Diwali Aur Unke Naye Saal Ki Mubarak Baadi Dene Ka Hukm Aur Jaiz Shakal




Language

Click below for languages:

 

Diwali Aur Unke Naye Saal Ki Mubarak Baadi Dene Ka Hukm Aur Jaiz Shakal

⭕AAJ KA SAWAL NO.3393⭕

Diwali ki mubarak baadi Dena jaiz hai? me Hindu bhaiyon ki company me job karta hun to unko kaise wish karun?

Unko mubarak baadi na de to unko bura lagta hai, mufti sahab koi jaiz surat ho to rahnumayi farmane ki darkhast.

🔵JAWAB🔵

حامد ومصلیا و مسلما

Agar mubarak baadi deni zarooree ho to

Dil me inki is rasm ko bura samjhte huve aise jumle se unko mubarak baadi dee jaae jisse unke tyohar ki na azmat ho na unke jumlon aur rasm se mushabahat,

To gunjaish maloom hoti hai masalan yah jumla kahaa jaae ke diwali ke Is mawqea par aap ko har kaam me sahih rasta mile. Dil me sahih raste se unki hidayat muraad Lee jaae.

Ya naya saal aap ke dono jahan Ki kaamyabi ka zariyah bane
Diwali ke mauqea par ishwar aap ke bhawisaya (future) ko roshan (prakashit) kare.
english me yah keh de
May your path be enlightened wagairah dua ke jumle keh diye jaae.

📘FATAWA MAHMOODIYAH 19/567
📗FATAWA BAZZAZIYAH 6/334 SE MUSTAMBAT

و الله اعلم بالصواب

✏Mufti Imran Ismail Memon, Hanafi, chishti, sahab

🕌Ustad e Darul Uloom Rampura, Surat, Gujarat, India.

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *