NAPAK MUSALLE PAR NAMAZ 1522
Mera Traveling Musalla, Napak Jaghon Par Namaz Padhne Ki Waja Se Niche Se Napak Ho Gaya Hai, Abhi Dhone Ka Mavqa Nahi Hai, To Kya Me Us Par ‘Napak Musalle Par Namaz‘ Padh Sakta Hun?
Jawab: حامدا و مصلیا و مسلما
“Napak Musalle Par Namaz“: Agar Aap Ka Woh Musalla Duble Kapde Ka Hai, Yani Niche Ka Kapda Alag Hai, Jo Napak Ho Chuka Hai, Aur Upar Ka Kapda Alag Hai, Jo Paak Hai, To Agar Dono Kapdon Ko Charon Taraf Se, Aur Darmiyan Se Silai Maarkar Ek Kapda Kar Liya Gaya Ho, Us “Napak Musalle Par Namaz” Agar Napaki Mafi Ki Miqdar Se Zayada Lagi Ho, To Namaz Na Hogi.
Aur Dono Kapde Ko Sirf Charon Taraf Se Silai Lagai Gai Hai, Lekin Darmiyan Me Silai Nahi Maari Gai Hai, Darmiyan Se Upar Ka Pura Kapda Niche Ke Kapde Se Uth Sakta Ho, Yani Darmiyan Se Join Na Ho, To Dono Kapde Alag Alag Shumar Honge, Lihaza Us Musalle Par Jo Niche Se Napak Hai Us Ke Ba Wajood Namaz Ho Jayegi.
Noorul Izaah Baabus Salaat
و الله اعلم بالصواب
Islami Tareekh:12 Safarul Muzaffar 1440 Hijri
Mufti Imran Ismail Memon Hanafi Chisti.
Ustaad E Daarul Uloom Rampura Surat, Gujarat, Mdia.
Jo palastik ka musallah hai usper namaj padhne ka Kaya hukam hai
Agar wo paak saaf he to padhne me kya harj he? Padh sakte he.