Quran


QURAAN HATH SE GIR JANA 1834

Qurraane kareem hath se gir jaye to kitne rupye sadqa karna zaroori hai?

JAWAB

حامدا و مصلیا مسلما
Quraane majeed hath se gir jaye to tauba aur idtigfar kafi hai sadqa karna zaroori nahi hai.

DEENEE MASAIL AUR UN KA HAL SAFA 296 BA HAWALA

FATAWA MAHMOODIYAH 3/542

و الله اعلم بالصواب

ISLAMI TAREEKH :
25 ZEE HIJJAH 1440 HIJRI

Mufti Imran Ismail Memon Hanafi Chishti.
Ustaze Darul Uloom Rampura, Surat, Gujarat, India.

AASMANI KITAB AUR SAHEEFE 1648

Asmani kitab aur saheefe kisekehte hai?

JAWAB

حامدا و مصلیا مسلما

Allah taala ne Hazrat jibrail Alayhis salam ke zariye se aasman se chhoti badi bahut si kitab apne nabiyon par utaari,

taake woh apni apni ummat ko deen ki baten bataye.

un me se chhoti kitab ko saheefe aur badi kitab ko allah ki kitab kehte hai.

ISLAMI AQAAID SAFA 12

و الله اعلم بالصواب

ISLAMI TAREEKH :

12 JUMADUL UKHRA 1440 HIJRI

Mufti Imran Ismail Memon Hanafi Chishti.
Ustaze Darul Uloom Rampura, Surat, Gujarat, India.

TAURAT INJEEL KA TAAARUF AUR HUKM 1651

Asmani kitaben kon kon si hai aur kis kis nabi par nazil hui us ko ham padh sakte hai ya nahi?

JAWAB

حامدا و مصلیا مسلما

Asmani mash’hoor kitaben 4 hai

taurat hazrat moosa Alayhis salam par,

injeel hazrat isaa Alayhis salam par,

zaboor hazrat dawood Alayhis salam par

aur qayamat tak ke liye akhri kitab

Quran hamare nabi huzoor SALALLAHU ALAYHI WASALLAM par nazil hui.

Dusri kitabon ko gumrah aur aawarah mijaz logon ne bahut kuchh badal dala hai,

woh kitaben sab haq aur sach thi us asal kitab par hamara iman hai usee me apne apne zamane ke nabiyon ki ummat ke liye najaat rahi,

lekin ab asal shakal me woh kitaben mahfooz nahi.

lihaza jo baten quraan aur hadees ke muwafiq hogi use ham maanenge aur jo mukhalif hogi use nahi maanenge aur jo na muwafiq ho na mukhalif us bare me ham khamosh hai.

ISLAMI AQAID SAFA 17,18 SE MAKHOOZ

و الله اعلم بالصواب

ISLAMI TAREEKH :
JUMADUL UKHRA 1440 HIJRI

Mufti Imran Ismail Memon Hanafi Chishti.
Ustaze Darul Uloom Rampura, Surat, Gujarat, India.

TAURAT INJEEL KA TAAARUF AUR HUKM 1651

Dusri aasmani kitab bhi allah taala ne hi nazil ki hai to us par amal kar sakte hai?

JAWAB

حامدا و مصلیا مسلما

Quraan nazil hone ke baad agli tamam aasmani Kitab mansookh aur cancel ho gai,

ab woh kitaben asli shakal par mahfooz nahi aur un par amal karna jaiz nahi.

quraan ki hifazat ka wada allah taaala ne kiya hai jaisa nazil huwa tha aaj bhi wesa hi mavjood hai.

us me kisi qism ki kami hui hai na izafa aur qayamat tak isi tarah mahfooz rahega

ISLAMI AQAID SAFA 18

و الله اعلم بالصواب

ISLAMI TAREEKH :
JUMADUL UKHRA 1440 HIJRI

Mufti Imran Ismail Memon Hanafi Chishti.
Ustaze Darul Uloom Rampura, Surat, Gujarat, India.

QURAN SIKHNA AUR SAHEEH PADHNA ZAROOREE

⭕AAJ KA SAWAL No. 2762⭕

Ek shakhs Agar “ح،ع” wagairah sab harf nikalte to hai Lekin aise be parvaai se padhta hai ke “ح” ki jagah “ه” aur “ع” ki jagah “همزه” Hamesha padh jata hai kuchh khayal kar ke nahi padhta to kya hukm hai?

🔵JAWAB🔵

حامدا و مصلیا مسلما

Aesee surat me bhi gunahgaar hai aur namaz sahih nahi hoti.u

Not:Surat me aur kai ilaqon me raat ko bado ka madrasa chalta hai ulama se maloom kare wahan jakar ya apni masjid ke imam ya muazzin sahab ke paas quran sikhna aur use saheeh karna zarooree hai is me gaflat baratna gunah hai.

📕BAHISHTI ZEWAR MARDON KE LIYE SAFA 121
و الله اعلم بالصواب

✍🏻 Mufti Imran Ismail Memon Hanafi
🕌 Ustaze Darul Uloom,
Rampur Surat, Gujarat, India

QURAN MAKHRAJ SE NA PADHNA GUNAH HAI

⭕AAJ KA SAWAL No. 2760⭕

Agar kisi se koi harf nahi nikalta jese ‘ح’ ki jagah ‘ه’ padhta hai ya ‘ع’ nahi nikalta yaa ”ث ، س ، ص” sab ko س hi padhta hai

🔵JAWAB🔵

حامدا و مصلیا مسلما

Mazkoorah surat me saheeh padhne ki mashq karna laazim hai. Agar saheeh padhne ki mehnat na karega to gunahgaar hoga, aur uski koi namaz saheeh nahi hogi. Albatta Agar mehnat se bhi durusti na ho to laachaari (majboori) hai.

📕BAHISHTI ZEWAR MARDON KE LIYE SAFA

و الله اعلم بالصواب

✍🏻 Mufti Imran Ismail Memon Hanafi
🕌 Ustaze Darul Uloom,
Rampur Surat, Gujarat, India

MAN ME QURAN PADHNA

⭕AAJ KA SAWAL No. 2827⭕

Baz log man me aur dil me quran padhte hai khatam par khatam karte chale jate hai aur zaban aur honth harkat nahi karte to is tarah tilawat karna saheeh hai?

🔵JAWAB🔵

حامدا و مصلیا مسلما
Quran padhne ka pehla darja ye hai ke itni aawaz se padha Jaye ke khud sun sake, aur dusra darja ye hai zaban tamam makharij ko lag kar harkat karti rahe.

lihaza zaban ya honth hilaye bagair sirf man aur dil me padhne se tilawate quran ka sawab nahi milega, han quran ko dekhne ka sawab milega.

agar is tarah namaz me quran padha Jaye to namaz bhi adaa nahi hogi.

📙AHSANUL FATAWA 3/75 SE MAKHOOZ

و الله اعلم بالصواب

✍🏻 Mufti Imran Ismail Memon Hanafi
🕌 Ustaze Darul Uloom,
Rampur Surat, Gujarat, India

KHATME TARAVIH PAR TARAWEEH PADHNEWALE HAFIZON KO HADIYA DENE KA HUKM

⭕AAJ KA SAWAL NO. 2830⭕

Khatme Qur’an par Tarweeh padhnewale hafiz ko khushi se hadiya dena kaisa hai? Hafiz sahab ne taravih parhane se pehle lene ki koi shart nahin lagayi thi.

🔵JAWAB🔵

حامدا و مصلیا و مسلما

Hadiye ke naam se taravih ka intizam karne walon (trustees) ki janib se jo kuchh bhi diya jata hai agarche khushi se aur bila shart ho to bhi jaiz nahin. kyun ke fiqah ka qaidah المعروف کالمشروط al maroof kal mashroot jo cheez riwaj me ho, jis ka dhara aur usool chal raha ho woh bila tay kiye bhi shart ke hukm me ho jati hai lihaza aise hadiye ka lena aur dena nasse qatee (Qur’an se haraam) hai

و لا تشترو بآیاتی ثمنا قلیلا
“Haqeer qeematon ke badle meri aayat ko mat bech dalo”

📗Surah e baqarah aayat 41

Albattah imam ko imamat ki ujrat ke saath taravih parhane ka izafa dena jaiz hai

Ba’az cheez asalan na-jaiz hoti hai lekin zimnan ya’ani kisi jaiz cheez ke taabea hokar woh bhi jaiz ho jati hai.

📗 FATAWA MAHMOODIYAH 17/75 ka khulasa

📘FATAWA RASHEDIYAH QADEEM 392 JADEED 143

📙AZEEZUL FATAWA 663

📕KIFAYATUL MUFTI 3/363

📚KITABUN NAWAZIL SAFA 422 SE 577 TAK 155 SAFE ME KAI FATAWA AUR BAHAS HAI AUR JAWAZ KE HAR HILE AUR HAR FATWE JO AAJ KAL CHAL RAHE HAIN USKA JAWAB DIYA HAI AUR AKABEER KE 11 MUSTANAD FATWON KE HAWALE SE NA-JAIZ HONA HI SAABIT KIYA HAI JISKO JAWAZ KI GALAT FEHMI HUYI HAI WOH USE ZARUR DEKHE JISKO CHAHIYE PERSONAL CHAT PAR TALAB KARE USKI IMAGES BHEJI JAYEGI
اِ نْ شَآ ءَ اللّهُ

🎤Hazrat mufti saeed palanpuri D.B.shaikhul Hadis Darul Uloom Dewband farmate hai ke Taravih ko ta’alim aur imamat par qayas kar ke uski ujrat ko jaiz qarar dena sahieeh nahin kyun ta’alim aur imamat ka badal nahin bagair ujrat ke in kaamon ko karne wale nahin milenge aur Taraveeh me pura Qur’an sunane wale bagair Ujrat-hadiye ko koi hafiz taiyyar na ho to taraveeh alam tara se padhi ja sakti hai pura Qur’an hi sunana zaruri nahin,
Agar taravih padhane waale hafiz ko hadyaa muntazimeen (trustee) hazrat ya commeeti de yaa chanda karke de to jaiz nahin,
Haan agar muqtadi hazraat apni taraf se infiraadi taur par de to jaiz balke behtar hai, dena chahiye hamari zemmedari hai

Ahqar kehta ke unka ehsan hai unhone hame Qur’an jaisi azeem neamat padhkar sunai lihaza har muqtadi ko apni haisiyat ke muwafiq apni saˋadat samjhkar naqad rupiye cover me pack kar ke dena chahiye
is tarah hafiz ka ikraam aur us ki housla afzai karni chahiye

NOTE: trustee hazraat ko chahiye ke hafizon ko aane jane ka kirayah ya petrol kharch zaroor den ye un ka haq hai

و الله اعلم بالصواب

✍🏻Mufti Imran Ismail Memon Hanafi Chishti.
🕌 Ustaze Darul Uloom Rampura, Surat, Gujarat, India.