Aurat ko Validen se Mulaqat ka Haq hai

⭕AAJ KA SAWAL No. 2629⭕

Shohar Shaadi ke baad apni biwi ko uske validen se mulaqat karne se rok sakta hai ?
Kya uska rokna durust hai?
Aur biwi per uski ita’at karna wajib hai?

🔵JAWAB🔵

حامدا و مصلیا مسلما

Nikah ki wajah se pahle rishte khatm nahi ho jaate balke pahle ke rishte usi ahmiyat ke saath baaqi rehte hain,

Azdavaji rishta to aisa hai ke toot sakta hai aur toda jaa sakta hai lekin validen aur aulad ka rishta atoot hai isliye yah kaise durust ho sakta hai ke shohar apni biwi ko uske validen se ya mahram rishtedaro se mulaqat karne se rok le?

Yah Qata’rahmi (rishta naata todna) hai aur Qata’rahmi haraam hai, Aurat ko apne validen se milne Aur validen ko apni beti se mulaqat karne ka haq hasil hai,

Balke fuqaha ne likha hai ke agar aurat ke validen aur uske mahram rishtedar usi shahar me maujood hon to unse mulaqat karne se nahi rok sakta.

tafseel yah hai ke waalidain agar bety ko milne aa sakte hain to wo aayen mulaqat kar ke chale jaayen, aur agar unka aana mumkin na ho to hafte me ek martaba validen se milne jaa sakti hai, lekin aane jaane kaa kharch shohar se legi, Aur mahine yaa saal me ek dafa mahram rishtedaro, bhai, chacha wagairah se mulaqat karne ka haq hasil hai, shohar is se rok nahi sakta.

و الله اعلم بالصواب

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *