RAJAB KE ROZE AUR KHAS NAMAZE
SAWAL
Rajab ke maheene me rozon ki bahoot fazeelaten Hadees ke hawalon se baaz kitab me likhi hai to kya woh saheeh hai rajab me roze rakhne chahiye?
🔵JAWAB🔵
Øامدا Ùˆ مصلیا مسلم
Ash, hoore hurum-muhtaram mahinon yani muharram, rajab, shaban, ramazan me roze rakhne ki Huzoor SALALLAHU ALAYHI WASALLAM ne targeeb dee hai lekin kisi khas deen ka khas roza khas fazeelat ke sath sabit nahi kisi din ko Khas kiye bagair kisi bhi din ka roze rakh sakte hai koi haraj nahi.
Huzoor SALALLAHU ALAYHI WASALLAM ne farmaya muhtaram mahino me kabhi roza rakho,kabhi chhod do.
📗ABU DAWOOD SHAREEFA HADEES NO. 2428
Barelvi hazrat aur dewbandi hazrat dono Maslak ke sartaaj aur maboob wa muatamatad shakhsiyyat raeesul muhaddiseen hazrat shah abdul azeez muhaddise dehelvi Rahmatullahi alayhi ne makhsoos mahino ke makhsoos saheeh aur galat fazeelat par kitab likhi jis me farmaya ke rajab ke rozon aur namaz ki fazeelat ki jitni bhi riwayat hai woh bahoot hee zaeef (fazail me bhi na qabile aetibar)aur mavzooa_banawati hai.
📗MA SABAT BIS SUNNAH SAFA 75
Allam ibne hajar asqalani Rahmatullahi alayhi ne rajab ke rozon aur namaz ki khas fazeelaton ki riwayat ko mavzooa aur banawati qarar diya hai
📙TABYEENUL AJAB SAFA 11
ALLAMAH SIYOOTI Rahmatullahi alayhi NE BHI YAHI LIKHA
📘AL LAALIYUL MASNOOAA FEE AHAADEESIL MAVZOOAA JILD 2 SAFA 97 SE 99
📕MULLA ALI QARI RAHMATULLAHI ALAYHI KI KITAB AL MASNOOA FEE MA’RIFIL AHAADEESIL MAVZOOA SAFA 261
Lihaza rajab rozon ko namaz ki fazeelat ki riwayaton ko chhapna aur use kisi ko bhejna jaiz nahi.