BIMARI KA CHEP LAGNE KI HAISIYAT

⭕AAJ KA SAWAL NO.2738⭕

Bimari ke chep lagne ka aqeedah Islam ke mutabiq hai?

🔵JAWAB🔵

حامدا و مصلیا مسلما
Bimari hi se chep lagne ka aqeeda islam ke khilaf hai kyun ke hadees shareef me hai ke ek ki bimari dusre ko nahi lagti aur parindeh ke dayen bayen udne ki wajha se khair aur burai nahi hoti…
📗BUKHARI SHAREEF

Ek dusri hadees me hai ke ek dihati ne huzoor sallahu ko puchha ke ek registan me uunt hiran ki tarah tandurast hota hai lekin in me ek khujli wala unt mil jata hai to dusre unton ko bhi khujli ho jati hai aesa Kyun?
Huzoor sallahu alayhe wasallam ne irshad farmaya ke pehle unt ko khujki kese hui?(Yani pehle unt ko kharish allah ke hukm se hui to baqi unt ko kharish bhi allah ke hukm se hui)
📗MUSLIM SHAREEF

Ye baat sabit hui ke bimari agar allah ne muqaddar me likhi hogi to hi hogi warna Nahi hogi.
Rahi baat dusri hadees jis me hai ke juzami (rakt pit wale) se aesa bhago jaise ser se bhagte ho aur ek aur hadees me hai ke tandurast unt ko bimar unt ke paas mat lawo is jaisi hadees ka maqsad huzoor sallahu alayhe wasallam ka ummat par shafqat karte huwe kahin allah ke taqdeer se bimari lag gai to aqeedeh ki hifazat ke liye ke woh kharab na ho ke chep lag gaya balke ye aqeeda banega ke me to door raha fir bhi bimari ho gai to sabit ye howa ke bimari Allah ke hukm se hoti hai isliye mana farmaya.

📗MIRQAAT

📕FATAWA RAHEEMIYAH 1/222

و الله اعلم بالصواب

✍🏻Mufti Imran Ismail Memon Hanafi

🕌 Ustaze Darul Uloom Rampura wa Secretry jamiate ulama Surat, Gujarat, India.

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *