ASATIZAH (USTAD) KO TALEEG & BATIL FERQON KE RAD AUR IJTIMAA ME JAANE KI CHHUTTY NO.1598
Arabi madaris aur makatib ke asatizah (ustad) ko tableegi Jama’at me jaane ke liye maahanah (monthly) tin din ya saalanah (yearly) ek chillah ya Zindagi ke char mahine ya ek saal ki chhutty,
isee Tarah batil firqon ki tardeed ke tarbiyati camp, ijtimaa me jane ki chhutti tankhah ke saath dee jaa sakti hai ya nahin?
JAWAB
حامدا و مصلیا و مسلما
Agar zarurat ho to dee jaa sakti hai.
Ta’alim ka maqsood deen ki ishaat aur hifazat hai, aakhir madarsah wale madarsah ke paise se risalah bhi nikalte hain, madarsah ke paise se wa’az (bayaan) ke liye bhi bhejte hain, jalson me shirkat ke liye bhi bhejte hain, yeh sab ke sab ta’alim ke maqasid hain,
agar wahaan ke log is safar aur batil firqon ke rad ki tarbiyati jalson ki shirkat ko munasib samjhte hain aur uski zarurat bhi hai to wahaan (jama’at, tarbiyati camp me tankhaa ke saath chhutty) kar sakte hain.
HAQIQAT E TABLEEG SAFA 110 SE MAKHOIZ
Hazrat saiyyad mufti Abdur Rahim lajpuri RAHMATULLAH ALAYHI likhte hain ke, “madaris wale mudarris (ustaz) barhaye. madrasah ki imarat me kaafi se zaaid paise kharch kar dete hain.
haalaa ke madarsah ki imarat maqsood biz zaat nahin, maqsood e asli ta’alim hai, fir asatizah ke izafe aur unki tankhwahon (salary) ke izafe me kotahi kyun ki jaaye ?”
Khulasah yeh hai ke ta’alimi kaam ke saath tableeg me mashguli bhi honi chahiye, denee anjum (commiitee) tabligi kaam ki zimmedari se subuk dosh (bari) nahin ho sakte,
lihaza ta’alim ke saath tableeg me bhi dilchaspi len aur mudarriseen ko jaari wazife (tankhwah) ke saath tableegi kaam ke liye ijazat den.
Shaikhul islam hazrat Madani RAHMATULLAH ALAYHI ka malfooz isee qism ke ek sawal ke jawab me tahreer farmate hain ke
“mujh ko yeh ma’alum huva hai ke ba’az mimbarane shuraa ko un mudarriseen ki tankhawahon ke jaari (chalu) rakhne ke mutalliq aitarazat aur shub’haat hain.
Musalmano ke idarate ta’alimiyyah sirf ta’alimi khidmat anjam dene ke liye nahin banaye gaye balke musalmano ki mazhabi aur deenee aur dusri zaruri khidmat bhi unke faraiz me se hain.
yahi wajah hai ke jang e room aur roos ke zamane me Hazrat Nanotwi RAHMATULLAH ALAYHI ne daure kiye aur ek azeemush shan miqdar chande ki jamaa karke turki ko bheji us zamane me darul uloom dewband me chhutty rahi. (ta’alim bandh rahi) aur tankhawahen dee gai.
Shuddhi aur shanghatan wagairah ki nahusaton ke zamane me malikanah rajputon wagairah ilaqe me mudarrisin aur ulamaa ke wufood (jama’aten) bheje gayi aur unki tankhawahen jaari rakhi gayi.
FATAWA RAHEEMIYAH JADEED JILD 4 SAFA 145 SE MAKHOOZ KITABUL ILM WA ULAMAA.
ISLAMI TAREEKH :
27 RABIUL AAKHAR 1440 HIJRI
Mufti Imran Ismail Memon Hanafi Chishti.
Ustaze Darul Uloom Rampura, Surat, Gujarat, India.