QURBANI ME VALEEMAH, AQEEQAH YA ALLAH KA HISSA RAKHNA

QURBANI ME VALEEMAH, AQEEQAH YA ALLAH KA HISSA RAKHNA

🔴Aaj ka sawal No.2890🔴

1⃣. Qurbani me valeemah ya aqeeqah ka hissah rakh sakte hain ?

2⃣. Ba’az log qurbani me Allah ka hissa rakhne ko kehte hai to ye kaisa hai ?

🔵Jawab🔵

حامد و مصلیا و مسلما

1⃣. Ji haan, Valimah sunnat hai, sawab hai, us ka hissah rakh sakte hain, isee tarah aqiqah ka hissah bhi rakh sakte hain.

📚Mustafad az kitabul masail 2/233,shami 6/226)

2⃣. Ba’az log badey janwar me Allah ka hissa rakhne ke mutalliq puchhte hai to ye baat yaad rahe ke tamaam hisse aur tamaam qurbaniyan Allah ta’ala ke liye hee hoti hai, urf (bol-chaal ke riwaj me) ‘mera hissa’ ‘fulaan ke naam ka janwar’ bol diya jata hai, haqeeqat me niyyat ye honi chahiye ke fulaan ki taraf se hissa ya janwar Allah ta’ala ke liye me qurbani karta hun.

✍🏻Mufti Imran Ismail Memon Hanafi Chishti.
🕌 Ustaze Darul Uloom Rampura, Surat, Gujarat, India.

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *