Shaban


SHABE BARAAT KE ROZE KI KIYA FAZEELAT HAI..?? (1)

SAWAL

SHABE BARAAT KE ROZE KI KIYA FAZEELAT HAI..??

Jawab

Huzoor salallahu alayhi wasallam  ne farmaya is maheene me is saal ke tamam wafat panewalon ka fesla likh diya jata hai. me chahta hun jab mere wafat ka fesla likh diyz jaye to me roze se hun.

(bayhaqee)

Hazrat aaisha radeeyallahu anha se marwee hai ke likha jana to 15 wee raat ko ho jata hai aur raat ke waqt roza nahi huwa karta to ab ye matlab hai ke allah taala roze ki barkat raat ko likhne waqt hata – khinch lata hai aur ye bhi aehtimal hai ke likhna din ke waqt hota ho aur farishte ko register ki supurdagi raat ke waqt hoti ho.

{ma sabat minas sunnah safa 198}

SHABE BARAAT KE ROZE KI KIYA FAZEELAT HAI..?? (2)

SAWAL

15 SHABAAN KE KITNE ROZE RAKHNE HAI EK YA DO..?

 

JAWAB

15 WEE SHABAN KA EK ROZA RAKHNA MUSTAHAB HAI.AASHOORAH KI TARAH DO RAKHNE KA MASLAA IS ME NAHI HAI.LEKEEN AGAR KOI AYYAME BEEZ KE ROZE KE TAUR PAR TEEN ROZE YANEE 13,14,15 RAKHE TO SUNNAT HAI AUR DO RAKHNA CHAHE DO HEE KO SHAREE HUKM SAMJHE BAGAIR TO MANAA BHI NAHI KIYUN KE HUZOOR SALALLAHU ALAIHI WASALLAM SHABAAN KE MAHEENE ME AKSAR DIN ROZA RAKHTE THE.

 

(MASAILE ROZA SAFA 173 BA HAWALA ALAMGIRI 1/200

MASAILE SHABE BARAAT 59 SE MAKHOOZ)

15 SHABAN KI RAAT ME KIYA IBADAT KARNI HAI?

SAWAL

15 SHABAN KI RAAT ME KIYA IBADAT KARNI HAI?

BAZ PARCHON AUR SMS ME AATA HAI KE FULAA RAKAT ME FULAN SURAT ITNI MARTABAH PADHO US YE YE BADA SAWAB HAI. BAAZ PARCHE SMS ME KITAB KA HAWALA BHI HOTA HAI.

AAJ ASAR BAAD “LA HAWLA…..’ 41 BAAR AASMAN KO DEKH KAR PADHNE KI FAZEELAT 40 SAAL KE GUNAH MUAAF Ho JAYENGE  YE SABIT HAI..??

Jawab

Asr baad “la hawla….” padhna aur 40 saal ke gunah muaaf hona kisi bhi hadees se sabit nahi, jahan bhi aap is baat ko padhoge wahan iska hawala nahi hoga.

Lihaza is ke padhne ki zaroorat nahi is ke bajaye asar baad 3 tasbeeh, 4tha kalmah, istigfar aur durod shareef padh lo is me la hawla…. bhi aa gaya ye zikr hadees se sabit hai, bidat par amal karne wala in masnoon aamal se mahroom hota jata hai.

Aaj ki raat jitna bhi zayada ho sake nawafil namaz har zaroorat ke liye salatul hajat ki niyyat se do rakaat padhe us ke baad salatul hajat ki duaa jo huzoor salallahu alayhi wasallam  ne batai hai woh padhe. masnoon duaa aur fazaile namaz me mavjood hai.

Sirf 6 rakaat par hee bas na kare. magrib baad 6 rakat 3 niyyat se padhna aur har do rakaat ke baad yaseen shareef padhna kisee hadees ya sahaba ke amal se sabit nahi, sunnat aur shareeat samjhe bagair, aur usee tarah padhne ko zarooree samjhe bagair, buzrogon ka bataya huwa amal hai, padh sakte hai, isse behtar awwabeen ki zayada se zayada 20 rakat hai woh padhna hai kiyun ye awwabeen nabi salallahu alayhi wasallam ne batai hai.

Makhsoos surat ko makhsoos Miqdar me padhne fazail ki jo riwayat baaz jaga likhi hui hai, use raeesul muhaddiseen, dewbandi aur barelvee ulamaa ke maane huwe jo aalim, na mane to us ki aalimiyat ki sanad ka aetibar na hoga. shah abdul haq muhaddise dahelvi rahmatillahi alayhi ne ma sabat minas sunnah al aamalul masoorah fee ayyamil mashhoirah safa 313, 314 par mavzooa -banawati qarar diya hai.

Lihaza is raat sunnat tareeqe ke mutabeeq ghar me rah kar nawafil namaz khas taur salatus tasbeeh zikr, tilawat durood istigfar,,duaa, sadqah karna chahiye, aur zarooree samjhe bagair infradi taur qabrastan jakar isale sawab karna chahiye.

Allah taala ham tamam sharee hudood me reh kar bidaat se bachte huwe ibadat karne ki taufeeq ata farmaye. aameen

SHABE BARAAT ME MAGFIRAT SE MAHROOMEEN KI LIST.

SHABE BARAAT ME MAGFIRAT SE MAHROOMEEN KI LIST.

SAWAL

Shabe baraat me qabilah e banu qalb (jin ke paas bahot zayada bakariyan thi) ki bakariyon ke balon ki taadad Me logon ki magfirat hoti hai (abajon logon ki) in magfirate aammah se mahroom kon kon rahenge? Batlaiye taa ke ham khud us gunaah se bache Aur logon ko bachaye.

 

jawab

1.shirk karnewala,

2.keena (kapat,dili dushmani) rakhnewala,

3.walidain ka naa farman

4.zina karnewala

5.sharab pinewala

6.kaahin (jayotish-gaib ki khabaren batlanewala)

7.rishtaa tornewala

8.kapda yani izar, patloon takhnon ke niche latkanewala.

?masaile shabe qadr wa shabe baraat safa 45

IMRAN ISMAIL MEMON GUFIRA LAHOO

MUDARRISE DARUL ULOOM RAMPURA SURAT GUJRAT INDIA

SHABAAN ME KIYA KAAM KARNE CHAHIYE?

Shaaban ke maheene me 14 shaaban ki ibadat aur dusre din ke roze ke alawaa aur kon kon se kaam karne chahiye?

SAWAL

Shaaban ke maheene me 14 shaaban ki ibadat aur dusre din ke roze ke alawaa aur kon kon se kaam karne chahiye?

 

JAWAB

Hazrat anas ibne malik RADEEYALLAHU ANHU se riwayat hai ke huzoor SALALLAHU ALAIHI WASALLAM ke buzrug sahaba shaaban ka chand dekhkar

1.quraane kareem zayada parhte the.

2.apne maal ki zakat nikalte the take gareeb aur miskeen log faidah uthaa saken aur ramazanul mubarak ke roze rakhne ke liye un ka koi zareeah ban jaye.

3.haakim log qediyon ko bolakar un me jo saza ke laiq hote the un par saza jaree karte the aur baqee qedi rihaa kar diye jate the.

4.karobaree log isee maheene me apna qarzaa adaa kiya karte the.

5.dusron se jo kuchh wusool karna hota tha wusool kar liya karte the (jese gair muslim ki dekha dekhi baaz musalman in kaamon ko diwali me karte hai)

6.ramzan ka chand nazar aane par log gusal karte aur aetikaaf me beth jate the.

?masaile shabe baraat wa shabe qadr safa 14

?bahawala gunyatut talibeen 356.

IMRAN ISMAIL MEMON GUFIRA LAHOO

MUDARRISE DARUL ULOOM RAMPURA SURAT GUJRAT INDIA

SHABE BARAAT ME MAGFIRAT SE MAHROOMEEN KI LIST

AAJ KA SAWAL NO.449

Shabe baraat me qabilah e banu qalb (jin ke paas bahot zayada bakariyan thi) ki bakariyon ke balon ki taadad Me logon ki magfirat hoti hai (abajon logon ki) in magfirate aammah se mahroom kon kon rahenge? Batlaiye taa ke ham khud us gunaah se bache Aur logon ko bachaye.

?aaj ka jawab?

1.shirk karnewala,

2.keena (kapat,dili dushmani) rakhnewala,

3.walidain ka naa farman

4.zina karnewala

5.sharab pinewala

6.kaahin (jayotish-gaib ki khabaren batlanewala)

7.rishtaa tornewala

8.kapda yani izar, patloon takhnon ke niche latkanewala.

?masaile shabe qadr wa shabe baraat safa 45

IMRAN ISMAIL MEMON GUFIRA LAHOO

MUDARRISE DARUL ULOOM RAMPURA SURAT GUJRAT INDIA

15 SHABAN SHAB-E-BARAAT KI DUA

AAJ KA SAWAL No.2420 

15 Shaban ki Raat (Shabe Baraat) Mein Kounsi Duaa Huzoor Sallallahu Alaihi Wasallam ne, Nafil Namaz ke Sajde me Maangi Thi..?

JAWAB

حامدا و مصلیا مسلما
Hazrat Aaisha RadeeAllahu Anha Riwayat Farmate Hain, Ke Huzoor Sallallahu Alaihi Wasallam (Nafil Namaz ke) Sajde me Ye Duaa Farmate The.

’اللّٰہُمَ اِنّیِْ اَعُوذُ بِعفوکَ مِن عِقابِک، اَعُوذُ بِرضاکَ مِن سَخطِکَ واَعُوذُ بِکَ مِنکَ جَلّ وجھُکَ، اللّٰھُمِّ لا اُحصی ثنآءً َ علیکَ، اَنتَ کمااَثنیتَ علیٰ نفسِکَ‘‘

“Allaahumma Inni A’aoozu, Bi-Afwika Min Iqaabik, A’aoozu Bi-Rizaaka Min Sakhatik, Wa A’aoozu bika Minka Jalla Wa-Jahika, Allaahumma Laa Uhsee Sanaa’an Alayka, Anta Kamaa As’naita Alaa Nafsik.”

TARJAMA :

Ya allah Teri Pakad Se, Tere Darguzar ki Panah Chahta Hun, Tere Gusse Se Teri Razamandi ki Panah Chahta Hun Aur Tujh Se Teri Hee Zaat ki Panah Chahta Hun, Teri Zaat Badayi Waali Hai. Aye Allah Mai Teri Ta’reef Shumaar Nahi Kar Sakta, Tu Waisa Hee Hai, Jaise Tune Teri Ta’reef Kee.

و الله اعلم بالصواب

AHKAME SHABE QADR WA SHABE BARAAT, BA-HAWALA SUNAN-E-BAIHAQEE

🗓 ISLAMI TAREEKH :
13 SHABANUL MUAZZAM

Mufti Imran Ismail Memon Hanafi

Ustaze Darul Uloom,
Rampur Surat, Gujarat, India.

BADI RAAT KAB HAI AUR KITNE ROZE RAKHNI HAI..?

AAJ KA SAWAL NO. 2418

Shab-E-Barat ke Kitne Roze Rakhni Hai Aur Kab..? Is Raat ki Ibadat Kab Aur Kis Din Karni Hai..?

AAJ KA JAWAB

حامدا و مصلیا و مسلما

Sha’ban ke Mahine me Huzoor صلی اللہ علیہ وسلم Kasrat Se Roze Rakhte the, Jab Pucha Gaya To Farmaya, Is Raat me Wafat Ke Faisle Hote Hain Jab Mera Faisla Ho, To Mai Pasand Karta Hun Ke, Us Waqt Mai Roze Se Hun. (AL HADEES)

Waise Har Mahine me 13,14,15 ke Roze, Jise ”Ayyame Beez“ Kehte Hain, Wo Sunnat Hai. Lihaza Chaho to Is Mahine Me Kasrat Se Roze Rakho, Yaa In Teen (3) Dinme Rakhlo, Yaa Shabe Baraat ke Dusre Din Ek Roza Rakhlo.

Note : India me 28 March Itwar (Sunday) ke Din Magrib Baad Se Subah Sadiq Tak Puri Raat Yaa Aksar Raat, Yaa Jis Qadar Himmat ho, Ghar me Ibadat Karni Hai Aur 29 March Somwar-Peer (Monday) Ko Ek Roza Rakhna Bhi Kaafi Hai.

Do (2) Roze Rakhne ka Hukm Aashurah ki Tarah Is Mahine me Nahi Hai. Al-Battah is Mahine me Jitne Zyada Roze Ho Sake Rakha Behtar Hai.

و اللہ اعلم

MASAILE SHABE BARAAT WA SHABE QADR SE MAKHOOZ.

Mufti Imran Ismail Memon.

Ustaze Darul Uloom Rampura,Surat, Gujarat,india

SHABE BARA’AT ME 14 SHAKHSON KI MAGFIRAT NAHIN

AAJ KA SAWAL NO.2416

Shabe bara’at me Allah ta’ala jin logon par apni nazare rahmat nahin farmate hain aur unki magfirat nahin farmate hain woh 14 shakhs kon hain?

AAJ KA JAWAB

حامدا و مصلیا و مسلما

Woh 14 (chavda) shakhs jo is mubarak raat jis me beshumar logon ki magfirat hoti hai us me bhi magfirat se mahrum rahenge jab tak ke sachchi tauba na kar le aur gunah ko chhod kar apni Islah na kar le.

1. Mushrik (Allah ki zaat ya sifat me kisi bhi qism ka shirk karne wala)

2. Maa baap ka na farman

3. Rishta todne wala

4. Bila sharee wajha Kina: (kapat,chhupi dushmani rakhne wala)

5. Sharab ya kisi bhi qism ka nasha karnewala.

6. Zina -badkari karnewale mard aur aurat,

7. Takhno ke niche kapada latkane wala

8. Jaadugar (magician, mela ilam, jaadu-tona karne aur karwane wala ya karwane wali)

9.baja,tabla (Music) bajanewala.

10.Musalmano ki jamat se alag rehnewala.

11.hath ya kisi cheez ko dekhkar gaib ki khabardewala.

12.sitaron ko dekhkar ya faal ke zariye khabar denewala.

13.khudkushi karnewala ya kisi ko naa haq qatl karne wala.

14.Zabardasti tex wasool karnewala

TUHFAH E SHA’BAN SAFA 33

BA HAWALA SUNNAE MAJA, MUSNAD AHMAD, DARMI SHUABUL IMAN,
AT TARGEEB WAT TARHEEB,MAZAHIRE HAQ JADEED SE MAKHOOZ.

Mufti Imran Ismail Memon.

🕌 Ustaze Darul Uloom Rampura,Surat, Gujarat,india

SHAB-E-BARAAT KI IBADAT KA SUBOOT

AAJ KA SAWAL No. 2415

Kya Shab-E-Baraat me Namaz aur Din me Roze ka Suboot Sabit hai..?
Baaz Hazraat kehte hain Iski Riwayat Bahot Za’eef hai, Lihaza is Raat ka Manna Saheeh nahi kya..?
Kya Ye Baat Saheeh Hai..?

JAWAB

حامدا و مصلیا و مسلما

Shab-E-Baraat me Bila kisi Qaid wa Khususiyat ke Muttaliq Namaz ka Suboot hai. (Raat ke kisi khas waqt me kisi khas tareeqe se, Ke Fulan Surat itni martaba padho is tarah ki namaz sabit nahi).

Har shakhs apne taur par ibadat kare, Jis me kisi Numaish (Riyakari) Aur kisi Rasm aur hayate makhsoosah (Masjid hi mein ijtemayi shakal banakar namaz padhna, Nawafil ki jamat karne) ki pabandi naa hoto Mustahsan (Pasandeedah) Hai.

SUBOOT Hazrat Ali RadeeyAllahu Anhu se Riwayat hai ke, Rasoolullah SALLALLAHU ALAIHI WASALLAM ne farmaya, Jab 15 Shaban ki Raat ho to, Uski Raat me Namaz aur Uske Din ko Roza Rakho, Allah Ta’ala Suraj Dubne ke waqt (Rozana Raat ke Teen Hisse Guzarne ke Baad) Aasmane Duniya ki Taraf Mutawajjah hote hain, Aur Farmate hain, “Hai Koi Magfirat Chahne wala.? ke Usey Maaf Karun, Hai koi Rizq Chahne wala.? ke Usko Rizq Ataa Karun, Hai Koi Pareshan Haal.? Ke Uski Pareshani Dur Karun, Hai Koi Aisa, Hai Koi Waisa.? Yahan tak ke Subah Sadiq ho jati hai.

IBNE MAJAH KITABU IQAMATIS SALAT Bubu maa jaa fee laylatin nisfi min shaˋban safa 99 qadeemi

FATAWA MAHMOODIYAH 3/264 DABHEL

Gair Muqallid ke Bade Allamah Nasir Albani ne Riwayat naqal ki hai, Ke Hazrat Mu’aaz bin jabal RadeeyAllahu anhu se Riwayat hai ke, Huzoor SALLALLAHU ALAIHI WASALLAM ne farmaya, Allah Ta’ala 15 shaban ki raat me apni makhlooq ki taraf mutawajjah hote hai aur mushrik aur dil kina rakhnewalon ke alawah sab ki magfirat kar dete hain.

TABRANI, IBNE HIBBAAN

Ye Riwayat 8 sahaba se mukhtalif sanad se marwi hai, Lihaza ye hadees beshak saheeh hai. Aage Likhte hain ke sakht za’eef hone se ye Hadees Salaamat hai. Shaikh Qasmi Rahmatullahi Alaihi ne Islaahul Masajid Safa 107 par Ulama e Jarho tadeel ke hawale se jo likha ke, 15 shaban ki raat ki ibadat kisi bhi Saheeh Hadees se Sabit Nahi, Ye kehna sirf jald bazi aur hamari tarah Hadees ke turuq aur uski tahqeeq ki khub mehnat na karne ka nateejah hai.Shaikh Albani ki kalat khatm huwa.

FAZAILU LAYLATIN NISFI MIN SHABAN SAFA 22

SHAIKH ALAMAH MUHADDIS ABDUL MALIK ABDUL HAQ MAKKI Rahmatullahi alayhi KI

Is Kitab me 15 shaban ki ibadat ka 15 Riwayat se suboot aur sahaba, tabaeen se iske manane ka suboot aur dalail maujood hai, Is kitab ko bhi is msg ke sath bheja ja raha hai, Lihaza ise padhe aur naa mannewalon ko pahunchaye, Allah ki zaat se ummid hai 15 shaban ki raat ki ibadat ke suboot ka inkar karne wale apni zidd se baaz aayenge aur haq baat ko tasleem karenge.

و الله اعلم بالصواب

Mufti Imran Ismail Memon hanafi chisti.

Ustaad e daarul uloom Rampura surat, Gujarat, India.

SHABE BARA’AT ME 14 SHAKHSON KI MAGFIRAT NAHIN

⭕AAJ KA SAWAL NO.1344⭕

Shabe bara’at me Allah ta’ala 15 logon par apni nazare rahmat nahin farmate hain aur unki magfirat nahin farmate hain woh 8 shakhs kon hain?

🔵 AAJ KA JAWAB🔵

حامدا و مصلیا و مسلما

Woh 15 shakhs jo is mubarak raat me bhi magfirat se mahrum rahenge jab tak ke sachchi tauba na kar le aur gunah ko na chhod de

1. Mushrik (Allah ki zaat ya sifat me kisi ko bhi shareek karne wala)

2. Maa baap ka na farman

3. Rishta todne wala

4. Bila sharee wajha Kina: (kapat,chhupi dushmani rakhne wala)

5. Sharab ya kisi bhi qism ka nasha karnewala.

6. Zina -badkari karnewali mard aur aurat,

7. Takhno ke niche kapada latkane wala

8. Jaadugar (magician, mela ilam, jaadu-tona karne aur karwane wala ya karwane wali)

9.baja,tabla (Music) bajanewala.

10.Musalmano ki jamat se alag rehnewala.

11.kaheen-hath ya kisi cheez ko dekhkar gaib ki khabar denewala.

12.sitaron ko dekhkar ya kisi tarah faal kholnewala.

13.khudkushi karnewala

14. kisi ko qatl kar denewala.

15.Zabardasti tex wasool karnewala

📘TUHFAH E SHA’BAN SAFA 33

BA HAWALA SUNNAE MAJA,

MUSNAD AHMAD,
DARMI SHUABUL IMAN,
AT TARGEEB WAT TARHEEB,
MAZAHIRE HAQ JADEED SE MAKHOOZ.

📝 Mufti Imran Ismail Memon.

🕌 Ustaze Darul Uloom Rampura,Surat, Gujarat,india

BADI RAAT KAB HAI AUR KITNE ROZE RAKHNI HAI..?

⭕ AAJ KA SAWAL NO. 2788⭕

Shab-E-Barat ke Kitne Roze Rakhni Hai Aur Kab..? Is Raat ki Ibadat Kab Aur Kis Din Karni Hai..?

🔵 AAJ KA JAWAB 🔵

حامدا و مصلیا و مسلما

Sha’ban ke Mahine me Huzoor صلی اللہ علیہ وسلم Kasrat Se Roze Rakhte the, Jab Pucha Gaya To Farmaya, Is Raat me Wafat Ke Faisle Hote Hain Jab Mera Faisla Ho, To Mai Pasand Karta Hun Ke, Us Waqt Mai Roze Se Hun. (AL HADEES)

Waise Har Mahine me 13,14,15 ke Roze, Jise ”Ayyame Beez“ Kehte Hain, Wo Sunnat Hai. Lihaza Chaho to Is Mahine Me Kasrat Se Roze Rakho, Yaa In Teen (3) Dinme Rakhlo, Yaa Shabe Baraat ke Dusre Din Ek Roza Rakhlo.

Note : India me 18 March juma ke Din Magrib Baad Se Subah Sadiq Tak Puri Raat Yaa Aksar Raat, Yaa Jis Qadar Himmat ho, Ghar me Ibadat Karni Hai Aur19 March Sanichar Ko Ek Roza Rakhna Bhi Kaafi Hai.

Do (2) Roze Rakhne ka Hukm Aashurah ki Tarah Is Mahine me Nahi Hai. Al-Battah is Mahine me Jitne Zyada Roze Ho Sake Rakha Behtar Hai.
و اللہ اعلم

📗MASAILE SHABE BARAAT WA SHABE QADR SE MAKHOOZ.

📝 Mufti Imran Ismail Memon.

🕌 Ustaze Darul Uloom Rampura,Surat, Gujarat,india

SHABE BARAAT.. ME IJTIMAEE IBADAT

⭕AAJ KA SAWAL NO.2789⭕

Makhsoos raaton me nafali ibadat masjid me nahin karni chahiye balke ghar me hee karni chahiye kya ye baat saheeh hai ?

🔵 AAJ KA JAWAB🔵

حامدا و مصلیا و مسلما

Masjid me ibadat karne ki ek surat to yeh hai ke magrib ya ishaa ki namaz parhne aaya tha, to uske saath me badi raat ki nafali ibadat bhi zimnan kar li, to is me koi haraj nahin. haan in nafali ibadat ko ghar me karta to behtar aur ziyadah sawab tha.

Kyun ke Huzoor صل اللہ علیہ وسلم tahajjud aur farz namaz ke baad ki sunnat, naflen ghar me padhte hai. iske ba wajood ke ghar tang tha, chirag tak ka intizam nahin tha, Aap صل اللہ علیہ وسلم wasallam namaz me sajdah karte to hazrat Aishah رضی اللہ عنہا ke pair ko Huzoor صل اللہ علیہ وسلم chhute the taa ke woh apne pair sukad len aur aap sajdah kar sake, aur Aap jab sajdah se khade hote to hazrat Aishah radiallahu anha apne pair wapas faila leti.

Jagah ki itni tangi aur masjide nabawi jahaan pachas hazar (50,000) namaz ka sawab, itni qareeb ke panw bahar nikalo to masjide nabawi me pade. fir bhi Huzoor صل اللہ علیہ وسلم ne nafali ibadat ghar hi me adaa farmate.

Dusri surat yeh hai ke apni zaruriyat se farig hokar khaas kar ke masjid me is nafali ibadat ke liye aana, ya bhaiyon aur doston ko jamaa kar ke lana, is tarah ehtamam ke saath logon ka khaas kar ke masjid me jamaa ho kar ibadat karna Huzoor صل اللہ علیہ وسلم ke tareeqah ke khilaf, bida’t aur shareeat par zayadati hai.

Ba’az log uzr karte hain ke ghar me nind aati hai, ya bachche rote hai, dil nahin lagta aur ziyadah ibadat nahin hoti.
to iska jawab yeh hai ke khushu’a aur khuzu’a naam hai sunnat ki ittib’a ka. jis ne Huzoor صل اللہ علیہ وسلم ke tareeqah ke mutabiq ibadat kar li to use khushu’a haasil hai.

Agar koi laakh aaho zaari kare lekin Huzoor صل اللہ علیہ وسلم ke treeqah par nahin to woh shareeat ki nigah me us ko khushu’a nahin kahaa jayega.

Aur Allah ke nazdeek ibadat ki kammiyat- quantity maqsud nahin balke kaifiyat- quality maqsud hai.

Ghar me sunnat ke mutabiq jitni der bhi ibadat ho sake kare, tabiyat ukta jaye aur nind aaye to so jaye yeh baat hadees se sabit hai. Allah ke saath tanhai me duaa ke raazo niyaaz ke chand lamhe majme aur bhid me poori raat ibadat se behtar hai.

📗MASAILE SHABE BARAT WA SHABE QADR RAFATI SAFA 63 se 65 ka khulasa ba hawala

📕AHSANUL FATAWA 1/373
📘ISLAHI KHUTBAT SE MAKHOOZ

و اللہ اعلم

📝 Mufti Imran Ismail Memon.

🕌 Ustaze Darul Uloom Rampura,Surat,

MEDIA PAR MUAAFI NAME KA HUK

⭕ AAJ KA SAWAL NO.1342⭕

Jese hi shabe baraat qareeb aati jati hai sosiyal media par muaafi naama kasrat se aane lagta hai aur log aage forwad karne ko bhi ek farizh samjhte hai aur ye bhej dene se mutmain ho jate hai ke muaafi ho gai aesa karna kaisa hai is bare mesharee rahnumai farmaiye?

🔵JAWAB🔵

حامدا و مصلیا و مسلما

Ye baat sahih he shabe bra’at me jab aam magfirat ka elan hota he to kuchh kam nasib is raat ki rahmat wa barkat wa magfirat se mahroom reh jaate hein, un me Qata Rahmi karne wala-reshtah todne wala bhi he. Is liye log Is raat ke aane se pehle hi muaafi mang lete hein. Ye ek bahut achhi baat he, Lekin…

① shabe bra’at hi ka kyu intezar karein, maut kabhi bhi aa sakti he, agar kisi musalmaan ka dil dukhayaa he to fauran muaafi maang lein.

② Rishtedaro se sila rahmi-achchhe sulook ka hukm he, jese maa baap bhaai bahan dada dadi nana nani shohar biwi or qaribi rishtedaar dil to in logo ka tode or whatsapp par un logo se muaafi maange jin ko kabhi dekha bhi nahi, jin ke sath koi rishtedari nahi, jin ka kabhi dil toda nahi……!!!!

Ye kesi Aqalmandi he ?

pehle maa baap bhaai bahan dada dadi nana nani shohar biwi or qaribi rishtedaar rishtedaro se muaafi mange fir dusro ka rukh karein.

③ Agar waqai kisi ka dil dukhaya he to pehle us ki minnato samajat karein, us ka dil khush karein, maali nuqsan poh chaya he to us ki bharpaai kare, qarza, wirsah nahi chukaya hai to pehe woh ada kare phir Muaafi Naama likhein.

➧Is tarah sirf whatsapp wagera ke rasmi msgs Muaafi Naama nahi balke us ka Mazaak he.

Aaj musalmano ko aapasi jhagre khatm kar ke ikhtilaaf ko door karte huwe ittihaad ka mahol banane ki zarurat he, is ke liye sachchi muaafi zaroori he. Allah hame taufeeq ataa farmaae. (Ameen)

✒ ᴀʙᴜ ᴍᴀʜᴍᴏᴏᴅ ᴜsᴍᴀɴɪ

و الله اعلم بالصواب

✍🏻TASDEEQ WA TASHILO IZAFA Mufti Imran Ismail Memon hanafi chisti.

🕌 Ustaad e daarul uloom Rampura surat, Gujarat, India.

SHABE BA’RAAT ME QABRASTAN JANA

⭕AAJ KA SAWAL No. 2791⭕

SHABE BARAAT ME QAB’RASTAAN JAANA KESA HAI?

🔵JAWAB🔵

حامدا و مصلیا مسلما

Shaikhul Islam hazrat mufti muhammad taqi usmani d.b.farmate hai ke Ek riwaayat se saabit hai ke huzur NABIYE KAREEM (sal lal laahu alai hi wasal lam) jan’natul baqee’a me tashreef le gaye ,Ab chun ke huzur(sal lal laahu alai hi wasal lam) is raat me jan natul baqee me tashref le gaye , Is liye musalmaan is baat ka ihtimaam karne lage,Ke shabe baraat me qabrastaan jaawe, Lekin mere walid majid hazrat mufti muhammad SAFEE saahab(Qad’da sallahu sirrahu)ek badi kaam ki baat bayaan farmaaya karte the, Jo hamesha yaad rakhni chaahye, Farmaate the ke jo cheez rasule kareem (sal lal laahu alaihi wasallam) se jis darjah me saabit ho use usi darjah me rakhna chaahye,Us se aage nahi badhna chaahye, lihaza saari hayaate taiyyiba me rasoole kareem (sllalahu alaihi wasallam) se ek martaba jaana marwi hai,Ke aap shabe baraat me jan’natul baqee me tashreef le gaye, Chun ke ek martaba jaana marwi hai is liye tum bhi zindagi me ek martaba chale jaawo to theek hai, lekin har shabe baraat me jaane ka ihtimaam karna , Iltizaam karna aur usko zaruri samajhna,shabe baraat ke arkan me dakhil karna is ke bagair shabe baraat nahi hui Yun samjhna us ke darje se aage badhana hai kabhi koi shakhs is nazariye se chala gaya ke huzoor sallallahu alaihi wasallam ek bar tashrif ke gaye to me bhi aap ki ittiba me jata hun to ajro sawab ka baais hoga lekin is ka iltizam ,aehtamam aur pabandi na karo kabhi kabhi na bhi jawo ta ke jo cheez jis darje me sabit hai us se aage na badhe aesa karna deen ki samjh ki baat hai.
📘SHABE BARAAT KI HAQEEQAT SAFA 6,7

Hazrat muftee saeed palanpuri rahmatullahi sabiq Shaikh hadees Darul uloom devband farmate hai jis ka khulasa hai koi pure saal hee na jata ho to zarooree samjhe bagair,logon jama kiye bagair chupke se chale jana chahiye.

و الله اعلم بالصواب

 

✍🏻 Mufti Imran Ismail Memon Hanafi
🕌 Ustaze Darul Uloom,
Rampur Surat, Gujarat, India