Taharat


TAYAMMUM AUR WUZU KA MAVQA NA HO 1942

Airoplan, train, bus me namaz ka waqt khatm hone ke qareeb ho, aur bhid ki wajha se wuzu par qudrat na ho, to tayammum karna chahiye, aesa padha tha.

baaz martaba tayammum jis par karna jaiz hai aisi koi cheez par bhi qudrat nahi hoti.
to kya karna chahiye ?

namaz qaza hone de ?

JAWAB

حامدا و مصلیا مسلما

Puchhi hui soorat me bhi namaz qaza nahi karna chahiye, bagair wuzu aur tayammum ke namaz padhega, baad me qudrat hone par us namaz ko lotaye.

KITABUL MASAIL 1/189

BA HAWALA SHAMI ZAKARIYA 1/185

و الله اعلم بالصواب

ISLAMI TAREEKH : 15 RABEEUL AAKHAR 1441 HIJRI

Mufti Imran Ismail Memon Hanafi

Ustaze Darul Uloom Rampura wa Secretry jamiate ulama Surat, Gujarat, India.…

MASAH KI MUDDAT 1613

Chamde ke moze par per dhoye bagair masah kab tak kar sakte hai?

JAWAB

حامدا و مصلیا و مسلما

Moze pahanne ke baad jab pehli martaba wuzu toote tab se lekar muqeem ke liye 24 ghante aur sharee musafir ke iye 72 ghante tak moze par masah kar sakte hai .

UMDATUL FIQA SE MAKHOOZ

و الله اعلم بالصواب

ISLAMI TAREEKH :
11 JUMAD AL ULAA 1440 HIJRI

Mufti Imran Ismail Memon Hanafi Chishti.
Ustaze Darul Uloom Rampura, Surat, Gujarat, India.

NAPAK MUSALLE PAR NAMAZ 1522

Mera Traveling Musalla, Napak Jaghon Par Namaz Padhne Ki Waja Se Niche Se Napak Ho Gaya Hai, Abhi Dhone Ka Mavqa Nahi Hai, To Kya Me Us Par ‘Napak Musalle Par Namaz‘ Padh Sakta Hun?

Jawab:  حامدا و مصلیا و مسلما

Napak Musalle Par Namaz“: Agar Aap Ka Woh Musalla Duble Kapde Ka Hai, Yani Niche Ka Kapda Alag Hai, Jo Napak Ho Chuka Hai, Aur Upar Ka Kapda Alag Hai, Jo Paak Hai, To Agar Dono Kapdon Ko Charon Taraf Se, Aur Darmiyan Se Silai Maarkar Ek Kapda Kar Liya Gaya Ho, Us “Napak Musalle Par Namaz” Agar Napaki Mafi Ki Miqdar Se Zayada Lagi Ho, To Namaz Na Hogi.

Aur Dono Kapde Ko Sirf Charon Taraf Se Silai Lagai Gai Hai, Lekin Darmiyan Me Silai Nahi Maari Gai Hai, Darmiyan Se Upar Ka Pura Kapda Niche Ke Kapde Se Uth Sakta Ho, Yani Darmiyan Se Join Na Ho, To Dono Kapde Alag Alag Shumar Honge, Lihaza Us Musalle Par Jo Niche Se Napak Hai Us Ke Ba Wajood Namaz Ho Jayegi.

Noorul Izaah Baabus Salaat

و الله اعلم بالصواب

Islami Tareekh:12 Safarul Muzaffar 1440 Hijri

Mufti Imran Ismail Memon Hanafi Chisti.

Ustaad E Daarul Uloom Rampura Surat, Gujarat, Mdia.

ISTINJAA KARNE KA HUKM 1520

Mene chhota aur badaa istinjaa kiya uske baad dekha ke baitul Khala me paani nahin tha aur koyi intizam na ho saka to me wahaan se uth gaya, ab me aisi haalat me masjid me aa sakta hun aur namaz padh sakta hun?

JAWAB:   حامدا و مصلیا و مسلما

ISTINJAA KARNE KA HUKM‘: Agar peshab aur pakhana nikalne ki jagah se aaju baju faila nahi hai, na-paaki sirf nikalne ki jagah par hi lagi hai, to istinjaa karna sunnat hai.

Agar na-paaki nikalne ki jagah se aage badh gayi hai, aur woh nikalne ki jagah ko chhod kar andaza kiya jaaye, to patli najaasat dirham ya’ani hatheli ki gehrayi se ziyadah na faili ho, to bhi uska dhona sunnat hai, aur hatheli ki gehrayi se ziyadah faili ho, to uska dhona waajib hai, aur garhi (thick) najasat ho to uska failav nahin dekhenge; balke uska wazan dekhenge, uska wazan ek dirham ya’ani 4 gram 374 mili gram se ziyadah ho, to uska dhona waajib hai, aisi najasat ke saath na masjid me aana jaiz, na uski namaz hogi.

Haan dirham se kam hogi to uska dhona sunnat hai, to us haalat me masjid me aa sakte hain, namaz bhi ho jayegi; lekin us kam najasat ka bhi dho lena behtar hai, pura gusal karne ki zarurat nahin.

UMDATUL FIQA 1/325

MASAILUL MEEZAN SAFA 38

و الله اعلم بالصواب

ISLAMI TAREEKH: 10 SAFARUL MUZAFFAR 1440 HIJRI

ISTINJAA KARNE KA HUKM” By:

Mufti Imran Ismail Memon Hanafi Chishti.

Ustad e Darul Uloom Rampura Surat, Gujarat, India.

NAPAK BISTAR PAR SONA 1509

Na-paak bistar par so gaya tha, pasine ki wajah se woh na-paak bistar bhig gaya, to kya mera badan na-paak ho gaya?

JAWAB:   حامدا و مصلیا و مسلما

‘Napak Bistar Par Sona’: Agar na-paaki ka asar (Rang, badbu) jism me nahin aaya hai, to jism paak hai, warna na-paak hai, ya’ani agar jism me us na-paaki ka rang ya badbu mahsoos ho rahi hai, to jism napak ho gaya.

“Napak Bistar Par Sona”

NOORUL IZAH BABUL ANJAAS

و الله اعلم بالصواب

ISLAMI TAREEKH: 27 MUHARRAMUL HARAAM 1440 HIJRI

Mufti Imran Ismail Memon hanafi chisti.

Ustad e Darul Uloom Rampura Surat, Gujarat, India.

WUZU KE BAAD NAPAK ZAMEEN PAR CHALNA 1501

Sawal: Mene wuzu kiya, kutta masjid me dakhil ho raha tha, use bhagane ke liye usee bhige huve qadam se, masjid se bahar us jagah nikal gaya, jahaan log baitul khala ke chappal utarte hain, to kya mere pair na-paak hain?

JAWAB:  حامدا و مصلیا و مسلما

Agar aap ke pair par us na-paak jagah ke asraat (peshab pakhane ki badbu ya na-paak zameen ki mitti) lag gayi ho to pair na-paak hain warna paak hain.

‘WUZU KE BAAD NAPAK ZAMEEN PAR CHALNA’

NOORUL IZAH SAFA 128 DABHEL BABUL ANJAS

و الله اعلم بالصواب

ISLAMI TAREEKH: 20 MUHARRAMUL HARAAM1440 HIJRI

Mufti Imran Ismail Memon Hanafi Chishti.

Ustad e Darul Uloom Rampura Surat, Gujarat, India.

KIN HALAT ME GUSAL SAHIH NA HOGA ?  

SAWAL


KIN HALAT ME GUSAL SAHIH NA HOGA ?

 JAWAB

Jin Chizo Se Gusal Wajib Hota He Un Chizo Ka Halate Gusal Me Na Hona Koi Aurat Haiz(Mahwari) Ya Nifas(Bachche Ki Paidaish Ke Baad Aane Wala Khoon) Ki Haalat Me Gusal Kare Ya Koi Mard Mani Girne Ki Haalat Me Gysal Kare To Gusal Sahi Nahi Hoga.  Ilmul Fiqah 1/84

GUSAL KE FARZ KONSE HE ?  

SAWAL

GUSAL KE FARZ KONSE HE ?

JAWAB

1 Tamam Badan Ke Zahire Hisse Ka Sarse Pair Tak Dhona. Is Tarah Ke Baal Ke Barabar Jism Ka koi Hissa Sukha Rahne Na Paye. Naaf Ka Dhona Farz He. Darhi, Munchh aur Unke Niche Ke Hisse Ka Dhona Farz He. Agar Che Ye Chize Ghani(Geech) Ho Aur Unke Niche Ki Jagah(Chamri) Nazar na Aati Ho. Sar Ke Baalo Ka Dhona Farz He Agarche Unme Gond(Koi Chikni Chiz) Lagi Ho. Anguthi Agar Tang Ho Kaan Ke Surakho Me Baaliya Ho Ke Bagair Harkat Diye Huwe Pani Jism Tak Na Pahuche To Unka Harkat Dena Farz He Aur Kaan Ke Surakho Me Agar Baaliya Na Ho Aur Surakh Agar Band Na Huwe Ho To Agar Bagair Haat Se Male Huwe Ya Koi Tinka Wagairah Daalkar Unme Paani Pahuchana Farz He.  Ilmul Fiqah – 93  Hidayah – 1/10 2 Kulli Karna Lekin Gargarah Karna Farz Nahi He Jaisa Ke Logo Me Mashhur He.   3 Naak Me Pani Daalna Lekin Naak Ki Naram Haddi Tak Pani Pahuchana Farz Nahi Balke Behtar He.  Kitabul Fiqah – 1/180 Albatta Naak Ke Andar Jo Mail Naak Ke Luaab(Rinth) Se Jam Jata He Usko Chhurakar Us Ke Niche Ki Satah(Hisse) Ka Dhona Wajib He. Ilmul Fiqah 1/94 Bahawala Masaile Gusal Safa 21

KITNE PAANI SE GUSAL KARNA BEHTAR HE ?  

SAWAL

KITNE PAANI SE GUSAL KARNA BEHTAR HE ?

JAWAB

Huzur ﷺ Ek Saa Pani Gusal Parmate The. Bukhari Ek Saa Yani 3 K.G. 150 K.G. Islam Me Paani Zaye Karne Ki Ijazat Nahi Agarche Aap Behti Nadi Ke Kinare Kyu Na Ho.  Mafhume Hadise Mishkat.

GUSAL KE MUSTAHABBAT KYA HE ?  

SAWAL


GUSAL KE MUSTAHABBAT KYA HE ?

JAWAB

1 Aaisi Jagah Nahana Ke Kisi Na Mehram Ki Nazar Na Pahuche Ya Lungi Wagairah Bandh Kar Nahana. 2 Dahni Jaanib Ko Baai Janib Se Pehle Dhona. 3 Sar Ke Dahni Hisse Ka Pehle Khilal Karna Fir Baai Hisse Ka. 4 Tamam Jism Per Pani Is Tarteeb Se Bahana Ke Pehle Sar Fir Daahne Kandhe Fir Baaye Kandhe Per. 5 Jo Chize Wuzu Me Mustahab Wo Chize Gusal Me Bhi Mustahab He Siwae Qibla Rookh Hone Aur Dua Parhne Ki Gusal Ka Bacha Huwa Paani Bhi Khare Hokar Pina Mustahab Nahi He.  

NANGE HOKAR NAHANA KAISA HE ?    

SAWAL

NANGE HOKAR NAHANA KAISA HE ?

JAWAB

Nanga Hokar Gusal Karna Jaaiz To He Magar Khilafe Sunnat He. Mustahab Aur Afzal Yahi He Ke Lungi Wagairah Bandhkar Gusal Kare. Kyuki Abu Dawood Sharif Ki Hadees Me He Ke Huzur ﷺ  Ne Farmaya Allah Taala Sharm Karne Wale Aur Parda Karne Wale Ko Pasand Karta He. Lihaza Jab Tumme Se Gusal Kare To Zarur Parda Kare.

GUSAL KE MAKROOHAT KYA HE ?  

SAWAL

GUSAL KE MAKROOHAT KYA HE ?

JAWAB

1 Nanga Hokar Nahane Wale Ko Qible Ki Taraf Rookh Karna. 2 Bila Zarurat Aaisi Jagah Nahana Jaha Kisi Gair Mahram Ki Nazar Pahonch Sake. 3 Gusal Me Bismillah Ke Siwa Aur Duao Ka Parhna. Ilmul Fiqah 1/95 Bahawala Masaaile Gusal Jaise Ke Baaz Log Gusal Ke Akhir Me Kalma Padhte He Ye Bhi Makrooh He. 4 Bila Zarurat Baat-Chit Karna. 5 Napaki Ki Haalat Me Zere Naaf Saaf Karna. 6 Jitni Chize Wuzu Me Makrooh He, Gusal Me Bhi Makrooh He. Ilmul Fiqah 1/95 Bahawala Masaile Gusal  

KIN KIN MAUKO PER GUSAL KARNA SUNNAT HE ?  

SAWAL


KIN KIN MAUKO PER GUSAL KARNA SUNNAT HE ?

JAWAB

1 Jumuah Ki Namaz Ke Liye Gusal Karna. 2 Dono Eid Ki Namaz Ke Liye Gusal Karna. 3 Haj Ka Ehraam Bandhne Se Pehle Gusal Karna. 4 Arafat Me Wuquf Karne Ke Liye Gusal Karna. Taalimul Islam – 3/45,46

WUZU KE ZARURI MASAIL JAMAT PAKADNE PAR FARAIZ PAR IKTEFA NA KARE

WUZU KE ZARURI MASAIL JAMAT PAKADNE PAR FARAIZ PAR IKTEFA NA KARE Namaz ki jamaat khadi ho ya pichhe log wuzu karne muntazir ho to jamaat ko hasil karne sirf faraiz par iktifa karna or sunnato ko chhod dena sahi nahi he. Jamaat se namaz padhna bhi sunnat he or wuzu ke bakiya a’aza dhona bhi sunnat he. Is sunnat ka haq mukaddam he(masil wuzu).

ZAKHAM KA DHONA ZARURI NAHI

ZAKHAM KA DHONA ZARURI NAHI
Fasd(operation) ki jagah par ya kisi or uzva ko, jo khun-pip ke nikalnese napak ho gaya ho or dhona nuksan karta ho, to sirf tar kapde se ponch dena kafi he, or araam hone ke bad us jagah ka dhona zaruri nahi. 

GHANI YA HALKI DAADHI KE BAALO KO KIS TARAH DHOYE?  

SAWAL


GHANI YA HALKI DAADHI KE BAALO KO KIS TARAH DHOYE?

Jawab

Dadhi, bhave ya muchh is kadar ghani ho ke khal(chamdi) nazar na aye to us khal ko dhona jo bal se chhupi ho farz nahi he. Balke voh bal hi kaim mukam khal ke he unke upar se pani bahadena kafi he esi surat me is kadar balo ka ghana hona vajib he. Jo chaere ki had ke ander he. Balo ko gale ki taraf dabane se jitne bal chahere ke halke me aye yani chahere par lag jaye unka dhona farz he unki jado ka dhona farz nahi or jo chahere ki had se age badh gaye ho ya latke huve ho unka dhona farz nahi. Agar dadhi kuchh hisso me ghani(gich) or kuchh hisse me ghani na ho to jaha ghani ho vaha balo ka sirf Zahiri hissa dhona or jaha ghani na ho vaha balo ke niche ki khal(chamdi) ka dhona farz he. Or agar puri hi dadhi halki he ghani nahi to tamam balo ke niche ki khal tak pani pahochana farz he.

JANABAT KI HAALAT KE AHKAAM KYA HE ? NAPAKI ME KHANA PINA

JANABAT KI HAALAT KE AHKAAM KYA HE ? NAPAKI ME KHANA PINA
Jis Per Nahana Wajib Ho Wo Agar Nahane Ke Pehle Kuch Khana-Pina Chahe To Pehle Haath Aur Munh Bhi Dho Le Aur Kulli Kar Le, Tab Khae-Pie. Aur Agar Bagair Hath-Munh Dhoe Kha Pi Le Tab Bhi Koi Gunah Nahi He.

NAPAKI ME ZIKR O TILAWAT

NAPAKI ME ZIKR O TILAWAT
Jinko Nahane Zarurat He Unko Quran Ka Chhuna Aur Uska Parhna Aur Masjid Me Jana Jaaiz Nahi He, Aur Allah Taala Ka Naam Lena aur Kalima Parhna Aur Durud Sharif Parhna Jaaiz He.

NAPAK AADMI KA MASJID AUR MADARSE ME JAANA

NAPAK AADMI KA MASJID AUR MADARSE ME JAANA
Is Haalat Me Masjid Me Dakhil Hona Haraam He. Eidgah Me Aur Madrasa Aur Khanqah Me Jaana Jaaiz He. 

KIN SURTO ME GUSAL WAJIB HO JATA HE ?    

SAWAL

KIN SURTO ME GUSAL WAJIB HO JATA HE ?

JAWAB

1 Agar Koi Kafir Islam Lae To Halate Kufr Me Us Ko Nahane Ki Hajat Ho Aur Na Nahaya Ho Ya Nahaya Ho Magar Sharan Wo Gusal Sahih Na Ho To Us Per Islam Lane Ke Baad Nahana Wajib He. Warna Mustahab He. 2 Agar Koi Shakhs 15 Saal Ki Umar Se Pehle Balig Ho Jae To Us Ka Nahana Wajib He. 3 Musalman Murde Ko Nehlana Zinde Musalmano Per Wajibe Kifayah He.

SOHBAT KA KHWAB DEKHNE PER GUSAL KA KYA HUKM HE ?

SAWAL

SOHBAT KA KHWAB DEKHNE PER GUSAL KA KYA HUKM HE ?

Jawab

Sote me sohbat karne ka khwab dekha aur maza bhi aaya, lekin aankh khuli to dekha ke mani nahi nikli he to us per gusal wajib nahi he, han agar mani nikal aai ho to gusal wajib he.
Aur agar kapde ya badan per kuch bhiga maalum ho, lekin ye khyal ho ke ye mazi he mani nahi he, tab bhi gusal karna wajib he

CHADAR PER MANI KA DHABBA DEKHE TO KYA KIYA JAE ?

SAWAL

CHADAR PER MANI KA DHABBA DEKHE TO KYA KIYA JAE ?

Jawab

Miya-biwi ek palang per so rahe the, jab uthe to chadar per mani ka dhabba dekha, aur sote me khwab ka dekhna na mard ko yaad he na aurat ko to dono naha le, ahtiyat isi me he, kyu ke maloom nahi ke kis ki mani hai

BAGAIR JOSH KE MANI NIKLE TO ISKA KYA HUKM HE ?

SAWAL

BAGAIR JOSH KE MANI NIKLE TO ISKA KYA HUKM HE ?

Jawab

Mani agar apni jagah (peeth) se josh ke saath juda na ho, to agarche khas hisse se bahar nikal aae gusal farz na hoga, jaise kisi aadmi ne koi bojh uthaya ya unche se gir para ya kisi ne usko maara aur sadme ya kisi bimari se uski mani bagair josh ke nikal aai, to gusal farz na hoga.

SOPARI (SHARMGAH KA AAGE KA GOL HISSA) SE KAM DAKHIL KARNAE SE GUSL WAJIB HOGA?

SAWAL

SOPARI (SHARMGAH KA AAGE KA GOL HISSA) SE KAM DAKHIL KARNAE SE GUSL WAJIB HOGA?

Jawab

Agar koi mard apne khas hisse ka uzw hashfe ke sar (sopari, gol hissa) ke miqdar se kam dakhil kare, tab bhi gusal farz na hoga.

Bahishti zewar aur umdatul fiqah se makhooz

GUSL WAJIB HONE KE MASAIL

SAWAL

GUSL WAJIB HONE KE MASAIL

SOKAR UTHNE KE BAAD UZWA PER TARI DEKHI JAE TO KYA KIYA JAE.

Jawab

Agar koi mard sokar utnhe ke baad apne khas uzwa per tari dekhe aur sone se pehle uske khas hisse ko josh ho to us per gusal farz na hoga aur wo tari mazi samjhi jaegi,
bashart ke ehtelam yaad na ho aur us tari ke mani hone ka galib khyal na ho.
Aur agar raan vagairah ya kapro per bhi tari ho, to gusal bahar haal (har haal me) wajib he.

GUSAL KE MASAIL AUR SUNNAT

SAWAL

GUSAL KE MASAIL AUR SUNNAT

BAGAIR NIYYAT KE GUSAL KARNA KAISA HE ?

Jawab

Wuzu aur gusal bagiar niyyat ke moatabar honge, kyuki hamare imam abu hanifa rh. Ke nazdeek niyyat farz nahin balke sunnat aur mustahab he.
Lihaza bagair niyaat ke gusal aur wuzu kiya gaya to ada ho jaega.

Masaile gusal safa –  20.

GUSAL KHANE ME JAANE AUR NIKALNE KA MASNOON TARIQA KYA HE ?

SAWAL

GUSAL KHANE ME JAANE AUR NIKALNE KA MASNOON TARIQA KYA HE ?

 jawab

Gusal khana (bathroom) me aam taur per safai nahi hoti isliye baitulkhala ki tarah gusal khane  me dakhil hote waqt pehle baya pair andar rakhe aur nikalte waqt pehle daya pair nikale.

Gusal se pehle bismillah parhna masnoon he lekin bismillah agar nange nahana ho to kapde utarne se pehle parhe.
Gusal khane me dakhil hone se pehle parhe aur farig hone ke baad gusal khane se baahar nikalkar wuzu ke baad wali  dua parhe.

Ahsanul fatawa 2/37

BARISH ME RASTON KA KICHAD LAGNA

⭕AAJ KA SAWAL NO. 2609⭕

Aaj kal baarish ka mausam hai,to usme kabhi chaalu baarish me hamare kapado par chhin’te udte hai,Aur kabhi baarish ka paani raod waghairah par jama ho jata hai aur uske chhin’te udte hai to kya uski wajah se kapada ya badan naa-pak hoga ya nahi?

🔵Jawab🔵

حامدا و مصلیا و مسلما

Baarish me sadako par behne waLa paani,Agar usme naa-paki (gobar,peshab
wagairah) ka Asar (Badbu,& Rang) wagairah zahir ho jaisa ke umuman Shahro wagairh me jab pehli barish hoti hai tab peshab, gobar wagairah ka asar dekha jata hai to ye pani naa-pak hai, Agar ye pani kapado ya badan par Lagta hai to kapade naa-pak ho jaye ge, un kapado ko paak karna zaruri hai, usi ke sath namaz sahi nahi hogi Lekin agar barish hoti rahi aur gandagi beh kar chali gai,aur ab pani saaf suthra nazar aane Laga, ya Sadak pehle hi se saaf suthri thi aur us par paani bahaa, ya dihaat ke kacche raasto pe paani mitti ke sath ful mil gaya aur usme bhi koi naa-paki ka asar nahi dikh raha to wo paani naa-pak nahi hoga Lihaza wo paani kapde ya badan par Lage to kapada ya badan naa-pak nahi hoga
barish ke zamane me kichad ke chhinte kapado par Lag jate hai uske bare me tafsil ye hai,
Agar koi aisa shakh’s ke jisko bar bar kichad wale raaste se guzarna padta hai aur uske Liye har bar kapade ka dhona dushwar ho to aise shakh’s ke haq me zarurat ki wajah se raaste ke chinte muaaf hai, agar che zyadah miqdar me hi kyun naho; aur usi chhin’to wale kapado ke sath hi uski namaz durust hoja yegi Lekin aisa shakh’s jis ko bar bar rasto se guzarne ki zarurat nahi hai aur wo in chin’to se bach bhi sakta ho to uske Liye thode chin’te to muaaf hai,
Lekin agar aise shakh’s ke kapde ya badan par zyadah miqdar me chhin’te Lag jaye to uske Liye muaaf nahi hai, uske Liye use dhokar hi namaz padna durust hoga

📗KITABUL MASAIL 1/101

و الله اعلم بالصواب

 

🧦MASAH KE LIYE MOZE KAISE HO

⭕AAJ KA SAWAL NO.2716⭕

Aaj kal bharat aur uske atraf ke mulkon me sardi pad rahi hai aur pair par thandi ka ehsas ziyadah hota hai mene ba’az ulamaa ko dekha ke woh wuzu me moza nahi utarte aur usi par masah kar lete hain to shariat ki roshni me bataye ke masah karne ke liye moza kaisa hona chahiye?

nylon ke moze par masah kar sakte hain?

🔵JAWAB🔵

حامدا و مصلیا و مسلما

Teen tarah ke mozon par masah jaiz hai.

1⃣.chamde ke moze jis me panw takhnon tak chhup jaye.

2⃣.Aise uni ya suti-coton ke moze jis ka tala-shol chamde ka ho.

3⃣.Aise uni ya suti moze jo itne mote aur ghaade ho ke sirf moze pahan kar teen – char mile ka rasta chalne se moze na faten.

⭕Note :- 1 mile = 1.6 kilometres

و الله اعلم بالصواب

📗TA’ALIMUL ISLAM 2/25

✍🏻Mufti Imran Ismail Memon hanafi chisti.

🕌 Ustaad e daarul uloom Rampura surat, Gujarat, India.

MOZE PAR MASAH KA TAREEQA AUR MUDDAT

⭕ AAJ KA SAWAL No. 2328 ⭕
A.
Sardi main me jo shareet ki sharton wale moze pehne jate hai us par masah ka kya tareeqa hai?
B.
Chamde ke moze par Pair Dhoye Bagair Masah kab tak kar sakte hain..?

🔵 JAWAB 🔵

حامدا و مصلیا مسلما
A.
Moze par upar ki taraf se masah kare talve- shol ki taraf se masah na kare moze par masah karne ka tareeqa ye hai ke hath ki ungaliyon tar kar ke – bhigokar aage (ungaliyon) ki taraf rakhe hatheli moze se alag rakhe fir un ko khichkar takhne ki taraf le jawe agar Puri ungaliyon ko moze par nahi rakha balke faqt ungaliyon ka sira moze par rakh diya aur ungaliysn khadi Rakhi (upar tak nahi khincha) to ye masah durust nahin huwa.
B.
Moze pahanne ke baad jab pehli martaba wuzu toote tab se lekar muqeem ke liye 24 ghante aur sha’raee musafir ke liye 72 ghante tak moze par masah kar sakte hain.

📕BAHISHTI ZEWAR SAFA.72

📗UMDATUL FIQA SE MAKHOOZ

SARDI KA MOZA FATA HUWA HONA

⭕ AAJ KA SAWAL No. 2329 ⭕

moza agar fat jaaye to kitni fatten tak masah saheeh hoga?

🔵 JAWAB 🔵

حامدا و مصلیا مسلما

Chamde ke moze me agar pair ki teen chhoti ungali ya isse zaaid ke Baqadr fat jaaye to ispar masah jaaiz Nahi rehta, aur agar teen ungliyon ki Miqdaar se Kam phata ho to is pr masah durust hai!
ek hee moze ki fatan ka aetibar hai dono moze milakar tin ungli ho jaye to utni fatan me haraj nahi

📙 Hidaya 1/57
و الله اعلم بالصواب

🌙🗓 ISLAMI TAREEKH :
2 JUMADIYUL UKHRA 1443 HIJRI

✍🏻 Mufti Imran Ismail Memon Hanafi

🕌 Ustaze Darul Uloom,
Rampur Surat, Gujarat, India.

NAPAK KAPDE DHOTE WAQT NAPAK CHHINTE

⭕AAJ KA SAWAL No. 2730⭕

NAPAK kapde Dhote waqt napak chhinte kapde aur badan par pad jaye to kya hukm hai?

🔵JAWAB🔵

حامدا و مصلیا مسلما
Agar ye chhinte mamooli hai to isse bachna mushkil hai lihaza dhone ki zaroorat hone ki wajha se muaaf hai albattah ye chhinte Pani me pade to Pani napak ho jayega kyun ke pani Pak rakhne ki taklif ki gai hai.

📕FIQHEE ZAWABIT 1/111
BA HAWALA

📗FATAWA ALAMGIRI 2/46

و الله اعلم بالصواب

✍🏻 Mufti Imran Ismail Memon Hanafi
🕌 Ustaze Darul Uloom,
Rampur Surat, Gujarat, India

DUDH DOHTE WAQT MENGNI GOBAR GIR JANA

⭕AAJ KA SAWAL No. 2747⭕

Doodh dhote waqt ek mengni Doodh me pad jaae ya thoda sa gobar gir jaae to Kya hukm hai?

🔵JAWAB🔵

حامدا و مصلیا مسلما
Puchhi hui surat me Agar mengni ek do hee hai aur gobar ek do mengni ki miqdar me thoda hee hai is se bachna mumkin nahi isliye muaaf hai
Basharte ye ke girte hee Nikal liya jaae.
(Aur agar Doodh dohne ke waqt ke alawah gir jaaegi to napaak ho jaaega.
Kuchh maloom nahi to paak qarar diya jayega Shak karne ki zaroorat nahi.)

📗BAHISHTI ZEWAR MARDON KE LIYE SAFA 81

و الله اعلم بالصواب

✍🏻 Mufti Imran Ismail Memon Hanafi
🕌 Ustaze Darul Uloom,
Rampur Surat, Gujarat, India