AAJ KA SAWAL NO.2666
ISLAM ME AURAT KO EK HI SHAADI KI IJAZAT DEE HAI AUR MARD KO CHAR SHADI KI IJAZAT DEE HAI AURAT KE SAATH AISI NAA INSAFI KYUN?
JAWAB
حامدا و مصلیا و مسلما
Iski wajah niche diye gaye waqiye se maloom hogi, waqiya paish kiya jata hai.
Science ke daayre me Qur’ani moajizaat ki ek jhalak
Ek Maahir Yahudi (jo deeni aalim bhi tha) khule taur par kaheta hai ke rooe zamin par Musalman khatoon se ziyadah paak baaz aur saaf suthri kisi bhi mazhab ki khatoon nahi hai.
Poora Waqiya yun hai ke Albert Einstein Institute se ta’alluk rakhne wala ek maahire janin (hamal ki janch ka mahir) Yahudi Peshwa Robert ne apne Islam qubul karne ka elaan kiya, jiski vaahid wajah yeh bani ke Qur’an me mazkur Mutallaqa (Talaq Shuda Aurat) ki Iddat ke hukm se waqifiyat aur iddat ke liye Teen Mahine ka jo waqt diya gaya hai uske pichhe ki Hikmat.
Allah ka farmaan hai
“والمطلقات یتربصن بأنفسهن ثلاثة قروء”
[البقرة:228]“Mutallaqa apne aap ko teen mahine tak roke rakhe”
Is aayat ne DNA ke research me ek ajeeb jankari haasil karne ka rasta khola aur yeh pata chala ke mard ki Mani (Sperm) me Protien dusre mard ke muqable 62% percent alag hota hai. Aur Aurat ka jism ek computer ki tarah hai, jab koi mard ham bistari/sohbat karta hai to aurat ka jism mard ke Bactaria ko jazb (Save) kar leta hai.
Is liye Talaq ke fauran baad agar Aurat kisi dusre mard se shaadi kar le yaa fir ek waqt me kayi logo ke saath jismani ta’alluk qaaim rakhe to iske badan/jism me kayi DNA ki print/chhaap Bactaria ki shakl me jamaa ho jaate hain jo khatarnak Virus ban jaate hain aur jism ke ander jaan leva bimariya paida hone ka sabab banti hain. Science ne pataa lagaya ke Talaq ke baad ek Haiz/Maasik guzarne se 32% se 35% percent tak Protien khatm ho jaate hain,
aur dusre Haiz aane se 67% se 72% tak Mard ke DNA ki chhap kam ho jaati hai,
Aur Tisre Haiz me 99.9% ka khatma ho jaata hai aur phir Aurat ka jism baaqi DNA ke asar se bilkul Paak ho jata hai…
Aur bagair kisi side effect va nuqsan ke naye DNA ki print Qubul karne ke liye taiyar ho jaata hai. Ek tavaif/call girl kayi logo se ta’alluk banati hai jiski wajah se uske jism me alag alag mardo ki Mani (Sperm) chali jaati hai aur jism me alag alag DNA ki chhap jamaa ho jaati hai, aur iske natije me woh kayi badi badi bimariyo ki shikar ho jaati hai.
Aur rahi baat Inteqal hue mard ki Bewa ki iddat to iski iddat Talaq shuda Aurat se ziyadah hai, kyunke gam tention ki wajah se pichhle DNA ka asar jaldi khatm nahi hota aur ise khatm hone ke liye pahele se ziyadah waqt chahiye hota hai isee ki riayat karte hue aisi Aurat ke liye char mahine aur das din ki iddat rakhi gayi hai, farmaane ilahi hai
“والذين يتوفون منكم و يذرون أزواجا يتربصن بأنفسهن أربعة أشهر و عشرا”
[البقرة:٢٣٤]“Aur tum me se jiski wafat ho jaye aur apni biviyan chhode to chahiye ke woh char mahine das din apne aap ko roke rakhe”
Is haqiqat se raah paakar ek maahir doctor ne America ke do alag alag ilaqo me tahqiq kee, ek mohalla jahaan African Musalman rahete hain wahaan ki tamam Aurto me sirf ek Shohar hi ka DNA ka asar paaya gaya, jab ke dusre mohalle jahaan asal American aazad aurte raheti hain inme ek se ziyadah do teen logo tak ke DNA ka asar paya gaya. Jab doctor ne khud apni biwi ka Blood Test kiya to chonka dene wali haqiqat samne aayi ke iski biwi me teen alag alag logo ke DNA paye gaye, jiska matlab yeh tha ke iski biwi ise dhoka de rahi thi, aur yeh ke iske teen baccho me se sirf ek iska apna baccha hai.
Iske baad doctor puri tarah kaaeel (maanne wala) ho gaya ke sirf islam hi woh deen hai jo Aurto ki hifazat aur samaaj ki paakizgi ki zamanat (guaranty) deta hai aur is baat ki bhi ke musalman Aurte duniya ki sabse saaf suthri paak daaman v paak baaz hoti hain.
Musalman is Post ko ziyadah se ziyadah Share kare.
و الله اعلم بالصواب
TASDEEQ: Mufti Imran Ismail Memon hanafi chisti.
Ustad e Darul Uloom Rampura, Surat, Gujarat, India.