MEMON DAY MANANA

MEMON DAY MANANA

AAJ KA SAWAL NO.1692

11 April ko puri Dunya me memon day manana shurooa huwa hai, is tarah din manane ka shareeat me kya hukm hai?

JAWAB

حامدا و مصلیا مسلما

Day manana, agar khurafat na ho to ek achchha tareeqa hai, ye day manana aesa hai jaise ham yawme aazaadi,

baz jamate saal pura hone par jalsa wagairah kar ke din manate hai,

is ka maqsad zimmedaron se maloom kiya to pata chala ke puri dunya ke tamaam memon milkar is din zayada se zayada nek aur khidmat ke kaam kare, aur dusri qaum ke samne apne akhlaaq wa sakhawat ko pesh kare,

lekin dar ye hai ke in day manane ki shuruaat bahut achchhi niyyat aur jazbe ke sath hoti hai,

lekin fir aahista aahista is me bahut se khuraafat, fuzool kharchiyan aur gair sharee cheezen dakhil ho jati hai, is ki kai misalen har qaum me hai.

naa cheeez do misal aap ke samne pesh karta hai…

1. Hazrat Isa alayhis salam ki pedaish ka din manana badi achchhi niyat se isaiyon-khiristiyon ne shurooa kiya tha, ke is din apne nabi ko yaad karenge aur charch me ibadat karenge aur nabi ka massege dunya ko denge.

shurooaat isi tarah sadgi se hui thi lekin is baad 31 naya saal manane ki rasm charch se bahar aayi aur us din, sharab, zina aur har qism ke khurafat hone lage jise ham jante hai.

2. Taziye, ise taimur lang badshah ne badi achchhi niyyat se ahle bait hazrat husain Radeeallahu anhu ki muhabbat me shurooa kiya tha, un ke roze ki duplicate banai thi aur sadgi se zayarat karta tha,

baad me ye kitna fela aur is me kya kya khuraafat aur shirk bidat shamil ho gaye woh hamari nigah ke samne hai.

Isee tarah agar memon day manane par puri tawajjuh na rakhi gai to is ka bhi haal ho sakta hai.

memon day manane me chand kharabiyan paida ho sakti hai lihaza us ka pura dhayan zimmedarin ko rakhna zaroori hain warna Allah na kare Aksar jaga khurafat galib aane ki wajha se memon day ke na jaiz hone ka fatwa lag sakta hai.

1. Apne memon hone par fakhr karna ya kisi aur qaum ko haqeer-nicha samjhna ye dono baten jaiz nahi apne nasab par fakhr karna qayamat ki nishaniyon me se hai.

2. Memon day ko had se zayada sajawat aur lighting ki fuzool kharchi na ho.

3. us din khas gane aur music baja kar use selebrate na kiya jaye.

4. us din dance kar ke khushiyan na manai jaye

5. cake cut kar us din ko na manaya jaye.

6. memon day likhi T-shirt wagairah kapde Pahan kar fakhr,guroor aur fuzool kharcho na ki jaye.

7. is day ko Selebrate karne aatishbazi-patakhe na fode jaye.

8. mard, aorat ka meljol is din party wagairah kar ke na ho

9. jo kuchh bhi khidmat ki jaye allah ko razee karne aur nabi SALALLAHU ALAYHI WASALLAM ke tareeqe par ikhlas ke sath ki jaye dusron ko dikhlana, naam kamana, shoharat hasil karna apni qaum ki badai jatlana maqsood na ho khidmat ki taufeeq allah deta hai us par shukr ada karte huwe allah ki bargah me qubooliyat ki duaa karte huwe tamam kaam kiye jaye.

الامور بمقاصدھا
AL ASHBAHU WAN NAZAIR SE MAKHOOZ

و الله اعلم بالصواب

ISLAMI TAREEKH :
4 SHA’BANUL MUAZZAM 1440 HIJRI

Mufti Imran Ismail Memon Hanafi
Ustaze Darul Uloom Rampura, Surat, Gujarat, India.

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *