KHIR PURI KI HAQEEQAT AUR KUCHH DALAEEL KE JAWABAT
SAWAL
KHEER PURI KI SHUROOAT KIS NE KI AUR KAB HUI ?
BARELVI KEHTE HAI KE IS ME SHIYON SE MUSHABAHAT NAHI HAI,
KOI KAARE KHAIR HUM SHUROOA KAREY AUR USEY DUSRAA KOI FIRQA APNA LE TO US KAARE KHAIR KO NAHI CHHODA JAYEGA,
SHIYON KE KHIR PURI KARNE ME AUR SUNNIYON KE KARNE ME KAI TAREEQE SE FARQ HAI.
HAZRAT JAFAR SADIQ KI WAFAT KYA RAJAB ME HUI HAI ?
🔵JAWAB🔵
22 RAJAB YA 15 RAJAB KO NA HAZRAT JAFAR SADIQ RAHMATULLAHI KI WAFAT HUI HAI, NA WILADAT.
IS DIN SHIYON KE SAB SE BADE DUSHMAN HAZRAT AMEERE MUAAWIYAH RADIYALLAHU ANHU KI WAFAT HUI HAI.
AUR HAZRAT JAFAR SADIQ RAHMATULLAHI ALAYHI WILADAT- PEDAISH 8 RAMZAN 80 YA 83 HIJRI ME HUI
(AGAR RAJAB KA MAHEENA HO TO AHLE BARELVI TAREEKH KI KITAB KA HAWALA PESH KARE.)
📘<TAREEKHE TABREE SAFHA 239 JILD 4 BEROOT KI CHHAPAI>
KHEER KUNDE KI SHUROOAT HEE SHIYON NE KI HAI NA KE SUNNIYON NE .
MUSHABAT US WAQT NA HOTI JAB IS KI SHUROOAT SUNNI KARTE AUR FIR ISKO SHIYAA SHUROOA KARTE, LEKEEN MUAAMALA ULTA HAI, KE HAZRAT AMEERE MUAAWIYAH RADIYALLAHU ANHU JO SHIYAA KE SAKHT MUKHALIF THE AUR SHIYON KO QATAL KARTE THE AUR SAZA DETE THE,
UN KI WAFAT PAR KHUSHIYAA MANAI AUR CHHUP KAR KHIR PURI BANAI AUR CHHUP KAR KHAI AUR SUNNIYON KO PATA CHALA TO IS KO HAZRAT JAFARE SADIQ KI TARAF CHALAKI SE MANSOOB KAR DIYA.
MAZEED DALEELEN
1. IS RASM ME AAJ TAK IS KI PABANDI HAI KE KUNDON KI PURIYAN KISEE BANDH-(AASMAN NAZAR NA AAYE) AESEE JAGA BANAI JATI HAI.
2. BANNE KE BAAD BADE AEHTAMAM SE DHANK KAR RAKHA JATA HAI.
3. FATIHA ANDHEREE JAGA ME DIAYA JATA HAI.
4. PARDE KE SATH USE KHILAYA JATA HAI
5. HAZRAT JAFAR SADIQ KE SATH SHIYA HAZRAT KI JAGA IMAM KA LAFZ ISTIAMAL KARTE HAI, UN KI MUSHABAHAT ME BARELVI BHI IMAM KEHTE HAI, JIS TARAH KAHNE ME ITTIBAA KARTE HAI BOLNE ME BHI SHIYON KI MUSHABAHAT AUR ITTIBAA KARTE HAI
6. HAZRAT JAFAR SADIQ RAHMATULLAHI ALAYHI SAHABI NAHI HAI, BALKE VALI HAI, AVLIYAA E KIRAM BAHOT SE HAIN, US ME HAZRAT ZAFAR SADIQ KI HEE KYA KHUSISIYAT KE UN KE HEE NAAM PAR SHUROOAT KI JATI HAI ?
SAHABA RADEEYALLAHU ANHUM KI KYUN NAHI KARTE HAI?
7. FATIHAA KE BAAD
‘YA ALI” RADEEYALLAHU ANHU KA NAARA LAGAYA JATA HAI
YA ABU BAKR
YAA UMAR
YAA USMAN
KA NAARA NAHI LAGAYA JATA? KIYUN KE SIRF ALI RADEEYALLAHU ANHU KO HEE MAANNA AUR DUSRE 3 KHULAFAA KO NA MANNA SHIYON KA TAREEQAH HAI.
AUR KHIRPURI SHIYAN BHI ISEE TARAH KARTE HAI UN SE PURI MUSHABAHAT HOTI HAI.LIHAZA IS SE BACHA JAYE.