AURTON KA NOKRI (JOB) YA TIJARAT (BUSINESS) KI JAIZ AUR NA-JAIZ SOORAT
⭕ AAJ KA SAWAL NO.2949⭕
Aurten school, dukan, company, sarkari daftar par nokri ya tijarat parde me reh kar kar sakti hain ya nahin agar nahin kar sakti to kin sharton ke saath kar sakti hain?
Kyun ke baaz martabah kamayi ki majboori hoti hai.
🔵JAWAB🔵
حامدا و مصلیا و مسلما
Aurton ko nokri ya tijarat do shart ke saath jaiz hai.
1. Be pardagi na kare, Pardah aur naqab ke aehtamam ke saath wahaan aana jana ho.
2. Wahaan ke mardon ke saath ikhtilaat (meljol) na ho Chahe koi bhi jagah ho sarkari ho private.
Meljol ya’ani wahaan upar se niche tak staff, grahak, padhne, padhane wale sab aurten ho mardon ka wahan bilkul dakhal na ho.
Agar pardah ke saath bhi mardon se meljol aur baat-chit me fitnah aur gunah ke wujood me aane ka andeshah hai aur aaj kal aurat ke gairon ke sath bhag Jaane aur murtad hone ki ek badi wajah aurton ka nokri karna bhi hai isliye jaiz nahin.
Aurat ke liye is fitne ke daur me aehtiyat isee me hai ke bila sakht zaroorat ke nokri na kare balke ghar par hi silayi kaam, mahendi kaam, jaiz tareeqe se aurton ko muzayyan (sajane) kaam (beauty parlour), tution, packing wagairah ka kaam kare.
📗FATAWA QASMIYAH 23\575 SE MAKHOOZ
و الله اعلم بالصواب
✍🏻Mufti Imran Ismail Memon hanafi chisti.
🕌 Ustaad e daarul uloom Rampura surat, Gujarat, India.