GUSAL KHANE ME JAANE AUR NIKALNE KA MASNOON TARIQA KYA HE ?
SAWAL
GUSAL KHANE ME JAANE AUR NIKALNE KA MASNOON TARIQA KYA HE ?
jawab
Gusal khana (bathroom) me aam taur per safai nahi hoti isliye baitulkhala ki tarah gusal khane me dakhil hote waqt pehle baya pair andar rakhe aur nikalte waqt pehle daya pair nikale.
Gusal se pehle bismillah parhna masnoon he lekin bismillah agar nange nahana ho to kapde utarne se pehle parhe.
Gusal khane me dakhil hone se pehle parhe aur farig hone ke baad gusal khane se baahar nikalkar wuzu ke baad wali dua parhe.
Ahsanul fatawa 2/37