Sawal:
Wo Aqaeed&Masail Jin Me Barelvi Aur Deoband Ke Ulamaa Ke Darmiyan Ikhtilaf Hai Ittifaq Nahi Jis Ki Se Puri Ummat Ikhtilaf,Jaghdon Aur Bahso Mubahason Ka Shikar He Jiski Wajah Se Hum Paresan He Or Dushman Iska Fayeda Utha Rahe He.Aaj Ke Mahol Me Kisi Tarah Apas Me Ittifaq Paida Karne Ki Sakht Zaroorat Hai.Ikhtilaf Khatm Karne Un Aqaid Ko Quraan Wa Hadees Se Bhi Bataya Jata Hai Lekeen Barelvi Hazrat Ko Samjh Me Nahi Aata.To Kiya Karna Chahiye?
Un Ko Kaise Samjhaye
Jawab:
Baat Aap Ki Saheeh Hai Us Ka Ilaj Ye Hai Ke Un Ke Aqaid Wa Masail Unhee Ki Kitabon Se Pesh Kiye Jaye To Woh Maulana Ahmad Raza Sahab Ki Wasiyyat Ke Mutabiq Maan Lenge Insha Allah.
Lihaza Dewbandi Aqaid Wa Baaz Masail Un Hee Ki Kitabon Se Amanatdari Ke Sath Pesh Kiye Jate Hai Ummeed Hai Ke Kuchh Apas Ki Nafrat Wa Ikhtilaf Door Honge.
“Ek He Sab Ka Nabi,
Deen Bhi, Imaan Bhi,
Haram-E-Paak Bhi,
Quran Bhi Ek,
Kya Badi Baat Thi, Hote Jo Muslaman Bhi Ek”
1, Mufti Ahmed Yarkhan
Tafsire Naeemi S-54 Parah-11 Me
و اياك نستعين
Wa-Iyyaqanastaeen Ki Tafsir Me Farmate He Ke “Jis Tarah Hum Sirf Teri Hi Ibadat Karte He.
Usi Tarah Sirf Tuj Hee Se Har Kaam Me Madad Mangte He.
Hum Mushrik Nahi Ke Ba’z Kamo Me Tujse Madad Le Or Ba’z Me Tere Siwa Kisi Or Se.
Har Kaam Me Tujhi Par E’atemad He Or Teri Hi Madad Sachchi He.
Isme Bande Ko Ta’lim He K Koi Madad Bhi Kar De To Ye Samje K Allah Ki Madad He.
To Haqiqi Madadgar Allah Hi Huwa
Kisi Ko Apna Haqiqi Madadgar Na Samje
Lihaza Allah Ko Chhodkar Kisi Aur Par E’atemad Karna Naadani (Jahalat) He.
Barelviyon Ke Nazdeek Allah Ke Siwa Anbiysa Wa Awliya Se Madad Mangna Farz Wa Wajib Nahi Balke Sirf Jaiz Ya Behtar Hai.Dewbandi Hazrat Shirk Kehte Hai Jo Haraam Hai Haraam Aur Halal Me Ikhtulaf Ho To Salamati Us Se Bachne Me Hai.
2, Janazah Ke Sath Chalne Walo Ko Sukoot (Khamoshi) Ki Haalat Me Chalna Chahiye.
(Mv Amjad Ali, Bahare Sariyat J-4, S-139)
3. Qabar Unchi Banana Khilafe Sunnat He.
Meri Walidah, Mere Bhai Ki Qabr Dekhe 1 Balisht Se Unchi Na Hogi.
(Mv Ahmed Raza Malfoozat, Hissa-2, Safa-85)
4. Maiyyat Ke Pehle, Ya Tisre, Ya Hafte Ke Baad Jo Khane Taiyyar Kiye Jate He Sab Makrooh Aur Mamnooa (Mana) He.
(Mv Ahmed Raza, Jaliyus Saut Safa-407)
5. Ye Samjna Ke Khane Pine Ki Chize Samne Hogi Jab Hi Fatiha Hoga, Ye Galat He.
(Mv Ahmed Raza, Ruhon Ka Aana, Safa-12)
6. Irfan-E-Hidayat Me, Mv.Irfan,, Farmate He “Afsosh K Is Zamane Me Urs Ko Mela Banaya Gaya He, Randiyon Ka Naach Hota He, Dhol, Tabla, Bajate He, Aur Ajeeb To Ye He Ke Ise Jaiz Or Allah K Qurb Ka Vasila Samja Jata He.”
Padhe Likhe Aur Sajjadgane Dargah Bhi In Balaaon Me Mubtala Nazar Aate He.
7. Malfuzate Mv Ahmed Raza Me He Ke “Ye Na Puchho Ke Aurto Ka Mazar Pe Jana Jaiz He Ya Nahi, Ye Puchho Ke Us Aurat Par Kis Qadar La’nat Hoti He. Aurat Jis Waqt Ghar Se Mazar Jane Ka Irada Karti He Lanat Suru Ho Jati He, Siway Roza-E-Anwar K Kisi Mazar Par Jane Ki Izazat Nahi.”
Mlfuzat-2 S-117
8. Mv Faroow Ashrafi Razvi Farmate He: “Loban, Agarbati Qabar Par Jalana Bad Fali Ka Sabab He, Aur Sirf Qabar Ke Liye Jala Kar Aaye To Manaa, Fuzul Aur Maal Ko Barbad Karna He, Maiyyat Nek He To Uski Qabar Me Jannat Ki Khusbhu Aati He, Duniya Ki Agarbatti Loban Se Uska Kya Muqabla? Aur Ma’azallah Maiyyat Ko Azaab Ho Raha Ho To Duniya Ki Loban, Agarbatti Se Koi Fayeda Nahi.”
(Gulistan-E-Awliya, Safa-11) (Ruhon Ka Aana, S-7) (Fool Ko Bhi Is Par Samja jaa Sakta Hai).
9. Mv Ahmed Raza Farmate He: “Taziya Banana Bid’at He, Usse Shaukat, Dabdaba Nahi Ho Sakta, Maal Ka Jaae (barbad) Karna He, Uske Liye Sakht Waeed Aayi He…”
10. Taziya Ko Hajat Rawa Samajna Jahalat He, Usse Mannat Mangna Bewaqufi, Na Karne Ko Nuqsan Samajna Aurto Wala Waham He.
(Risala Mohram Taziya Sf 59,60)
11. Allama Gulam Rasul Gohar Farmate He: “Azan Se Pehle “A’uzu” Padhna Nahi He, Uska Hukm Quran Ke Sath Khas He, Bismillah Padhna Barkat He, Magar Buland Awaz Se Aur Loud Speaker Me Padhna Fuzul He, Aahista Se Padhna Kafi He, Asal Me Ye Deobandio Ki Mukhalifat Karne K Liye Suru Huwa He..”
Aala Hz.Ne Likha K Azan K Baad Salato Salam Jo Islam Me Pehle Nahi Tha, Ye Taklif Dene Wala He.
(Ba Hawala, Anwarus Sufiyyah- Janvari-1978, Sumaraa No-4).
12. Is Zamane Me Aurto Ka Qabar Ki Zyarat K Liye Jana Makruh, Balke Haram He.
(Mv Muhammad Hasmat Ali Barelwi Sab, Jam’ul Masail-1, Page-110)
13. Ziyarte Roza-E-Anwar K Waqt Na Diwar Ko Hath Lagaye, Na Chume, Na Chimte, Na Tawaf Kare, Na Zamin Chume, Ye Bi’dat He.
(Mvahmedraza Hursate Ajda’a Tazim S63
14. Mv Ahmed Raza Farmate He: “Daastan-E-Azeeb, Bibi Saiyeda Ki Kahani, 10 Bibiyo Ki Kahani, Wagerah Kitabon Ki Koi Asal Nahi, Ise Na Padha Jaye.
(Ruho Ka Aana, Safa-3)
15. Mufti Ahmed Yarkhan Farmate He: “Nabi Jins-E-Basar Hi Hote He Or Insan Hi Hote He.
(Ja’al Haq Bab-1′ S-164, Jasim Book Depo Delhi)
16. Mv. Ahmed Razakhan Frmate He: “Huzur Salallahu Alaihi Wasallam Ko) Ataa-E-Ilaahi Se Baa’z Ilm Hi Milna Ham Mante He, Na Ke Jameea (Tamam Chiz Ka)
(Khalisul Eatiqad, S-23).
17. Ahmed Yarkha Frmate He: “Huzoor Salallahu Alaihi Wasallam Dusre Ambiya Alayhimus Salam Ko Rab Ne Apne Ba’z Guyoob (Gaib) Ka Ilm Diya, Ye Zaruriyate Deen Me Se He Iska Inkaar Kufr He”.
(Ja’l Haq S-39)
Note: Jab Kufr Aur Iman Me Ikhtilaf Ho To Kufr Se Bachna Muqaddam Hai Qabr Aur Medane Mahshar Me Ye Ilhtilafi Aqaid Nahi Puchhe Jayenge.Gair Muslim Ko Musalmsn Banana To Zayada Se Zayada 5 Kalme Parha Dena Kafi Hai Khas Barelvi Aqaid Ko Qabool Karana Musalman Banane Ki Liye Zarooree Nahi.Fir In Awaid Ko Na Mannewalon Ko Kyun Kafir Kaha Jata Hai.
Note:
In Kitabon Me In Hawalo Par Ye Baten Hai Ke Nahi Kisi Ko Puchhne Ke Bajaye Khud Dekhe Nuskhe Ke Farq Ki Wajha Se Ye Baten Usee Safe Par Na Ho To Ek Do Safe Aage Pichhe Bhi Dekh Liya Jaye.Is Me Jhuth, Aur Khiyanat Se Kaam Nahi Liya Hai.اَلْحَمْدُلِلّه
Ham Ye Bhi Bata Dete Hai Is Ki Baaz Baton Ko Dusree Kitabon Me Us Ke Khilaf Bhi Likhi Hai Jab Barelviyon Ki Kitab Me Dono Qism Ki Baten Hai To Un Ka Baton Ko Maan Lene Ki Guzarish Hai Jis Se Ummat Me Jod Paida Ho Aur Tod Khatm Ho.
Ikhtilafi Baat Par Date Rehne Se Bada Nuqsan Hai Allah Taala Ittifaq Aur Jod Paida Karne Ki Taufeeq Den Ameen.
Deobandi Bhi Nabi Aur Auliya Se Madad Magneke Qayal Hai swaneh Qasmi Safa no 333 332 padho
aap log in chizo me hi ummat ko uljate raho, aamal ki fikr mat karo, bas yahi kam he aap logo ka.