HAJ KA TAZKIRAA HAR SE NA KARNA
SAWAL
Hazrat mufti sahab, me is saal haj kar ke aaya hun, to kyaa me mere milne walon se ye keh sakta hunk e me haj kar ke aaya ?
JAWAB
Haj ka tazkirah har ek shakhs se na karna chaiye, kyun ke tazkirah me khauf hai riyaa aur fakhr paida hone ka, riyaa aur fakhr ki niyyat se tazkirah karna to buraa hai hi, lekin muhaqqeqeen sufiya to baaz awqat aise tazkiron ko bhi manaa karte hai jo bazaahir taa’at malum hote hai, maslan wahaan ke mahaasin [achchhe manzar] aur fazail bayan karna jisse wahaan jane ka shauq aur ragbat paida ho.
Tazkirah sunne wale 3 kism ke log hai.
Ek who log hai jin par haj farz hai, unke samne to targeebe mazameen bayan karna jaiz balke mustahab hai,
Dusre wo log jin par haj farz nahi hai, lekin unme haj ki taqat aur gunzaish hai, aur unko haj karne jaana manaa bhi nahin hai, unke samne bhi bayan karna jaiz hai,
Teesre who log jin par haj farz nahin hai, unko haj ke liye jaana mana hai, ye who log hai jinki maali taqat nahi hai, aur mashaqqat par sabr aur bardasht ki bhi kudrat nahin hai, aise logon ke saamne aise waqiyat aur mazamin bayan karna jinse unko haj ka shauq paida ho jaiz nahi, kyun ke isse unko haj ka shauq paida hoga aur unke paas saamaan hai hi nahi, na zaahiri, na baatinee, to khwamkhaa pareshani me mubtala honge, jise najaiz kaamo me pad jane ka andesha hai.