PAIDAL HAJJ KA HUKM

PAIDAL HAJJ KA HUKM

⭕AAJ KA SAWAL No. 2915⭕

Koi bharat se Paidal hajj ki taqat rakhta ho to us par hajj farz hoga?
itni door se paidal hajj karna chahiye?

🔵JAWAB🔵

حامدا و مصلیا مسلما

Jis ke paas sawari par Makkah muazzama tak pahonchne aur wapas aane ka kharch aur jis ka kharcha us ke zimme wajib hai hajj se wapsi tak un ka kharch mavjood ho to us par hajj farz hai.jis ke pas itni raqam mavjood na ho ke sawari par ja sake us par paidal hajj karna farz nahi kyun ke quraan me Jahan Allah Taala ne hajj ki farziyat ka zikr kiya hai wahan istitaat ki qaid lagayi hai (ALE IMRAN AYAT 97)

aur istitaat ki tafseer sawari wagairah ki qudrat se ki gai hai (Tafseere ibne abbas) jaisa upar guzar chuka aur is me mashaqqat aur takleef bhi hai sharee’at ne hame janbujh kar mashaqqat me padne aur mushkil kaam karne se mana kiya hai lekin agar koi paidal hajj kare to na jaiz bhi nahi hai,magar us ke liye ye shart hai ke woh paidal chalne ki taqat bhi rakhta ho taa ke raste ki takleef se dil ko tangi aur dushwari na pesh aaye aur paidal jana sawab aur Allah Taala ki Raza ke liye ho shoharat aur naamwari maqsood na ho apne is hajj ko akhbarat aur social media ke zariye ad karna aur shoharat dena na jaiz hai aur khud kon se waqt kon se ilaqe me pahonchega us ki media par khabar dekar apna istiqbal chahna,izzat talbi hai jis se hajj ka sawab barbad ho jata hai.
Huzoor sallallahu alaihi wasallam ne na Paidal hajj kiya na us ki targeeb dee hai, jahan targeeb warid us se Murad maqamaate hajj Mina,muzdalefa aur arfaat jana Murad hai (MUSTADRAK LI HAAKIM KI RIWAYAT SE MAKHOOZ)
balke ek aurat ne mannat mani thi ke me paidal hajj karungi to Aap sallallahu alaihi wasallam ne us ke bare me farmaya us ko kaho ke Allah Taala ko tumhare chalne ki zaroorat nahi hai lihaza sawari par hajj par jaye.

(TIRMIZI SHAREEF 4/111 RAVI ANAS BIN MALIK RD.)

(MASAIL HAJJ SAFA 72 BA HAWALA KIFAYATUL MUFTI AUR DARUL IFTA JAMIATUL ULOOMUL ISLAMIA BINORIA TOWNN SE MAKHOOZ)

و الله اعلم بالصواب

✍🏻 Mufti Imran Ismail Memon Hanafi
🕌 Ustaze Darul Uloom,
Rampur Surat, Gujarat, India

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *