AAJ KA SAWAL No. 2675
Saheeh hadeesh se saabit hai ke insaan ke paida hone se pehle hi uske muqaddar me likh diya jaata hai ki vah jannati hai ya dozakhi ,to phir aisi soorat me usko a’amal ka qusoorvaar kyun qarar diya jata hai, aur usko uske gunaaho ki saza kyun di jaati hai?
JAWAB
حامدا و مصلیا مسلما
Taqdeer Asal Allah ke ilm kaa naam hai. Ya’ani Allah ne insaan ko iradah va ikhtiyaar ki quvvat dee hai. Vah neki bhi kar sakta hai, aur buraai bhi, aur jo kuchh karna chaahe Allah Ta’ala ki mashee’t – chahat usme rukawat nahi hogi. Lekin insaan karega kya? Aur kis raah ko ikhtiyaar karega? Ye baat Allah ta’ala ke ilm me pehle se hee maujud hai. Aur ilm-e-ilahi ke mutaabiq hee ye baat likhi jaati hai.:
(1) Aisa nahi hai ke Allah ta’ala ne insaan ko uspar majboor kar diya hai, insaan ko iradah va ikhtiyaar ki jo quvvat dee gayi hai, Allah ta’ala ki hidayat aa Jaane ke baawjood us salahiyat ko galat istimaal par insaan ko saza dee jaati hai. Ye aisa hi hai jaise koi ustaaz-teacher apne shaagird- studant ke haal se vaaqif ho, aur vah uske kaamiyab ya naakaam hone ki peshingoyu- bhartiya waani kare, aur uski peshingoyi me mutaabiq hi vah kaamiyab ya nakaam ho, to zaahir hai ki is soorat me us ustaaz us ki naakaami par Zimmedaar nahi qarar diya jaa sakta. Farq ye hai ki insaan ka ilm naaqis-adhura hai, isliye uski peshingohi saheeh bhi ho sakti hai aur galat bhi. Lekin Allah ta’ala ka ilm kaamil aur shurooa kaaynaat-Dunya se akheer tak shaamil hai. Isliye Allah ne jo baat farmai hai, aaindah uske khilaaf baat pesh nahi aa sakti.
KITABUL FATAWA 1/287
و الله اعلم بالصواب
Mufti Imran Ismail Memon Hanafi
Ustaze Darul Uloom,
Rampur Surat, Gujarat, India