HALAT E HAIZ ME BIWI SE LAVATAAT KARNA 1505
A.
Ek shakhs bivi se lavataat karta hai, (ya’ani pichhe ke raaste se khwahish poori karta hai) iska yeh karna kaisa hai ?
Agar aisa ho gaya to iski talaafi ki kya soorat hai ?
Agar mard ke saath kare to iski talaafi ki kya soorat hai ?
B.
Haalat e haiz me kabhi apni khvahish se bivi se lavataat karta hai, kabhi haath se fayda uthata hai, mani khaarij karvata hai, kabhi bivi ke jism per ragad kar khvahish poori karta hai, inka karna kaisa hai ?
Agar aisa ho gaya to iski talaafi ki kya soorat hai?
JAWAB: حامد و مصلیا و مسلما
A. B.
Lavataat kisi bhi haalat me jaiz nahin, khvah bivi paak ho ya Haalat e haiz me ho, agar aisa galat kaam ho jaaye, to sachche dil se taubah va istigfaar laazim hai.
Aur behtar hai ke taubah ki niyyat se kuchh sadaqah bhi kar de.
Aur khvahish ka takaazah kuchh is qadar ho, ke gunaah me mubtalah hone ka andesha ho, aur bivi na-paaki me ho, To aurat ki naaf se lekar ghutne ke alaavah jism ke hissah, masalan haath vagairah se lazzat poori karne ki gunjaish hai, aur raan vagarah se bina kuchh haail fayda uthana jaiz nahin.
SHAAMI 9/487
و اللہ اعلم بالصواب
Mufti Imran Ismail Memon Sahab.
Ustad e Darul uloom Rampura Surat Gujarat India.
ISLAMI TAARIKH: 24 MUHARRAM 1440 HIJRI.
JIMAA-SUHBAT KARNE KA MASNOON TAREEQA AUR US KE ISLAAMI AADAB KYA KYA HAI ?
JAWAB
حامدا و مصلیا مسلما
1. Sukoon ka zariya y’ani bivi ke mil jane par Allah ki ne’amat ko dilo dimag me haazir karna.
2. Bivi ke haq ki adaaygi aur nek awlaad ko haasil karne ki niyyat karna.
3. Khushbu lagana.
4. Muhabbat ka izhaar karna aur muhabbat ki baten karna.
5. Suhbat ke waqt qibla rukh na hona.
6. Suhbat se pehle boso lena, gale lagana, wagairah ke zariye aurat ko maanoos-Qareeb aur taiyyar karna.
7. Suhbat se pehle satar chhupa kar BISMILLAAH aur ye duaa parhe.
ALLAAHUMMA JANNIBANASH SHAYTAAN WA JANNIBISH SHAYTAAN MAA RAZAQTANAA
8. Sharmgaah ko na dekhna.
9. Chadar oudh lena, bilkul barehna-nangaa na hona.
NOTE : Aurat se jis tarah se chahe (Khade khade, bethe bethe, karwat ke bal wagairah tareeqe se )suhbat kar sakta hai albattah aage ki sharmgah hi me suhbat kare, pichhe ke raaste me suhbat karna jaiz nahi.
10. Mani nikalte waqt dil me ye duaa parhna
ALAAHUMMA LAA TAJ’AL LISH SHAYTAANI FEEMAA RAZA’QTANEE NASEEBA
11. Bivi ki taskeen ka khyal rakhe (use jab tak inzal na ho ya jab tak woh alaahida na kare juda na ho)
12. Dobaarah suhbat ka iraadah ho to darmiyaan me wuzu kar lena.
13. Haalate janaabat-napaki ki haalat me sone ka iraadah ho to wuzu kar lena,
14. Haalate janaabat me khaane pine se pehle hath dho lena,
15. Sakht bhuk ya bhar pet hone ki haalat me suhbat na karna,
16. Suhbat me had se aage na padhna (ek dusre ki sihhat ka khyal karte huwe limit me suhbat karna aur aese tareeqe se suhbat na kare ke bivi ko taklif ho)
17. Suhbat ki baton ka kisi se tazkira na karna.
و الله اعلم بالصواب
SUNANO AADAB DABHEL SAFA 345
NOTE:
HAR ADAB KA MU’TABAR HAWALA IS KITAB ME ALAG SE BHI DIYA GAYA HAI.
ISLAMI TAREEKH :
7 RABEEUL AWWAL1441 HIJRI
Mufti Imran Ismail Memon Hanafi
Ustaze Darul Uloom Rampura, Surat, Gujarat, India.
⭕AAJ KA SAWAL NO.2614⭕
Bivi ke pistan munh me le sakte hain ?
Agar koi bivi ka doodh pile to kya bivi haraam ho jayegi ya nikah par koi asar padega?
🔵 AAJ KA JAWAB🔵
حامدا و مصلیا و مسلما
Haan, Bivi ke pistan munh me le sakte hain aur dudh agar munh me aa jaye to use fauran thuk de agar koi pi gaya to bivi haraam to nahi aur na nikah par koi asar pada. lekin usne yah ganda aur gunah ka kaam kiya, aaindah aisi harkat na karne ka ahad kare aur isse taubah kare.
📗FATAWA QASMIYA 22/51
و الله اعلم بالصواب
⭕AAJ KA SAWAL NUMBER 2616⭕
Halate haiz me ya waise hi bivi se aage ke bajaye pichhe ke raaste se suhbat ki, to kya is se nikah toot jata hai ?
Agar aisa kar liya to is ki talafi ki kya surat hai?
🔵JAWAB🔵
حامدا و مصلیا و مسلما
Is gair insani harkat se nikah nahi tutega, agarche yah intihai bura aur sakht tareen Kabeera gunah hai is se sachche dil se tauba aur istigfar karna zarooree hai, aur tauba ki niyyat se kuchh sadqah bhi kar den.
📗KITABUN NAWAZIL 8/555
و الله اعلم بالصواب
KIN AYYAM ME BIWI SE TA’ALUQ QAAIM NAHI KAR SAKTE?
⭕AAJ KA SAWAL No. 2621⭕
Woh konse makhsoos ayyam hain Jinme Shohar biwi se, miya-biwi ke ta’aluq qaaim nahi kar sakta?
🔵JAWAB🔵
حامدا و مصلیا مسلما
Qur’an Majeed ne haizo-nifaas ki haalat me sohbat se mana Kiya hai:
فاعتزلو انسآء في المحيض ولا تقربوهن حتى يطهرن،
Isliye is haalat me biwi se ta’aluq paida karna haraam hai. Agar janabat ki haalat ho to haram nahi.
Isee tarah agar aurat ki sehat uski muhtammil (bardasht) na kar sakti ho, aur Doctor ne sohbat se mana Kiya ho, ya mard kisi aisi khatarnaak bimari me mubtala ho jo sohbat se mut’addi-transfar hoti ho, to aurat Ko hambistari ke liye majboor karna durust nahi. Kyu ke ye aurat Ko nuqsan pahunchana hai, aur zaahir hai ki uski ijaazat nahi.
(Is ke alawah koi aise khas din-peer, budh wagairah ya koi waqt nahi hai jis me shareeat ke aetibar se sohbat mana ho)
و الله اعلم بالصواب
EK DUSRE K JISM KO DEKHNA,CHHUNA
⭕AAJ KA SAWAL NO.2634⭕
Miyan bivi ka ek dusre ke jism ko barehna (nanga) dekhna aur sharmgahon ko chhuna hayaa ke khilaf hai ya gunah bhi hai?
🔵 AAJ KA JAWAB🔵
حامدا و مصلیا و مسلما
Miyan bivi ka ek dusre ke jism ko barehna dekhna ya sharmgahon ko chhuna jaiz hai, ma’asiyat aur gunah nahi,
Haan albattah hayaa ke khilaf hai.
📗FATAWA QASMIYAH 23/49
BA HAWALA
📙FATAWA MAHMOODIYAH QADEEM 14/387,DABHEL 18/623
BA HAWALA
📘HIDAYAH 4/461‘’
و الله اعلم بالصواب
MARD AUR AURAT JAB PAAK HAI TO UN KI SHARMGAH KA ZAHIREE HISSA PAAK HAI YA NAPAK..?
SAWAL
MARD AUR AURAT JAB PAAK HAI TO UN KI SHARMGAH KA ZAHIREE HISSA PAAK HAI YA NAPAK..?
AGAR HAMBISATAREE KE WAQT MARD AURAT KO APNI SHARM GAH MUNH ME DEWE YA CHATAYE YA US KI SHARMGAH CHUME TO JAIZ HAI YA NAHI?
AESA MASAIL PUCHHNE SE SHARM MAHSOOS HOTI HAI LEKEEN ZAROORATAN DARYAFT KIYA JATA HAI.
JAWAB
Hazrat saiyyad mufti abdur raheem lajpooree rahmatullahi alayhi tahreer fatmate hai ke
deen ke masail aur ahkaam daryaft karne me sharmo haya ko aad nahee banana chahiye. Agar sharmo haya ka lihaz kar ke deenee ahkam maloom na kiye jayen to sharee ahkam ka ilm kaise hoga?
Quraan me hai, Allah taala haq baat kehne me kisi ka lihaz nahi karta.
Be shak sharm gah ka zahiree hissa paak hai lekeen ye zarooree nahi ke har paak cheez ko munh lagaya jaye aur munh me liya jaye us ko chuma jaye aur chata jaye.
naak ki rutoobat -nik sende-paak hai to kiya naak ke andar ke hisse ko zuban lagana aur us kee rutoobat ko munh me lena pasandeedah aadat ho sakti hai? Aur us ki ijazat ho sakti hai..!?
Pakhane ki jaga ka zahiree hissa bhi naapak nahi. paak hai to kiya us ko bhi chumne chatne ki ijazat hogi..?
Nahi, hargiz nahi. isee tarah mard kee apnee sharmgah aurat me munh me dena jaiz nahi. sakht makrooh aur gunah hai.
Jis munh se woh Allah ka naam letee hai. huzoor sallahu alyhe wasallam par durood shareef padhtee hai. quran shareef padhtee hai us munh me napakee dalne ko kaise gawara kiya ja sakta hai! astagfirulah!
Ek Shayar kehta hai,(farsi shear ka tarjamaa)
‘hazaar bar dhowun apne munh ko mushko gulab se
Fir bhi tera naam lena kamale be adabee hai.’
Ye gair qaumon ka culture hai aur print aur electronic midea ke galat istiamal ki nahoosat hai jo islamee mijaz ke bilkul khilaf hai. sharn gah chumna kutton, bakron wagaieah haywanat ki khaslat ke mushabah hai. aur munh me dena to aesi buree cheez hai ke nar janwar bhi apnee maadaon ke sath aesa nahi karte.
Ye to us surat me jab mard ki sharmgah ke sakhti paida na hui ho aur sakhti paida ho gai ho fir bivi ke munh me sharmgah me dee jaye to mazee (mani se pehle nikalnewala pani) ka nikalna yaqeenee hai aur mazee galeez najasat aur sakht napaa hai. napaki ko munh me dena aur lena haraam hai. aur aaj kal ki gairon ki tahzeeb me mukh methun karna yani munh me mani kharij karne sakht haraam aur intihaee gheenawani harkat hai.
(fatawa raheemiyah jadeed 10/178 ba hawala aalamgiree hazfo izafe ke sath)
Allah taala puree ummat ki gairon kibtahzeeb aur midea ke galat istiamal se pooree hufazat farmayen. Aameen.
Dobara Sohbat Ke Liye Pehle Ka Gusal Zaruri He??
APNI BIWI SE EK MARTABAH SOHBAT
KARNE KE BA’AD AGAR DO BAARA SOHBAT KI KHWAAHISH HO TO…..KYA DO BARAA SOHBAT KARNE SE PEHLE GUSL-E-JANAABAT KARNA ZARURI…………HAI…?
JAWAB
DO BAARA SOHBAT KARNE KE LIYE GUSAL KARNA ZARURI NAHI HAI, AL-BATTAH GUSAL KARLENA BEHTAR HAI, AUR……..AGAR GUSAL NA KARE TO…..KAM AZ
WUZU BANA FIR DO BAARA SOHBAT KARE.
WALLAHU AALAM.
FATAWA USMANI-1/332
SHARMGAH BHI DHO LEWE TO ZAYADAH BEHTAR HAI
(AADABUL MUBASHARAT)
JAWAB FROM
MUFTI IBRAHIM PALANPURI SAHAB D.B.
SOHBAT KA KHWAB DEKHNE PER GUSAL KA KYA HUKM HE ?
SAWAL
SOHBAT KA KHWAB DEKHNE PER GUSAL KA KYA HUKM HE ?
Jawab
Sote me sohbat karne ka khwab dekha aur maza bhi aaya, lekin aankh khuli to dekha ke mani nahi nikli he to us per gusal wajib nahi he, han agar mani nikal aai ho to gusal wajib he.
Aur agar kapde ya badan per kuch bhiga maalum ho, lekin ye khyal ho ke ye mazi he mani nahi he, tab bhi gusal karna wajib he
CHADAR PER MANI KA DHABBA DEKHE TO KYA KIYA JAE ?
SAWAL
CHADAR PER MANI KA DHABBA DEKHE TO KYA KIYA JAE ?
Jawab
Miya-biwi ek palang per so rahe the, jab uthe to chadar per mani ka dhabba dekha, aur sote me khwab ka dekhna na mard ko yaad he na aurat ko to dono naha le, ahtiyat isi me he, kyu ke maloom nahi ke kis ki mani hai
BAGAIR JOSH KE MANI NIKLE TO ISKA KYA HUKM HE ?
SAWAL
BAGAIR JOSH KE MANI NIKLE TO ISKA KYA HUKM HE ?
Jawab
Mani agar apni jagah (peeth) se josh ke saath juda na ho, to agarche khas hisse se bahar nikal aae gusal farz na hoga, jaise kisi aadmi ne koi bojh uthaya ya unche se gir para ya kisi ne usko maara aur sadme ya kisi bimari se uski mani bagair josh ke nikal aai, to gusal farz na hoga.
SOPARI (SHARMGAH KA AAGE KA GOL HISSA) SE KAM DAKHIL KARNAE SE GUSL WAJIB HOGA?
SAWAL
SOPARI (SHARMGAH KA AAGE KA GOL HISSA) SE KAM DAKHIL KARNAE SE GUSL WAJIB HOGA?
Jawab
Agar koi mard apne khas hisse ka uzw hashfe ke sar (sopari, gol hissa) ke miqdar se kam dakhil kare, tab bhi gusal farz na hoga.
Bahishti zewar aur umdatul fiqah se makhooz
JANABAT KI HAALAT KE AHKAAM KYA HE ?
JANABAT KI HAALAT KE AHKAAM KYA HE ?
NAPAKI ME KHANA PINA
Jis Per Nahana Wajib Ho Wo Agar Nahane Ke Pehle Kuch Khana-Pina Chahe To Pehle Haath Aur Munh Bhi Dho Le Aur Kulli Kar Le, Tab Khae-Pie. Aur Agar Bagair Hath-Munh Dhoe Kha Pi Le Tab Bhi Koi Gunah Nahi He.
NAPAKI ME ZIKR O TILAWAT
Jinko Nahane Zarurat He Unko Quran Ka Chhuna Aur Uska Parhna Aur Masjid Me Jana Jaaiz Nahi He, Aur Allah Taala Ka Naam Lena aur Kalima Parhna Aur Durud Sharif Parhna Jaaiz He.
NAPAK AADMI KA MASJID AUR MADARSE ME JAANA
Is Haalat Me Masjid Me Dakhil Hona Haraam He. Eidgah Me Aur Madrasa Aur Khanqah Me Jaana Jaaiz He.