Aaj ka sawal number 2567
Woh konse a’maal hain Jo Aashurah ke din ya’ani 10 muharram ko sunnat se saabit NAHIN hai ?
Jawab
1) Gusl karna ya’ani khaas aashurah ke din ki niyyat se
2) Kapde badalna
3) Khushboo lagaana
4) Surma lagaana
5) Makhsoos namaz Ada karna
6) Marsia khwani karna
7) Masjid me jamaa ho kar nawafil padhna
8) Maatam karna
9) Qabro par mitti dalna
10) Ta’ziya banana
11) Nange sar rahna
12) Nange pair rahna
13) Kaala kapda pahanna
14) sar par khaak daalna
15) sar ko peetna
16) bachchon ko qaidi faqeer banaana
17) Sharbat banaana
18) Sharbat pilana
19) Makhsoos qism ka khana banana
20) Sirf muharram hi me sabeel lagana;
MAA SABAT BIS SUNNAH ME BARELVI AUR DEVBSNDI ULAMA KE MUATAMAD SHAH ABDUL HAQ MUHADDISE DAHELVI R.A. IN CHEEZON FAZAIL KI TAMAM RIWAYAT KO MAVZOOA-BANAWATI QARAR DIYA HAI
Fatawa Mahmoodia 3/274 aur uske aas paas se makhooz
و الله اعلم بالصواب