AAJ KA SAWAL NO.2640
Kise ne apni bivi ko maa kahaa to kya hukm hai?
Zihaar to nahi huwa na?
Zihaar kise kehte hain?
Jis se nikah par asar padta hai.
JAWAB
حامد ومصلیا و مسلما
Agar kisi ne apni bivi ko kahaa ke tu meri maa ke barabar hai ya tu meri maa jaisi hai ya tum to meri maa ho, maqsad is se bivi ki buzrugi aur izzat karna ho ya is niyyat se kahaa ho ke tu umar me meri maa ke barabar hai to nikah par koi asar nahi pada ya aise hi bak diya, koi niyyat nahi ki to bhi kuchh bhi nahi huwa.
Agar is niyyat se kahaa ke tu mujh par meri maa ki tarah haraam hai ya is se talaq dene ya chhodne ki niyyat ho to talaqe bain pad jayegi ya’ani ek talaq pad kar nikaah khatm ho jayega. ya us kehne se niyyat ho ke me tujhe talaq to nahi deta magar tu roti kapda le aur yahaan padi reh me tujh se sohbat nahi karunga to is se bhi talaqe baain padegi.
DARSI BAHISHTI ZEWAR SAFA 392
و الله اعلم بالصواب
Mufti Imran Ismail Memon, Hanafi, chishti, sahab
Ustad e Darul Uloom Rampura, Surat, Gujarat, India.