AAJ KA SAWAL NO.2648
A.
Meri bivi lambi muddat se bimari me mubtalaa hai jiski wajah se kamzor aur kam taaqat hai koi kaam nahin ho sakta. 6 ,7 saal se yah haalat hai.
ilaj muaalajah ke bawajood koi farq nahin, is haalat me hamal ke dinon me tabiyat kharaab rahti hai. kamzori me mazeed izafa ho jata hai aisi haalat me operation karvana jaiz hai ya nahin?
Doctor aur hakeem kehte hain ke tum operation nahin karvaoge to tabiyat aisi hi rahegi lihaza kya kiya jaae?
B.
Mere dost ke 3 bachche seasor se aaye hain unko bhi doctor ne bola hai operation karana zarooree hai chautha bachcha ab agar aap ki bivi se paida hoga to us ki jaan ko khatrah hai
JAWAB
حامدا و مصلیا و مسلما
A.B.
Jab kamzori aur tabiyat ki kharabi ki wajah se ya seasor ki wajah se hamal ko baaqi rakhna mushkil hai hamal bardasht nahin ho sakta to sab se pahle aisa ilaaj kiya jaae jis se hamal na thehre aur dawai hoti rahe fir agar yah waqti tadbeer (idea) mufeed sabit na ho to akheeree darajah me musalman, deendar mahir hakeem ya musalman deendar tajarbahkar doctor ke kahne ke mutabiq operation karvana jaiz hai is baare me gair muslim hakeem ya doctor kai salaah (mashwarah) ke aetibar nahin hai.
FATAWA RAHEEMIYAH 10/181 KARANCHI
FATAWA QASMIYAH 23/266
و الله اعلم بالصواب
Mufti Imran Ismail Memon, Hanafi, chishti, sahab
Ustad e Darul Uloom Rampura, Surat, Gujarat, India.