15 SHABAN KI RAAT ME KIYA IBADAT KARNI HAI?

15 SHABAN KI RAAT ME KIYA IBADAT KARNI HAI?

SAWAL

15 SHABAN KI RAAT ME KIYA IBADAT KARNI HAI?

BAZ PARCHON AUR SMS ME AATA HAI KE FULAA RAKAT ME FULAN SURAT ITNI MARTABAH PADHO US YE YE BADA SAWAB HAI. BAAZ PARCHE SMS ME KITAB KA HAWALA BHI HOTA HAI.

AAJ ASAR BAAD “LA HAWLA…..’ 41 BAAR AASMAN KO DEKH KAR PADHNE KI FAZEELAT 40 SAAL KE GUNAH MUAAF Ho JAYENGE  YE SABIT HAI..??

Jawab

Asr baad “la hawla….” padhna aur 40 saal ke gunah muaaf hona kisi bhi hadees se sabit nahi, jahan bhi aap is baat ko padhoge wahan iska hawala nahi hoga.

Lihaza is ke padhne ki zaroorat nahi is ke bajaye asar baad 3 tasbeeh, 4tha kalmah, istigfar aur durod shareef padh lo is me la hawla…. bhi aa gaya ye zikr hadees se sabit hai, bidat par amal karne wala in masnoon aamal se mahroom hota jata hai.

Aaj ki raat jitna bhi zayada ho sake nawafil namaz har zaroorat ke liye salatul hajat ki niyyat se do rakaat padhe us ke baad salatul hajat ki duaa jo huzoor salallahu alayhi wasallam  ne batai hai woh padhe. masnoon duaa aur fazaile namaz me mavjood hai.

Sirf 6 rakaat par hee bas na kare. magrib baad 6 rakat 3 niyyat se padhna aur har do rakaat ke baad yaseen shareef padhna kisee hadees ya sahaba ke amal se sabit nahi, sunnat aur shareeat samjhe bagair, aur usee tarah padhne ko zarooree samjhe bagair, buzrogon ka bataya huwa amal hai, padh sakte hai, isse behtar awwabeen ki zayada se zayada 20 rakat hai woh padhna hai kiyun ye awwabeen nabi salallahu alayhi wasallam ne batai hai.

Makhsoos surat ko makhsoos Miqdar me padhne fazail ki jo riwayat baaz jaga likhi hui hai, use raeesul muhaddiseen, dewbandi aur barelvee ulamaa ke maane huwe jo aalim, na mane to us ki aalimiyat ki sanad ka aetibar na hoga. shah abdul haq muhaddise dahelvi rahmatillahi alayhi ne ma sabat minas sunnah al aamalul masoorah fee ayyamil mashhoirah safa 313, 314 par mavzooa -banawati qarar diya hai.

Lihaza is raat sunnat tareeqe ke mutabeeq ghar me rah kar nawafil namaz khas taur salatus tasbeeh zikr, tilawat durood istigfar,,duaa, sadqah karna chahiye, aur zarooree samjhe bagair infradi taur qabrastan jakar isale sawab karna chahiye.

Allah taala ham tamam sharee hudood me reh kar bidaat se bachte huwe ibadat karne ki taufeeq ata farmaye. aameen

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *