MUHARRAM KE MAHINE ME KYA KAREN KYA NAHIN ?
⭕AAJ KA SAWAL NUMBER 2928
MUHARRAM KE MAHINE ME KYA KARNA CHAHIYE KYA NAHIN?
MASHHOOR BIDATEN KYA KYA HAIN?
🔵AAJ KA JAWAB🔵
حامد و مصلیا و مسلما
Muharram ke Mahine ko Maatam aur Sog ka Mahina Qarar dena Jaiz nahin, Haraam hai, aur Muharram ke mahine me Shaadi wagairah ko Na-Mubarak aur Na-Jaaiz samajhna sakht Gunah aur Ahl-e-Sunnat Wal jamat ke Aqeede ke khilaf hai,
Islam ne Jin chizon ko halaal aur Jaiz qarar diya ho, aeteqadan ya amalan unko Na-Jaiz aur Haraam samajhne me Iman ka Khatrah hai.
📔 Fatawa Raheemiya 3/191.
🔟 Muharram ko Zikr e Shahadat ka bayaan karna agarche sahih riwayaton se ho, ya Sabeel lagaa kar sharbat pilana ya Chanda Sabeel sharbat me dena, ya doodh pilana yeh sab sahih nahin hai aur Rawafiz (Shiyaon) se mushabahat (similarities) ki wajah se Haraam hai.
📔 Fatawa Rasheediya
139
🕌 Taziya banane ka na-jaiz hona aur uska Khilaafe Deen o Imaan hona Azhar minash shams hai, Qur’an e majeed me hai
اتعبدون ما تنحتون
Kya tum aisi chizon ki ibadat karte ho jisko tumne tarasha aur banaya hai❓
Zaahir hai ke Taziya insaan apne haath se tarash kar banata hai aur phir Mannat maani jaati hai aur usse muraaden maangi jaati hain, uske saamne aulaad o sehat ki duayen ki jaati hain, Sajdah kiya jaata hai, uski ziyarat ko Hazrat Hussain raziy Allahu anhu ki ziyarat samjha jata hai,
Kya yeh sab baaten Imaan ki Rooh aur Islam ki taleem ke khilaf nahin yeh sab baaten Bid’at aur Na-Jaiz hain.
📔 Fatawa Raheemiya 2/275,
Fatawa Rasheediya 576.
Aashoorah ke din ke Mutalliq shareeat ne khaas Chizen batlayi hain:
Rozah rakhna,
Ahel o Ayaal par khaane peene me wus’at karna.
Hadees Shareef me hai ke Jisne Yaum e aashoorah ke din apne baal bachon par khaane me wus’at (kushadgi) ki to Allah Ta’ala poore saal Rozi me izafah karenge, iske ilawa us din ke liye aur koi Hukm nahin hai.
📔 Fatawa Raheemiya 2/380.
Masail e Shirk o bid’at
و الله اعلم بالصواب
✏Mufti Imran Ismail Memon sahab