ek shakhs darhi Mundata hai us ne sachche dil se tauba kar li hai aur ayindah rakhne ka pakka iradah kar liya hai magar abhi ek musht darhi nahi hui hai aur ugana ya lambi karna us ke ikhtiyar me nahi hai to kiya aese ke pichhe farz namaz aur taraweeh makrooh hogi?
Isee tarah jo imam darhi mundana ya ek musht se pehle katana nahi chhodte aese imam ke pichhe farz namaz aur taraweeh ka kiya hukm hai tafseelan jawab inayat kare?
JAWAB
Faqeehul asr mufti rasheed ahmad ludhyani Rahmatullahi alayhi likhte hain tauba ke bawajood aese shakhs ki imamat do wajha se makrooh hai,
1.ek ye ke uspar abhi tak islah Ka asar zahir nahi huwa hai aur ye fesala nahi kiya ja sakta ke ayindah is kabeerah gunah se bachne ka aehtamam karega ya nahi?;
2.dusri wajha ye hai ke jin logon ko tauba ka ilm nahi un ko ye galat fahmi hogi aur yahee samjhenge ke fasiq namaz padha raha hai (is jahalat ke daur me darhi katane wale ki imamat jaiz hai aesi galat fahmi felne Ka bhi andesha hai)
(Ahsanul fatawa 3/262)
Faqeehun nafs mufti kifayatullah rh.likhte hain Agar dusra is behtar imam mil sakta hai to use imam na banaya jaye
kifayatul mufti 3/87
Aesa imam sakht gunehgar hai us ke pichhe namaz makroohe tahreemi hai aur woh wajibul ihanat (be izzati) hai us ko imam banane me us ki tazeem hai isliye us ko imam banana jaiz hee nahi
imdadul muftiyyeen 1/261bahawala shami 1/276
Agar koi aesa shakhs zabardasti imam ban gaya ya trastiyon ne bana diya aur hatane par qudratna na ho to kisi dusri masjid me nek-salih imam talash kare agar na mile to jamaat na chhode balke us fasiq ke pichhe hee namaz parh le us ka azab aur wabal masjid ke muntazimeen -zimmedaron par hoga
ahsanul fatawa 3/26
Us ko imam banana makrooh hai albattah agar woh khud imam bankar namaz parhawe to namaz ho jayegi agarche woh sawab na mile jo muttaqee imam ke pichhe parhne se milta hai.
fatawa mahmoodiya 7/43
Iseetarah agar sab muqtadi darhi munde ho to darhi mundane wala imam ban jaye
kifayatul mufti 3/57
masaile imamat 58 se 60 ka khulasa
IMRAN ISMAIL MEMON HANFI GUFIRA LAHOO
MUDARRISE DARUL ULOOM RAMPURA SURAT GUJRAT INDIA