Tijarat (Business)


WAJAN PAR JANWAR KO KHAREEDNA 2167

Vajan Karke Janwar ko kharidna kaisa hai ?
ismein Dhokha Nahin Hota Hai Kyunki vajan se qimat ka itminaan ho jata hai.

JAWAB

حامدا و مصلیا مسلما

Janwar tol Ke tole jaane wali chizon Mein dakhil Nahin Hai, is liye hidayah aur fathul qadeer Alamgiri Vagairah mein is muaamle ko Na-Jaiz likha hai.

Na Jaiz Hone ki vajah yah Hai Ki mamle se pahle a na janwar ka vajan Maloom hota hai na uski qimat Maloom hoti hai, To yah Muaamla majhool- na Maloom Ho Gaya, Lekin Jab Janwar ko Tol liya Jaaye us Waqt uska ka vajan aur aur qimat maloom hokar jahalat khatm Ho Jaati Hai.

Rahi Baat Vajan se janwar ka Mukammal Gosht Maloom Nahin Hota Hai, janwar Sukadkar kar yaa Sans fula kar ghata Badha deta hai to yah thodi si jahalat Maaf hai, urf Yaanai Bazar ka Aisa riwaj jis mein kharidar aur Bechne wala donon Razi hai, lihaja yah Mamla aakhirkar saheeh ho jayega.

Darul Darul Uloom Deoband ke jaise Na Jaiza hone ka Fatwa hai vaise hi Upar Di gai tafseel ke sath jawaz ka bhi Fatwa mawjud hai, us par bhi amal ki gunjaish hai Lekin Qurbani Ek Ibadat Hai jis ko saheeh tareeqe se ada karna hi taqwa hai, jo us ka maqsood hai, lihaza jab tak ho sake is ikhtilaafi tariqe se Bachana chahiye aur aehtiyat ka pehlu ikhtiyar karna chahiye.

JAIZ KE KEHNEWALE
1. AHSANUL FATAWA
2. KITABUN NAWAZIL
3. DEWBAND KE DUSRA FATWA

NAA JAIZ KEHNEWALE
1. FATAWA RAHEEEMIYAH 10/48
2. DEWBAND KA PEHLA FATWA
3. HIDAYAH FATHUL QADEER

و الله اعلم بالصواب

Mufti Imran Ismail Memon Hanafi

Ustaze Darul Uloom Rampura wa Secretry jamiate ulama Surat, Gujarat, India.

DOODH SE MALAI NIKALKAR BECHNA 1944

Doodh se malai nikalne ke baad doodh ko alag se bechna kaisa hai?

JAWAB

حامدا و مصلیا مسلما

Doodh khuda e paak ki umdah neamat hai khalis dudh me jo Lazzat hai woh us me nahi rehti lihaza us ko is tarah bigaad kar bechna makhlooqe khuda ko Khaalis cheez se mahroom karne aur neamat ki nashukri ke barabar hai.
Han agar batla de aur us wajha se qeemat bhi kam kar de aur dhoka na de to jaiz hai

FATAWA RAHEEMAIYAH KARANCHI

9/214

و الله اعلم بالصواب

ISLAMI TAREEKH : 17. RABEEUL AAKHAR 1441 HIJRI

Mufti Imran Ismail Memon Hanafi

Ustaze Darul Uloom Rampura wa Secretry jamiate ulama Surat, Gujarat, India.

Ilami baat (msj) sikhaana (felana) ibadat se behtar hai

KHARAB ANDA WAPAS DENA 1944

Anda khareedne ke baad toda to woh ganda nikla to wapas dekar paise lena kaisa hai?

JAWAB

حامدا و مصلیا مسلما

Jaiz hai. Ye anda kisi kaam ka nahi tha to es bechna batil (haraam) huwa. Lihaza jo qeemat dee thi woh wapas le sakta hai.

HIDAYAH AAKHIRAIN BABU BAYIL FAASID SAFA 27

FATAWA RAHEEMIYAH KARANCHI 9/209

و الله اعلم بالصواب

ISLAMI TAREEKH :
16 RABEEUL AAKHAR 1441 HIJRI

Mufti Imran Ismail Memon Hanafi

Ustaze Darul Uloom Rampura wa Secretry jamiate ulama Surat, Gujarat, India.

Ilami baat (msj) sikhaana (felana) ibadat se behtar hai

MEMORY CARD ME FILM AUR GANA DOWNLOAD KARNE KA KAROBAR KARNE WALE KI KAMAI 1921

Memory card me film aur gana download karne ka karobar karte hai un ki kamai kaisi hai ?

JAWAB
حامدا و مصلیا مسلما

Un ki kamai makruhe tahrimee (haraam ke qareeb qareeb) hai.

DARSI SAWAL JAWAB SAFA 319

BA HAWALA MAJMAUL ANHUR 4/188

و الله اعلم بالصواب

ISLAMI TAREEKH : 24 RABEEUL AWWAL1441 HIJRI

Mufti Imran Ismail Memon Hanafi
Ustaze Darul Uloom Rampura wa Secretry jamiate ulama Surat, Gujarat, India.

Ilami baat (msj) sikhaana (felana) ibadat se behtar hai

MASHROOM KHANA 1634

MASHROOM jise billi ya saanp ki chhatri (top) bhi kehte hai khana aur bechana kaisa hai?

JAWAB

حامدا و مصلیا مسلما

Us ki kai qisme hoti hai baaz sihhat ke liye nuqsaan deh- zahrile asar wale hote hai aur baaz faida mand, agar sihhat ko nuqsaam na kare to khaa sakte hai aur bech bhi sakte hai.

Agar zahar ki wajha se sihhat ko nuqsaan kare to bilkul nahi khana chahiye aur bechana bhi nahi chahiye.

KITABUL FATWA 6/189 KA KHULASA

Mushroom ek qism ki sabzi hai jis ka khana jaiz hai

ON LINE FATWA DARUL ULOOM DEVBAND SAWAL NO. 156967

و الله اعلم بالصواب

ISLAMI TAREEKH:
JUMAD AL ULAA 1440 HIJRI

Mufti Imran Ismail Memon Hanafi Chishti.
Ustaze Darul Uloom Rampura, Surat, Gujarat, India.

DIWALI KE DIYE, AANGAN KE RANG, GHANTI WAGAIRAH BECHNE KA HUKM 1536

Sawal:

Hamare walid sahab dukan par ‘DIWALI KE DIYE‘, lighting, aangan ke rang, puja ki ghanti, sindur bechte hai.

kya ye cheezen bechna jaiz hai ? amdani halal hai ?

JAWAB:  حامدا و مصلیا و مسلما

in tamam cheezon ka jaiz istiamal bhi hai, aur ye cheezen dusre kamon me bhi istiamal ho sakti hai.

lihaza us ke na jaiz istiamal ki zimmedari bechne wale par nahi hai, balke istiamal karne wale par hai.

lihaza in cheezon ka bechna jaiz aur aamdani halal hogi.

FATAWA QASMIYA JILD 29 SAFA 324 se 327

BA HAWALA SHAMI AUR ASHBAH SE MAKHOOZ

Albattah diwali ke moqe par in chezon ke bechne se bachna behtar hai.

KITABUN NAWAZIL 10/227 SE MAKHOOZ

و الله اعلم بالصواب

ISLAMI TAREEKH :26 SAFARUL MUZAFFAR 1440 HIJRI.

DIWALI KE DIYE“: Mufti Imran Ismail Memon Hanafi Chishti.

Ustad e Darul Uloom Rampura Surat, Gujarat, India.

JAANDAR KI TASWEERWALE KAPDON, DIBBON-BOXES,MOBAIL COVER AKHBAR,KITAB KO BECHNA KAISA HAI?

SAWAL

JAANDAR KI TASWEERWALE KAPDON, DIBBON-BOXES,MOBAIL COVER AKHBAR,KITAB KO BECHNA KAISA HAI?

Jawab

Jandar ki tasweerwali mazkoorah e baalaa (upar zikr ki gai) cheezon ko bechna jaiz hai kiyun ke us me tasweer maqsood nahi hoti tasweer taban-zimnan (gair maqsood ) hoti hai asal maqsad us cheez ko khareedna hota hai lihaza us ka bechna jaiz hai.
Agar khareednewale ka maqsad us cheez ki tasweer ho to woh khud gunehgar hai bechnewala nahi.
(islaam aur jadeed maashi masail 4/17,18)

DUPLICATE NOTE AA JAYE TO KESE CHALAYE?

SAWAL

DUPLICATE NOTE AA JAYE TO KESE CHALAYE?

TIJARAT ME AGAR RUPYA PESA KHOTA AA JAYE TO KIYA KARE?

Jawab

Agar maloom hai ke kis ke pas se aaya hai tab to usee ko de de.jis tarah bhi mumkin ho chahe batakar chahe chahe dhoka dekar (chupke se isliye ke ye haqeeqat me aapne haq ko hasil karna hai jo jaiz hai)
agar maloom na ho to kisi aur ko dhoka dena jaiz nahi, batakar diya jaye chahe lenewala kam qeemat par le,ya
agar kisi jaga us se zulman liya jaye to wahan bila bataye bhi dena durust hai.
(jese baaz sarkari log ko jo bila rishwat kam nahi karte aur baz zulmi texes bharne me)

Fatawa mahmoodiya dabhel 16/172
bahawa dure  mukhtar maa raddil muhtar

UDHAAR PESE DE KAR HALAL MUNAAFA (PROFIT) LENE KI ASAN SHAKAL

SAWAL


UDHAAR PESE DE KAR HALAL MUNAAFA (PROFIT) LENE KI ASAN SHAKAL

Muje 1 lakh rupiye udhar chahiye ek admi munaafe Se dene taiyyar hai to nafa dene ki kya surat hai?

 

JAWAB

Jo admi aap ko lakh rupiye udhar dene taiyyar hai use kahaa jaye ke tu lakh rupiye ke sone ya chandi ke biscuit khareed le aur woh lakh rupiye ke biscuit mujhe masalan 1,20,000 ek lakh bees hazaar me bech de me tujhe har maheene das hajar 12 maheene tak ada kar dunga.

Fir us khareedar ko chahiye ke Us biscuit ko usee din mamooli khot-nuqsan Se usee dukandar ko bech kar woh pese kaam me le aayen.

2.aap ko jis cheez Ke liye paise chahiye us cheez ko khareedne ke liye udhar denewale ko sath le jawo aur use kaho ke Ye to pehle khareed Le fir mujhe nafe se bech dena. munaafa aur paise ki adaygi ki muddat tay kar li jaye to ye shakal bhi munafaa dene ki jaiz shakal hai.

MUSTAFAD AZ SOOD KE MASAIL

BONI KARNE KA HUKM

SAWAL


BONI KARNE KA HUKM

Boni karna yani subah me maal bikne ya khareedne ki shuruaat karna ya naye saal ki shuruaat me ya kisi tehwar ke din maal khareedna ya bechnaa taa ke puraa saal achchha jaye, barkat ho Is Ka kiya hukm hai?

JAWAB

shareeat me nekfali -achchha shugoon lenaa jaiz hai.jese din kee Shuruaat achchhi hui To puraa din achachha jayega. lekeen is nekfali ko gair qaum ke tehwar ki din lene me un se mushabahat payee jati hai aur un ke aqeedah allah ke hukm ke alawah cheezon me asar karne ki aur nafa nuqsaan ki taqat hai is kufriyah aqeedah ki bhi tayeed hoti hai.
lihaza us din musalman ko boni karne ki niyyat se koi cheez khareedna ya bechna jaiz nahi. Koi gair muslim is niyyat Se khareedta ho to use boni ki niyyat kare bagair bechna Jaiz hoga.

(AGLAATUL AWAAM AUR FATAWA MAHMOODIYAH JADEED 19/567aur 573 SE MAKHOOZ)

READYMADE KI DUKAN PAR JANDAR KE PUTLE

Redimade Kapdo Ki Shop Me Putle Ka Hukm

SAWAL

aaj kal taiyyar kapdon aur sadiyon kee dukan me jandar ke putle rakhe jate hai us me se jo surat jaiz ho us ke samne  aur jo surat  na jaiz ho us ke samne ka nishan lagaye to behtar ya jis tarah bhi ho sake jawab den.

1.aaj kal jandar putle lagaye bagair dhandha nahee hota isliye rozee ki majbooree me jaiz.

2.putle ki aankh par patti bandh dee jaye to jaiz.

3.aankh aur naak ko kisi tarah bhi dhank diya jaye to jaiz

4.aesi cheez door karna zarooree hai jis ke na hone se insan zinda na rahe

5.dono aankh sapat-plen ho to jaiz.

6.putle ko is zamane ke baaz ulamaa jaiz kehte hai kafiron ke mulk me us par amal karna dusron se computesan muqabala karne jaiz.

JAWAB

 haamidaw wa musalliya

sirf option 4 saheeh hai yanee aese uzv ko nikal diya jaye jis ke bagair insan zinda na rahe.jaise sar kaat diya jaye ya poora chehra mita diya jaye.

sirf aankhon par patti bandh den kafi na hai patti bandhne se bhi insan zinda rehta hai.

aankh aur naak ko mita dena bhi kafi nahi kiyun aankh aur naak kaat dene ke ba wajood insan zinda reh sakta hai.dono aankhe sapat plen karna bhi kafi nahi aankhe bilkul na hone se bhi jandar kee taareef-definase se nahi nikalta.

jandar ka putla haraam hona aesa masla hai jis par arab aur ajam-gair arab aur dewbandi barelvi sab ulamaa ke ittifaq hai kisi ka ikhtilaf nahi.

rozee ka malik allah hai aur woh taqdeer me likhi hui hai us se zayada mil nahee sakti masail quraan hadees se nikale jate hai is par amal karna puree dunya me zarooree hai.chahe islami hukoomat na ho.

hadees me aata hai ke jis ghar me tasweer ya kutta ho wahan rahmat ke fareeshte dakhil nahi hote.(bukharee)

jab rahmat ke fareeshte nahi aayenge to shaytani asaraat aate hai aur rozee kee barkat jati rehti hai.

lihaza un putlon ka ilaaj yahee hai ke un ka sar kaat diya jaye ya un ka pura chehra aankh naak munh mita diya jaye.hai aese putle khareede jis ka sar hee na ho ya naak tak ka sar hi na ho

.( jawahirul fiqah 3/170,227..Se makhooz pure risale me is kee bahas hai)

tahtawee babu makruhatis salat

imdadul fatawa 4/ 252 Se makhooz)

 koi Aeatarazo ishkal ho to contac kare

from imran ismail memon 96873 41413

ye sms aese putle rakhnewalon ko pahonchane ki guzarish.

PARCEL ME KOI CHEEZ ZAYIA HO JANA.

PARCEL ME KOI CHEEZ ZAYIA HO JANA.

 SAWAL

v.p. ya courier wagerah parcel me koi cheez khareedar se Mangwaee aur dukandaar ne rawanah kee,

raste me woh cheez toot gai,

khareedar tak woh cheez saheeh salaamat nahi pahonchi,

to woh cheez kis ki zayea

hui..?

kiya khareedar ko us cheez kee qeemat dena zarooree hai?

JAWAB

Jab khareedar ke

mangwane se bechnewale ne woh cheez bhejee to us ne post office ya Transport walon ko

apna wakeel banane kee ijazat dee,

lihaza agar bechne wale ne woh cheez aihtiyat ke sath

achchhi tarah rawanah kee ho to khareedne wale ko us kee qeemat Ada karna zarooree hai.

HUQOOQUL IBAAD SAFA 67 BAHAWALA MAQALATE HIKMAT 362 SE MAKHOOZ

Zaid ne umar ko khalid se milaya aur umar ko  kaha ke khalid se maal lena aur bechna. Achcha nafa hoga.

SAWAL

Zaid ne umar ko khalid se milaya aur umar ko  kaha ke khalid se maal lena aur bechna. Achcha nafa hoga.

Phir wo nafa jo tumko milega hum dono aadha aadha batenge,

kyun ke maine tumhe party (maal jisse kharidna hai wo khalid) bataya .

Umer is par raazi ho gaya.

Ab usne khalid se ja kar do char baar maal liya . Nafe me zaid aur umer aadha aadha baant lete hai.

Zaid ki koi mehnat nahi.

Khali ne party pehli martaba bataya . Aur har martaba nafa leta hai to

kya ye sahi hai ?

 

JAWAB

pehli martaba party se mulaqat karai us ka nafa jaiz ba-sharte miqdar Tay ho ke itne rs ke sode par itna fesad-percentage commission.

jitna nafa ho Is ka aadha Ye bhi durust nahi, kiyun ke nafa kitna hoga ye pata nahi to commission kitna milega ye maloom na hoga. lihaza muaamla fasid hoga.

Aur baqi ke muaamalah me bhi koi mehnat nahi is liye jaiz nahi.

COMISSION KE BAARE AAPKEE KYAA RAAY HE ?

SAWAL

COMISSION KE BAARE AAPKEE KYAA RAAY HE ?
COMMISSION LE SAKTE HAI YA NAHI ?

JAWAB

Haamidan wa musalliyan

Agar koi shakhs apne kisee amal par apnee khidmat ka muaawza yaa comission lena chaahe to ye bila shubha jaaiz he bashart ye ke usne mutalliqa shay kee khareedaaree ya farokht karne me koi amal dakhal bhee bajaa laaya ho aur phir us comission kee amount bhee fix kee ho.

(Shaami) Daarulifta  Banoria town

KYA CREDIT CARD KA ISTEMAL HARAM HE? AUR SUDEE KIS SURAT HE?

SAWAL

KYA CREDIT CARD

KA ISTEMAL HARAM HE? AUR SUDEE KIS SURAT HE?

Mene suna he ke izaafi charge adaa karna haram he jo bill ke der se adaaigi kee wajh se he

Aur kharedee hui cheezon kee qeemat par credit card ka istemal karte hue izaafi charge adaa karna haram he?

 

JAWAB

haamidan wa musalliyan

CREDIT CARD KA. KHAREEDNA AUR ISTEMAL KARNA IS SHART KE SAATH JAAIZ HE KE AANEWALE BILLS KEE QEEMAT MUQARRARAH MUDDAT KE ANDAR ADAA KAR DEE JAAYE TAAKE UN PAR TAKHEER KI WAJHA SE SUD LAAGU NA HO SAKE KYUN KE TAKHEER PAR BHEE SUD ADAA KARNA HARAAM HE AUR DIRECT CREDIT CARD SE CASH HAASIL KARNA IS SHART KE SATH JAAIZ HE KE CASH HAASIL KARTE WAQT KOI ZAAID TAX NA LIYAA JAAYE KHWAAH DUKAANDAAR JAAREE KARE YA BANK KYU KE ZAAID PAISE KHIDMAAT KE MUQAABLE ME NAHEE BALKE QARZ KE MUQAABLE ME HOGA JO KHAALIS SUD HE AUR CASH MACHINE KE ZARIYE HAASIL KARNE ME GUNJAAISH HE KYU KE IS SURAT ME YE QARZ KE MUQAABLE ME NAHEE HE BALKE MASHIN KI SARVISE KE MUWABALE ME HAI

 

LIHAAZA IS TAFSEEL KO MALHUZ RAKHTE HUE CREDIT CARD ISTEMAL KAR SAKTE HE

 

WALLAAHU AALAMU BISSAWAAB

 

FATAWA BINORIA

SERIAL NO. 10959

 

HAZRAT MUFTI MAHBOOB ILAHI SAHAB KARANCHI D.B.

CREDIT,DEBIT,CHARGE CARD KE HUKM

CREDIT,DEBIT,CHARGE CARD KE HUKM

SAWAL

Aaj kal kai qism ke Credit card bazar me chal rahe hai kiya un ko istiamal kar sakte hai?

 

AL JAWAB

Aaj kal 3 qism ke credit card mash’hoor hai,

1. DEBIT CARD

2. CHARGE CARD

3. CREDIT CARD

 

1. DEBIT CARD : is card ke rakhne wale ka account pehle se bank me maujud rahta hai, jis bank ka usne card haasil kiya hai, card rakhne wala jab bhi uske card ko istemal karta hai bank uske account me maujud raqam se uski adaaygi kar deti hai, isme card rakhne wale ko udhaar [credit] ki sahulat haasil nahi hoti hai, balke sirf us waqt tak card ko istiamal kar sakta hai jab tak uske account me raqam maujud hai, bank is card ko chaalu rakhne ki fees wasul karti hai, is card ka isteamal beshak jaiz hai, iske zariyeh kharido farokht-le bech durust hai, kyun ke isme na qarz ki surat hai na sood [vyaj, interest] ki, albatta card rakhne wale ki ye zimmedari hogi ke us card ko gair sharaee kaamo me isteamaal na karey.

 

2. CHARGE CARD : is card ke rakhne wale ka bank me pehle se account nahi hota, balke bank card rakhne wale ko udhaar ki sahulat deti hai, card rakhne wale ko ek mutayyan [fix] dino ke udhaar ki sahulat milti hai, jisme us bank ko raqam adaa karna zarooree hota hai, agar us muddat me raqam ki adaaygi ho jaye to sood nahi lagta, albatta card rakhne wale ne waqt par adaaygi na ki to fir usko sood ke saath adaaygi karni padti hai, bank is card ko chaalu rakhne ki fees wasool karti hai, is card ko niche diye huwe sharait ke saath isteamaal karna jaiz hai.

 

[1] card rakhne wala is baat ka pura intezam kare, mutayan tay  shudah  waqt se pehle raqam ki adaaydi kar de aur kisi bhi waqt sood zimme me aane ka koi imkaan baaqi na rahe,

 

[2] card rakhne wale ki zimmedari hai ke us card ko gair sharaee kaamo me istemal na karey

 

3. CREDIT CARD : is card ke rakhne wale ka bank me koi account nahi hota balke muaahada [agreement] hi sood ke saath udhaar lene par karta hai, is muaahde me agar che bank ek mutayyan muddat deti hai, jisme agar card rakhne wala raqam ki adaaygi kar de to usey sood dena nahi padta,  lekin shuruaat hi me muaahda sood ki buniyad par hota aur uski adaaygi ka waada hota hai, uske alawa isme muddat ko tajdeed-renew karne ki sahulat bhi maujud hoti hai jisse raqam ki adaaygi ki muddat badh jati hai, albatta uske saath saath sood ke -feesad-persontage me izaafa ho jata hai, baaz suraton me ziyad raqam li jati hai uska hukm ye hai ke us card ka istemaal jaiz nahi hai, magar ye ke debit card/charge card alag se na milta ho aur usko debit card aur charge card ki tarah upar diye huwe sharait ke saath istemaal kiya jaye, in tamaam card ko credit card kehg diya jata hai, lekin jo asal me credit card hai uska istemal jaiz nahi. Albatta credit card ka lafz upar di huwi 2 qism par bola jaye to istemal jaiz hai, unke alawa card ki ek qism jisko atm card kehte hai, ye raqam nikalne ka card hota hai, baaz dafaa uska paaya jana upar zikr kiye huwe card ke ziman-sath sath bhi hota hai, maslan ye mumkin hai ke debit card me atm me se rakam nikalne ki sahulat bhi maujud ho, is card ka huk ye hai ke uske istemal karne par agar mutayyan raqam machine ke istemal ke ujrat [mazduri] ke tor par bank wasool karey to wo mazduri raqam ke kam ziyada hone ke aitebar se na ho to jaiz hai, lekin agar bank raqam ko kam ziyada ki buniyad banaa kar uske aitebaar se hi kuchh wasool karey to jaiz nahi, kyun ke ye sood keyhlayega, albatta bank card chaalu karne ki fees wasool kar sakta hai.

 

[FATAWA USMANI JILD-4 SAFA-354

HZ. MUFTI MUAHAMMAD TAQI USMANI SAHAB D.B. KARACHI]

PAANI AUR OIL MARKAR WAZAN BADHANA

PAANI AUR OIL MARKAR WAZAN BADHANA

 

SAWAL

 

BAAZ LOG RUI [cotton] KA KAROBAR KARTE HAIN AUR WAZAN BADHANE KE LIYE US PAR PAANI CHHIDAKTE HAIN,

ISEE TARAH BAAZ LOG YARN-KACHCHE KAPDO KA KAROBAR KARTE HAIN WOH KAPDE KI MOTAI YA WAZAN BADHANE OIL MARTE HAI,

TO AESA KARNA KESA HAI?

 

JAWAB

SHARAN YE AMAL DURUST NAHI.

KIYUN KE YE KHAREEDAR KO DHOKA DENA HAI JO JAIZ NAHI.

 

EK MARTABA HUZOOR SALALLAHU ALAIHI WASALLAM EK GEHUN KE DHER KE PAS SE GUZRE AUR APNA DASTE MUBARAK DHER ME DAKHIL KIYA TO ANDAR SE GHEHUN BHIGE HUWE THE,

AAP SALALLAHU ALAIHI WASALLAM NE IRSHAD FARMAYA

“AE GALLE-ANAAJWALE YE KIYA HAI? ”

US NE ARZ KIYA ALLAH KE RASOOL SALALLAHU ALAIHI WASALLAM BARISH AAYEE THI US KA PAANI HAI.

HUZOOR SALALLAHU ALAIHI WASALLAM NE FARMAYA

“IS BHIGE HUWE KO UPAR KIYUN NAHI RAKHA.? TAA KE LOG DEKH LEWE”

FIR FARMAYA

“JO DHOKA DE WOG HAM ME SE NAHI”

 

AHAM MASAAIL AKKALKUWA SAFA 165 JILD 2 MAKHOOZ BAHAWALA TIMIZI WA BADAIYUS SANAAIA

 

IMRAN ISMAIL MEMON GUFIRA LAHOO

MUDARRISE DARUL ULOOM RAMPURA SURAT GUJRAT INDIA

AAJ KAL TAIYYAR KAPDON AUR SAARI KI DUKAN ME JAANDAAR KE PUTLE RAKHE JATE HAI US KA KYA HUKM HAI..?

SAWAL

AAJ KAL TAIYYAR KAPDON AUR SAARI KI DUKAN ME JAANDAAR KE PUTLE RAKHE JATE HAI US KA KYA HUKM HAI..?

  1. AAJ KAL JANDAR PUTLE LAGAYE BAGAIR DHANDHA NAHEE HOTA ISLIYE ROZEE KI MAJBOOREE ME JAIZ…?
  2. PUTLE KI AANKH PAR PATTI BANDH DEE JAYE TO JAIZ…?
  3. AANKH AUR NAAK KO KISI TARAH BHI DHAANK DIYA JAYE TO JAIZ..?
  4. AESI CHEEZ DOOR KARNA ZAROOREE HAI JIS KE NA HONE SE INSAN ZINDA NA RAHE..?
  5. DONO AANKH SAPAT-PLAIN HO TO JAIZ.
  6. PUTLE KO IS ZAMANE KE BAAZ ULAMAA JAIZ KEHTE HAI KAFIRON KE MULK ME US PAR AMAL KARNA DUSRON SE COMPETITION/MUQABALA KARNE JAIZ…?

 

Jawab

Haamidaw wa musalliya

Sirf option number –  4 saheeh hai,

Yanee aese uzv ko nikal diya jaye jis ke bagair insan zinda na rahe. Jaise sar kaat diya jaye ya poora chehra mita diya jaye.

Sirf aankhon par patti bandh den kafi nahi hai, patti bandhne se bhi insan zinda rehta hai.

Aankh aur naak ko mita dena bhi kafi nahi kiyun aankh aur naak kaat dene ke ba wajood insan zinda reh sakta hai. Dono aankhe sapaat plain karna bhi kafi nahi aankhe bilkul na hone se bhi jandar kee taareef-defination se nahi nikalta.

Jandar ka putla haraam hona aesa masla hai jis par arab aur ajam-gair arab aur dewbandi barelvi sab ulamaa ke ittifaq hai, kisi ka ikhtilaf nahi.

Rozee ka malik allah hai aur woh taqdeer me likhi hui hai us se zayada mil nahee sakti, masail quraan hadees se nikale jate hai is par amal karna puree dunya me zarooree hai, chahe islami hukoomat ya na ho.

Hadees me aata hai ke jis ghar me tasweer ya kutta ho wahan rahmat ke fareeshte dakhil nahi hote.

(bukharee)

Jab rahmat ke fareeshte nahi aayenge to shaytani asaraat aate hai aur rozee kee barkat jati rehti hai.

Lihaza un putlon ka ilaaj yahee hai ke un ka sar kaat diya jaye ya un ka pura chehra aankh naak munh mita diya jaye.

Putle ke chehre par kapda dalna bhi kafi nahee ye dhankna hai katna ya mitana nahi hai.

(jawahirul fiqah 3/170,227..pure risale me is kee bahas hai)

Tahtawee babu makruhatis salat

Imdadul fatawa 4/ 252)

Damage Ya Kharab Chiz Kharidne Ke Bad Ka Hukm

SAWAL

KISEE NE KOI CHEEZ KHAREEDEE AUR GHAR LAYA TO US CHEEZ ME KOI NAYA AEB [nuksaan] PAIDA HO GAYA FIR WOH CHEEZ ACHCHHI TARAH DEKHI TO WOH PURANA AEB BHI MALOOM HUWA JO BEECHNE WALE KE PAAS BHI MAUJOOD THA.

MASALAN KAPDE KA TAAKA KONE SE BACHCHE NE FAAD DIYA FIR TAAKA ANDAR SE KHOLA TO ANDAR SE BHI CHUHE KA KATRA HUWA, FATA HUWA MILA, TO AB YE TAAKA WAPAS KAR SAKTE HAI?

US PURANE AEB KEE WAJHA SE QEEMAT ZABRDASTEE KAM KARWA SAKTE HAI..?

Jawab

Us aeb ki wajha se jo khareedne wale ke paas paida huwa hai wapas nahi kar sakte. Han woh aeb jo bechne wale ke paas hee tha, us kee wajha se bechne wale ko qeemat kam karna padegi. Qeemat ka andazah us teejarat ka jankaar log karenge

<baheeshtee zewar 5/363>

SMUGLING KI GHADIYAN, MOBILE JO AADHI QEEMAT PAR BECHI JATI HAIN, US KO KHAREEDNA KAISA HAI?

SAWAL

SMUGLING KI GHADIYAN, MOBILE JO AADHI QEEMAT PAR BECHI JATI HAIN, US KO KHAREEDNA KAISA HAI?

 

jawab

agar un ghadiyon, mobile ki khareed me jhut bolna ya kisi aur gunah ka irtikab na karna pade to khareedna jaiz hai.

(fatawa usmani 3/88 hazrat mufti taqee usmani d.b.ki)

GADEE NAQAD (Cash) LE TO

SAWAL

GADEE NAQAD LE TO

60 000 AUR UDHAR HAFTE SE BANK KE ZARIYE LE TO

72 000 IS TARAH GADEE LENE KA KIYA HUKM HAI?

  1. MAKROOH
  2. HARAAM
  3. SIRF BANK SE HEE POORA MUAAMALA KARE TO JAIZ
  4. SIRF COMPANY WALE SE HEE POORA MUAAMALA KARE TO JAIZ.

 

Jawab

Gadi khareed kee hasbe zail teen sooraten hain.

  1. Agar dealer ya dealer ka financer gadee bechne wala hai, chahe naqad beche ya udhar qiston- hafton par.Aur sara muaamala dealer ya us ke financer hee se ho raha hai andar me bank ka koi dakhal nahi.  To udhar khareedne ke waqt us kee naqad ke muqable kitnee zayadah qeemat denee hai aur kitne maheeno me denee hai ye baat saaf kar dee jaye aur hafton se paise ya cheque dealer hee ko diye jaye to ye muaamala jaiz hai.

 

  1. Agar bechne wala bank ya finacer ho aur gadee kee chabee aur qabazah bhi usee se liya jaye aur bank ke naam se cheque diye jaye, company ka bich me koi wastah na ho to ye surat bhi jaiz hai.

 

  1. Agar bechne wala dealer hai aur bank khareedne wale ki taraf se dealer ko abhi pooree qeemat adaa kar deta hai. Aur fir aayindah qiston- hafton kee shakal me apni adaa kee hui raqam kuchh zaid miqdar ke sath khareedne wale se wusool karta haiye zaid miqdar sood kehlati haiisliye shareeat me ye muamala durust nahee.

(mahmoodul fatawa 3/50 murshidee hazrat aqdas mufti ahmad khanpooree d. B. Kee)

10,000 Ki Product Udhar Kharidkar Wapas Usi Dukan wale ko 8000 ME BECHNA JAIZ  HAI..?

SAWAL

KISI NE 10,000 KA MOBILE KHAREEDA AUR QABZAH BHI KAR LIYA .FIR ITTIFAQ SE US KE PAISE NA DE SAKA YA AB US MOBILE KO RAKHNE KA IRADAH NAHEE HAI TO JIS SE LIYA HAI USEE KO MASALAN  8000 ME BECHNA JAIZ  HAI..?

jawab

Mazkoorah surat me woh mobile bechna jaiz nahi jab tak ke us asal bechne walon  ko us ki qeemat 10,000 de na de, kam paise  me us ko woh cheez bechna jaiz nahi.

( baheeshtee zewar 5/367 ba hawala kanz)

Sharee Soda (Lain-Dain) Kise Kehte He?

SAWAL

KISI NE KAHA YE CHEEZ 100 RUPYE ME DE DO US NE KAHA ME NE DE DEE IS SE MUAAMALA~ SODA HUWA YA NAHEE? YA AUR KUCHH BHI BOLNA PADEGA?

 

Jawab

Mazkoora surat me soda nahi huwa.

Kharednewale ko ye kehna padga mene le liya kiyun ke sode me dono taraf yaqeenee jumle hone chahiye

Yaqeen mazee yanee past tence me hota hai.,

Kharidne wale ne jab kaha mujhe ye cheez 100 rupye me de do to ye order hai is me khareed lene ki baat nahi hui

Sirf sirf bechne ke liye keh raha hai

Ab bechnewala agar mana karta to soda na hota

Iseetarah sirf itna kaha me ne de dee to soda nahee huwa jab tak ke khareednewala ye na keh de mene le lee.

(baheeste zewar 5/354 ba hawala aalamgeeree 2/4)

JAANDAAR KI TASWEER WALI CHEEZEN BECHNA

⭕AAJ KA SAWAL NO.2575⭕

Jaandaar ki Tasweer wale kapdon, dibbe, boxes, mobile cover, akhbar, kitab ko bechna kaisa hai?

🔵AAJ KA JAWAB🔵

حامد ومصلیا و مسلما

Jaandaar ki Tasweer wali mazkoorah e baalaa (upar zikr ki gayi) cheezon ko bechna jaiz hai.

kyun ke usme tasweer maqsood nahi hoti, tasweer tab’an zimnan (gair maqsood ) hoti hai, asal maqsad us cheez ko khareedna aur bechna hota hai, lihaza uska bechna jaiz hai.

Agar khareedne wale ka maqsad us cheez ki tasweer ho to woh khud gunehgar hai, bechne wala nahi.

📘ISLAAM AUR JADEED MA’AASHI MASAIL 4/17,18

و الله اعلم بالصواب

PARCEL ZAYEA HO GAYA TO NUKSAN KA ZIMMEDAR KAUN?

⭕ AAJ KA SAWAL NO.2603⭕

Taajir ne khareedar ki talab par ba zariye transport maal rawana kiya, raste me maal zayea ho gaya to us nuksan ko taajir bardasht karega ya khareedar?

Aaj kal ke urf ke mutabiq taajir ke zimme nuksan aata ho to khareedar ke liye taajir se us nuksan ko wusool karna saheeh hai ya nahi?

🔵JAWAB🔵

حامدا و مصلیا و مسلما

Jo maal daak, rail, transport wagairah ke zariye se rawana kiya jaaye woh uske qabze me samjha jayega jisne yah hukm diya ho, agar khareedar ne likha ke fulan maal rail ya daak ya trasport me bhej do aur zayea ho gaya. Bechnewala zimmedar nahi, usne goya khareedar ke wakeel (yani courier, rail, ya trasport) ke hawale kar diya

Aur agar uska yah hukm na tha bechne wale ne khud apni marzi se bheja to bhejne se bechi huwi cheez ka supurd karna (hawale karna) nahi huva, lihaza bechnewala nuksan ka zimmedar hoga khareedar nahi.

📗ITRE HIDAYAH 102
MAHMOODUL FATAWA 3/26 QADEEM
JADEED 7/381

و الله اعلم بالصواب

 

TAAJIRO KO TIJARAT KA ILM HAASIL KARNA ZAROORI.

⭕AAJ KA SAWAL No. 2619⭕

Me computer ki tijarat shuroo karne jaa raha hun, aur khud computer engineer hun, mujhe tijarat shuroo karne se pahle deeni aetibar se kya karna chahiye?

🔵JAWAB🔵

حامدا و مصلیا مسلما

(1) Islam ne zindagi ke har sho’abe ke liye rehnumai ki hai. Insaan ke liye zaruri hai ke woh jis sho’abe me daakhil ho uske baare me ahkaam e shariat ki vaaqifiyat hasil karne ki koshish kare.

Chunanche Rasulullah Sallallahu Alayhi va Aalihi Wasallam ne Irshad Farmaya ke: Har musalman par Ilm ka haasil karna farz hai.

(2) Isme woh tamam uloom shaamil hain jin ki Deen par amal karne ke liye zarurat pade ya jo rozi kamane ke liye haasil karna zaruri hai.

Chunanche Fatawa e Sirajiya me hai:
“Ilm ka itni miqdaar me haasil karna farz hai jis ki zarurat ho.

Aise kaamo ke silsile me jo uske liye uske bagair chara na ho, jaise wuzu, namaz dusre sharaee ahkaam aur ma’ashi umoor- gharelu masail

(3) Computer ki tijarat ke liye bhi bahot se sharaee masail ho sakte hain, jaise soodi len-den se bachna, mahfooz programo ki chori se parhez karna, Agar computer ke saath saath CD bhi faraham karte ho to akhlaaq ko bigadne wali CD’s ki kharido farokht se bachna.

Pas Aap sab se pahle tijarat aur bilkhusoos apne shoebe ke mutualliq masail va ahkam ki vaqfiyat haasil karne ki koshish karen aur us baat ka pukhta iradah rakhe ke jhoot, dhoka, aur bad-dayanati se apne aap Ko bachaenge.

Balke fuqahaa (masail ke maahireen) ne likha hai ke jab tak aadmi khareedo farokht ke ahkaam se vaaqif na ho jaae use tijarat shuru na karni chahiye.

(is baare me badi kotahi hai ke apne karobar ke masail sikhe bagair hi karobar karte rehte hain!)

📕FATAWA MAHMOODIYA 9/378

و الله اعلم بالصواب

LOT ME DI HUI CHIZ KAMOBESH NIKLE

⭕AAJ KA SAWAL NO.2638⭕

Kapde ka Ek than (lot) becha yun keh kar ke is me 20 meter hai
poora than 2000 rupiya ka kharidne ke baad napa to sade unnis (19.5) meter hee tha to kya 50 rupiye kam de sakte hain ya sade bees (20.5) meter nikle to bechne wala 50 rupiye ziyadah mang sakta hai?

🔵AAJ KA JAWAB🔵

حامد ومصلیا و مسلما

Agar sauda pakka ho gaya hai aur poore than ka sauda kiya hai,
har meter ki qeemat alag bata kar sauda meter ke aetibar se nahi kiya hai to kam niklne ki surat me upar ke masle me 50 rupiye kam dena saheeh nahi hai.

Lena ho to poore paise de kar lena hoga.

Haan, kam nikla hai to use na lene ka ikhtiyar milega khareednewale wala sauda cancelled kar sakta hai

Lekeen agar aadha meter ziyadah nikla to upar ki surat me bechne wala 50 rupiye ziyadah nahi mang sakta kyun ke sauda poore than ke hisab se kiya tha har meter ke hisab se qeemat nahi batayi thi aur bechne wale ko sauda cancelled karne ka ikhtiyar nahi milega
2000 hee me saade bees 20.50 meter ka than dena padega.

📗FATAWA MAHMOODIYA DABHEL 16/174
BAAHAWALA HIDAYA 3/24
و الله اعلم بالصواب

✏Mufti Imran Ismail Memon, Hanafi, chishti, sahab

🕌Ustad e Darul Uloom Rampura, Surat, Gujarat, India.

ONLINE SONA (gold) BECHNA

⭕AAJ KA SAWAL No. 2714⭕

Online Paytm gold sona bechkar nafa kamana kaisa hai ?

🔵JAWAB🔵

حامدا و مصلیا مسلما

Kisi Manquli- transfer ho saknewali cheez ko Khareed kar Aage bechna shar’an us waqt jaiz hota he jab khareedne wala surate Masula me sona (Gold)) par Qabza kar le.

Aur shar’an Qabza us waqt Mukammal hota he jab khareedne wala Maal ko Khud ya kisi Numainde (wakeel, dalaal) ke Zariye bechne wale ko Apne Qabza aur ikhtiyar me is tor per le le ke woh jab chahe usey apne iste’amal me la sake, ya aage bech sake.

mahaz account me darj ho jana ke aap ke paas itna sona hai jab ke baahar haqeeqat me wo sona mutaiyyan aur mahsoos taur par moujud na ho, ya moujud ho lekin partner ke taur par bhi usme koi ikhtiyar na ho, ye shar’an qabza nahi he.

lihaza aisi surat me khareedaar ke liye usey aage bechna bhi shar’an jaiz na hoga.

paytm gold ke tavassut se sona kharidne ke baad agar upar bataye gaye tariqe par sharaee qabza na ho, balke mahaz account me aapke haq ke tour par indiraz-note hota ho to puchhi hui surat me aapke liye paytm gold par sona kharid kar usey aage farokht karke nafa kamana shar’an jaiz nahi hai.

و الله اعلم بالصواب

📗ON LINE DARUL IFTA DEVBAND BA HAWALA DURRE MUKHTAR MA’ SHAMI 7/94

✍🏻 Mufti Imran Ismail Memon Hanafi
🕌 Ustaze Darul Uloom,
Rampur Surat, Gujarat, India

PATANG AUR USKI DAUR CHADAHNE GHISNE KA KAROBAR

⭕AAJ KA SAWAL NO.2719⭕

Patang baazi aur uske mutaaLiqa samaan ki tijaarat karne ka shar’ee Lihaaz se kya hukm haI

🔵JAWAB🔵

patang ke mutaaLiqah saaman ki tijarat ka hukm ye Hai ke ye tijarat “ii’aanatun aLaL maasiyah” {Gunah par madad karne} ki binaa par Na-jaaiz hai.

📓 Fatawaa Mahmoodia-16/134

🌙🗓ISLAMI TAREEKH :
03 JAMADI UL SANI 1443 HIJRI

✍🏻Mufti Imran Ismail Memon Hanafi Chishti.
🕌 Ustaze Darul Uloom Rampura, Surat, Gujarat, India.

MAAL JAISA BATAYA THA WESA NA NIKLA

⭕AAJ KA SAWAL NO.1557 ⭕

Agar kisi ne tota khareeda is shart par ke ye baten karta hai aur woh aesa nahi tha to khareedar us ko wapas kar sakta hai ya nahi?
Agar khareedar qeemat kam karana chahe to durust hai ya nahi?

🔵JAWAB🔵

حامدا و مصلیا و مسلما

Khareede huwe maal me pasandeeda sifan-gun fot hone par lhareedar ko ikhtiyar hai ke chahe to puri qeemat me cheez rakh le warna wapas kar de lwkin qeemat kam karane ka ikhtiyar nahi kyun ke sifat-gun ke muqabale me qeemat nahi hoti (sifat ki alag se qeemat nahi hoti na woh alag se bikti nahi hai woh to cheez me hi paai jati hai us ke tabia hoti hai)

FATAWA ZAKARIYA 5/93
و الله اعلم بالصواب

🌙🗓ISLAMI TAREEKH : RABEEUL AWWAL 1440 HIJRI

✍🏻Mufti Imran Ismail Memon Hanafi Chishti.
🕌 Ustaze Darul Uloom Rampura, Surat, Gujarat, India.

BAGAIR RAGISTER KARAYE ZAMEEN BECHNA

⭕AAJ KA SAWAL No.2739⭕

Zaid ne umar se zameen ka soda kiya aur pure paise diye nahi hai aur us me kheti shurooa kar dee aur bakar gharahak aaya to use nafe se bechkar us ke naam par zameen ragister par bhi Kara dee to zaid zameen ke pure paise dene se pehle kheti karna isee tarah naam par hone se pehle aage bakar ko bechkar nafa lena halal hai?

🔵JAWAB🔵

حامدا و مصلیا مسلما
Puchhi hui surat me jab soda ho gaya to kheti karna saheeh hai ab zameen ke zaid ki milkiyat me aane me koi shak nahi raha aur zameen ko aage bechna bhi saheeh hai us ka hasil honewal nafa bhi halal sarkar karywahee- charajoi na ho sake to sode ke saheeh hone par koi asar nahi padega.

📗MAHMOODUL FATAWA 4/469
و الله اعلم بالصواب

✍🏻 Mufti Imran Ismail Memon Hanafi
🕌 Ustaze Darul Uloom,
Rampur Surat, Gujarat, India

KEROSENE – MITTI KA TEL BLACK ME BECHNA

⭕AAJ KA SAWAL No. 2741⭕

Hamari dukan ko sarkar ne parmit dee hai lekin cota kam hai to ham jis ke pas cota kam hai us se lekar kerosene sarkari bhav se zayada me bechta hun woh zayada nafa mene madla maloom na hone ki wajha se alag rakha hai to ye paise mere liye halal hai ya nahi?

🔵JAWAB🔵

حامدا و مصلیا مسلما

Agar Sarkar ki ye shart hai ke itne hee paise me bechna hai, muqarrah qeemat se zayada paisa wasool karni ki ijazat nahi hai to zayada paisa lena sarkar ko dhoka Dena hai.aur hadees me hai ke mumin dhoka nahi deta lihaza jis ke pas se zayada paise liye hai woh maloom ho to un ko paise lota de agar maloom nahi hai to us paise ko sadqa kar de.

📗MAHMOODUL FATAWA 4/471

و الله اعلم بالصواب

✍🏻 Mufti Imran Ismail Memon Hanafi
🕌 Ustaze Darul Uloom,
Rampur Surat, Gujarat, India

NEWS DEKHKAR PEAISE KAMANA

⭕AAJ KA SAWAL No. 2749⭕

ADC News chenal ke zariye peaise kamaana kaisa hai? ye ek app hai, uski shakal ye hai ke ye chenal Dollar se add hota hai, uski muddat 20 mahine ki hoti hai, aur roz ke hisaab se task milta hai, yani roz ke hisaab se news dekh kar ya padhkar task pura hota hai, mahine ke hisaab se peaise milte hai, usko padhne ke liye zabaan bhi badli jaa sakti hai, agar arbi zabaan me news hoto sirf news hi aata hai ,aur agar hindi, english vagerah zubaan me ho to cinema ke bare me bhi har tarah ki khabre aati hai, uska hukm bayaan farma dijye, agar ye na jaiz hai to uske zariye jo paise ki kamaai hoty hai uska kiya hukm hai? Aur us news chenal ka kiya hukm hai? us chenal se bahot saare log jude huwe hai-

🔵JAWAB🔵

حامدا و مصلیا مسلما

ADC news app ke zariye news video dekh kar ya khabre dekh kar task pura kar ke peaisa kamana shara’an jayez nahi, jo raqam hasil kar li hai usey sawaab ki nyyat ke bagair sadqah karna zaruri hai.

📕FATAWA DARUL ULOOM BINORIA TOWN.
FATWA NO.144104200423

و الله اعلم بالصواب

✍🏻 Mufti Imran Ismail Memon Hanafi
🕌 Ustaze Darul Uloom,
Rampura,Surat, Gujarat, India

PAISE TRANSFER KARNE KI UJRAT LENA

⭕AAJ KA SAWAL No. 2760⭕

➊ Paisa Transfer jo aaj kal log dukan daal kar bank me paisa Transfer karte hai, Transfer karte waqt charge bhi karte hai, charge se ziyadah paisa lena jaiz hai ya nahi ?

➋ ezy paisa (easy paisa) ya jez kesh (jazzz cash) wagerah se Account me raqam bhejne par company koi katoti nahi karti, jab ke dukan daar das rupye lete hai, kya shar’an aisa karna jaiz hai ?

🔵JAWAB🔵

حامدا و مصلیا مسلما

➊ paise Transfer karne wala agar us kaam ke pichhe mehnat aur waqt sarf kare (waqt lagaaye) aur wo ajeer (mehnat ki ujrat lene wala) ban kar apne amal ki tay shudah ujrat wusul kare to ye mua’mla money order ke hukm me hokar muqarrah charge lene ki gunjaish hogi, lekin agar qanoonan ye kaam mamnua (illigal) ho to us se bachna chahye.

📗IMDADUL FATAWA /146 BABUL RIBA MAKTABA DARUL ULOOM KARANCHI)

📥ON LINE FATAWA DARUL ULOOM DEVBAND SE MAKHOOZ FATWA NO.161857

➋ Wazeh rahe ke easy paisa ya cheez cash account ke zariye paise bhejne ki surat me agar company customer se kuchh katoti nahi karti, aur dukandaar Retailers ko bhi katoti na karne ka paband banaati ho, to is surat me dukan daar ke liye paise bhejne par fees wusul karne ki shar’an ijazat na hogi, aur agar katoti karne ka paband na banati ho to pehle se ujrat Tay karke le sakte hai.

📕FIQHUL BUYOOA 2/751

📥DARUL IFTA ALIKHLAS KARANCHI FATWA NO. 3927

و الله اعلم بالصواب

✍🏻 Mufti Imran Ismail Memon Hanafi
🕌 Ustaze Darul Uloom,
Rampur Surat, Gujarat, India

SOFTWARE BECHNA

⭕AAJ KA SAWAL NO. 2863⭕

kya kisi company ke liye software ko pehle khareede bina copy karna aur phir ise karobar ke tareeqe se bechna jaaiz hai ? yaanee kya ise bina khareede online copy aur bechna jaaiz hoga ? ya kya hum ko use bechne ke liye pehle khareedna hai ?

🔵JAWAB🔵

Aise software ka istemal karne ki ijaazat nahin hai jo company ki taraf se manaa ho aur na dalaalatan company se copy karne kee ijaazat ho.
yaanee company iske baare mein janne ke baad chetavni ya penalty kee karvayi karne ke liye tayyaar hai. to na C D banaane ki ijaazat aur na uski copy bechne kee.(aur company ko koi aetraz na ho to jaiz hai)

Aur Allah Taala behtar janta he

📚daarul uloom devband
📚daarul ifta daarul uloom devaband
📕 Fatava no. 15693

✍🏻Mufti Imran Ismail Memon hanafi chisti.

🕌 Ustaad e daarul uloom Rampura surat, Gujarat, India.