Bahot se log khat, card, mobile msgs, ghar ke baahar ya ghar me, wagairah Jagah me 786 number likhte hai, aur yeh kehte hai ke Ye BISMILAH ka adad number hai.
kya yeh sahih hai ?
Yeh kisne aur kyun shuru’a kiya ?
Kya Isme Bismilah Ki Barakat hasil hoti hai ?
ba’az kehte hai ke ye Shri Raam Ya Shri Krishna ka adad hai, to kya yeh gairon ka tariqah hai ?
JAWAB
Hazrat mufti nizamuddeen azami رحمت اللّہ عليہ, sabiq (old) mufti darul uloom deoband, india. tahreer farmate hain ke lafze اللّہ Allah ke ‘laam’ ko double shumar kar liya jaye, aur رحمان Rahman ke ‘alif’ ko shumar na kiya jaye, to ta’adad 786 ho jati hai. pas is adad se yaqeenan zahan Bismillah ki taraf muntaqil ho sakta hai, balke is adad ko dekh kar ya sun kar Bismillah mukammal (pura) zahan me aa jata hai, aur ho sakta hai ke koi zubaan se keh bhi de to iske maqsad se yeh adad likhne ki garz yeh bhi ho sakti hai ke har khat (letter) ki ibaarat ki shur’uaat me intiqaak e zahni Bismillah ki taraf ho jaye aur Bismillah ka adab bhi baaqi rahe, isliye bahut mumkin hai ke is tareeqah e kaar se Bismillah kehne ya zahan me usey hazir karne ki jaanib talqeen aur mutawajjeh karne ki garz (maqsad) se yeh tareeqah chal padaa ho, agar che yeh ma’alum na ho ke yeh tareeqah kab se jaari huwa kuchh muzir (nuqsan) na hoga. balke istihsaan (uska achchha hona) baaqi rahega aur biaynihi (same) Bismillah parhne ki barakat agarche hasil na ho lekin zariyah zarur ban sakta hai, aur yeh be’adabi se bachaane wala hai, isliye is tareeqah ko bura kehna bhi qabile gaur baat hogi.
MUNTAKHAB NIZAMUL FATAWA 3/435
Note: Adab ki wajah se likhne ki gunjaish usi waqt hogi jab ke uske baad ki tahreer me aur kahin Allah ka naam ya kisi ayat wa hadees ka zikr na ho, warna be adabi na ho us wajha se likhne ki koi gunjaish nahi. balke ek rasam samjhi jayegi, jis ka riwaj dena karahat-makrooh hone se khali nahi.
Hazrat mufti yusuf ludhyanvi رحمت اللّہ عليہ isee barey me tahreer farmate hain ke 786 bismillah shareef ke adad hain, buzurgon se iske likhne ka mamool chala aata hai. galiban is ko riwaj isliye huwa ke khutoot-lettres aam taur par faad kar fenk diye jate hain, jis se bismillah shareef ki be adabi hoti hai, is be adabi se bachane ke liye galiban buzrogon ne bismillah shareef ke aadad likhne shurooa kiye, is ko gairon ki taraf mansoob karna to galat hai, albattah agar be adabi ka andesha na ho to bismillah shareef hi likhna behtar hai
AAP KE MASAIL AUR UN KA HAL 6/348 NAEEMIYAH
Bande ke piro murshid, yadgare salaf hazrat aqdas mufti ahmad sahab khanpuri d.b. tahreer farmate hai ke “ye koi sharaee cheez nahi hai. aur is tarah likh dene se khat ke shurooa me bismillah likhne ka haq ada huwa nahi samjha jayega”
MAHMOODUL FATAWA 5/625
Tino [3] fatwon ka khulasah ye hai
786 AGAR BISMILLAH SHAREEF KI BEADABI NA HO IS MAQSAD SE AESI JAGA LIKHA JAYE JAHAN BE ADABI HONE KA KHATRA HAI TO USEY IS SHART PAR LIKHA JAYE KE AAGE KAHIN ALLAH WA RASOOL صل اللہ عليہ وسلم KA NAAM NA LIKHA HO.
JAHAN BE ADABI HONE KA KHATRA NA HO YA AAGE ALLAH KA NAAM AA RAHA HO TO WAHAN BISMILLAH HEE LIKHNE CHAHIYE.