BIVI KE ZIMME SHAUHAR KE HUQOOQ

BIVI KE ZIMME SHAUHAR KE HUQOOQ

⭕ AAJ KA SAWAL NO.2962⭕

Bivi ke zimme shauhar ke kya kya huqooq wa a’adaab hain?

🔵JAWAB🔵

حامدا و مصلیا و مسلما

Bivi ke zimme shauhar ke jo huqooq wa a’adaab hain woh hasbe zail hain :

1⃣ Bivi ka apne shauhar ke hukm ko manna.

2⃣ Shauhar ki khidmat karna.

3⃣ Shauhar ke ghar me shauhar ki ijazat Ke bagair kisi ko daakhil na karna.

4⃣ Shauhar ke maal ko uski ijazat ke bagair kahin bhi isteamal na karna isee tarah israaf- fuzool kharchi na karna.

5⃣ Shauhar ki ijazat ke bagair uski mavjoodgi me nafli rozah na rakhna.

6⃣ Miyan bivi ka ek doosre ki Kotahi wa kami se chashm poshi (let go, ignore) karna.

7⃣ Ek doosre ke bure sulook par sabr karna.

8⃣ Qana’at ikhtiyar karna (jo kuchh mil jaye us par santosh, bas karna)

9⃣ Shauhar ki na shukri na karna.

🔟.Shauhar ki guftagu (baat-chit) ke waqt khamosh rehna.

1⃣1⃣ Shauhar ke ghar walon ka ikram karna.

1⃣2⃣ Apne padosiyon se kam se kam baat-chit karna.

1⃣3⃣ Apne shauhar ke doston ke samne apni pehchan na karwana balke jo pehchanta ho uske samne bhi ajnabiyat ikhtiyar karna.

1⃣4⃣ Poori tawajjuh apni islah, ghar ke intizam aur namaz rozah ki paabandi ki taraf karna.

1⃣5⃣ Shauhar ke saamne zebo zeenat ke saath ban sanwar kar rehna.

1⃣6⃣ Usko dekhte waqt khushi ka izhar karna.

1⃣7⃣ Us se qareeb hone ke mauqe par muhabbat ka izhar karna.

1⃣8⃣ (Agar uzr na ho to) aurat ka sohbat se inkar na karna.

1⃣9⃣ Miyan bivi ki milan ki baaton ko doosron ke saamne bayan na karna.

2⃣0⃣ Shauhar ke nikalte waqt darwaze tak saath jaana.

2⃣1⃣ Aurat ka kisi badi wajah ke bagair talaq ka mutalabah na karna.

2️⃣2️⃣ Shauhar ko har jaaiz tareeqe se khush rakhne ki koshish karna.

2️⃣3️⃣ Shauhar ke Raaz aur aib ko kisi ke samne na kholna.

2️⃣4️⃣Bachchon ki achchi tarbiyat karna.

📗SUNAN O A’ADAAB SAFA 268

📕KAAMYAB IZDIWAJI ZINDAGI KE SUNAHRE USOOL SAFA 299-300.

و اللہ اعلم بالصواب

NOTE: YE MSG APNI TAMAM MAHRAM AURTON KO ZAROOR SUNAYEN

ISLAMI TAREEKH : 6 Safar HARAAM 1444 HIJRI

✍🏻Mufti Imran Ismail Memon hanafi.

🕌 Ustaad e daarul uloom Rampura Surat

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *