HUZOOR SALALLAHU ALAIHI WASALLAM KE EK SE ZAYADAH 11 NIKAH KARNE KI WUJOOHAT.

HUZOOR SALALLAHU ALAIHI WASALLAM KE EK SE ZAYADAH 11 NIKAH KARNE KI WUJOOHAT.

⭕AAJ KA SAWAL NO.2869⭕

HUZOOR ﷺ NE 11 NIKAH KYUN KIYE IS KI KYA WUJOOHAAT AUR HIKMATEN HAIN?

🔵JAWAB🔵

EK MARD KE LIYE BAHOT SI BIVIYAN RAKHNA ISLAM SE PEHLE TAQRIBAN DUNYA KE TAMAAM MAZAHIB ME JAIZ SAMJHA JATA THA BHARAT, IRAN,MISR,YUNAN,BABIL WAGAIRAH MULKON KI HAR QAUM ME KASRAT SE SHADIYON KI RASM JAARI THI AUR US KI FITRI ZAROORATON SE AAJ BHI KOI INKAR NAHI KAR SAKTA
SHIRI KRISHNA JO HINDUON ME BADE AZMAT WALE MANE JATE HAIN UN KI SENKADON BIBIYAN THEEN.

GOOGLE PAR SEARCH KAR KE DEKHA TO LIKHA HAI KE UN KI 16108 (SOLAH HAZAR EK SO AANTH) PATNIYAN THI Jo log aetraz karte hain woh apne mazhab me bhi jhank kar dekh len to kabhi doosron ke mazhab ke Peshwa par ungli nahi uthayenge
*MANUJI JO HINDUON AUR AARYANON ME SAB KE NAZDEEK PESHWA AUR BUZRUG MANE JATEN HAIN DHARM SHASHTRA ME LIKHTE HAIN “AGAR EK AADMI KI CHAR PANCH AURTEN HON AUR UN ME SE EK SAHIBE AVLAAD HO TO BAQI BHI SAHIBE AVLAAD KEHLATI HAI.
📓(MANU ADHYAY 9 SHLOK 183)*

HUZUR ﷺ NE 11 AURTON SE NIKAAH KIYAA ISKI BAHOT SEE MASLEHATEN AUR HIKMATEN HAIN,
UN ME SE CHAND YE HAIN :

1.Nabi salallahu alayhi wasallam ka har ek amal ummat-e-musalimah aur poori insaniyat ke liye dastur,qanoon sabaq ki haisiyat rakhta hai isliye Aap ki zindagi ka har pehlu ummat ke samne Allah Taala ko lana tha aur andar ki zindagi ke haalat,
jese tanhai Ki ibaadat ka tareeqah us ki mashaqqat aur shauq ummat ke samne lana tha.

2.mukhtalif umar aur mukhtalif khandan aur mukhtalif mijaaz ki aurton Ke sath sadgi se nikah karne ka insano ko tareeqah maloom ho HUZOOR SALALLAHU ALAIHI WASALLAM ko ma’alum tha ke log khandani riwaj ki wajah se nikah me bahot kharch karenge un ke liye saadgee ke namoone pesh kiye.

3.aisi mukhtalif aurton ke sath rehne ka, un ki tarbiyat karne ka,un ko bardasht karne ka, un ke samne akhlaq pesh karne ka tareeqah ummat ko ma’alum ho,

4.ghar ki chaar deewari jahaan koi dekhne wala nahi hota aur insaan apni bivi bachchon se betakalluf hota hai phir bhi un ke saath husne akhlaq aur un ke huqooq ki poori adaygi ka tareeqah ummat ke samne aaye.

4. bivi ke sath ki tanhai ke masail jis ko bivi hee dekh aur jaan sakti hai woh bhi ummat tak pahonchane wali kasrat se ho.

5.Aurton ki paaki napaaki ke masail jise gair mahram auraten puchhne me sharm karti hain biviyon ke zariye ummat tak pahonch jayen.

6.aisi aurton ko madad karne ke liye aur Un ke gam ko door karne ke liye jin ke shauhar(husband) jihad me shaheed kar diye gaye aur woh be sarosaman, be sahaara reh gayi to un ki dildaari,madad aur sahaara dene ke liye nikah kiye.

7. mukhtalif qaumon ke logon ki musalmanon ke sath ladaayi thi aur woh dushmani rakhte the, unke saath achchhe talluqaat aur rishtedari qaaim ho jaye.
Kyunki nikaah ki wajah se Allah Taala ke nabi sallallahu alaihi wasallam unke rishtedaar ban jayen aur unke dushman dost ho jayen aur khokn kharaaba ruk jaaye wagairah.

aap ne sab se pehla nikah 25 saal ki umr me ek 40 saal ki burhi bewa hazrat khadeejah radiyallahu anha se kiya jo do shohron ke nikah me reh chuki thi dono se awlad thi do ladkon aur teen ladkiyon ki is tarah 5 bachchon ki maa thi.ye nikah ki darkhast khud hazrat khadeejah radiyallahu anha ki janib se thi jis ko baargahe nabuwwat me rad (mana) na kiya gaya aur nikah kar ke apni aksar umr yani 25 saal un hee ke sath guzaree.aur sab awlad bhi un se hui jab umre shareef 50 saal se bhi aage badh gai tab baqi das nikah sharaee zarooraton ki wajah se mukhtalif haalaat me kiye gaye, ye sab ki sab bibiyan hazrat aaisha radiyallahu anha ke siwa bewa thi aur baaz awlad wali thi.aur sab aurten AAP SALALLAHU ALAIHI WASALLAM ke nikah me khush aur sukhi thi.
in sab baton ko dekhkar koi saheeh aql rakhne wala aasani se yeh faislah kar sakta hai ye tamaam nikah (Allah taala ki panah) nafsani khwahishat poora karne ke liye nahi the.
Jab hazrat khadeejah raziyallahu anha ka intiqal huwa us waqt laakhon log islam me dakhil ho chuke the khubsoorat se khubsoorat aur tamaam kunwaree aurten nabi sallallahu alaihi wasallam ke nikaah me aane ko fakhr aur dunya aakhirat me kaamiyabi samjhti thi phir bhi Aap ne islami faidah ke liye bewaon se nikah kiya.
Huzoor salallahu alayhi wasallam ko jaan se maarne ki aur har tarah se badnaam karne ki mushrikeen aur yahoodiyon ne koshish ki bahut se ilzaamat lagaye Nabi sallallahu alaihi wasallam ko jadugar pagal shaair kaha gaya, lekin in sab nikahon ko dekh kar kisi ne bhi (Allah ki panah) shahwat parast wagairah is line ke bure alqab kisi ne bhi nahi diye kyun ke Huzoor salallahu alayhi wasallam ki pakeezah pakdaamani wali puri zindagi un ke samne thi.
📗SEERATE KHATAMUL AMBIYAA AUR
📘SEERATE MUSTFA SE MAKHOOZ HAZFO IZAFE KE SATH

✏IMRAN ISMAIL MEMON UN KI MAGFIRAT KI JAYE
MUDARRISE DARUL ULOOM RAMPURA SURAT GUJRAT INDIA

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *