MULAZIM KA MUTA’AYYAN BHAW SE ZAID QEEMAT PAR BECHNA

⭕ AAJ KA SAWAL NO.2582⭕

Dukan ke malik ne cheezon ka daam mulazim ko bataye hain, mulazim usko ziyadah qeemat me bechta hai masalan kisi cheez ka 60 rupiye daam hai to mulazim us cheez ko 70 rupiye me bech kar das rupiye apne paas rakhta hai aur 60 rupiye malik ko deta hai to kya is tarah mulazim ko 10 rupiye lena jaiz hai?

🔵JAWAB🔵

حامدا و مصلیا و مسلما

Us mulazim ki haisiyat bechne ke wakeel ki hai isliye puchhi hui surat me agar usne us cheez ko jis ke mutalliq malik ne use 60 rupiye me bechne ko kaha tha usne 70 me becha to bechna durust aur saheeh hai lekin zaid raqam 10 rupiye bhi malik ki milk samjhe jayenge woh mulazim woh raqam apni jaib me nahi rakh sakta, agar aisa kiya yo yah khayanat hai.

📘MAHMOODUL FATAWA 3/16

و الله اعلم بالصواب

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *