NON MUSLIM KASAAI (BUTCHER) YA HOTEL KA GOSHT KHANA

⭕AAJ KA SAWAL NO.2578⭕

Non Muslim bharwad (bakre palne aur bechne wala) se jiski dukan par kisi muslim ka pehra ya nigrani nahi hoti to aisi dukan se gosht khareed kar istiamal karna jab ke usko kisi musalmsn ne zabah kiya ho kiya hukm hai?

🔵JAWAB🔵

حامد ومصلیا و مسلما

Jab koi muslim nigran wahaan maujood nahi to daaromadar us gair muslim ke qaul par reh gaya ke yah halal gosht hai.

Haraam aur halal hone me gair muslim ka qaul shar’an qabool nahi.

Albattah muamalat (khareedna bechna, len den) me uska qaul bhi qabool hai jab ke uske sachche hone ka guman ho. agar woh yah kahe ke yah woh gosht hai Jisko fulan muslim shakhs ne zabah kiya hai aur dil gawahi de ke yah saheeh kahta hai aur usne usme koi na-jaiz gosht nahi milaya hai, to uska qaul (baat) qubool kar lena durust hai.

📕(Alamgeeree5/308)
📗FATAWA MAHMOODIYAH, DABHEL 18/38

و الله اعلم بالصواب

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *