⭕AAJ KA SAWAL NO. 2850⭕
Islam me shohar ko ek se zayadah nikah karne ki kyun ijazat hai ?
🔵Jawab🔵
Is ki do wajha kal guzar chuki.
3. is ki tisri wajha ye hai ke har mulk me aorat jald burhi ho jati hai aur mard ki taqat burhape me bhi aksar salamat rehti hai, aur agar burhape me dusri bivi ki zaroorat ho us ke bawajood us ko dusri shadi ki ijazat na di jaye aesa qanoon banaya jaye to woh qanoon zina-badkari ka rasta batayega, aesa qanoon insanon ki halat ke mutabiq kese ho sakta hai..!
4. baaz martaba aorton ko aesi majbooriyan aa jati hai ke un ke liye ye rasta khula na rakha jaye ke woh aese mardon se nikah kar len jin ke gharon me pehli aorten mavjood ho to us ka natijah zina aur badkari hoga. ek hi baat par gaur karo ke har saal kisi na kisi mulk me lakhon mardon ki jane ladai aur jung me jati hai aur aorten bilkul mahfooz rehti hai, aese waqiaat hamesha hote rahe hai aur mukhtalif qaumen aabad hone ki wajha se hote rahenge? aur hamesha aksar mulkon me aorton ki tadad mardon ke muqabalah me barhti rahegi to in aorton ka kabhi socha hai ? in ki fitri qudrati jismani khawahish kese puri hogi ? kya ek se zayadah nikah par rok lagane wale in aorton ke huqooq barbad nahi karna chahte !
Afsos hai ek galat usool ki tarafdari me aorton ki in zarooraton ka ek lamhe ke liye nahi sochte !
📗AHKAME ISLAM AQL KI NAZAR ME
SAFA 196 197 ka khulasah
📝 Mufti Imran Ismail Memon.
🕌 Ustaze Darul Uloom Rampura, Surat, Gujarat, India.