AETIKAF KAHAN ZAROOREE ?

⭕AAJ KA SAWAL NO. 2821⭕

Aetikaf ka kya hukm hai?
Aetikaf kon kon see masjid me kar sakte hain?

🔵JAWAB🔵

Ramazan ke Aakhri 10 din ka aetikaaf sunnate Muakaddah alal kifayah he.

Agar basti (mohalle) ke kuchh log is sunnat ko Adaa karen to masjid ka haq Jo ahle mohalla per laazim he Adaa ho jayega, aur agar masjid khali rahi aur koi shakhs bhi aetikaaf me na betha to sab mohalle wale gunehgar (laaiqe itaab) honge aur masjid ke aetikaaf se khali rehne ka vabaal poore mohalle per padega.

Jis masjid me panch waqt ki namaaz bajama’at hoti ho usme aetikaaf ke liye bethna chahiye, agar jumuah na hota ho to bhi bethna chahiye aise motakif ko Jumuah parhne jana jaiz hai aur agar masjid aisi ho jisme panch waqt ki namaz bajama’at na hoti ho, usme panch waqt ki namaz bajama’at ka intezam karna ahle mohalla per laazim he.

Aurat apne ghar me ek jagah namaz ke liye muqarrar karke wahan aetikaaf Kare, usko masjid me aetikaaf me bethne ka sawab milega.

📘Aapke Masail aur Un ka Hal, 3/320
📚Kitabul Masail2/171

و اللہ اعلم

📝 Mufti Imran Ismail Memon
🕌 Ustaze Darul Uloom Rampura, Surat, Gujarat, india

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *