JAANDAAR KI TASWEER WALI CHEEZEN BECHNA

⭕AAJ KA SAWAL NO.2575⭕

Jaandaar ki Tasweer wale kapdon, dibbe, boxes, mobile cover, akhbar, kitab ko bechna kaisa hai?

🔵AAJ KA JAWAB🔵

حامد ومصلیا و مسلما

Jaandaar ki Tasweer wali mazkoorah e baalaa (upar zikr ki gayi) cheezon ko bechna jaiz hai.

kyun ke usme tasweer maqsood nahi hoti, tasweer tab’an zimnan (gair maqsood ) hoti hai, asal maqsad us cheez ko khareedna aur bechna hota hai, lihaza uska bechna jaiz hai.

Agar khareedne wale ka maqsad us cheez ki tasweer ho to woh khud gunehgar hai, bechne wala nahi.

📘ISLAAM AUR JADEED MA’AASHI MASAIL 4/17,18

و الله اعلم بالصواب

KHAREEDI HUI CHEEZ TA’ARIF KE MUTABIK NA NIKALNA

⭕AAJ KA SAWAL No. 2577⭕

Yah Bhens (Buffelo) 15Ltr. Dhoodh deti hai, Yah Gaadi 80 km average deti hai, wagairah koi bechne wala apne maal ki ta’arif kare aur Haqeeqat me aesi na nikli to is tarah dhoka huwa to khareedne wale ko isme wapsee ka Ikhtiyar hoga ?

🔵JAWAB🔵

حامدا و مصلیا و مسلما

Haan, kharidne wale ko isme ikhtiyar hoga ke Be’a (muaamala, sauda) faskh- cancelled) kar de kyunki isme Bechne wale ki taraf se Dhokha diya gaya hai aur khareedne wale ka vasf e Margub (pasandeedah) sifat aur gun faut huaa.

Lekin khareedne wala jab bechi hui cheez lena hee chahe Faskh (cancelled) per raazi na ho to ab usko poori Qimat per hee lena hoga Qimat kam nahi karva sakta Isliye ke vasf (achchhai) ke Faut hone par daam kam nahi kiya jaata,

Kyunki Avsaaf (achchhaiyon) ke Muqabla me daam ka koi hissah shareeat me nahi aata hai.

Albattah bechne wala khud samajh daari se raazi khushi se Qimat kam kar de to haraj nahi ke poore paise lena uska haq hai aur aadmi apna haq kam kar sakta hai.

📕FIQHUL ZAWABIT 2/76.

و الله اعلم بالصواب

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *