Koi bhi card se payment kar ke online mobile wagairah kharid ke baad ya bijli ka bil mobile recharg karane ke baad offer me cashback kuchh feesad-take paisa wapas aata hai kya vo jaiz hai ya nahi.
Kya usko discount ki tarah gina ja sakta hai
JAWAB
حامدا و مصلیا و مسلما
Agar ye cashback sbi- stet bank of india wagairah bank ke debit card istiamal karne par milta hai to ye khareedar ko shoq paida karne aur ubharne ke liye ek tarah ka inaam aur bakhshish hai take un ka online tranjesion zayada ho ye bhi jaiz hai.
Agar ye casghback bank ne hi khud khol rakha hai jaise ke paytm easy paisa m-paisa wagairah compani deti hai to jaiz hai kyun ke bechnewale ko qeemat kam lene ka bhi ikhtiyar hota hai lihaza ye shakal bhi jaiz hai
QUDOORI KITABUL BUYOOA SAFA 12
MUWASATUL FIQHIYYAH AL QUWETIYYAH SE MAKHOOZ
Mufti IMRAN ISMAIL MEMON SURAT GUJRAT
TASDEEQ :MUFTI JUNAID PALANPURI JOGESHWARI MUMBAI
و الله اعلم بالصواب
ISLAMI TAREEKH :
JUMAD AL ULAA 1440 HIJRI
Mufti Imran Ismail Memon Hanafi Chishti.
Ustaze Darul Uloom Rampura, Surat, Gujarat, India.
MANGVAYI HUI CHEEZ YA PAISON ME APNI MARZI CHALANA
⭕AAJ KA SAWAL NO.2570⭕
1. Agar kisi shakhs ne ek admi ko koi cheez kharidne ko kahaa aur paise apne paas se diye to is vakeel ko Jaiz hai ke yah pausa kisi zaroorat se apne kaam me laye? fir muakkil (mangwane wale) ko apne paise se cheez khareed kar dede ?
2. Kharidne ke baad vakeel woh Cheez laa raha tha ke raste me vakeel se ek dost ne kahaa ke yah cheez mujh ko de do aur tum dusri, baazar se kharidkar muakkil (mangawane wale) ko de do to vakeel (lene wal ko aisa karna jaiz hai?
🔵AAJ KA JAWAB🔵
حامدا و مصلیا و مسلما
Vakeel (laane wala) shareeat me amanatdar hota hai amanat ko is tarah ka tasarruf (apni marzi ke mutabiq kisi kaam me istiamal karna) na-jaiz hai. (woh note bhi badalne nahi chahiye) agar woh paie apne kaam me apni marzi se isteamal kar liye to zaamin hoga (agar woh paise ya layi hui cheez bagair galaty kare, kho jaye (barbaad ho jaae) to vakeel (laane wale) ka apna nuqsan samjha jayega ab mangwane wale ka nahi) woh ameen (amanatdaar) nahi raha
(Agar apni marzi me Isteamal na karta woh note ya cheez mahfooz rakhta aur woh cheez bagair bhul ke barbaad ho jati to uska paisa vakeel (laane wale) ko dena nahi padta woh nuqsan muakkil mangwaane wale ka hee hota)
2. Muakkil (mangwane wale) ke paise se jo cheez kharidi hai usko kisi dost ke haath me bechna durust nahi yah maalik ki bagair ijazat ke soda hoga jo mangwane wale asal maalik ki ijazat par mavqoof rahega woh haan kahe to kisi ko woh cheez bechna sahih aur na kahe to kisi dost ko bechna sahih nahi wohi cheez kisi ke paas se wapas lakar asal mangwaane wale dena zarooree hai.
📗fatawa mahmudiya (dabhel) jild 16/safa 455 se makhooz aasan karne ke sath
و الله اعلم بالصواب
MULAZIM KA MUTA’AYYAN BHAW SE ZAID QEEMAT PAR BECHNA
⭕ AAJ KA SAWAL NO.2582⭕
Dukan ke malik ne cheezon ka daam mulazim ko bataye hain, mulazim usko ziyadah qeemat me bechta hai masalan kisi cheez ka 60 rupiye daam hai to mulazim us cheez ko 70 rupiye me bech kar das rupiye apne paas rakhta hai aur 60 rupiye malik ko deta hai to kya is tarah mulazim ko 10 rupiye lena jaiz hai?
🔵JAWAB🔵
حامدا و مصلیا و مسلما
Us mulazim ki haisiyat bechne ke wakeel ki hai isliye puchhi hui surat me agar usne us cheez ko jis ke mutalliq malik ne use 60 rupiye me bechne ko kaha tha usne 70 me becha to bechna durust aur saheeh hai lekin zaid raqam 10 rupiye bhi malik ki milk samjhe jayenge woh mulazim woh raqam apni jaib me nahi rakh sakta, agar aisa kiya yo yah khayanat hai.
📘MAHMOODUL FATAWA 3/16
و الله اعلم بالصواب
⭕AAJ KA SAWAL No. 2585⭕
Mere chappal ek shakhs bila ijazat pahan kar gum kar diye to kya me us shakhs se chappal ki qeemat wusool kar sakta hun?
Agar wusool kar sakta hun to kitni qeemat lun meri chappal isteamal ki hui thi.
🔵JAWAB🔵
حامدا و مصلیا مسلما
Puchhi hui surat me aap chappal ki qeemat wusool kar sakte ho aur aap ki isteamal ki hui chappal ki jo bazari qeemat (value) ho utni qeemat wusool kar sakte ho.
📗MAHMOODUL FATAWA 7/374
📘BA HAWALA DURARUL HUKKAAM
و الله اعلم بالصواب
Duplicate note aa jaye to kya kare?
⭕AAJ KA SAWAL NO.2600⭕
Tijarat me agar rupiya paisa khota (duplicate) aa jaye to kiya kare?
🔵AAJ KA JAWAB🔵
حامد ومصلیا و مسلما
Agar ma’alum hai ke kis ke paas se aaya hai tab to usee ko de de jis tarah bhi mumkin ho chahe bataa kar chahe dhoka dekar (chupke se isliye ke yah haqeeqat me aapne haq ko hasil karna hai jo jaiz hai)
Agar ma’alum na ho to kisi aur ko dhoka dena jaiz nahi, bataa kar diya jaye, chahe lene wala kam qeemat par le, ya agar kisi jagah usse zulman liya jaye to wahaan bila bataye bhi dena durust hai.
(Jaie baaz sarkari logo ko jo bila rishwat kam nahi karte aur baz zulmi taxes bharne me)
📗FATAWA MAHMOODIYA DABHEL 16/172
BAHAWA DURRE MUKHTAR MAA RADDIL MUHTAR
NOT: upar bataya gaya hai woh sharee hukm hai baqi sarkar ki guide line is bare me jo bhi us ko maloom kar ke follow karna zaroori hai.
و الله اعلم بالصواب
⭕AAJ KA SAWAL NO.2607 HISSAH.1⭕
Raaste me koi cheez mili ya dukan par koi grahak koi cheez bhool gayaa aur woh mili to uska shareeat me kiya hukm hai?
le kar rakh lena kaisa hai ?
🔵JAWAB🔵
حامدا و مصلیا و مسلما
Aisi cheez agar raste me mili aur yah dar hai ke yah cheez zaye’a ho jaayegi ya koi le lega aur asal maalik tak nahin pahonchayega to usko maalik tak pahonchane ki niyyat se uthaa lena aur maalik tak pahonchana wajib hai,
Agar gaalib gumaan hai ke uska maalik khud talaash karega to woh cheez usee ko mil jayegi yah cheez zaye’a nahin hogi to nahin uthana chahiye na uthane se gunehgar na hoga lekin is surat me bhi agar utha liya to asal maalik tak pahonchana waajib hai khud rakh lena durust nahi.
https://chat.whatsapp.com/FYgyvppLMQp8lfUUVEEZaz
📗DARSI BAHISHTEE ZEWAR SAFA 470 SE MAKHOOZ BA HAWALA
و الله اعلم بالصواب
MAALI HUQOOQ KI ADAYGI KA TAREEQA
⭕AAJ KA SAWAL NO.2662⭕
Kisi shakhs par zulm kiya ya kisi se rishwat lee ya kisi ki geebat ki ho aur ab woh mar chukaa hai to us ke in huqooq ki adaaygi ka kiya tariqah hai?
🔵JAWAB🔵
, حامد ومصلیا و مسلما
Avval to poori koshish un ka pataa lagaane me kare.
Agar paita lag jaae to un ka haq pahonchaye ya muaaf karvae.
Agar maloom ho ke woh mar gaye hain to maali huqooq un ke wurasaao ko pahonchado ya muaaf kara do.
Agar wurasaa ka bhi pata na chale to jitni raqam tum ne zulm, chori ya rishwat se lee hai itni raqam khairaat kar do aur niyyat kar lo ke ham un ki taraf se adaa kar rahe hain.
📗HUQUQUL IBAAD SAFA 56 HAKEEMUL UMMAT RAHMATULLAHI ALAYHI KI
و الله اعلم بالصواب
✏Mufti Imran Ismail Memon, Hanafi, chishti, sahab
🕌Ustad e Darul Uloom Rampura, Surat, Gujarat, India.
HARAAM AAMDANI (INCOME) WALON KI NOKRI
⭕AAJ KA SAWAL NO. 2732⭕
Jin logon ki aamdani haraam hai un ke yahaan nokri karna jaiz hai ya nahin?
Isee tarah unko apni koi chhez bech kar un se paisa lena kaisa hai?
🔵 AAJ KA JAWAB🔵
حامدا و مصلیا و مسلما
Jinki aamdani bilkul khalis haraam hai jaise sood lena, sharab bechna, zina ke liye ladkiyon ka intizam karna wagairah to unke yahaan nokri jaiz nahin aur jo tankhwah (salary) usme se milti hai woh halal nahin.
Isee tarah apni cheez unke haath bech kar usee male haraam se qeemat lena bhi halaal nahin.
Haan jin logon ki aamdani (aawak, income) shak wali ya haraam aur halaal mixed (miljhuli) ho ya’ani haraam cheez bhi bechte hai aur halaal cheez bhi lekin halaal cheez ziyadah bechte hai ya haraam ke saath dusra halaal kaarobar bhi hai aur uski aamdani ziyadah hai us waqt unke yahaan nokri karna aur apni cheez unke haath bechna jaiz hai basharte ke tankhwah ya qeemat halaal mal se den ya us maal se den jis me halaal ziyadah ho agarche aisa karna taqwe ke khilaf hai (ya’ani aisa paisa lene se bachna taqwa aur behtar hai)
📗JADEED MUAAMALAT KE SHAREE AHKAAM 1/249
و اللہ اعلم
📝 Mufti Imran Ismail Memon.
🕌 Ustaze Darul Uloom Rampura,Surat, Gujarat,india