Hajj Maqbool Hone Ki Alamat

HAJJ MAQBOOL HONE KI ALAMAT

⭕AAJ KA SAWAL NO. 1494⭕

Mufti sahab, mera hajj qubul ho gaya uski koyi alaamat (nishani) hai ?

Agar hai to hawale ke saath batane ki guzarish.

🔵JAWAB🔵

حامد و مصلیا و مسلما

Ji haan, aap ki hajj Allah Rabbul Izzat ki baargaah me maqbul ho gayi uski alamat yeh hai ke

Hajj ke baad a’amaal e saaleha ka eahtemam aur pabandi aur aakhirat ki taraf ragbat badh jaaye, aur pehli haalat se behtar ho jaye,

{Mard ki daadhi na ho to daadhi rakh le, takhno ke upar payjama na pahanta ho to pahanna shuru karey aur aurat pardah na karti ho to parda karna shuru karey aur dono sharaee libaas ka eateraam karen}

Is liye hajj ke baad apne a’amaal aur akhlak ka khaas taur se khayaal rakhna chahiye aur taa’at aur ibadat me khoob koshish karni chahiye, gunaah aur burey akhlak se nafrat aur parhez karna cahiye,

📚Muallimul hujjaj safah 337 se 341

Yeh baaten paida ho gayi to Insha’Allah aap ka hajj qubul hai. Aap hamen aur poori ummat ko apni duaao me yaad farmayen.

و اللہ اعلم بالصواب

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *