Video conference chalu kar di jaye jis me dulha-dulhan aur do gawah bhi ek dusre ko nazar aaye to nikah saheeh ho jayega ?
JAWAB
حامدا و مصلیا مسلما
Nikah ke liye majlis ka muttahid (ek hona) shart hai.
aur puchhi huwi surat me majlis haqeeqat me alag alag hai.
isliye nikah saheeh nahi.
DARSI SAWAL SAFA 250
Saheeh hone ki kya shakal hai wo kal pesh ki jayegi
INSHA ALLAH TA’LA
و الله اعلم بالصواب
ISLAMI TAREEKH :
16 RABEEUL AWWAL1441 HIJRI
Mufti Imran Ismail Memon Hanafi
Ustaze Darul Uloom Rampura wa Secretry jamiate ulama Surat, Gujarat, India.
ilami baat (msj) sikhaana (felana) ibadat se behtar hai
TAAJIRO KO TIJARAT KA ILM HAASIL KARNA ZAROORI.
⭕AAJ KA SAWAL No. 2619⭕
Me computer ki tijarat shuroo karne jaa raha hun, aur khud computer engineer hun, mujhe tijarat shuroo karne se pahle deeni aetibar se kya karna chahiye?
🔵JAWAB🔵
حامدا و مصلیا مسلما
(1) Islam ne zindagi ke har sho’abe ke liye rehnumai ki hai. Insaan ke liye zaruri hai ke woh jis sho’abe me daakhil ho uske baare me ahkaam e shariat ki vaaqifiyat hasil karne ki koshish kare.
Chunanche Rasulullah Sallallahu Alayhi va Aalihi Wasallam ne Irshad Farmaya ke: Har musalman par Ilm ka haasil karna farz hai.
(2) Isme woh tamam uloom shaamil hain jin ki Deen par amal karne ke liye zarurat pade ya jo rozi kamane ke liye haasil karna zaruri hai.
Chunanche Fatawa e Sirajiya me hai:
“Ilm ka itni miqdaar me haasil karna farz hai jis ki zarurat ho.
Aise kaamo ke silsile me jo uske liye uske bagair chara na ho, jaise wuzu, namaz dusre sharaee ahkaam aur ma’ashi umoor- gharelu masail
(3) Computer ki tijarat ke liye bhi bahot se sharaee masail ho sakte hain, jaise soodi len-den se bachna, mahfooz programo ki chori se parhez karna, Agar computer ke saath saath CD bhi faraham karte ho to akhlaaq ko bigadne wali CD’s ki kharido farokht se bachna.
Pas Aap sab se pahle tijarat aur bilkhusoos apne shoebe ke mutualliq masail va ahkam ki vaqfiyat haasil karne ki koshish karen aur us baat ka pukhta iradah rakhe ke jhoot, dhoka, aur bad-dayanati se apne aap Ko bachaenge.
Balke fuqahaa (masail ke maahireen) ne likha hai ke jab tak aadmi khareedo farokht ke ahkaam se vaaqif na ho jaae use tijarat shuru na karni chahiye.
(is baare me badi kotahi hai ke apne karobar ke masail sikhe bagair hi karobar karte rehte hain!)
📕FATAWA MAHMOODIYA 9/378
و الله اعلم بالصواب
PARPAL AUR US JAISI APPS KA HUKM
⭕AAJ KA SAWAL NO.2742⭕
Parpal, net me ek app banai gayi hai, log usme paise jama’a karke videos dekhte hai aur unke account me raqam jama’a hoti hai, uski shar’ee heshiyat kya hai?
🔵JAWAB🔵
حامدا و مصلیا مسلما
Parpal Company ke website par uska tareeqa e kaar dekha gaya, is tareeqa e kaar par kaam kar ke Parpal ki website ya app par paisa kamana darje zail vujoohat ki Bina par na-jaaiz hai:
1- Isme aise log ishtihaarat- ad dekhte hai jin ka ye cheeze lene ka koi iradah hi nahi, aur bechnewale ko aise dekhne waalo ki ta’adad me izafa dikhana jo kisi tarah bhi khareedar nahi, ye bechne waalo ke saath ek qism ka dhoka hai.
2- Jaan-daar ki tasweer kisi bhi tarah ki ho bila zaroorat uska dekhna jaaiz nahi; lihaza us par jo ujrat li jaaegi vah bhi jaaiz nahi hogi.
3- In istihaaraat- ad me khawateen ki tasweer bhi hoti hai, jin ka dekhna bad nazree ki wajah se mustaqil gunaah hai.
4- Nez is maamle me jis tareeq par us site ki publicity ki jaati hai, jis me pahle account banane wale ko naye account banane wale ka commission milta Rehta hai, jab ke usne us naye account banwane me koi amal nahi Kiya, us bila amal commission lene ka muaaidah karna aur us par ujrat lena bhi jaaiz nahi.
Shareeat me bila mehnat kamaai ki hosla shaknee ki gayi hai aur apni mehnat ki kamai haasil karne ki targeeb di gayi hai aur apne haath ki kamai ko afzal kamaai qarar diya hai. Hadeesh shareef me hai:
Aap Sallallahu alayhi Wasallam se poocha gaya ke sab se paakeezah kamai kon si hai?
To Aap Sallallahu alayhi Wasallam ne farmaya ke Aadmi ka khood apne haath se mehnat karna aur har jaaiz aur maqbool tijarat .
SHARHE MISHKAT
Lihaza halaal kamaai ke liye kisi bhi aise tareeqe ko ikhtiyaar karna chahiye jis me apni mehnat shaamil ho, aisi kamaai zyadah baa-barkat hoti hai.
DARUL IFTA BINORIA FATWA TAWUN NO.144291200635
BA HAWALA MUVASTUL FIQHIYYATUL QUVVITIYYAH 1/290
و الله اعلم بالصواب
✍🏻Mufti Imran Ismail Memon Hanafi
🕌 Ustaze Darul Uloom Rampura wa Secretry jamiate ulama Surat, Gujarat, India.
⭕AAJ KA SAWAL NO.2743⭕
Video game khelna kaisa hai ? is me na shart hai na in’aam ka laalach balke nishanah baazi driving wagairah ki practice hoti hai vacation me bachchon ka jee bahelta hai aur badon ka time pas ho jata hai
🔵JAWAB🔵
حامدا و مصلیا و مسلما
Haz. mufti yusuf ludhyanvi shaheed Rahmatullahi alayhi tahreer farmate hain ke video game dekhne walon ke mushahidah se jahaan tak pataa chala aur haqiqat mal’alum huyi yeh khel chand wuzuahat se shara’an jaiz nahin.
1⃣ Is khel me deenee, jismani koi faidah maqsud nahin hota aur jo khel in donon faidon se khali ho woh jaiz nahin.
2⃣ Is me waqt, rupya (mb) zayea hoti hai.
3⃣Namaz,zikr se gafil karnewala hai.
4⃣Sab se sakht nuqsaan yeh hai ke is khel ki aadat padne par chhodna mushkil hota hai (vakil,doctor aur imam ban jata hai lekin nahin chhutti hai)
5⃣ Ba’az game me music hoti hai jis ka sunna haraam hai.aur tasweer bhi hoto hai jis ka bila zaroorat istiamal mana hai
6⃣ Is khel se bachchon ko agarche dili khushi aur lazzat hasil hoti hai lekin na-jaiz chizon se lazzat hasil karna bhi haraam hai balke ba’az fuqahaa (masail ke maahir) ulamaa ne kufr tak likha hai.
7⃣ is se bachchon ka zahan kharaab hota hai mardhad sab ki maut aur sab ke nuqsan me apni kamyabi ka mijaz Banta hai
8⃣ taalim-tijarat,noukri aur ghar ke zaruruli kaamon me khalal waqea hota hai.
9⃣bachchon ko padhai aur dusre faidah wale kaamon me dilchaspi nahin rehti.
1⃣0⃣ Bachcha maa bap ka naafarmaan ban jata us khael ke dauran koi bhi kaam karne ko kaho nahin karega.
1⃣1⃣ zayada khelne ki wajha se mizaj me chidchida pan paida hota hai aur gussa jaldi aata hai.
1⃣2⃣ log apne farig waqt me aksar video game khelne ki wajha se jismani warzish wale khel se mahroom rehte hai jis se un ke jism ki charbi badh kar gair zarooree wazan badhta hai.
1️⃣3️⃣Aaj kal gaim ki achchhi tarah khelne ke liye company paison se khiladi ke liye bandook, jakit wagairah saaman online paisa dene se bechti hai bachche apne Walid ka acaunt aahista aahista khatm kar dete hai navjawan apna jama kiya huwa rupiya is tarsh fizool barbad kar dete hai.
1️⃣4️⃣ Sadi gain khelte khelte fir aesi gaim bhi khelne lagta hai jis me Paisa lagane ke baad har jit hoti hai ye juwa jo ke haraam hai
in mazkoorah wujoohat ki binaa par yeh khel baari ta’ala ke irshaad ka misdaaq hai “baz log apni jahaalat se khel tamashe ikhtiyar karte hai aur us me paisah kharch karte hain taake allah ki raah se logon ko bhatkaawe aur deen ki baaton ko khel tamasha banaate hain inhi logon ke liye zillatwala azaab hai (surah e luqmaan ayat no.6)
Haz. Hasan rah. “lahwal hadees” ke mutalliq farmate hain ke aayate mazkoorah me lahwal hadees se muraad har woh chiz hai jo allah ki ibaadat aur us ki yaad se hataanewali ho masalan fuzul khel kud,fuzul qissah goi,jokes,hansi mazaaq ki baten fuzul bahas aur gaana bajana wagairah
video game me yeh saree kharabiyan mavjood hain isliye video game naajaiz hai isme waqt aur paisaa lagaana naajaiz hai aur is ko chhod dena laazim-zaruri hai
📗AAP KE MASAIL AUR UN KA HAL PURANA NUSKHA 7/336
📘NAYA TAKHRIJ SHUDA NUSKHA 8/442 SE MAKHOOZ MAA IZAFA AZ AHQAR
و اللہ اعلم
✏IMRAN ISMAIL MEMON HANFI GUFIRA LAHOO
USTAZE DARUL ULOOM RAMPURA SURAT GUJRAT INDIA
DIGITAL TASWEER KA HUKM: PART 1
⭕AAJ KA SAWAL No. 2794⭕
SAWAL: Digital tasweer me hurmat ke hukm ke saath zarurat ke daa’ire me ulama jawaaz ka hukm dete hai, Ab daryaaft talab amr ye hai ke zarurat ke hudood me ta’yeen kese hogi, Aur zarurat ka daa’ira e kaar kese muta’ayyan kiya jawega? Masalan deene islaam ki isha’t-felaw ke liye digital video aur tasweer kaa istimaal , Madaaris ke talabaa ki sar garmiyo ki video banaana, Siyaasi sar garmiyo me tasweer banaana, Islaami bayaanaat wagerah, Kiya ye sab zarurat me daakhil hail? Is tarah ki wujuhaat se to college aur University ko bhi saamna hai, Kehne ka maqsad ye hai ke zarurat kaa daa’iraye kaar-had kiyaa hai, Aur kese zarurat ka ta’ai yun kiya jaye?Quraan wa sunnat ki roshni me jawaab matlub hai.
🔵JAWAB🔵
حامدا و مصلیا مسلما
Digital tasweer aur video ke hawaale se 3 qism ki raay hai , jo ke darje zel hai:
1 _ Digital video aur tasweer saaya ya paani aur shisha me dikhaa’i dene waale aqs ki tarah hai, lihaaza jis cheez kaa aqs aur saayaa dekhna jaayiz hai , uski digital tasweer kheechna bhi jayiz hai, Aur jis cheez ka aqs dekhna aur direct dikhaana naa jaayiz hai to us ko Digital mashine se dekhnaa bhi naa jayiz hai.
2- Digital tasweer aam print waali tasweer ki tarah hai , Aur sirf sakht zarurat ke moqe par uski gunjayish hai, sakht Zarurate ka matlab ye hai ke jaan wa maal yaa izzat wa aabru ko koi khatrah ho to majboori ke waqt me uski gunjaayish hai.
3- Digital tasweer bhi tasweer ki taarif- defence me daakhil hai, Albatta uske tasweer hone ya na hone me ulamaa ki ek se ziyaadah aara- raay mojood hain, Is liye kisi waaqi aur mo’a tabar deeni ya dunyaawi zarurat aur haajat wa maslihat ke liye Aese manaazir ki tasweer aur video banaane ki gunjaayish hai, ke jin me tasweer ke alaawah hurmat ka koi aur pehlu mojud na ho, jese music aur khawaateen wagairah ka hona .
Ye tisree raay hamaare Darul iftaa ki hai, Is liye ba waqte zarurat wa haajat aur mo’a tabar deeni maslihat se digital tasweer banaane aur dekhne dikhaane ki gunjaayesh hai, Albatta chun ke usme dusri raai bhi mojud hai isliye ihtiyaat ka taqaazah ye hai ke bila zarurat wa haajat sirf shoqiyah tasweer banaane se parhez kiya jawe.
Digital camera se banaa’i gayee aisi video jis me jaayez hudood me tafreehi mawaad ho, use dekhna shar’an jayez hai, lekin jis vidyo ke andar na mahram khawaateen ki tasweer ho ya music ho ya fahash manaazir ho, aisi tafrihi vidyo dekhna shar’an jaayez nahi hai,
Wazeh rahe ke digital camera se muta’alliq jin ulama ne jawaaz ka fatwa diya hai wo haajate shar’i yah (Zarurat ke mawaaqe par) istimaal ke liye diya gaya hai, Lihaaza bila zarurate shar’iyyah mahaz tafreeh ya yaadgaar ke liye istimaal karne se ihtiyaat katna behtar hai.
و الله اعلم بالصواب
📥Makhooz az Darul ifta Jamiatur Rasheed Karachi fatwa no 73396
📨Darul ifta jamiatul Uloom Islamia binori town
Fatwa number 144105200068 se makhooz
✍🏻 Mufti Imran Ismail Memon Hanafi
🕌 Ustaze Darul Uloom,
Rampur Surat, Gujarat, India
BILA MAJBOORI DIGITAL TASWEER LENA PART .2
⭕AAJ KA SAWAL No. 2795⭕
Aaj kal baaz ulama mobile me apne icon, tweeter , Facebook wagairah par tasweer rakhte hain baaz jagah masjid me bhi ulama ke bayan ki video utarne lagi hai ulama khud bilkul rokte nahi hain halan ke bade bade ulama ki usee mavzooa par taqarir YouTube par mavjood hai lihaza Bila zaroorat apni tasweer rakhna ya video masjid me utarwane ka kya hukm hai?
Baaz ulama is se bahut bachte hain aur baaz bilkul ehtiyat nahi karte aisa kyun hai?
🔵JAWAB🔵
حامدا و مصلیا مسلما
Shaikhul Islam hazrat mufti Taqi usmani sb db tahreer farmate hain ke Hamaare nazdeek tasweer ke bare me rajeh raay ye hai ke jab tak tasweer paayedaar (fix taur par) kisi cheez par chhapi hui na ho, Un par tasweer ke ahkaam jari nahi hote, lekin ek lihaaz se ehtiyaat pehli raay (bila majboori tasweer jaiz na ho) us me hai, jaisaa ke zaahir hai, Aur doosre lihaaz se hame ehtiyaat doosri aur teesri raai me maalum hoti hai, (kal ke fatwe part 1 me 3 raay guzar chuki) Kyun ke deene islaam par dush’manaane islaam ki yalgaar ( hamle )electronic media ke zariye jo munaz’zam tareeqe se ho rahi he ,Us se difaa karna bhi ummat ki zimme daari hai, jis se hat tal imkaan zimma bari hone ke liye electronic media, Television ke aise istimaal ko sab ke samne laane ki zarurat hai , jo be hayai aur gunahon se paak ho,
lihaaza jo hazraate ulamaa e kiraam mazkoorah baala teen aara mese kisi se muttafiq hon, Aur us par amal karen wo sab qaabile ehteraaam hain, Aur un mese koi bhi hamaare nazdeek bura kehlane ke mustahiq nahi.
Fatawa darul uloom zakariya me hazrat mufti razaul haq sb db likhte hain
Pehli raay India ke aksar bade darul ifta ki hai ke tasweer har haal me aur surat me tasweer hee ke hukm me hai bila sakht zaroorat jaiz nahi chahe nayi technology ki tasweer ho daleel me kehte hai ke koi electronic tasweer ki leptop par puja shurooa kare ya us but ki tasweer ka bord masjid me lagaye to yun kehkar ke ye to aqs hai jami hui tasweer nahi jaiz hoga?
Koi talwar ke bajaye aag ki dhar se, mizail se qatl kare aur yun kahe ke us me insan ke kaam ka dakhal nahi jaiz hoga? lihaza haraam woh haraam hee rahega chahe us ka zariya badal jaye
Chunaan che ulamaay e kiraam ki ye jamaat kehti hai ke new technology se tasweer lene waale do qism ke log hain,Ek wo jo galat maqaasid ke liye ya fuzool tasweeren lete hain, Unka ye kaam na jaaiz hai, Is liye ke is tasweer lene me deeni zarar wa fitna hai, Aur ye kaam akhlaaq ko bigadnewala hai, Aur be shumaar fitnon ka darwaaazah hai, Is liye ye najaaiz hai,
Dusri qism wo log hain jo saheeh maqsad ke liye ya kisi zarurat ke liye tasweer banwaate hain,
Agar nayi machinery ki tasweer ko ham haraaam tasweer ke andar daakhil karden to ummate muslimah harje azeem me mubtala ho jawegi, jis se badon aur ulamaa se lekar ek adna musalmaan tak gunaah se nahi bach sakenge, Uski misaal mulaahazah farmaawen ,Taake harje azeem samajh me aajaawe,
Be shumaar ulama sulaha nafli hajj,Dost wa ahbaab ki mulaaqaat,wa’az wa nasihat ke liye pasport ke saath beruni mamaalik ka safar karte hain,Passport ,Visa ke liye photo zaruri hai,Is liye photo nikal waate hain,Aur istemaal karte hain,mazkura baala safar mustahab hai ya sirf jaiz,Agar nayi machinery ki tasweer ko ham haraam keh de to kiya mabaah ya mustahab ke liye haraam ka irtikaab jaaiz ho saktaa hai? Bilkul nahi, Agar beruni mustahab safar ke liye daadhi ka mundwaana zaruri qaraar diya jaawe to kiya jaaiz ho jaawega?bilkul nahi, Is liye ulama ki is jamaat ke nazdeek mojodah tasweer jo jadeed aalaat se li jaati hai aur aage usme safaa’i (tasweer dhona) wagerah ka insaani dakhal nahi hota, Us ke nazdeek tasweer nahi,lihaza
bilkul jaiz ki raay rakhne wale Apni pehchan ke liye icon,wagairah par rakhen ba sharte ke khud numai,shohrat ki niyyat na ho aur is ka Talluq dil se hai lihaza hame kisi se badguman hone ya aetraz ka haq nahi lekin us se hame bachna behtar hai rahi bat masjid me video utarwane ki to pehli raay ke mutabiq jaiz nahi hai lihaza Allah ke ghar me agar us raay rakhnewale ulama ho to un ki raay ka bhi aehtaram karte huwe bachna behtar hoga lekin koi kar hee Raha hai to woh bhi bura bhala kehlane ke laiq nahi kyun ke un ke pas bhi apne dalail hai jaise ke upar guzar chuka
Haan agar kabhi kahin behayai aur deeni zarar par woh mushtamil ho to fir na jaiz hoga.
📗FATAWA DARUL ULOOM ZAKARIYA JILD 7 SAFA 688 SE 693 SE MAKHOOZ.
و الله اعلم بالصواب
✍🏻 Mufti Imran Ismail Memon Hanafi
🕌 Ustaze Darul Uloom,
Rampur Surat, Gujarat, India
ROZAH, NAMAZ YA DEEN KI KOI BAAT PAR JOCKS YA HASNE KE LIYE VIDEO BANANA
⭕ AAJ KA SAWAL 2816⭕
Aaj kal social media me logon ko hasane ke liye rozah, taravih, zakat par jokes likhe ja rahe hain aur video banaye jaa rahe hain jiska maqsad logon ko hasana aur saath saath me kuchh sikhna bhi maqsood hota hai lihaza aisa karne ka kya hukm hai?
🔵JAWAB🔵
حامدا و مصلیا و مسلما
Allah ke hukm aur Nabi SALALAHU ALAYHI WASALLAM ke tareeqe balke deen ki kisi bhi baat ka mazaq udana, us me aib nikalna, uska inkaar karna ya use haqeer (ma’amuli) samjhne se, mo’amin kafir ho jaata hai
uska koi achchha maqsad ho to bhi iman ke jaate rehne ka khatrah hai
lihaza aise jokes, video banane se aur usko aage share (forward) karne se bahut hee darne ki zarurat hai iman ki hifazat ke liye usse bachna lazim aur zaruri hai.
📗UMDATUL FIQAH 69
و الله اعلم بالصواب
✍🏻Mufti Imran Ismail Memon Hanafi Chishti.
🕌 Ustaze Darul Uloom Rampura, Surat, Gujarat, India.