NIKAH ME VALI KISE BANANA CHAHIYE

⭕AAJ KA SAWAL No. 2615⭕

Nikah me ladki ka Vali kise kehte hain?
Vali kon ban sakta hai?
Kis ka haq zayada hai?

🔵JAWAB🔵

حامدا و مصلیا مسلما

Ladki aur ladke ke Nikah karne ka jisko Ikhtiyar hota hai usko “Vali” kehte hain.

Ladki aur ladke ka vali sab se pehle uska baap hai, Agar baap na ho to dada, woh na ho to pardada, agar yah log koi na ho to saga bhai, saga bhai na ho to soutela bhai ya’ani baap sharik bhai (baap ek ho maa alag alag), fir bhatija, fir bhatije ka beta, fir bhatije ka pota, yah log na ho to saga chacha, fir sotela chacha, ya’ani baap ka sotela bhai, fir sage chacha ka beta, fir uska pota, fir sotele chacha ka beta, fir uska pota, yah koi na ho to baap ka chacha vali hai, fir uski aulad. Agar baap ka chacha aur uske bete, pote, padpote koi na ho to dada ka chacha, fir uske ladke, pote, padpote wageirah yah koi na ho tab maa vali hai, fir daadi fir naani, fir nana, fir haqeeqi bahan, fir soteli bahan jo baap sharik ho, fir jo bhai bahan maa sharik ho, (maa ek baap alag alag) fir fufi, fufa, maamu, fir khala wageirah.

Na balig, kafir kisi musalman ka vali nahi ho sakta aur majnoon paagal bhi kisi ka vali nahi hai.

📗BAHISHTI ZEWAR MARDON KE LIYE SAFA 384

و الله اعلم بالصواب

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *