9 10 Muharram Ki Fazilat 1478
Sawal:
‘9 10 Muharram Ki Fazilat‘ Ke Bare Me Wahatsapp Par Ek Riwayat Viral Huyi Hai, Ke Jisne Muharram Ki Navmi, Daswi Ko Rozah Rakha Use 1000 Hajj, 1000 Umrah Aur 1000 Shahidon Ka Sawab Milega Aur Uske Ek Saal Ke Gunah Muaf Honge Aur Do Saal Ki Ibadat Ka Sawab Milega Aur Jo Ye Dusre Ko Bhejega Use 80 Saal Ki Ibadat Ka Sawab Milega.
Kya “9 10 Muharram Ki Fazilat” Wali Yeh Riwayat Sahih Hai?
Jawab: حامدا و مصلیا و مسلما
“9 10 Muharram Ki Fazilat“: Itni Badi Fazeelat To Ramzan Ke Farz Rozah Ki Bhi Warid Nahi Huyi Hai, Haalan Ke Farz Ka Sawab Nafl Se Bahut Hi Ziyadah Hota Hai.
Aur Dusron Ko Sirf Bhejne Me 80 Saal Ki Ibadat Ka Sawab Mil Jayega, Aisa Bhejne Aur Batane Ka Sawab Bhi Kisi Bhi Ibadat Ke Baare Me Muatabar Riwayat Me Warid Nahin Huva Hai.
Aur “9 10 Muharram Ki Fazilat” Ke Silsile Me Yeh Riwayat Kisi Bhi Sahih Ya Zaeef Ahaadees Ki Kitabon Me Mavjood Nahin.
Lihaza Yeh Riwayat Mavzooa (Banawati) Hai Ise Aage Bhejne, Or Dusron Ko Is Ki Yeh Fazeelat Batana Bhi Jaiz Nahin. Aisa Aadmi Sakht Gunehgar Hai.
و الله اعلم بالصواب
Mufti Imran Ismail Memon Hanafi Chishti
Ustaad E Daarul Uloom Rampura Surat, Gujarat, India.