SHAB-E-BARAAT KI IBADAT KA SUBOOT
SAWAL
Kya Shab-E-Baraat me Namaz aur Din me Roze ka Suboot Sabit hai..?
Baaz Hazraat kehte hain Iski Riwayat Bahot Za’eef hai, Lihaza is Raat ka Manna Saheeh nahi kya..?
Kya Ye Baat Saheeh Hai..?
JAWAB
حامدا و مصلیا و مسلما
Shab-E-Baraat me Bila kisi Qaid wa Khususiyat ke Muttaliq Namaz ka Suboot hai. (Raat ke kisi khas waqt me kisi khas tareeqe se, Ke Fulan Surat itni martaba padho is tarah ki namaz sabit nahi).
Har shakhs apne taur par ibadat kare, Jis me kisi Numaish (Riyakari) Aur kisi Rasm aur hayate makhsoosah (Masjid hi mein ijtemayi shakal banakar namaz padhna, Nawafil ki jamat karne) ki pabandi naa hoto Mustahsan (Pasandeedah) Hai.
SUBOOT Hazrat Ali RadeeyAllahu Anhu se Riwayat hai ke, Rasoolullah SALLALLAHU ALAIHI WASALLAM ne farmaya, Jab 15 Shaban ki Raat ho to, Uski Raat me Namaz aur Uske Din ko Roza Rakho, Allah Ta’ala Suraj Dubne ke waqt (Rozana Raat ke Teen Hisse Guzarne ke Baad) Aasmane Duniya ki Taraf Mutawajjah hote hain, Aur Farmate hain, “Hai Koi Magfirat Chahne wala.? ke Usey Maaf Karun, Hai koi Rizq Chahne wala.? ke Usko Rizq Ataa Karun, Hai Koi Pareshan Haal.? Ke Uski Pareshani Dur Karun, Hai Koi Aisa, Hai Koi Waisa.? Yahan tak ke Subah Sadiq ho jati hai.
IBNE MAJAH KITABU IQAMATIS SALAT Bubu maa jaa fee laylatin nisfi min shaˋban safa 99 qadeemi
FATAWA MAHMOODIYAH 3/264 DABHEL
Gair Muqallid ke Bade Allamah Nasir Albani ne Riwayat naqal ki hai, Ke Hazrat Mu’aaz bin jabal RadeeyAllahu anhu se Riwayat hai ke, Huzoor SALLALLAHU ALAIHI WASALLAM ne farmaya, Allah Ta’ala 15 shaban ki raat me apni makhlooq ki taraf mutawajjah hote hai aur mushrik aur dil kina rakhnewalon ke alawah sab ki magfirat kar dete hain.
TABRANI, IBNE HIBBAAN
Ye Riwayat 8 sahaba se mukhtalif sanad se marwi hai, Lihaza ye hadees beshak saheeh hai. Aage Likhte hain ke sakht za’eef hone se ye Hadees Salaamat hai. Shaikh Qasmi Rahmatullahi Alaihi ne Islaahul Masajid Safa 107 par Ulama e Jarho tadeel ke hawale se jo likha ke, 15 shaban ki raat ki ibadat kisi bhi Saheeh Hadees se Sabit Nahi, Ye kehna sirf jald bazi aur hamari tarah Hadees ke turuq aur uski tahqeeq ki khub mehnat na karne ka nateejah hai.Shaikh Albani ki kalat khatm huwa.
FAZAILU LAYLATIN NISFI MIN SHABAN SAFA 22
SHAIKH ALAMAH MUHADDIS ABDUL MALIK ABDUL HAQ MAKKI Rahmatullahi alayhi KI
Is Kitab me 15 shaban ki ibadat ka 15 Riwayat se suboot aur sahaba, tabaeen se iske manane ka suboot aur dalail maujood hai, Is kitab ko bhi is msg ke sath bheja ja raha hai, Lihaza ise padhe aur naa mannewalon ko pahunchaye, Allah ki zaat se ummid hai 15 shaban ki raat ki ibadat ke suboot ka inkar karne wale apni zidd se baaz aayenge aur haq baat ko tasleem karenge.
و الله اعلم بالصواب
Mufti Imran Ismail Memon hanafi chisti.
Ustaad e daarul uloom Rampura surat, Gujarat, India.