiz hai?

🔵JAWAB🔵

حامدا و مصلیا و مسلما

Us mulazim ki haisiyat bechne ke wakeel ki hai isliye puchhi hui surat me agar usne us cheez ko jis ke mutalliq malik ne use 60 rupiye me bechne ko kaha tha usne 70 me becha to bechna durust aur saheeh hai lekin zaid raqam 10 rupiye bhi malik ki milk samjhe jayenge woh mulazim woh raqam apni jaib me nahi rakh sakta, agar aisa kiya yo yah khayanat hai.

📘MAHMOODUL FATAWA 3/16

و الله اعلم بالصواب

SOODI KAMAI WALE KA HADYA AUR DA’AWAT

⭕AAJ KA SAWAL No. 2583⭕

Ek shakhs ki aamdani sood ki hai aur woh mera rishtedar hai to uska hadiya aur da’awat Qabool kar sakte hain ?

🔵JAWAB🔵

حامدا و مصلیا مسلما

Agar uski poori ya aksar aamdani sood ki hai to uska hadiya aur da’awat qubool karna jaiz nahi, agar aksar aamdani halal hai kuchh hee sood ki hai to uska hadiya aur da’awat qubool karna jaiz hai.

📘MAHMOODUL FATAWA 7/353

📕FATAWA MAHMOODIYA 16/481

و الله اعلم بالصواب

 

BAY E SALAM KA MA’ANA AUR SHARAIT

⭕AAJ KA SAWAL NO.2584⭕

Advance paise dekar masalan kapda khareedna hai to shareeat me aise muamale ki kiya sharten hain ?

🔵AAJ KA JAWAB🔵

حامد ومصلیا و مسلما

Aise muamale ko masail ki zuban me “Bay e salam” kehte hain, uske niche likhe huve sharaait hain.

1️⃣. Konsi qism ka kapda cotton, polister wagairah
Kitne guage (motai) ka
Kitne pane (width) ka 36 ka ya 54 ka.

2️⃣. Kitna chahiye 10 meter, 50 meter

3️⃣. Kis waqt chahiye fulan maheena, fulan tareekh

4️⃣. Ek meter kitne rupiye ke qeemat ka chahiye

5️⃣. Kahaan wusool karoge, aap ko kahaan pahochana hai?

Wagairah. In sab baaton ko saaf saaf tay kiya jaye to muamala saheeh hoga warna muamala durust na hoga.

📗Qudooree safa 84 se mustafad

و الله اعلم بالصواب

 

CHAPPAL KHO DENE KA JURMANA

⭕AAJ KA SAWAL No. 2585⭕

Mere chappal ek shakhs bila ijazat pahan kar gum kar diye to kya me us shakhs se chappal ki qeemat wusool kar sakta hun?

Agar wusool kar sakta hun to kitni qeemat lun meri chappal isteamal ki hui thi.

🔵JAWAB🔵

حامدا و مصلیا مسلما

Puchhi hui surat me aap chappal ki qeemat wusool kar sakte ho aur aap ki isteamal ki hui chappal ki jo bazari qeemat (value) ho utni qeemat wusool kar sakte ho.

📗MAHMOODUL FATAWA 7/374

📘BA HAWALA DURARUL HUKKAAM
و الله اعلم بالصواب

 

GAIRON KE TEHWAR KA SAMAN BECHNE WALE KA KIRAYAH

⭕AAJ KA SAWAL No.2586⭕

Meri Dukan jis bazaar me hai aume sirf 5 tarah ke kaarobar chalte hain : (1) Patang Dori, (2) Holi ki pichkari (3) Rakshabandhan ki Rakhiya (4) khilone jisme kuchh tasweere aur kuchh bagair tasweer ke hote hai. (5) Aatash Baazi ka saman ko aam taur par Hindu Hazraat jalate.. in mazkoorah cheezon ke kharidaar 90 % Hindu hote hain.

Neez agar kiraye se rahne wala shakhs musalman ho to kya me mazkoorah karobar ke liye apni dukaan kisi musalman ko de sakta hun ? ya fir iske alawah koi or shakal ho to tahreer farmaen…

🔵JAWAB🔵

حامدا و مصلیا مسلما

Sawal me mazkoorah karobar sab makrooh hain, khaas kar Rakshabandhan, Holi, ke saaman aur aatash bazi ke khareedo farokht bilkul jaaiz nahi.

Musalman ko aisa karobar hargiz nahi karna chahiye. Lekin agar aap dukan kiraye par de aur kirayedar yah karobar kare khwaah woh Hindu ho ya Musalman, to aapke liye aapki dukan ka kiraya haraam na Hoga. Aur makrooh karobar ka gunah khud kirayedaar par hoga.

📗KITABUN NAWAZIL 12/492

و الله اعلم بالصواب

 

AURTON KE LIYE BADE LADKON KO PADHANE KA HUKM

⭕AAJ KA SAWAL No. 2591⭕

Aurat teaching kar sakti hai?

🔵JAWAB🔵

حامدا و مصلیا مسلما
Padhnewali aurten ya chhotte bachche ho to taleem de sakti hai.agar bade ladke ho to parde ke sharaait ka lihaz karte huwe fitne ka andesha na ho to gunjaish hai.
ba sharte ke taleem jaiz umoor-kamon ki honi chahiye.

📕MAHMOODUL FATAWA 8/28
و الله اعلم بالصواب

 

CHACHA KHUSAR AUR SHOHAR KE MAMU SE PARDAH

⭕AAJ KA SAWAL No. 2590⭕

Bivi ke liye chacha khusar (sasur ke bhai) se aur shohar ke mamu (saas ke bhai) se pardah hai?

Ba’az log kahte hain ke taqwe ki roo se hai fatwe ke roo se nahi. saheeh kya hai?

🔵JAWAB🔵

حامدا و مصلیا مسلما

Chacha khusar aur shohar ka mamu mahram me se nahi, lihaza aur koi hurmat (mahram hone) ka rishta na ho to us se pardah hai.

📕MAHMOODUL FATAWA 6/28

و الله اعلم بالصواب

BAGAIR DAWAT KE KISI KO SAATH LE JAANA

AAJ KA SAWAL NO.2598

Kisi ke yahan ek aadmi ko dawat ho to us shakhs ka apne bete ya bhai ya kisi mehman ko saath le jaana kaisa hai?

🔵AAJ KA JAWAB🔵

حامد ومصلیا و مسلما

Agar us shakhs ke saath aisi be takallufi (aisa gehra talluq) hai ke us shakhs ko aap ke kisi ko saath le jaane se naa gawari nahi hogi, balke khushi hogi to kisi rishtedar ko bagair dawat ke saath le jaana jaiz hai, koi haraj nahi.

Agar aisi be-takallufi nahi hai to uski ijazat ke bageir kisi ko apne saath le jaana bilkul jaiz nahi.

Ahaadis me aise tufeliyon (mufatiyon) ke baare me aaya hai ke aisa shakhs lutera ban kar gaya aur chor ban kar aaya.

📗DEENEE MASAIL AUR UNKA HAL SAFAA 106 SE MUSTFAAD
BA HAWALA SUNANUL KUBRA LIL BAYHAQI

و الله اعلم بالصواب

 

GAIR MAHRAM KE PAAS DAANT (TEETH) KI SAFAI

⭕AAJ KA SAWAL No. 2599⭕

Meri bivi ke daanton par kaale daag ho gaye hain jo dikhne me kharab lagte hain, to kya uski safai, fir us par khol (cover) chadhana gair mahram mard doctor ke paas karva sakte hain ?

🔵JAWAB🔵

حامدا و مصلیا مسلما

Yah ilaj zeenat ke waste hai jo gair mahram ke paas karvana jaiz nahi.

📗MAHMOODUL FATAWA 8/27

و الله اعلم بالصواب

Duplicate note aa jaye to kya kare?

⭕AAJ KA SAWAL NO.2600⭕

Tijarat me agar rupiya paisa khota (duplicate) aa jaye to kiya kare?

🔵AAJ KA JAWAB🔵

حامد ومصلیا و مسلما

Agar ma’alum hai ke kis ke paas se aaya hai tab to usee ko de de jis tarah bhi mumkin ho chahe bataa kar chahe dhoka dekar (chupke se isliye ke yah haqeeqat me aapne haq ko hasil karna hai jo jaiz hai)

Agar ma’alum na ho to kisi aur ko dhoka dena jaiz nahi, bataa kar diya jaye, chahe lene wala kam qeemat par le, ya agar kisi jagah usse zulman liya jaye to wahaan bila bataye bhi dena durust hai.
(Jaie baaz sarkari logo ko jo bila rishwat kam nahi karte aur baz zulmi taxes bharne me)

📗FATAWA MAHMOODIYA DABHEL 16/172
BAHAWA DURRE MUKHTAR MAA RADDIL MUHTAR

NOT: upar bataya gaya hai woh sharee hukm hai baqi sarkar ki guide line is bare me jo bhi us ko maloom kar ke follow karna zaroori hai.
و الله اعلم بالصواب

 

PARCEL ZAYEA HO GAYA TO NUKSAN KA ZIMMEDAR KAUN?

⭕ AAJ KA SAWAL NO.2603⭕

Taajir ne khareedar ki talab par ba zariye transport maal rawana kiya, raste me maal zayea ho gaya to us nuksan ko taajir bardasht karega ya khareedar?

Aaj kal ke urf ke mutabiq taajir ke zimme nuksan aata ho to khareedar ke liye taajir se us nuksan ko wusool karna saheeh hai ya nahi?

🔵JAWAB🔵

حامدا و مصلیا و مسلما

Jo maal daak, rail, transport wagairah ke zariye se rawana kiya jaaye woh uske qabze me samjha jayega jisne yah hukm diya ho, agar khareedar ne likha ke fulan maal rail ya daak ya trasport me bhej do aur zayea ho gaya. Bechnewala zimmedar nahi, usne goya khareedar ke wakeel (yani courier, rail, ya trasport) ke hawale kar diya

Aur agar uska yah hukm na tha bechne wale ne khud apni marzi se bheja to bhejne se bechi huwi cheez ka supurd karna (hawale karna) nahi huva, lihaza bechnewala nuksan ka zimmedar hoga khareedar nahi.

📗ITRE HIDAYAH 102
MAHMOODUL FATAWA 3/26 QADEEM
JADEED 7/381

و الله اعلم بالصواب

 

LADKA LADKI KO BARABAR HISSAH DENA AUR BIVI KO MAHROOM KARNA

⭕AAJ KA SAWAL No. 2606⭕

Ek aadmi apni hayati hee me apna maal aur jaydad taqsim karna chahta hai.

Yah marne se pehle hadiya hone ki wajah se ladka ladki ko barabar barabar dena chahta hai aur bivi ko kuchh bhi dene ka iradah nahi to kya hukm hai?

🔵JAWAB🔵

حامدا و مصلیا مسلما

Bakhshish aur hadiya me ladka ladki ko barabar barabar dena to saheeh hai. lekin bivi ko mahroom karna maqsad ho to gunehgar hai.

📗MAHMOODUL FATAWA 8 /356

و الله اعلم بالصواب

 

SOODI AAMADNI WALE KA HADIYA LENA

⭕AAJ KA SAWAL No. 2608⭕

Ek aadmi ka soodi kaarobar hai, usne kisi ko kapda hadiya diya, to us kapde ko isteamal kar sakte hain ya nahi?

🔵JAWAB🔵

حامدا و مصلیا مسلما

Agar uski tamam ya aksar aamadni soodi hai, to yah hadiya lena durust nahi hai.

Albatta agar woh yah batlata hai ke yah kapda halal tareeqe se haasil kiya huva hai, to yah le sakte hain. Aur uski aksar aamadni halal hai to lena jaaiz hai;

Albatta agar maalum ho jaae ke yah kapda haram tareeqe se haasil kiya huva hai to lena jaaiz nahi hai.

📗(Fatawa e Mahmoodiya : 16/481)

و الله اعلم بالصواب

 

TAVEEZ PAHANNA

⭕AAJ KA SAWAL NO.2610⭕

Taveez Dhaga karna jayaz hai ya na-jayaz? aur isme shariyat ka kya hukm hai ?

🔵JAWAB🔵

حامدا و مصلیا و مسلما

 Kisi ko nuksan pahunchane ke liye jo taveez kiye jate hain unka hukm wohi hai jo jaadu tona ka hai, ke inka karna aur karvana haraam aur kabeera gunah hai, balke isse kufr ka andesha hai,

Albattah taveez agar kisi jayaz maqsad ke liye kiya jaye to jayaz hai, iski 3 sharte hain,

1- Kisi jayaz maqsad ke liye ho, najayaz maqsad ke liye na ho.

2- Iske alfaz kufr aur shirk par mushtamil na ho, ya’ani isme koi gunah, shirk ki baat na likhi ho aur jiska mafhoom ma’alum na ho to najayaz hai.

3- Inko Mo’assir biz’zaat (asal taweez hee me taaqat hai) na samjha jaaye, inki taasir bhi Allah ke hukm ke taabe hai,

🔷Behatreen Amal 🔷
 1- Behtar yah hai ke Taveez wagairah se doori rakhe aur Duaon ka ahtemam kare,
(Taveez to un bachcho ke liye hota hai jo duwaen  nahi maang sakte,  ke likh kar unke gale me latka diya jaaye,

Jo duwaen mang  sakte hain apni har pareshani ko duwaon ke zariyah hal karvaye)

 2- Taveez ke ma’ani “Panaah talab karna” hai, aur har Musalman Mard, Aurat ke liye Behtreen Taveez har farz namaz ke baad, Surah Ikhlas (Qulhuvallah), Surah Falaq , Surah Naas aur Aayatul kursi padhna hai.

 3- Isee tarah “Manzil”  Jo Qur’an e Kareem ki ayaten hain, Nazar, Jaadu, aaseb (jinnat ka asar) wagirah se hifazat ka behtreen amal hai.

📗Aapke masail aur unka Hal,
Jild-1,Safa no, 350

و الله اعلم بالصواب

BADBU DAAR CHEEZ KHAA YA PEE KAR MASJID ME JAANA

⭕AAJ KA SAWAL NO.2612⭕

Kachchi piyaz, lahsan, bidi, cigarette, peene ke baad, bagal ya munh me badbu paida hone ki bimari ho, boodaar pasine wale kapde masalan gosht, machchhli bechne wale ke kapde pahan kar masjid me jaana kaisa hai ?

🔵JAWAB🔵

حامد ومصلیا و مسلما

Kisi bhi badbu daar cheez ko khaa kar ya pee kar, badu daar kapde pahan kar masjid me jaana jaiz nahi, jab tak ke un cheezon ki badboo ko khatm na kiya jaae (miswak kar ke, khushbu daar cheez kha kar ya itr laga kar)

Kyun ke jin cheezon se insan ko taklif hoti hai un cheezon se farishton ko bhi taklif hoti hai.

Aaj kal is baare me badi gaflat barti jaa rahi hai, aise hazraat ko iska hamesha khyal rakhna chahiye, agar badbu door na hoti hai to aise logon ko tanha namaz padhni chahiye.

📗AADABUL MASAJID HAZ. MUFTI MUHAMMAD SHAFEE RH. KI SAFA 22,23
FIQHEE ZAWABIT

و الله اعلم بالصواب

SHARAGMGAH CHATNE KA HUKM

⭕AAJ KA SAWAL NO.2613

mard aur aurat jab paak hai to un ki sharamgah ka zahiree hissa paak haibL ya napak?
agar ham bisaree ke waqt mard aurat ko apni sharm gah munh me dewe ya chataye ya us ki sharamgah chume to jaiz hai ya nahi?
aesa masail puchhne se sharm mahsoos hoti hai lekeen zarooratan daryaft kiya hai.muaaf farmayen.

🔵JAWAB🔵

hazrat saiyyad mufti abdur raheem lajpooree rahmatullahi alayhi tahreer fatmate hai ke deen ke masail aur ahkaam daryaft karne me sharmo haya ko aad nahee banana chahiye. agar sharmo haya ka lihaz kar ke deenee ahkam maloom na kiye jayen to sharee ahkam ka ilm kaise hoga?
quraan me hai,allah taala haq baat kehne me kisi ka lihaz nahi karta.
be shak sharm gah ka zahiree hissa paak hai lekeen ye zarooree nahi ke har paak cheez ko munh lagaya jaye aur munh me liya jaye us ko chuma jaye aur chata jaye.naak ki rutoobat -Nik sende-paak hai to kiya naak ke andar ke hisse ko zuban lagana aur us kee rutoobat ko munh me lena pasandeedah aadat ho sakti hai?
aur us ki ijazat ho sakti hai!
pakhane ki jaga ka zahiree hissa bhi naapak nahi.paak hai to kiya us ko bhi chumne chatne ki ijazat hogi?
nahee hargiz nahi.isee tarah Mard kee apnee sharmgah aurat me munh me dena jaiz nahi.sakht makrooh aur gunah hai.
jis munh se woh allah ka naam letee hai.huzoor salahu alyhe wasallam par durood shareef padhtee hai.quran shareef padhtee hai us munh me napakee dalne ko kaise gawara kiya ja sakta hai!astagfirulah!

shair kehta hai,(farsi shear ka tarjamaa)
‘hazaar bar dhowun apne munh ko mushko gulab se
fir bhi tera naam lena kamale be adabee hai.’
ye gair qaumon ka calchar hai aur print aur electronic midea ke galatbistiamal ki nahoosat hai jo islamee mijaz ke bilkul khilaf hai.sharn gah chumna kutton,bakron wagaieah haywanat ki khaslat ke mushabah hai.aur munh me dena to aesi buree cheez hai ke nar janwar bhi apnee maadaon ke sath aesa nahi karte.

ye to us surat me jab mard ki sharmgah ke sakhti paida na hui ho aur sakhti paida ho gai ho fir bivi ki munh me sharmgah me dee jaye to mazee (mani se pehle nikalnewala pani) ka nikalna yaqeenee hai aur mazee galeez najasat aur sakht napaa hai.napaki ko munh me dena aur lena haraam hai.aur aaj kal ki gairon ki tahzeeb ki naqal kar oral sex karna yani munh me mani kharij karne sakht haraam aur intihaee gheenawani harkat hai.

📗(fatawa raheemiyah jadeed 10/178 ba hawala aalamgiree hazfo izafe ke sath)

📕Jamia binoria aalamiya karanchi cerial no.9868

allah taala puree ummat ki gairon ki tahzeeb aur midea ke galat istiamal se pooree hifazat farmayen.aameen.

PISTAN MUNH ME LENA

⭕AAJ KA SAWAL NO.2614⭕
Bivi ke pistan munh me le sakte hain ?

Agar koi bivi ka doodh pile to kya bivi haraam ho jayegi ya nikah par koi asar padega?

🔵 AAJ KA JAWAB🔵

حامدا و مصلیا و مسلما

Haan, Bivi ke pistan munh me le sakte hain aur dudh agar munh me aa jaye to use fauran thuk de agar koi pi gaya to bivi haraam to nahi aur na nikah par koi asar pada. lekin usne yah ganda aur gunah ka kaam kiya, aaindah aisi harkat na karne ka ahad kare aur isse taubah kare.

📗FATAWA QASMIYA 22/51

و الله اعلم بالصواب

 

NIKAH ME VALI KISE BANANA CHAHIYE?

⭕AAJ KA SAWAL No. 2615⭕

Nikah me ladki ka Vali kise kehte hain?
Vali kon ban sakta hai?
Kis ka haq zayada hai?

🔵JAWAB🔵

حامدا و مصلیا مسلما

Ladki aur ladke ke Nikah karne ka jisko Ikhtiyar hota hai usko “Vali” kehte hain.

Ladki aur ladke ka vali sab se pehle uska baap hai, Agar baap na ho to dada, woh na ho to pardada, agar yah log koi na ho to saga bhai, saga bhai na ho to soutela bhai ya’ani baap sharik bhai (baap ek ho maa alag alag), fir bhatija, fir bhatije ka beta, fir bhatije ka pota, yah log na ho to saga chacha, fir sotela chacha, ya’ani baap ka sotela bhai, fir sage chacha ka beta, fir uska pota, fir sotele chacha ka beta, fir uska pota, yah koi na ho to baap ka chacha vali hai, fir uski aulad. Agar baap ka chacha aur uske bete, pote, padpote koi na ho to dada ka chacha, fir uske ladke, pote, padpote wageirah yah koi na ho tab maa vali hai, fir daadi fir naani, fir nana, fir haqeeqi bahan, fir soteli bahan jo baap sharik ho, fir jo bhai bahan maa sharik ho, (maa ek baap alag alag) fir fufi, fufa, maamu, fir khala wageirah.

Na balig, kafir kisi musalman ka vali nahi ho sakta aur majnoon paagal bhi kisi ka vali nahi hai.

📗BAHISHTI ZEWAR MARDON KE LIYE SAFA 384

و الله اعلم بالصواب

 

TAAJIRO KO TIJARAT KA ILM HAASIL KARNA ZAROORI.

⭕AAJ KA SAWAL No. 2619⭕

Me computer ki tijarat shuroo karne jaa raha hun, aur khud computer engineer hun, mujhe tijarat shuroo karne se pahle deeni aetibar se kya karna chahiye?

🔵JAWAB🔵

حامدا و مصلیا مسلما

(1) Islam ne zindagi ke har sho’abe ke liye rehnumai ki hai. Insaan ke liye zaruri hai ke woh jis sho’abe me daakhil ho uske baare me ahkaam e shariat ki vaaqifiyat hasil karne ki koshish kare.

Chunanche Rasulullah Sallallahu Alayhi va Aalihi Wasallam ne Irshad Farmaya ke: Har musalman par Ilm ka haasil karna farz hai.

(2) Isme woh tamam uloom shaamil hain jin ki Deen par amal karne ke liye zarurat pade ya jo rozi kamane ke liye haasil karna zaruri hai.

Chunanche Fatawa e Sirajiya me hai:
“Ilm ka itni miqdaar me haasil karna farz hai jis ki zarurat ho.

Aise kaamo ke silsile me jo uske liye uske bagair chara na ho, jaise wuzu, namaz dusre sharaee ahkaam aur ma’ashi umoor- gharelu masail

(3) Computer ki tijarat ke liye bhi bahot se sharaee masail ho sakte hain, jaise soodi len-den se bachna, mahfooz programo ki chori se parhez karna, Agar computer ke saath saath CD bhi faraham karte ho to akhlaaq ko bigadne wali CD’s ki kharido farokht se bachna.

Pas Aap sab se pahle tijarat aur bilkhusoos apne shoebe ke mutualliq masail va ahkam ki vaqfiyat haasil karne ki koshish karen aur us baat ka pukhta iradah rakhe ke jhoot, dhoka, aur bad-dayanati se apne aap Ko bachaenge.

Balke fuqahaa (masail ke maahireen) ne likha hai ke jab tak aadmi khareedo farokht ke ahkaam se vaaqif na ho jaae use tijarat shuru na karni chahiye.

(is baare me badi kotahi hai ke apne karobar ke masail sikhe bagair hi karobar karte rehte hain!)

📕FATAWA MAHMOODIYA 9/378

و الله اعلم بالصواب

MEELAD KI NIYAZ KA HUKM

⭕ AAJ KA SAWAL NO.2627⭕

EID E MEELADUN NABI صلی الله عليه وسلم KI NIYAZ KHANA KOUN SI SURAT ME JAIZ AUR KOUN SI SURAT ME NA JAIZ ?

🔵JAWAB🔵

حامد ومصلیا و مسلما

MEELAADU-N-NABEE صلی الله عليه وسلم KI TA’YEEN-12 HI TAREEKH TAY KARNE KE SAATH KHANA PAKAANA
(LOGON KO JAMAA KARNA) WAGHAIRAH GUMRAH KARNE WALI BID’ATE HAI, US SE BACHNA ZAROOREE HAI, AUR AGAR KHANE ME NIYYAT ISAALE SAWAAB KI HAI TO KHANA MUBAAH (NA SAWAB NA GUNAH) AUR SADQAH HAI,

AUR AGAR AKABIREEN KE NAAM PAR HAI (UN KO RAZI KARNE KI, UNSE QAREEB HONE KI NIYYAT HO, ALLAH KE NAAM PAR NA HUWA) GAIRULLAH KE NAAM PAR ZABAH KARNE KI SOORAT ME DAKHIL HONE KI WAJAH SE HARAAM HAI, AUR AISE AQAAID FAASID AUR KUFR KE BAAIS HAIN..

( JAIZ SURAT)👇🏻

ISAALE SAWAAB AGAR DIN AUR KHAS KHANE KO TAY KIYE BAGAIR SIRF ALLAH KO RAAZI KARNE KE LIYE HO TO MUSTAHAB HAI, ISALE SAWAB KA KHANA SIRF GAREEB KHAYE MALDAR KO KHANA MANAA HAI.

📘MALFUZAT JILD 3. SE MAKHOOZ (MAULANA AHMAD RAZA)
AGAR DIN AUR KHANE KO KHAS KARNE KE SAATH HO TO BID’AT HAI.

📗FATAWA RASHIDIYA /138
📘FATAWA MAHMOODIYA 15/429

AISE MAWQON ME IS TARAH KE KHANE PAKANE KA SHARIAT ME KOI SUBUT NAHI, LIHAZA YAH KAAM NA-JAAIZ AUR BID’AT HAI, AGAR MAHAZ RASM KE TAUR PAR PAKAYA JAAE, SAWAAB KA AQEEDA NA HO TO BHI USME BID’AT KI TAYEED-HONSLA AFZAYI AUR RIWAJ DENA HAI, LIHAZA US SE BACHNA LAAZIM HAI, USEE BINA PAR KHANA QUBOOL KARNE SE BHI BACHNA CHAHIYE, ISKE BAWUJOOD YAH HARAAM NAHI HAI.

📔AHSANUL FATAWA 1/375
BY SHAIKHUL HADEES MAULANA AHMAD RAHIL SB D.B.MADRASAH KANZE MARGOOB PATAN

 JAWAZ PAR AKAABIREEN KI IBARAT SE DALEEL PAKADNE KA JAWAB:
SHAAH ABDUR RAHEEM DAHELVI RAHMATULLAHI ALAYHI FARMATE HAIN KE :
ME WILADAT KE DINON ME HUZOOR صلی الله عليه وسلم KO ISALE SAWAB PAHONCHANE KI NIYYAT SE KHANA PAKWATA THA. EK BAAR AISA HUWA KE MERE PAAS KUCHH NA THA KE ME KHANA PAKWATA, BHUNE HUWE CHANO KE ALAWAH, TO MENE USI KO LOGON ME TAQSEEM KAR DIYA…

IN JAISE BUZRUGON KI IBARATON ME NA VILADAT KI HAD SE ZIYADAH ROSHNI KA TAZKIRAH HAI, NA KHANE KE LIYE LOGON KA JAMA KARNE KA ZIKR (NA 12 TAREEKH KA ZIKR HAI, BALKE LIKHA HAI MAVLOOD YA’ANI VILADAT KE DINO ME, NA ZABARDASTI KA CHANDA HAI, NA SHAREEK NA HONE WALON KO HAQEER SAMAJHNA HAI, NA MANDAP THA, NA RASTA BANDH KAR KE AANE JANE WALON KO TAKLEEF PAHONCHNA HAI) LIHAZA IS SE DALEEL PAKADNA SAHEEH NAHI.

📙(FATAWA RASHIDIYYAH 137)

و اللہ اعلم بالصواب

SHOHAR KI IJAZAT KE BAGEIR MULAZIMAT

⭕AAJ KA SAWAL No.2630⭕

Mere shohar kamate nahi hain, na mera kharch saheeh taur par dete hain, na bachon ki ta’alim ke ikhrajaat adaa karte hain,

Baar Baar kehne ke bavjood koi tavajjuh nahi di. Isee liye majboor ho kar mene ek school me mulazimat ikhtiyar kar li hai. Isee se ghar ki zarooriyat poori Hoti hain.

Ab woh mujh par dabav daal rahe hain, ke tum mulazimat chhod do me mehnat mazdoori karunga.

Is soorat me shar’an mujhe kya karna chahiye? Kya me unki ijazat ke bageir mulazimat kar Sakti hun ?

🔵JAWAB🔵

حامدا و مصلیا مسلما

Asal me kamana mard ki zimmedari hai aur ghar ke andar ke kaam ko sambhalna aurat ke zimme hai.

Aap ke shohar ka mehnat mazdoori karne jee churana apni shar’ee zimmedari se bhagna hai. Isliye aam haalat me aurat ka shohar ki ijaazat ke bagair mulazimat karna jaaiz nahi.

Lekin agar shohar Apne faraiz adaa na karta ho, to shohar ki ijaazat ke bagair bhi aurat ke liye apni buniyadi zarooriyat ki pura karne ki garz se shar’ee parde ke saath mulazimat karna jaiz hai. (Jab shohar pabandi ke saath kamaa kar kharcha pura karna shurooa kar de us waqt mulazamat chhod dena zarooree hoga).

📗KITABUL FATAWA 9/325 SE MAKHOOZ

و الله اعلم بالصواب

 

WUZU ME PAANI ZIYADAH KHARCH KARNI KI 4 SURAT

⭕AAJ KA SAWAL NO. 2635⭕

Wuzu me teen martaba se ziyadah a’aza dhona kaisa hai?

🔵JAWAB🔵

حامدا و مصلیا و مسلما

Wuzu me a’azaa ko teen martaba se ziyadah dhone ki chand surten hain.

1⃣. Agar teen se ziyadah is e’atekad se dho raha hai ke yah sawab ya sunnat hai to makruhe tahrimi (haraam ke qarib) hai.

2⃣. Agar yeh e’atikad nahin magar bila wajah kar raha hai to bekaar hone ki wajah se makruhe tanzihi hai.

3⃣. Agar kabhi shak ko door karne aur dil ke itminaan ke khatir teen se ziyadah baar dho liya to koi karahat nahin.

4⃣. Albatta masjid aur madarsah ke waqaf paani se teen baar se ziyadah dhona haraam (gunahe kabeerah) hai.

Aajkal masjid ke paani se khususan pairon ko teen martaba se ziyadah dhoya jaata hai, koi shumar hi nahin bas paani dalte hi jate hain. lihaza isse bachne ka ehtimaam kare kyun ke Hazrat Mufti Mahmood Hasan gangohee رحمت اللہ علیہ farmate the ke wuzu me paani fuzool kharch karne se namaz ka khushu’a (dhiyan) khatm ho jata hai.

📗AHSANUL FATAWA- 2/15, IBARAT KI ASAANI KE SAATH

و الله اعلم بالصواب

BANK ME PAISE BILA MAJBOORI RAKHNA

⭕AAJ KA SAWAL No. 2637⭕

Bageir kisi majboori ke bank me rupiye jamaa rakhna kaisa hai?

🔵JAWAB🔵

حامدا و مصلیا مسلما

Bank me raqam jama karane ki 3 soorte hain :

1️⃣. Soodi khata (Saving Account)

2️⃣. Gair soodi khata (Current Account)

3️⃣.Locker.. Soodi khaate me raqam jama karana haraam hai, isme sood lene ka gunah hoga jis par Allah ta’ala aur Rasulullah (Sallallahu Alayhi va Aalihi Wasallam) ki Taraf se shadeed tareen Va’eede hai, Is ke Alaawah is me ta’aawun al-al ism (gunah par madad) karna hai. Yah raqam soodi kaarobar me istimal hogi. ;

Current Account me raqam jama karana bhi jaaiz nahi, kyunki usme agarche sood lene ka gunah nahi hai, magar ta’aawun al-al ism ka gunah hai.

Locker me jama karana bhi jaaiz nahi, kyunki usme agarche sood lene aur ta’aawun al-al ism ka gunah nahi hai, magar Bank ke haraam paise se bane huve khaane (drawer) ka istemal ka gunah hai, shadeed majboori ke waqt usme raqam jama karai jaa sakti hai; lekin fir bhi istigfaar laazim hai.

Haan karobar ke aetibar se qanooni majboori ho to pahle current account me woh na ho sake to saving account jitna ho sake kam paisa jama rakhe.

و الله اعلم بالصواب

MASJID SE PAANI LE JAANA

⭕AAJ KA SAWAL NO. 2639⭕

Masajid ke cooler ya matke kaa paani pine ke liye masjid ke baahar le jaa sakte hain ?

🔵JAWAB🔵

حامد ومصلیا و مسلما

Masjid se Mazkoorah paani Masjid me aane walon ki sahoolat ke liye hota hai, isey baahar le jaana Na-Jaiz aur gunah hai.

📗Fatawa mahmoodiyah qadeem 6/190 aur

📘fatawa raheemiyah qadeem 6/90 se makhooz

و الله اعلم بالصواب

 

Eyebro banana jaiz aur najaiz surat

AAJ KA SAWAL No.2686

meri eyebro bahut moti hai jo dekhne me badi kharab lagti hai to me use Barik kar sakti hun?

🔵JAWAB🔵

حامدا و مصلیا مسلما

Bhanv aur eyebroo ko tarashna ya mochne ya dhaage vagairah se Noch kar unko door karna ye jaaiz nahi. Aisi aurton par la’anat aai hai, aur aisa karna tagair khalqillah kaa misdaaq-allah ki qudrat badalne ki ek misal hai. Albatta eyebroo bahot zyadah phele huve ho, aur badnuma-kharab lagti ho,jo ek tarah ka aeb hai to unko durust kar ke aam haalat ke mutabiq (na ke mukhannas-hijre ki shakal ke mutabiq) kar lene me muzaiqa nahi.

MASAILE MEEZAN SAFA 284 BA HAWALA AHSANUL FATAWA
و الله اعلم بالصواب

✍🏻 Mufti Imran Ismail Memon Hanafi
🕌 Ustaze Darul Uloom,
Rampur Surat, Gujarat, India

MERRY CHRISTMAS KEHNE KA HUKM

⭕AAJ KA SAWAL NO.2704⭕ 

Merry Christmas ka ma’ana baaz kehte hai ke “mubarak ho khuda ko beta huva hai” hota hai ke to kya us kehne se kafir ya mushrik ho jayega?

🔵JAWAB🔵

حامدا و مصلیا و مسلما

merry ke ma’ane khushi Christ ke ma’ane maseeh-isaa mast ke ma’ane jamaa hona pura ma’ana huva isaa ki khushi me jama hona ya’ani unki wiladat ki khushi me jama hona.

Aap ne jo bataya wohi us ka lafzi tarjamaa nahi hota lekin aisa kehne me unka yahi aqeedah aur maqsad Chhupa hota hai lihaza lafzi tarjama kufr ka na hone ki wajah se kufr se bachane ki ye taweel mavjood hai isliye is ka kehne wala kafir ya mushrik to na kaha jayega lekin kufr ke ma’ana paida hone ka abdesha-khatra aur un ke nazariye ki tayeed hone ki wajah se aisa kehne se bachna zaruri hai aur mushabahat-copy hone ki wajah se sakht gunehgar hoga.

📗MAKHOOZ AZ MAALA BUDDA MINHU WA OXFORD DICTIONARY
DARUL ULOOM BINORIA TAWUN FATWA NO.
144104200701
و الله اعلم بالصواب

✍🏻Mufti Imran Ismail Memon hanafi chisti.

🕌 Ustaad e daarul uloom Rampura surat, Gujarat, India.

NASHE KE NUQSANAT

⭕AAJ KA SAWAL NO.2707⭕

https://chat.whatsapp.com/ENcBfkc0fhd4V1AGuA9C7C

Nasha karna kaisa hai? Us ke kya kya dunyawi ukhrawi nuqsanat hai?

🔵JAWAB🔵

حامدا و مصلیا مسلما

Nasha karna haraam hai is ke beshumar Dunyawi nuqsanat hai. Chand pesh kiye jate hai.

1.Dil ki dhadkan tez hona ya bilkul khatm ho jana.

2.Dil ka daura heart attack.

3.fefre ko nuqsan

4.livar ko nuqsan

5.Hazma kamzor ho jana

6.pagalpan tari hona.

7.Nak se khoon behna.

8.Cancer, blood pressure, dama ki bimari ho jana.

9.Yad shakti-memory khatm ho jana

10.Zayada karne se maut ya coma me chale jana ka khatra.

11.Zaban ya aawaz ka bhari ho jana.

12.Munh ke aa’za ka damage ho jana.

13.Khansi ho jana.

14.motapa.

15.jald burhapa

16.Kmazori-taqat kam ho jana.

17.bakwas karna.

18.Zaban ka zaiqa-taste khatm ho jana.

19.Chakkar aana.

20.paseena aana

21.Gussa aur hamla karne ka Mizaj banna,

22.jism me pani kam ho jana

23.Har cheez se dar lagna.

24.behosh ho jana.

25.Muqabale ki taqat kam ho jana

27.vomit hona.

Ukhrawi nuqsan kal pesh kiye jayenge INSHA ALLAH TA’LA

📗MA’RIFUL QURAN,

📕GULDASTA E TAFASEER SE MAKHOOZ
و الله اعلم بالصواب

✍🏻Mufti Imran Ismail Memon Hanafi
🕌 Ustaze Darul Uloom Rampura, Surat, Gujarat, India.

NEW YEAR MANANA

⭕AAJ KA SAWAL NO.2710⭕

New year manana ya manane walon ko unki lighting aur aatishbaazi ko dekhne jana kaisa hai?

🔵JAWAB🔵

حامد و مصلیا و مسلما

New year manana yeh isaiyon (nasara – Christian) ka tariqah hai. Huzoor SALALLAHU ALAIHI WASALLAM ka irshad hai, “jis ne jis qaum ki mushabahat (copy-nakal) utari kal qayamat me usko unhi ke saath uthaya jayega” ya’ani uska shumaar bhi unhi me hoga.

qaazi sanaaullah panipati rahmatullahi alayhi ne maslaa likha hai ke koi shakhs diwali me baahar nikle aur diwali ki (roshni-atishbazi wagairah) ko dekhkar kahe ke kitna achchha tariqah hai to uske tamaam nek a’amaal barbad ho jayenge.

📗(MAALAA BUDDA MINHOO)

Isee tarah new year manane walon ko dekhne jana bhi jaiz nahin kyun ke Huzur salallahu alayhi wasallam ka irshade mubarak hai ke “jis ne jis qaum ki ta’adaad ko barhaaya uska shumar bhi un hee me hoga”, lihaza is raat me bahaar roshni aatishbazi dekhne jana, khane pine ki party karna, naye saal ki mubarakbadi dena, naye saal ki khushi manana,ek dusre ko gift dena wagairah jitne unke tariqah hai sab na-jaiz aur iman ko barbad karnewale hai ibrat ke liye ek qissah paish karta hun

NASRANIYON KE TAUR-O-TARIQE PASAND KARNE WALE AALIM KA IBRATNAAK QISSAH

📄Hazrat imaam-e-Rabbani maulana Rashid Ahmad Gangohi rh. ne irshad farmaya :

Kanpur me koi nasraani jo kisi a’ala ohde par tha woh muslaman ho gaya tha, Magar asliyyat chhupa rakhi thi,
Ittefaq se uska tabadla (transfer) kisi dusri jagah ho gaya, usne un molvi sahab ko jisse usne islam ki baaten sikhi thi, apne tabadla se muttale’a kiya (ittela di) aur tamanna ki ke kisi deendaar shakhs ko mujhe den, jisse ilm haasil karta rahun, chunanche molvi sahab ne apne ek shagird ko unke sath kar diya,

Kuchh arse baad yeh nasrani (jo musalman ho chuka tha) wo bimar huwa to molvi sahab ke shagird ko kuchh rupiye diye, aur kaha ke jab me mar jaaun aur isaai jab mujhe apne qabrastan me dafan kar aaye to raat ko ja kar mujhe wahan se nikalna aur muslamano ke qabrastan me dafan kar dena,

Chunanche waisa hi huva, jab molvi sahab ke shagird ne hasbe wailsiyyat jab qabr kholi to dekha ke usme woh nasrani nahin, Albatta woh molvi sahab pade huve hai, to sakht pareshan (sharminda) huva ke yeh kya maazra hai..! Mere ustaad yahaan kaise..!

Aakhir daryaft karne se malum huva ke maulana sahab nasrani ke toro tariqo ko pasand karte the aur use achchha jaante the.

📘(Irshadate hazrat gangohi rh. safa 65)

👇🏻👇🏻👇🏻

Mere bhaiyo, yeh molvi sahab sirf gairon ke tariqon ko pasand karte the, us par chalte nahi the, to Allah ne duniya hi me jiska tariqah unko pasand tha uske saath hashr kar diya,

Hum to gairon ke tariqon par shauq se chalte hai, balke us par naaz karte hai, to hamara kyaa hashr hoga..! sochiye

Aur apni Awlad, bhai bahan dost ahbab ko samjhaiye ya kam se kam yeh msg bhejkar ya padhkar sunakar unko in gairon ki khushi me shirkat se roken

👏🏻Allah hamen taufiq de.
Aamin.

✏IMRAN ISMAIL MEMON UN KI MAGFIRAT KI JAYE
MUDARRISE DARUL ULOOM RAMPURA SURAT GUJRAT INDIA

HAPPY NEW YEAR KEHNA

⭕AAJ KA SAWAL No. 1594⭕

Kya Happy new year, saal mubarak kehna na jaiz aur bidat hai ?
Kya isme gairon se mushabahat nahi ?

AAJ KA JAWAB

Happy new year kehne me nasaara-khiristi-Christian qaum se mushabahat hai lihaza Naa-Jaiz hai.

📗KITABUL FATAWA 6/125 SE MAKHOOZ

🌙🗓ISLAMI TAREEKH :
23 RABIUL AAKHAR 1440 HIJRI

✍🏻Mufti Imran Ismail Memon Hanafi Chishti.
🕌 Ustaze Darul Uloom Rampura, Surat, Gujarat, India.

📲💻
Naye msg ke liye
🌍 http://www.aajkasawal.in
🌍 http://aajkasawal.page.tl

🌐Twitter:
https://goo.gl/szhij4
🌐Google+:
https://goo.gl/Hp6Z4k
🌐YouTube:
https://goo.gl/1HSJkq
🌐Telegram channel :
Https://t.me/AajKaSawalJawab
હેપ્પી ન્યુ ઇયર કહેના

⭕ આજ કા સવાલ નં. ૧૫૯૪ ⭕

હેપ્પી ન્યુ ઇયર, સાલ મુબારક કહેના નાજાઇઝ ઔર બિદઅત હૈ..?
કયા ઇસમેં ગૈરો સે મુશાબહત નહિં..?

 જવાબ 

હેપ્પી ન્યુ ઇયર કહેને મેં નસારા/ખ્રિસ્તી કૌમ સે મુશાબહત હૈ, લિહાઝા નાજાઇઝ હૈ.

📗 કિતાબુલ ફતાવા ૬/૧૨૫ સે માખુઝ

و الله اعلم بالصواب

✍🏻 મુફતી ઇમરાન ઇસ્માઇલ મેમણ, હનફી
🕌 ઉસ્તાઝે દારૂલ ઉલુમ રામપુરા, સુરત, ગુજરાત, ભારત

PATANG AUR USKI DAUR CHADAHNE GHISNE KA KAROBAR

⭕AAJ KA SAWAL NO.2719⭕

Patang baazi aur uske mutaaLiqa samaan ki tijaarat karne ka shar’ee Lihaaz se kya hukm haI

🔵JAWAB🔵

patang ke mutaaLiqah saaman ki tijarat ka hukm ye Hai ke ye tijarat “ii’aanatun aLaL maasiyah” {Gunah par madad karne} ki binaa par Na-jaaiz hai.

📓 Fatawaa Mahmoodia-16/134

🌙🗓ISLAMI TAREEKH :
03 JAMADI UL SANI 1443 HIJRI

✍🏻Mufti Imran Ismail Memon Hanafi Chishti.
🕌 Ustaze Darul Uloom Rampura, Surat, Gujarat, India.

PATANG UDANE KE 2⃣4⃣ NUQSANAT

⭕AAJ KA SAWAL NO.2721⭕

ISLAMI SHARI’AT ME PATANG UDANA NA JAIZ KYUN HAI ?

🔵JAWAB🔵

PATANG UDANE KE BAHUT HEE ZIYADA DUNYAWI AUR UKHRAWI NUQSANAT HAI JIS KI WAJAH SE US KA UDANA NA JAIZ HAI.
PATANG UDANE KE 2⃣4⃣ NUQSANAAT NICHE KE MUTABIK HAI.

1. FUZOOL KHARCHI MAAL AUR SALAHIYYAT KA BARBAD KARNA.

2. PATANG KI TARAF NAZAR HONE KI WAJAH SE NICHE GIR KAR MAR JANE YA ZAKHMI HONE KA KHATRA.

3. RAASTE SE GUZARNEWALE KITNE HEE BE-KASOOR INSAANON KE GALE KATE JISKI WAJAH SE MAR GAYE YA SAKHT ZAKHMI HUWE.

4. ZAKHMI HONEWALE MAZLOOMON KI BAD-DUA LAGNA YA MARNEWALON KI BEWA AUR YATEEMON KI BAD-DUAA AUR HAAY LAGNA.

5. KITNE HI MASOOM PARINDE(BIRDS) IS KI DOREE SE KAT KAR MAR JATE HAI YA SAKHT ZAKHMI HOTE HAI.

6. PATANG AKSAR TARRES AUR CHHAT PAR CHADH KAR UDAYI JAATI HAI JIS KI WAJAH SE AASPAAS KE GHARON KI BEPARDAGI AUR BAD NIGAHI HOTI HAI.

7. SHAREEF BA PARDAH AURTON KO KAPADE SUKHANE ME AUR KHIDKI DARWAZE BANDH RAKHNE ME TAKLEEF HOTI HAI.

8. ROAD PAR PATANG LOOTNEWALON KA ACCIDENT HO JATA HAI.

9. GAADI CHALAANE WALE BHI BAAZ MARTABAH IN KI WAJAH SE GAADI KE SATH GIRKAR ZAKHMI HOTE YA UN KI GAADI KA NUQSAN HOTA HAI.

10. GAADI CHALANEWALON KE DARMIYAN ACHANAK DOOREE AANE KE HAR WAQT DAR KI WAJHA SE AUR IN LOOTNEWALON KI WAJAH SE GAADI CHALANE ME TAKLEEF HOTI HAI.

11. MASJID KI JAMAAT BALKE KHUD NAMAZ SE GAFIL HO JATA HAI.

12. PURA DIN PATANG UDANE ME GUZAR NE KI WAJAH SE BADON KI DUKAN AUR NAUKARI KA HARAJ AUR BACHCHON KE MADRASAH KI PADHAI KA NUQSAAN.

13. HAR EK KI NIYYAT DUSRE KA PATANG KATNE KI HONE KI WAJAH SE NUQSAN PAHONCHANE KA GUNAH.

14. JIS KI PATANG KAT GAI US KE DIL ME ADAWAT AUR KEENA AUR US KA PATANG KAAT KAR BADLA LENE KE JAZBAT KA PAIDA HO JANA.

15. SHORGUL,SITIYAN,AUR DJ, KI WAJHA SE AARAM KARNEWALE BIMAR,BUDHE AUR QAYLOOLLAH KARNEWALE NEK BANDON KI NIND ME KHALEL PAHONCHNA.

16. MUSIC AUR GANA SUNNE AUR SUNNA NA CHAHNEWALON KO SUNANE KA GUNAH HONA.

17. NAMAZ KE WAQT BHI ZOR SE D.J.BAJNE KI WAJAH SE IMAM KI QIRAAT AUR MUSALLIYON KI NAMAZ ME KHALEL WAWIA HONA.

18. KAI DIN TAK DHUP ME PATANG UDANE KI WAJHA SE JISMANI RANG AUR ANKHON KI ROSHNI PAR ASAR PADNA.

19. GAIRON KI MUSHABAHAT-COPY HONE KI WAJHA SE QAYAMAT ME UN KE SATH HASHR HONA-UN HEE ME SHUMAR HONA.

20. PATANG LOOTNE KA GUNAH.

21. US KI DORI TOD KAR CHURANE KA GUNAH.

22. AISE FUZOOL KAAM JIS ME DUNYA AKHIRAT KA KOI NAFA NAHI QEEMTI WAQT ZAYEA KARNA.

23. GAIRON KE IS TEHWAR KO ACHCHA SAMJHNE AUR IN GUNAHON PAR KHUSH HONE WAJAH SE IMAAN KE BARBAD HONE AUR KAFIR HON JANE KA KHATRA.

24. MAUT KA KOI WAQT TAY NAHI GAIRON KA TEHWAR AUR IN TAMAM GUNAHON KO KARTE KARTE ACHANAK MAUT AA GAI TO KHATMA BURA HO JANA.

IS MSG KO KHUB FORWAD KARE APNE GHARWALON KO SUNAYE AUR PATANG KI LANAT SE KHUD BACHE AUR APNE BACHCHON KO KHAAS BACHAYE BACHPAN HEE SE IS SE NAFRAT DILAYE.

✍🏻Mufti Imran Ismail Memon Hanafi Chishti.
🕌 Ustaze Darul Uloom Rampura, Surat, Gujarat, India.

UTRAAN WAGAIRAH GAIRON KE TEHWAR KE DIN KHANA BECHNA

⭕AAJ KA SAWAL NO.2723⭕

khaas Utraan-patang ke gairon ke tahawaar ke din masjiden aur madrasah ki aamdani ke liye khana bechna aur un paison ko masjid madrasah me istemal karna kesa hai?

🔵JAWAB🔵

Utraan ke din ka khana becha jayega to is me khareedar har qism ke log honge tehwar mananewale bhi honge aur tehwar na mananewale bhi honge.
rahi baat yeh us khane ko khakar patang udana,gana sunna wagairah gunahon ke kaam karenge to ye un ke apne aamal hain, khana bechnewale is ke zimmedar nahi hai isliye us din khana bechne ko na jaiz ya haraam nahi kahenge.
Phir bhi usee din khana bechne me un ki us din ki ziyafaton-partiyon (jo khurafat se bhari hoti hain) ki hoslaa afzai hoti hai aur un ki Ronaq me izafa hota hai aur paison ko deenee kaam me istemal karna hai lihaza us din in logon ko target banakar khana bechna imani hamiyyat aur gairat ke khilaf hai lihaza is se parhez karna behtar hai.us ki kamayi haram ya na jaiz nahi hogi.

📗FATAWA RAHEEMIYAH 9/195 KARANCHI SE MAKHOOZ

✏IMRAN ISMAIL MEMON ALLAH UN KI AUR UN KE GHARWALON KI MAGFIRAT FARMAYEN
MUDARRISE DARUL ULOOM RAMPURA SURAT GUJRAT INDIA
📲Roman urdu me masail ke liye zaroor dekhe www.aajkasawal.page.tl WAGAIRAH GAIRON KE TEHWAR KE DIN KHANA BECHNA.

⭕AAJ KA SAWAL NO.573⭕

khaas Utraan-patang ke gairon tahawaar ke din masjide aur madrasah ki aamdani ke liye khana bechna aur un paison ko masjid madrasah me istiamal karna kesa hai?

🔵JAWAB🔵

Utraan ke din ka khana becha jayega to is me khareedar har qism ke log honge tehwar mananewale bhi honge aur tehwar na mananewale bhi honge.
rahi baat yeh us khane ko khakar patang udana,gana sunna wagairah gunahon ke kaam karenge to ye un ke apne aamal hai khana bechnewale is ke zimmedar nahi hai isliye us din khana bechne ko na jaiz ya haraam nahi kahenge.
fir bhi usee din khana bechne me un ki us din ki ziyafaton-partiyon (jo khurafat se bhari hoti hai) ki hoslaa afzai hoti hai aur un ki Ronaq me izafa hota hai aur paison ko deenee kaam me istiamal karna hai lihaza us din in logon ko target banakar khana bechna imani hamiyyat aur gairat ke khilaf hai lihaza is se parhez karna behtar hai.us ki kamai haram ya na jaiz nahi hogi.

📗FATAWA RAHEEMIYAH 9/195 KARANCHI SE MAKHOOZ

✏IMRAN ISMAIL MEMON ALLAH UN KI AUR UN KE GHARWALON KI MAGFIRAT FARMAYEN
MUDARRISE DARUL ULOOM RAMPURA SURAT GUJRAT INDIA

TWO WHEELS PAR SAFE GUARD LAGANA

⭕AAJ KA SAWAL NO. 2727⭕
Patang ki doori se gala na cut jaye is niyyat se two wheeler par safe guard lagana Allah par tawakkul ke khilaf hai?

🔵JAWAB🔵

حامدا و مصلیا مسلما

Tawakkul ki Haqeeqat ye hai ke asbab ikhtiyar karo fir nateeje ka bharosa Allah par rakho lihaza two wheeler par safe guard lagana tawakkul ke khilaf nahi balke hifazati tadabeer me se hai.

📕MAKHOOZ AZ HADEESE MISHKAT
و الله اعلم بالصواب

✍🏻 Mufti Imran Ismail Memon Hanafi
🕌 Ustaze Darul Uloom,
Rampur Surat, Gujarat, India

KISI BUZRUG PAR KUFR KA FATWA

⭕ AAJ KA SAWAL NO.2852⭕

Agar kisi ki kufr ki baat zabani ya likhi hui baat ham tak pohonche jis me kufr ka matlab bhi nikalta ho to kya karna chahiye us ki woh baat sunte hi us ko kafir keh sakte hain ?

🔵JAWAB🔵

حامدا و مصلیا و مسلما

Allamah qazi sanaullah pani pati Rahmatullahi alayhi likhte hain ke dastoor e quzaat me fataawa khulaasah se naqal kiya gaya hai ke, kisi maslah (baat) me chand matlab kufr ke nikalte hon aur ek matlab kufr ka na nikalta ho to fatwa kufr par na dena chahiye lekin faqeer (me kehta hun ke khud ko aesi baat jis me ek matlab bhi kufr ka nikalta ho bachana chahiye) .

(MAALAA BUDDA MINHU SAFA 129)

Lihaaza kisi ki kufr ki baat sun kar ya padhkar use fauran kafir na kahe balke usse us ka maqsad aur matlab kya hai usee ko puchha jaye phir fesla kiya jaye aur woh wafat paa gaya hai to us ki kitab ki ibarat ka jaiz matlab nikalne ki koshish ki jaye jab tak gaire kufr (ke alawah ka) matlab nikalta ho kufr ka fatwa nahi lagaya jayega.

و الله اعلم بالصواب

✍🏻Mufti Imran Ismail Memon hanafi chisti.

🕌 Ustaad e daarul uloom Rampura surat, Gujarat, India.

MURG KO ZABAH KARNE KE BAAD GARAM PAANI ME DAALNA

⭕AAJ KA SAWAL No. 2855⭕

Kya kehte hain muftiyaane kiraam murge ke gosht ke baare me jisko garam pani me daal kar Saaf karte hain dukandaar ?

🔵JAWAB🔵

حامدا و مصلیا مسلما

Murg ko zabah karne ke baad agar pet cheer kar aantariya vagairah Nikal kar Garam paani me daala jaaye to gosht khaane me koi haraj nahi aur agar aantariya vagairah nikalne se pehle daala jaaye to usme tafseel ye hai ki agar itni Der garam pani me khola (ubaal) diya jaaye ke najasat gosht ke andar pevast (ghus) jaaye to ye bilkul naapaak ho jaayega aur dhone ke bavajood paak na hoga; Albatta Agar pani josh ki had tak garam na ho ya murg vagairah ko mahaz itni Der tak us me rakha jaaye ke pani ki garmi chamdi ki Satah tak pahunch jaaye aur khaal ke masamat- hole khul jaayen taake khaal saaf karne me aasani ho to is Soorat me 3 dafa’a dhone se gosht paak ho jaayega.

Note: Agar murg ko zabah karke aag par itni Der tapa diya jaaye ke najasat ka asar gosht me sirayat kar (ghus) jaye to gosht ka khana jaiz na hoga.