DIGITAL TASWEER KA HUKM: PART 1

⭕AAJ KA SAWAL No. 2794⭕

SAWAL: Digital tasweer me hurmat ke hukm ke saath zarurat ke daa’ire me ulama jawaaz ka hukm dete hai, Ab daryaaft talab amr ye hai ke zarurat ke hudood me ta’yeen kese hogi, Aur zarurat ka daa’ira e kaar kese muta’ayyan kiya jawega? Masalan deene islaam ki isha’t-felaw ke liye digital video aur tasweer kaa istimaal , Madaaris ke talabaa ki sar garmiyo ki video banaana, Siyaasi sar garmiyo me tasweer banaana, Islaami bayaanaat wagerah, Kiya ye sab zarurat me daakhil hail? Is tarah ki wujuhaat se to college aur University ko bhi saamna hai, Kehne ka maqsad ye hai ke zarurat kaa daa’iraye kaar-had kiyaa hai, Aur kese zarurat ka ta’ai yun kiya jaye?Quraan wa sunnat ki roshni me jawaab matlub hai.

🔵JAWAB🔵

حامدا و مصلیا مسلما

Digital tasweer aur video ke hawaale se 3 qism ki raay hai , jo ke darje zel hai:

1 _ Digital video aur tasweer saaya ya paani aur shisha me dikhaa’i dene waale aqs ki tarah hai, lihaaza jis cheez kaa aqs aur saayaa dekhna jaayiz hai , uski digital tasweer kheechna bhi jayiz hai, Aur jis cheez ka aqs dekhna aur direct dikhaana naa jaayiz hai to us ko Digital mashine se dekhnaa bhi naa jayiz hai.

2- Digital tasweer aam print waali tasweer ki tarah hai , Aur sirf sakht zarurat ke moqe par uski gunjayish hai, sakht Zarurate ka matlab ye hai ke jaan wa maal yaa izzat wa aabru ko koi khatrah ho to majboori ke waqt me uski gunjaayish hai.

3- Digital tasweer bhi tasweer ki taarif- defence me daakhil hai, Albatta uske tasweer hone ya na hone me ulamaa ki ek se ziyaadah aara- raay mojood hain, Is liye kisi waaqi aur mo’a tabar deeni ya dunyaawi zarurat aur haajat wa maslihat ke liye Aese manaazir ki tasweer aur video banaane ki gunjaayish hai, ke jin me tasweer ke alaawah hurmat ka koi aur pehlu mojud na ho, jese music aur khawaateen wagairah ka hona .

Ye tisree raay hamaare Darul iftaa ki hai, Is liye ba waqte zarurat wa haajat aur mo’a tabar deeni maslihat se digital tasweer banaane aur dekhne dikhaane ki gunjaayesh hai, Albatta chun ke usme dusri raai bhi mojud hai isliye ihtiyaat ka taqaazah ye hai ke bila zarurat wa haajat sirf shoqiyah tasweer banaane se parhez kiya jawe.

Digital camera se banaa’i gayee aisi video jis me jaayez hudood me tafreehi mawaad ho, use dekhna shar’an jayez hai, lekin jis vidyo ke andar na mahram khawaateen ki tasweer ho ya music ho ya fahash manaazir ho, aisi tafrihi vidyo dekhna shar’an jaayez nahi hai,

Wazeh rahe ke digital camera se muta’alliq jin ulama ne jawaaz ka fatwa diya hai wo haajate shar’i yah (Zarurat ke mawaaqe par) istimaal ke liye diya gaya hai, Lihaaza bila zarurate shar’iyyah mahaz tafreeh ya yaadgaar ke liye istimaal karne se ihtiyaat katna behtar hai.
و الله اعلم بالصواب
📥Makhooz az Darul ifta Jamiatur Rasheed Karachi fatwa no 73396

📨Darul ifta jamiatul Uloom Islamia binori town
Fatwa number 144105200068 se makhooz

✍🏻 Mufti Imran Ismail Memon Hanafi
🕌 Ustaze Darul Uloom,
Rampur Surat, Gujarat, India

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *