BIWI KE ZIMME SHOHAR KE HUQOOQ 1507-1508
‘Biwi ke zimme shohar ke huqooq’ Or aadaab Kya Kya hain?
JAWAB: حامدا و مصلیا و مسلما
“Biwi ke zimme shohar ke huqooq” Or wa aadaab Jo He hain, woh hasbe zail hain.
- Biwi ka apne shauhar ke hukm ko manna.
- Shauhar ki khidmat karna.
- shauhar ke ghar me shauhar ki ijazat Ke bagair kisi ko daakhil na karna.
- Shohar ke maal ko uski ijazat ke bagair kahin bhi isteamal na karna, isee tarah israaf na karna.
- Shauhar ki ijazat ke bagair uski mavjoodgi me nafali rozah na rakhna.
- Miya bivi ka ek dusre ki Kotahi wa kami se chashmposhi (let go, ignore) karna.
- Ek dusre ke bure sulook par sabr karna.
- Qana’at ikhtiyar karna (jo kuchh mil jaye us par santosh, bas karna)
- Shauhar ki na shukri na karna.
- Shauhar ki guftagu (baat-chit) ke waqt khamosh rehna.
- Shohar ke ghar walon ka ikram karna.
- Apne padosiyon se kam se kam baat-chit karna.
- Apne shohar ke doston ke samne apni pehchan na karwana, balke jo pehchanta ho uske samne bhi ajnabiyat ikhtiyar karna.
- Poori tawajjuh apni islah, ghar ke intizam aur namaz rozah ki paabandi ki taraf karna.
- Shauhar ke saamne zebo zeenat ke saath ban sanwar kar rehna.
- Usko dekhte waqt khushi ka izhar karna.
- Us se qareeb hone ke mauqe par muhabbat ka izhar karna.
- (Agar uzr na ho to) aurat ka sohbat se inkar na karna.
- Miyan bivi ki milan ki baaton ko dusron ke saamne bayan na karna.
- Shauhar ke nikalte waqt darwaze tak saath jaana.
- aurat ka kisi badi wajah ke bagair talaq ka mutalaba na karna.
و الله اعلم بالصواب
“Biwi ke zimme shohar ke huqooq”
SUNANO ADAB SAFA 268.
NOTE: YE MSJ APNI TAMAM MAHRAM AORTON KO ZAROOR SUNAYE.
SUNANO ADAB SAFA 268
ISLAMI TAREEKH: 26,MUHARRAMUL HARAAM 1440 HIJRI.
Mufti Imran Ismail Memon hanafi chisti.
Ustaad e daarul uloom Rampura surat, Gujarat, India.